Back to Languages

Urdu - Chapter 19 - Maryam

Translation by Muhammad Junagarhi — Permalink

Verse 1 — Surah Maryam 19:1

Kaaf haa yaa ain suaad

Verse 2 — Surah Maryam 19:2

Yeh hai teray perwerdigar ki uss meharbani ka zikar jo uss ney apney banday zakriya per ki thi

Verse 3 — Surah Maryam 19:3

Jabkay uss ney apney rab say chupkay chupkay dua ki thi

Verse 4 — Surah Maryam 19:4

Kay aey meray perwerdigar! Meri hadiyan kamzor hogaee hain aur sir burhapay ki waja say bharak utha hai lekin mein tujh say dua kerkay kabhi bhi mehroom nahi raha

Verse 5 — Surah Maryam 19:5

Mujhay apney marney kay baad apney qarabat daron ka darr hai meri biwi bhi baanjh hai pus tu mujhay apney pass say waris ata farma

Verse 6 — Surah Maryam 19:6

Jo mera bhi waris ho aur yaqoob (alh-e-salam) kay khandan ka bhi ja-nasheen aur meray rab! Tu ussay maqbool banda bana ley

Verse 7 — Surah Maryam 19:7

Aey zakriya! Hum tujhay aik bachay ki khushkhabri detay hain jiss kay naam yahya hai hum ney iss say pehlay iss ka hum naam bhi kissi ko nahi kiya

Verse 8 — Surah Maryam 19:8

Zakriya (alh-e-salam) kehney lagay aey meray rab! Meray haan larka kaisay hoga jabkay meri biwi baanjh aur mein khud burhapay kay intehaee zoaf ko phonch chuka hun

Verse 9 — Surah Maryam 19:9

Irshad hua kay wada issi tarah ho chuka teray rab ney farma diya hai kay mujh per to yeh bilkul aasan hai aur tu khud jabkay kuch na tha mein tujhay peda ker chuka hun

Verse 10 — Surah Maryam 19:10

Kehney lagay meray perwerdigar meray liye koi alamat muqarrar farma dey irshad hua kay teray liye alamat yeh hai kay bawajood bhala changa honey kay tu teen raaton tak kissi shaks say bol na sakay ga

Verse 11 — Surah Maryam 19:11

Abb zakriya (alh-e-salam) apney hujray say nikal ker apni qom kay pass aaker unhen ishara kertay hain kay tum subha-o-shaam Allah Taalaa ki tasbeeh biyan kero

Verse 12 — Surah Maryam 19:12

“Aey yahya! Meri kitab ko mazbooti say thaam ley” aur hum ney ussay larakpan hi say danaee ata farma di

Verse 13 — Surah Maryam 19:13

Aur apney pass say shafqat aur pakeezgi bhi woh perhezgar shaks tha

Verse 14 — Surah Maryam 19:14

Aur apney maa baap say nek salook kerney wala tha woh sirkash aur gunehgar na tha

Verse 15 — Surah Maryam 19:15

Uss per salam hai jiss din woh peda hua aur jiss din woh maray aur jiss din woh zinda kerkay uthaya jaye

Verse 16 — Surah Maryam 19:16

Iss kitab mein marium ka bhi waqiya biyan ker. Jabkay woh apney ghar kay logon say alehda hoker mashriqi janib aaeen

Verse 17 — Surah Maryam 19:17

Aur unn logon ki taraf say parda ker liya phir hum ney uss kay pass apni rooh (jibraeel alh-e-salam) ko bheja pus woh uss kay samney poora aadmi bann ker zahir hua

Verse 18 — Surah Maryam 19:18

Yeh kehney lagin mein tujh say rehman ki panah maangti hun agar tu kuch bhi Allah say darney wala hai

Verse 19 — Surah Maryam 19:19

Uss ney jawab diya kay mein to Allah ka bheja hua qasid hun tujhay aik pakeeza larka denay aaya hun

Verse 20 — Surah Maryam 19:20

Kehney lagin bhala meray haan bacha kaisay ho sakta hai? Mujhay to kissi insan ka hath tak nahi laga aur na mein badkaar hun

Verse 21 — Surah Maryam 19:21

Uss ney kaha baat to yehi hai lekin teray perwerdigar ka irshad hai kay woh mujh per boht hi aasan hai hum to ussay logon kay liye aik nishani bana den gay aur apni khaas rehmat yeh to aik tey shuda baat hai

Verse 22 — Surah Maryam 19:22

Pus woh hamal say hogaeen aur issi waja say woh yaksoo hoker aik door ki jaga chali gaeen

