Back to Languages

Urdu - Chapter 16 - An-Nahl

Translation by Muhammad Junagarhi — Permalink

Verse 1 — Surah An-Nahl 16:1

Allah Taalaa ka hukum aa phoncha abb iss ki jaldi na machao. Tamam paki uss kay liye hai woh bartar hai unn sab say jinhen yeh Allah kay nazdik shareek batlatay hain

Verse 2 — Surah An-Nahl 16:2

Wohi farishton ko apni wahee dey ker apney hukum say apney bandon mein say jiss per chahata hai utarta hai kay tum logon ko aagah kerdo kay meray siwa aur koi mabood nahi pus tum mujh say daro

Verse 3 — Surah An-Nahl 16:3

Ussi ney aasmanon aur zamin ko haq kay sath peda kiya hai woh iss say bari hai jo mushrik kertay hain

Verse 4 — Surah An-Nahl 16:4

Uss ney insan ko nutfay say peda kiya phir woh sareeh jhagraloo bann betha

Verse 5 — Surah An-Nahl 16:5

Ussi ney chopaye peda kiye jin mein tumharay liye garmi kay libas hain aur bhi boht say nafay hain aur baaz tumharay khaney kay kaam aatay hain

Verse 6 — Surah An-Nahl 16:6

Aur inn mein tumhari ronaq bhi hai jab chara ker laao tab bhi aur jab charaney ley jao tab bhi

Verse 7 — Surah An-Nahl 16:7

Aur woh tumharay bojh unn shehron tak utha ley jatay hain jahan tum baghair aadhi jaan kiye phonch hi nahi saktay thay. Yaqeenan tumhara rab bara hi shafiq aur nihayat meharbaan hai

Verse 8 — Surah An-Nahl 16:8

Ghoron ko khacharon ko gadhon ko uss ney peda kiya kay tum unn ki sawari lo aur baees-e-zeenat bhi hain. Aur bhi woh aisi boht cheezen peda kerta hai jin ka tumhen ilm bhi nahi

Verse 9 — Surah An-Nahl 16:9

Aur Allah per seedhi raah ka bata dena hai aur baaz tairhi raahen hain aur agar woh chahata to tum sab ko raah-e-raast per laga deta

Verse 10 — Surah An-Nahl 16:10

Wohi tumharay faeeday kay liye aasman say pani barsata hai jissay tum peetay bhi ho aur ussi say ugay huye darakhton ko tum apney janwaron ko charatay ho

Verse 11 — Surah An-Nahl 16:11

Issi say woh tumharay liye kheti aur zaitoon aur khujoor aur angoor aur her qisam kay phal ugata hai be-shak unn logon kay liye iss mein bari nishani hai jo ghor-o-fikar kertay hain

Verse 12 — Surah An-Nahl 16:12

Ussi ney raat din aur sooraj chand ko tumharay liye tabey ker diya hai aur sitaray bhi ussi kay hukum kay matehat hain. Yaqeenan iss mein aqal mand logon kay liye kaee aik nishaniyan mojood hain

Verse 13 — Surah An-Nahl 16:13

Aur bhi boht si cheezen tarah tarah kay rang roop ki uss ney tumharay liye zamin per phela rakhi hain. Be-shak naseehat qabool kerney walon kay liye iss mein bari bhari nishani hai

Verse 14 — Surah An-Nahl 16:14

Aur darya bhi ussi ney tumharay bus mein ker diye hain kay tum iss mein say (nikla hua) taza gosht khao aur iss mein say apney pehanney kay zaiwraat nikal sako aur tum dekhtay ho kay kashtiyan iss mein pani cheerti hui (chalti) hain aur iss liye bhi kay tum uss ka fazal talash kero aur hosakta hai kay tum shukar guzari bhi kero

Verse 15 — Surah An-Nahl 16:15

Aur uss ney zamin mein pahar gaar diye hain takay tumhen ley ker hilay na aur nehren aur raahen bana den takay tum manzil-e-maqsood ko phoncho

Verse 16 — Surah An-Nahl 16:16

Aur bhi boht si nishaniyan muqarrar farmaeen. Aur sitaron say bhi log raah hasil kertay hain

Verse 17 — Surah An-Nahl 16:17

To kiya woh jo peda kerta hai uss jaisa hai jo peda nahi ker sakta? Kiya tum bilkul nahi sochtay

Verse 18 — Surah An-Nahl 16:18

Aur agar tum Allah ki nematon ka shumar kerna chahao to tum ussay nahi ker saktay. Be-shak Allah bara bakhshney wala meharban hai

Verse 19 — Surah An-Nahl 16:19

Aur jo kuch tum chupao aur zahir kero Allah Taalaa sab kuch janta hai

Verse 20 — Surah An-Nahl 16:20

Aur jin jin ko yeh log Allah Taalaa kay siwa pukartay hain woh kissi cheez ko peda nahi ker saktay bulkay woh khud peda kiye huye hain

Verse 21 — Surah An-Nahl 16:21

Murdey hain zinda nahi unhen to yeh bhi shaoor nahi kay kab uthayen jayen gay

Verse 22 — Surah An-Nahl 16:22

Tum sab ka mabood sirf Allah Taalaa akela hai aur aakhirat per eman na rakhney walon kay dil munkir hain aur woh khud takabbur say bharay huye hain

Verse 23 — Surah An-Nahl 16:23

Bey shak-o-shuba Allah Taalaa her uss cheez ko jissay woh log chupatay hain aur jissay zahir kertay hain bakhoobi janta hai. Woh ghuroor kerney walon ko pasand nahi farmata

Verse 24 — Surah An-Nahl 16:24

Inn say jab daryaft kiya jata hai kay tumharay perwerdigar ney kiya nazil farmaya hai? To jawab detay hain kay aglon ki kahaniyan hain

Verse 25 — Surah An-Nahl 16:25

Issi ka natija hoga kay qayamat kay din yeh log apney pooray bojh kay sath hi unn kay bojh kay bhi hissay daar hongay jinhen bey ilmi say gumraah kertay rahey. Dekho to kaisa bura bojh utha rahey hain

Verse 26 — Surah An-Nahl 16:26

Inn say pehlay kay logon ney bhi makar kiya tha (aakhir) Allah ney (unn kay mansoobon) ki emarton ko jaron say ukher diya aur unn (kay saron) per (unn ki) chaten upper say gir paren aur unn kay pass azab wahan say aagaya jahan ka unn ko weham-o-guman bhi na tha

Verse 27 — Surah An-Nahl 16:27

Phir qayamat walay din bhi Allah unn ko ruswa keray ga aur farmaye gay kay meray woh shareek kahan hain jin kay baray mein tum lartay jhagartay thay jinhen ilm diya gaya tha woh pukar uthen gay kay aaj to kafiron ko ruswaee aur buraee chimat gaee

Verse 28 — Surah An-Nahl 16:28

Woh jo apni jano per zulm kertay hain farishtay jab unn ki jaan qabz kerney lagatay hain uss waqt woh jhuk jatay hain kay hum buraee nahi kertay thay. Kiyon nahi? Allah Taalaa khoob jannay wala hai jo kuch tum kertay thay

Verse 29 — Surah An-Nahl 16:29

Pus abb to hameshgi kay tor per tum jahannum kay darwazon mein dakhil hojao pus kiya hi bura thikana hai ghuroor kerney walon ka

Verse 30 — Surah An-Nahl 16:30

Aur perhezgaron say poocha jata hai kay tumharya perwerdigar ney kiya nazil farmaya hai? Wo woh jawab detay hain kay achay say acha. Jin logon ney bhalee ki unn kay liye iss duniya mein bhalee hai aur yaqeenan aakhirat ka ghar to boht hi behtar hai aur kiya hi khoob perhezgaron ka ghar hai

Verse 31 — Surah An-Nahl 16:31

Hameshgi walay baghaat jahan woh jayen gay jin kay neechay nehren beh rahi hain jo kuch yeh talab keren gay wahan unn kay liye mojood hoga. Perhezgaron ko Allah Taalaa issi tarah badlay ata farmata hai

Verse 32 — Surah An-Nahl 16:32

Aur jin ki janen farishtay iss haal mein qabz kertay hain kay woh pak saaf hon kehtay hain kay tumharay liye salamti hi salamti hai jao jannat mein apney unn aemaal kay badlay jo tum kertay thay

Verse 33 — Surah An-Nahl 16:33

Kiya yeh issi baat ka intizar ke rahey hain kay inn kay pass farishtay aajayen ya teray rab ka hukum aajaye? Aisa hi unn logon ney bhi kiya tha jo inn say pehlay thay. Unn per Allah Taalaa ney koi zulm nahi kiya bulkay woh khud apni janon per zulm kertay rahey