Verse 23 — Surah Maryam 19:23

Phir dard-e-zeh ussay aik khajoor kay tanay kay neechay ley aaya boli kaash! Mein iss say pehlay hi marr gaee hoti aur logon ki yaad say bhi bhooli bisri hojati

Verse 24 — Surah Maryam 19:24

Itney mein ussay neechay say hi awaz di kay aazardah khatir na ho teray rab ney teray paon talay aik chashma jari ker diya hai

Verse 25 — Surah Maryam 19:25

Aur iss khajoor kay tanay ko apni taraf hila yeh teray samney tar-o-taza pakki khajooren gira dey ga

Verse 26 — Surah Maryam 19:26

Abb chain say kha pi aur aankhen thandi rakh agar tujhay koi insan nazar parr jaye to keh dena kay mein ney Allah rehman kay naam ka roza maan rakha hai. Mein aaj kissi shaks say baat na keroon gi

Verse 27 — Surah Maryam 19:27

Abb hazrat essa (alh-e-salam) ko liye huye woh apni qom kay pass aaeen. Sab kehney lagay marium tu ney bari buri harkat ki

Verse 28 — Surah Maryam 19:28

Aey haroon ki behan! Na to tera baap bura aadmi tha aur na teri maa badkaar thi

Verse 29 — Surah Maryam 19:29

Marium ney apney bachay ki taraf ishara kiya. Sab kehnay lagay kay lo bhala hum goad kay bachay say baat kaisay keren

Verse 30 — Surah Maryam 19:30

Bcha bol utha kay mein Allah Taalaa ka banda hun. Uss ney mujhay kitab ata farmaee aur mujhay apna payghumber banaya hai

Verse 31 — Surah Maryam 19:31

Aur uss ney mujhay ba-barkat kiya hai jahan bhi mein hun uss ney mujhay namaz aur zakat ka hukum diya hai jab tak bhi mein zinda rahoon

Verse 32 — Surah Maryam 19:32

Aur uss ney mujhay apni walida ka khidmat guzaar banaya hai aur mujhay sirkash aur bad-bakht nahi kiya

Verse 33 — Surah Maryam 19:33

Aur mujh per meri pedaeesh kay din aur meri maut kay din aur jiss din kay mein doobara zinda khara kiya jaon ga salam hi salam hai

Verse 34 — Surah Maryam 19:34

Yeh hai sahih waiya essa bin marium (alh-e-salam) ka yehi hai woh haq baat jiss mein log shak-o-shuba mein mubtila hain

Verse 35 — Surah Maryam 19:35

Allah Taalaa kay liye aulad ka hona laeeq nahi woh to bilkul pak zaat hai woh to jab kissi kaam kay sir anjam denay ka irada kerta hai to ussay keh deta hai kay hoja woh ussi waqt ho jata hai

Verse 36 — Surah Maryam 19:36

Mera aur tum sab ka perwerdigar Allah Taalaa hi hai. Tum sab ussi ki ibadat kero yehi seedhi raah hai

Verse 37 — Surah Maryam 19:37

Phir yeh firqay aapas mein ikhtilaf kerney lagay pus kafiron kay liye “wail” hai aik baray (sakht) din ki hazri hai

Verse 38 — Surah Maryam 19:38

Kiya khoob dekhney sunnay walay hongay uss din jabkay humaray samney hazir hongay lekin aaj to yeh zalim log sareeh gumrahi mein paray huye hain

Verse 39 — Surah Maryam 19:39

To unhen uss ranj-o-afsos kay din ka darr suna dey jabkay kaam anjam ko phoncha diya jayega aur yeh log ghaflat aur bey emani mein hi reh jayengay

Verse 40 — Surah Maryam 19:40

Khud zamin kay aur tamam zamin walon kay waris hum hi hongay aur sab log humari hi taraf lota ker layen jayen gay

Verse 41 — Surah Maryam 19:41

Iss kitab mein ibrahim (alh-e-salam) ka qissa biyan ker be-shak woh baray sachaee walay payghumber thay

Verse 42 — Surah Maryam 19:42

Jabkay unhon ney apney baap say kaha kay abba jaan! Aap inn ki pooja paat kiyon ker rahey hain jo na sunen na dekhen? Na aap ko kuch bhi faeeda phoncha saken

Verse 43 — Surah Maryam 19:43

Meray meharban maa baap! Aap dekhiye meray pass woh ilm aaya hai jo aap kay pass aaya hi nahi to aap meri hi manen mein bilkul seedhi raah ki taraf aap ki rehbari keroon ga