Verse 34 — Surah An-Nahl 16:34

Pus unn kay buray aemaal kay natijay unhen mill gaye aur jiss ki hansi uratay thay uss ney unn ko gher liya

Verse 35 — Surah An-Nahl 16:35

Mushrik logon ney kaha kay agar Allah Taalaa chahata to hum aur humaray baap daday uss kay siwa kissi aur ki ibadat hi na kertay na uss kay farman kay baghair kissi cheez ko haram kertay. Yehi fail inn say pehlay kay logon ka raha. To rasoolon per to sirf khullam khulla paygham phoncha dena hai

Verse 36 — Surah An-Nahl 16:36

Hum ney her ummat mein rasool bheja kay (logo!) sirf Allah ki ibadat kero aur uss kay siwa tamam maboodon say bacho. Pus baaz logon ko to Allah Taalaa ney hidayat di aur baaz per gumrahi sabit hogaee pus tum khud zamin mein chal phir ker dekh lo kay jhutlaney walon ka anjam kaisa kuch hua

Verse 37 — Surah An-Nahl 16:37

Go aap inn ki hidayat kay khuwaish mand rahey hain lekin Allah Taalaa ussa hidayat nahi deta jissay gumrah kerdey aur na unn ka koi madadgar hota hai

Verse 38 — Surah An-Nahl 16:38

Woh log bari sakht sakht qasmen kha kha ker kehtay hain kay murdon ko Allah Taalaa zinda nahi keray ga. Kiyon nahi zaroor zinda keray ga yeh to uss ka bar haq lazmi wada hai leki aksar log jantay nahi

Verse 39 — Surah An-Nahl 16:39

Iss liye bhi kay yeh log jiss cheez mein ikhtilaf kertay thay ussay Allah Taalaa saaf biyan kerdey aur iss liye bhi kay khud kafir apna jhoota hona jaan len

Verse 40 — Surah An-Nahl 16:40

Hum jab kissi cheez ka irada kertay hain to sirf humara yeh keh dena hota hai kay ho jaa pus woh hojati hai

Verse 41 — Surah An-Nahl 16:41

Jin logon ney zulm bardasht kerney kay baad Allah ki raah mein tark-e-watan kiya hai hum unhen behtar say behtar thikana duniya mein ata farmyen gay aur aakhirat ka sawab to boht hi bara hai kaash kay log iss say waqif hotay

Verse 42 — Surah An-Nahl 16:42

Woh jinhon ney daman-e-sabar na chora aur apney palney walay hi per bharosa kertay rahey

Verse 43 — Surah An-Nahl 16:43

Aap say pehlay bhi hum mardon ko hi bhejtay rahey jin ki janib wahee utara kertay thay pus agar tum nahi jantay to ehl-e-ilm say daryaft kerlo

Verse 44 — Surah An-Nahl 16:44

Daleelon aur kitabon kay sath yeh zikar (kitab) hum ney aap ki taraf utara hai kay logon ki janib jo nazil farmaya gaya hai aap ussay khol khol ker biyan ker den shayad kay woh ghoro-o-fikar keren

Verse 45 — Surah An-Nahl 16:45

Bad tareen dao paich kerney walay kiya iss baat say bey khof hogaye hain kay Allah Taalaa unhen zamin mein dhansa dey ya unn kay pass aisi jagah say azab aajaye jahan ka unhen weham-o-guman bhi na ho

Verse 46 — Surah An-Nahl 16:46

Ya unhen chaltay phirtay pakar ley. Yeh kissi soorat mein Allah Taalaa ko aajiz nahi ker saktay

Verse 47 — Surah An-Nahl 16:47

Ya unhen dara dhamka ker pakar ley pus yaqeenan tumhara perwerdigar aala shafqat aur intehaee reham wala hai

Verse 48 — Surah An-Nahl 16:48

Kiya enhon ney Allah ki makhlooq mein kissi ko bhi nahi dekha? Kay uss kay saye dayen bayen jhuk jhuk ker Allah Taalaa kay samney sir ba sujood hotay aur aajzi ka izhar kertay hain

Verse 49 — Surah An-Nahl 16:49

Yaqeenan aasman-o-zamin kay kul jandar aur tamam farishtay Allah Taalaa kay samney sajday kertay hain aur zara bhi takabbur nahi kertay

Verse 50 — Surah An-Nahl 16:50

Aur apney rab sau jo unn kay upper hai kapkapatay rehtay hain aur jo hukum mill jaye uss ki tameel kertay hain

Verse 51 — Surah An-Nahl 16:51

Allah Taalaa irshad farma chuka hai kay do mabood na banao. Mabood to sirf wohi akela hai pus tum sab mera hi darr khof rakho

Verse 52 — Surah An-Nahl 16:52

Aasmanon mein aur zamin mein jo kuch hai sab ussi ka hai aur ussi ki ibadat lazim hai kiya phir tum uss kay siwa auron say dartay ho

Verse 53 — Surah An-Nahl 16:53

Tumharay pass jitni bhi nematen hain sab ussi ki di hui hain abb bhi jab tumhen koi museebat paish aajaye to ussi ki taraf nala-o-faryad kertay ho

Verse 54 — Surah An-Nahl 16:54

Aur jahan uss ney woh museebat tum say dafa ker di tum mein say kuch log apney rab kay sath shirk kerney lag jatay hain

Verse 55 — Surah An-Nahl 16:55

Kay humari di hui nematon ki na shukri keren. Acha kuch faeeda utha lo aakhir kaar tumhen maloom ho hi jaye ga

Verse 56 — Surah An-Nahl 16:56

Aur jisay jantay boojhtay bhi nahi uss ka hissa humari di hui rozi mein say muqarrar kertay hain wallah tumharay iss bohtan ka sawal tum say zaroor hi kiya jayega

Verse 57 — Surah An-Nahl 16:57

Aur woh Allah subhana hu wa-Taalaa kay liye larkiyan muqarrar kertay hain aur apney liye woh jo apni khuwaish kay mutabiq ho

Verse 58 — Surah An-Nahl 16:58

Inn mein say jab kissi ko larki honey ki khabar di jaye to uss ka chehra seeha hojata hai aur dil hi dil mein ghutney lagta hai

Verse 59 — Surah An-Nahl 16:59

Iss buri khabar say logon say chupa chupa phirta hai. Sochta hai kay kiya iss zillat ko sath liye huye hi rahey ya issay mitti mein daba dey aah! Kiya hi buray faislay kertay hain

Verse 60 — Surah An-Nahl 16:60

Aakhirat per eman na rakhney walon ki hi buri misal hai Allah kay liye to boht hi buland sift hai woh bara hi ghalib aur ba hikmat hai

Verse 61 — Surah An-Nahl 16:61

Agar logon kay gunah per Allah Taalaa unn ki girift kerta to roy-e-zamin per aik jandar baqi na rehta lekin woh to enhen aik waqt muqarrara tal dheel deta hai jab inn ka woh waqt aajata hai to woh aik sa’at na peechay reh saktay hain aur na aagay barh saktay hain

Verse 62 — Surah An-Nahl 16:62

Aur woh apney liye jo jo na pasand rakhtay hain Allah kay liye sabit kertay hain aur inn ki zabanen jhooti baten biyan kerti hain kay inn kay liye khoobi hai. Nahi nahi dar-asal inn kay liye aag hai aur yeh dozakhiyon kay paish ro hain

Verse 63 — Surah An-Nahl 16:63

Wallah! hum ney tumjh say pehlay ki ummaton ki taraf bhi apney rasool bhejay lekin shetan ney unn kay aemaal-e-bad unn ki nighaon mein aaraasta ker diye woh shetan aaj bhi unn ka rafiq bana hua hai aur unn kay liye dard naak azab hai

Verse 64 — Surah An-Nahl 16:64

Iss kitab ko hum ney aap per iss liye utara hai kay aap inn kay liye her uss cheez ko wazeh kerden jiss mein woh ikhtilaf ker rahey hain aur yeh eman daron kay liye rehnumaee aur rehmat hai

Verse 65 — Surah An-Nahl 16:65

Aur Allah aasman say pani barsa ker iss say zamin ko uss ki maut kay bad zinda ker deta hai. Yaqeenan iss mein unn logon kay liye nishani hai jo sunen

Verse 66 — Surah An-Nahl 16:66

Tumharay liye to chopayon mein bhi bari ibrat hai kay hum tumhen uss kay pait mein jo kuch hai ussi mein say gobar aur lahoo kay darmiyan say khalis doodh pilatay hain jo peenay walon kay liye sehta pachta hai

Verse 67 — Surah An-Nahl 16:67

Aur khujoor aur angoor kay darakhton kay phalon say tum sharab bana letay ho aur umdah rozi bhi. Jo log aqal rakhtay hain unn kay liye to iss mein boht bari nishani hai

Verse 68 — Surah An-Nahl 16:68

Aap kay rab ney shehad ki makhi kay dil mein yeh baat daal di kay paharon mein darakhton logon ki banaee hui unchi unchi tatiyon mein apney ghar (chattay) bana

Verse 69 — Surah An-Nahl 16:69

Aur her tarah kay meway kha aur apney rab ki aasan raahon mein chalti phirti reh inn kay pait say rang barang ka mashroob nikalta hai jiss kay rang mukhtalif hain aur jiss mein logon kay liye shifa hai ghor-o-fiker kerney walon kay liye iss mein boht bari nishani hai

Verse 70 — Surah An-Nahl 16:70

Allah Taalaa ney hi tum sab ko peda kiya hai wohi phir tumhen fot keray ga tum mein aisay bhi hain jo bad tareen umar ki taraf lotaye jatay hain kay boht kuhc jannay boojhney kay baad bhi na janen. Be-shak Allah dana aur tawana hai

Verse 71 — Surah An-Nahl 16:71

Allah Taalaa hi ney tum mein say aik ko doosray per rozi mein ziyadti dey rakhi hai pus jinhen ziyadti di gaee hai woh apni rozi apney matehat ghulamon ko nahi detay kay woh aur yeh iss mein barabar hojayen to kiya yeh log Allah ki nematon kay munkir ho rahey hain

Verse 72 — Surah An-Nahl 16:72

Allah Taalaa ney tumharay liye tum mein say hi tumhari biwiyan peda kin aur tumhari biwiyon say tumharay liye tumharay betay aur potay peda kiye aur tumhen achi achi cheezen khaney ko den. Kiya phir bhi log baatil per eman layen ga? Aur Allah Taalaa ki nematon ki na shukri keren gay

Verse 73 — Surah An-Nahl 16:73

Aur woh Allah Taalaa kay siwa unn ki ibadat kertay hain jo aasmanon aur zamin say unhen kuch bhi to rozi nahi dey saktay aur na kuch qudrat rakhtay hain

Verse 74 — Surah An-Nahl 16:74

Pus Allah Taalaa kay liye misalen mat banao Allah Taalaa khoob janta hai aur tum nahi jantay

Verse 75 — Surah An-Nahl 16:75

Allah Taalaa aik misal biyan farmata hai kay aik ghulam hai doosray ki milkiyat ka jo kissi baat ka ikhtiyar nahi rakhta aur aik aur shaks hai jissay hum ney apney pass say maqool rozi dey rakhi hai. Kiya yeh sab barabar ho saktay hain? Allah Taalaa hi kay liye sab tareef hai bulkay inn mein say aksar nahi jantay

Verse 76 — Surah An-Nahl 16:76

Allah Taalaa aik aur misal biyan farmata hai do shakson ki jin mein say aik to goonga hai aur kissi cheez per ikhtiyar nahi rakhta bulkay woh apney malik per bojh hai kahin bhi ussay bhejay woh koi bhalaee nahi lata kiya yeh aur woh jo adal ka hukum deta hai aur hai bhi seedhi raah per barabar ho saktay hain

Verse 77 — Surah An-Nahl 16:77

Aasmanon aur zamin ka ghaib sirf Allah Taalaa hi ko maloom hai aur qayamat ka amar to aisa hi hai jaisay aankh ka jhapakna bulkay iss say bhi ziyada qarib. Be-shak Allah Taalaa her cheez per qadir hai

Verse 78 — Surah An-Nahl 16:78

Allah Taalaa ney tumhen tumhari maaon kay peton say nikala hai kay uss waqt tum kuch bhi nahi jantay thay ussi ney tumharay kaan aur aankhen aur dil banaye kay tum shukar guzari kero

Verse 79 — Surah An-Nahl 16:79

Kiya inn logon ney parindon ko nahi dekha jo tabey farman ho ker fiza mein hain jinhen ba-juz Allah Taalaa kay koi aur thamay huye nahi be-shak iss mein eman laney walay logon kay liye bari nishaniyan hain

Verse 80 — Surah An-Nahl 16:80

Aur Allah Taalaa ney tumharay liye tumharay gharon mein sakoonat ki jagah bana di hai aur ussi ney tumharay liye chopayon ki khalon kay ghar bana diye hain jinhen tum halka phulka patay ho apney kooch kay din aur apney theharney kay din bhi aur unn ki oon aur roo’on aur baalon say bhi uss ney boht say saman aur aik waqt muqarrara tak kay liye faeeday ki cheezen banaeen

Verse 81 — Surah An-Nahl 16:81

Allah hi ney tumharay liye apni peda kerda cheezon mein say saye banaye hain aur ussi ney tumharay liye paharon mein ghaar banaye hain aur ussi ney tumharay liye kurtay banaye hain jo tumhen garmi say bachayen aur aisay kuraty bhi jo tumhen laraee kay waqt kaam aayen. Woh issi tarah apni poori poori nematen dey raha hai kay tum hukum bardaar bann jao

Verse 82 — Surah An-Nahl 16:82

Phir bhi agar yeh mun moray rahen to aap per sirf khol ker tableegh ker dena hi hai

Verse 83 — Surah An-Nahl 16:83

Yeh Allah ki nematen jantay pehchantay huye bhi unn kay munkie horahey hain bulkay inn mein say aksar na shukray hain

Verse 84 — Surah An-Nahl 16:84

Aur jiss din hum her ummat mein say gawah khara keren gay phir kafiron ko na ijazat di jaye gi aur na unn say toba kerney ko kaha jayega

Verse 85 — Surah An-Nahl 16:85

Aur jab yeh zalim azab dekh len gay phir na to unn say halka kiya jayega aur na woh dheel diye jayen gay

Verse 86 — Surah An-Nahl 16:86

Aur jab mushrikeen apney sharikon ko dekh len gay to kahen gay aey humaray perwerdigar! Yehi humaray woh shareek hain jinhen hum tujhay chor ker pukara kertay thay pus woh unhen jawab den gay kay tum bilkul hi jhootay ho

Verse 87 — Surah An-Nahl 16:87

Uss din woh sab (aajiz ho ker) Allah kay samney ita’at ka iqrar paish keren gay aur jo bohtan bazi kiya kertay thay woh sab unn say gumm hojayega

Verse 88 — Surah An-Nahl 16:88

Jinhon ney kufur kiya aur Allah ki raah say roka hum unhen azab per azab barhatay jayen gay yeh badla hoga unn ki fitna pardaziyon ka

Verse 89 — Surah An-Nahl 16:89

Aur jiss din hum her ummat mein unhi mein say unn kay muqablay mein gawah khara keren gay aur tujhay inn sab per gawah bana ker layen gay aur hum ney tujh per yeh kitab nazil farmaee hai jiss mein her cheez ka shafi biyan hai aur hidayat aur rehmat aur khuskhabri say musalmanon kay liye

Verse 90 — Surah An-Nahl 16:90

Allah Taalaa adal ka bhalaee ka aur qarabat daron kay sath salook kerney ka hukum deta hai aur bey hayaee kay kaamon na-shaista herkaton aur zulm-o-ziyadti say rokta hai woh khud tumhen naseehaten ker raha hai kay tum naseehat hasil kero

Verse 91 — Surah An-Nahl 16:91

Aur Allah kay ehad ko poora kero jabkay tum aapas mein qol-o-qarar aur qasmon ko unn ki pukhtagi kay baad mat toro halankay tum Allah Taalaa ko apna zaamin thehra chukay ho tum jo kuch kertay ho Allah uss ko bakhoobi jaan raha hai

Verse 92 — Surah An-Nahl 16:92

Aur uss aurat ki tarah na hojao jiss ney apna soot mazboot kaatney kay baad tukray tukray ker kay tor dala kay tum apni qasmon ko aapas kay makar ka baees thehrao iss liye kay aik giroh doosray giroh say barha charha jaye. Baat sirf yehi hai kay iss ehad say Allah tumhen aazma raha hai. Yaqeenan Allah Taalaa tumharay liye qayamt kay din her uss cheez ko khol ker biyan ker dey ga jiss mein tum ikhtilaf ker rahey thay

Verse 93 — Surah An-Nahl 16:93

Agar Allah chahata to tum sab ko aik hi giroh bana deta lekin woh jisay chahaye gumrah kerta hai aur jisay chahaye hidayat deta hai yaqeenan tum jo kuch ker rahey ho uss kay baray mein baaz purs ki janey wali hai

Verse 94 — Surah An-Nahl 16:94

Aur tum apni qasmon ko aapas ki dagha baazi ka bahana na banao. Phir to tumharay qadam apni mazbooti kay baad dagmaga jayen gay aur tumhen sakht saza bardasht kerna paray gi kiyon kay tum ney Allah ki raah say rok diya aur tumhen bara sakht azab hoga

Verse 95 — Surah An-Nahl 16:95

Tum Allah kay ehad ko thoray mol kay badley na bech diya kero. Yaad rakho Allah kay pass ki cheez hi tumharay liye behtar hai ba-shart-e-kay tum mein ilm ho

Verse 96 — Surah An-Nahl 16:96

Tumharay pass jo kuch hai sab faani hai aur Allah Taalaa kay pass jo kuch hai baqi hai. Aur sabar kerney walon ko hum bhalay aemaal ka behtareen badla zaroor ata faramayen gay

Verse 97 — Surah An-Nahl 16:97

Jo shaks nek amal keray mard ho ya aurat lekin ba-eman ho to hum ussay yaqeenan nihayat behtar zindagi ata farmyen gay. Aur unn kay nek aemaal ka behtareen badla bhi unhen zaroor zaroor den gay

Verse 98 — Surah An-Nahl 16:98

Quran parhney kay waqt randay huye shetan say Allah ki panah talab kero

Verse 99 — Surah An-Nahl 16:99

Eman walon aur apney perwerdigar per bharosa rakhney walon per uss ka zor mutlaqan nahi chalta

Verse 100 — Surah An-Nahl 16:100

Haan iss ka ghalba unn per to yaqeenan hai jo issi say rafaqat keren aur issay Allah ka shareek thehrayen

Verse 101 — Surah An-Nahl 16:101

Aur jab hum kissi aayat ki jagah doosri aayat badal detay hain aur jo kuch Allah Taalaa nazil farmata hai ussay woh khoob janta hai to yeh kehtay hain kay tu to bohtan baaz hai. Baat yeh hai kay inn mein say aksar jantay hi nahi

Verse 102 — Surah An-Nahl 16:102

Keh dijiye kay issay aap kay rab ki taraf say jibraeel haq kay sath ley ker aaye hain takay eman walon ko Allah Taalaa istaqamat ata farmaye aur musalmanon ki rehnumaee aur bisharat ho jaye

Verse 103 — Surah An-Nahl 16:103

Humen bakhoobi ilm hai kay yeh kafir kehtay hain kay issay to aik aadmi sikhata hai uss ki zaban jiss ki taraf yeh nisbat ker rahey hain ajami hai aur yeh quran to saaf arabi mein hai

Verse 104 — Surah An-Nahl 16:104

Jo log Allah Taalaa ki aayaton per eman nahi rakhtay unhen Allah ki taraf say bhi rehnumaee nahi hoti aur unn kay liye alam naak azab hain

Verse 105 — Surah An-Nahl 16:105

Jhoot iftra to wohi bandhtay hain jinhen Allah Taalaa ki aayaton per eman nahi hota. Yehi log jhootay hain

Verse 106 — Surah An-Nahl 16:106

Jo shaks apney eman kay baad Allah say kufur keray ba-juz uss kay jiss per jabar kiya jaye aur uss ka dil eman per bar qarar ho magar jo log khullay dil say kufur keren to unn per Allah ka ghazab hai aur unhi kay liye boht bara azab hai

Verse 107 — Surah An-Nahl 16:107

Yeh iss liye kay enhon ney duniya ki zindagi ko aakhirat per ziyada mehboob rakgha. Yaqeenan Allah Taalaa kafir logon ko raah-e-raast nahi dikhata

Verse 108 — Surah An-Nahl 16:108

Yeh woh log hain jin kay dilon per aur jin kay kanon per aur jin ki aankhon per Allah ney mohar laga di hai aur yehi log ghafil hain

Verse 109 — Surah An-Nahl 16:109

Kuch shak nahi kay yehi log aakhirat mein sakht nuksan uthaney walay hain

Verse 110 — Surah An-Nahl 16:110

Jin logon ney fitnon mein dalay janey kay baad hijrat ki phir jihad kiya aur sabar ka saboot diya be-shak tera perwerdigar inn baton kay baad unhen bakhshney wala aur meharbaniyan kerney wala hai

Verse 111 — Surah An-Nahl 16:111

Jis din her shaks apni zaat kay liye larta jhagarta aaye aur her shaks ko uss kay kiye huye aemaal ka poora badla diya jaye ga aur logon per (mutlaqan) zulm na kiya jaye ga

Verse 112 — Surah An-Nahl 16:112

Allah Taalaa uss basti ki misal biyan farmata hai jo pooray aman-o-itminan say thi uss ki rozi uss kay pass ba faraghat her jagah say chali aarahi thi. Phir uss ney Allah Taalaa ki nematon ka kufur kiya to Allah Taalaa ney ussay bhook aur darr ka maza chakhaya jo badla tha unn kay kartooton ka

Verse 113 — Surah An-Nahl 16:113

Unn kay pass unhin mein say rasool phoncha phir bhi unhon ney ussay jhutlaya pus unhen azab ney aa dabocha aur woh thay hi zalim

Verse 114 — Surah An-Nahl 16:114

Jo kuch halal aur pakeeza rozi Allah ney tumhen dey rakhi hai ussay khao aur Allah ki nemat ka shukar kero agar tum ussi ki ibadat kertay ho

Verse 115 — Surah An-Nahl 16:115

Tum per sirf murdaar aur khoon aur sooar ka gosht aur jiss cheez per Allah kay siwa doosray ka naam pukara jaye haram hain phir agar koi shaks bey bus ker diya jaye na woh khuwaish mand ho aur na hadd say guzrney wala ho to yaqeenan Allah bakhshney wala reham kerney wala hai

Verse 116 — Surah An-Nahl 16:116

Kissi cheez ko apni zaban say jhoot moot na keh diya kero kay yeh halal hai aue yeh haram hai kay Allah per jhoot bohtan bandh lo samjh lo kay Allah Taalaa per bohtan baazi kerney walay kaamyabi say mehroom hi rehtay hain

Verse 117 — Surah An-Nahl 16:117

Enhen boht mamooli faeeda milta hai aur inn kay liye dard naak azab hai

Verse 118 — Surah An-Nahl 16:118

Aur yahudiyon per hum ney jo kuch haram kiya tha ussay hum pehlay hi say aap ko suna chukay hain hum ney unn per zulm nahi kiya bulkay woh khud apni janon per zulm kertay rahey

Verse 119 — Surah An-Nahl 16:119

Jo koi jahalat say buray amal keray phir toba kerley aur islaah bhi kerley to phir aap ka rab bila shak-o-shuba bari bakhsish kerney wala aur nihayat hi meharban hai

Verse 120 — Surah An-Nahl 16:120

Be-shak ibrahim paishwa aur Allah Taalaa kay farmanbardaar aur yak tarfa muslim thay. Woh mushriko mein say na thay

Verse 121 — Surah An-Nahl 16:121

Allah Taalaa ki nematon kay shukar guzaar thay Allah ney unhen apna bar gazeedah ker liya tha aur uhen raah-e-raast sujha di thi

Verse 122 — Surah An-Nahl 16:122

Hum ney ussay duniya mein bhi behtri di thi aur be-shak woh aakhirat mein neko kaaron mein say hain

Verse 123 — Surah An-Nahl 16:123

Phir hum ney aap ki janib wahee bheji kay aap millat-e-ibrahim-e-hanif ki perwi keren jo mushrikon mein say na thay

Verse 124 — Surah An-Nahl 16:124

Haftay kay din ki azmat to sirf unn logon kay zimmay hi zaroori ki gaee thi jinhon ney uss mein ikhtilaf kiya tha baat yeh hai kay aap ka perwerdigar khud hi unn mein unn kay ikhtilaf ka faisla qayamat kay din keray ga

Verse 125 — Surah An-Nahl 16:125

Apney rab ki raah ki taraf logon ko hikmat aur behtareen naseehat kay sath bulaiye aur unn say behtareen teriqay say guftugoo kijiye yaqeenan aap ka rab apni raah say behakney walon ko bhi bakhoobi janta hai aur woh raah yafta logon say bhi poora waqif hai

Verse 126 — Surah An-Nahl 16:126

Aur agar badla lo bhi to bilkul utna hi jitna sadma tumhen phonchaya gaya ho aur agar sabar kerlo to be-shak sabiron kay liye yehi behtar hai

Verse 127 — Surah An-Nahl 16:127

Aap sabar keren baghair tofiq-e-elahi kay aap sabar ker hi nahi saktay aur inn kay haal per ranjeeda na hon aur jo makar-o-faraib yeh kertay rahey hain unn say tang dil na hon

Verse 128 — Surah An-Nahl 16:128

Yaqeen mano kay Allah Taalaa perhezgaron aur nek kaaron kay sath hai