Verse 44 — Surah Maryam 19:44

Meray abba jaan aap shetan ki parastish say baaz aajayen shetan to reham-o-karam walay Allah Taalaa ka bara hi na-farman hai

Verse 45 — Surah Maryam 19:45

Abba jaan! Mujhay khof laga hua hai kay kahin aap per koi azab-e-elahee na aa paray kay aap shetan kay sathi bann jayen

Verse 46 — Surah Maryam 19:46

Uss ney jawab diya kay aey ibrahim! Kiya tu humaray maboodon say roo gardani ker raha hai. Sunn agar tu baaz na aaya to mein tujhay pathron say maar dalon ga jaa aik muddat daraz tak mujh say alag reh

Verse 47 — Surah Maryam 19:47

Kaha acha tum per salam ho mein to apney perwerdigar say tumhari bakhsish ki dua kerta rahon ga woh mujh per hadd darja meharban hai

Verse 48 — Surah Maryam 19:48

Mein to tumhen bhi aur jin jin ko tum Allah Taalaa kay siwa pukartay ho unhen bhi sab ko chor raha hun. Sirf apney perwerdigar ko pukarta rahoon ga mujhay yaqeen hai kay mein apney perwerdigar say dua maang ker mehroom na rahoon ga

Verse 49 — Surah Maryam 19:49

Jab ibrahim (alh-e-salam) unn sab ko aur Allah kay siwa unn kay sab maboodon ko chor chukay to hum ney unhen ishaq (alh-e-salam) –o- yaqoob (alh-e-salam) ata farmaye aur dono ko nabi bana diya

Verse 50 — Surah Maryam 19:50

Aur inn sab ko hum ney apni boht si rehmaten ata farmaeen aur hum ney inn kay zikar-e-jamil ko buland darjay ka ker diya

Verse 51 — Surah Maryam 19:51

Iss quran mein musa (alh-e-salam) ka zikar bhi ker jo chuna hua rasool aur nabi tha

Verse 52 — Surah Maryam 19:52

Hum ney ussay toor kay dayen janib say nida ki aur raaz goee kertay huye ussay qareeb ker liya

Verse 53 — Surah Maryam 19:53

Aur apni khas meharbani say uss kay bhai ko nabi bana ker ata farmaya

Verse 54 — Surah Maryam 19:54

Iss kitab mein ismail (alh-e-salam) ka waqiya bhi biyan ker woh bara hi waday ka sacha tha aur tha bhi rasool aur nabi

Verse 55 — Surah Maryam 19:55

Woh apney ghar walon ko barabar namaz aur zakat ka hukum deta tha aur tha bhi apney perwerdigar ki baargaah mein pasandeedah aur maqbool

Verse 56 — Surah Maryam 19:56

Aur iss kitab mein idris (alh-e-salam) ka bhi zikar ker woh bhi nek kirdaar payghumber tha

Verse 57 — Surah Maryam 19:57

Hum ney ussay buland muqam per utha liya

Verse 58 — Surah Maryam 19:58

Yehi woh anbiya hain jin per Allah Taalaa ney fazal-o-karam kiya jo aulad-e-adam mein say hain aur unn logon ki nasal say hain jinhen hum ney nooh (alh-e-salam) kay sath kashti mein charha liya tha aur aulad ibrahim-o-yaqoob say aur humari taraf say raaha yafta aur humaray pasandeedah logon mein say. Inn kay samney jab Allah rehman ki aayaton ki tilawat ki jati thi yeh sajda kertay aur rotay girgiratay gir partay thay

Verse 59 — Surah Maryam 19:59

Phir inn kay baad aisay na khalaf peda huye kay unhon ney namaz zaya ker di aur nafsani khuwishon kay peechay parr gaye so unn ka nuksan unn kay aagay aayega

Verse 60 — Surah Maryam 19:60

Ba-juz unn kay jo toba ker len aur eman layen aur nek amal keren. Aisay log jannat mein jayen gay aur unn ki zara si bhi haq talfi na ki jayegi

Verse 61 — Surah Maryam 19:61

Humeshgi wali jannaton mein jin ka ghaeebana wada Allah meharban ney apney bandon say kiya hai. Be-shak uss ka wada poora honey wala hi hai

Verse 62 — Surah Maryam 19:62

Woh log wahan koi laghaw baat na sunen gay sirf salam hi salam sunen gay unn kay liye wahan subha shaam unn ka rizq hoga

Verse 63 — Surah Maryam 19:63

Yeh hai woh jannat jiss ka waris hum apney bandon mein say unhen banatay hain jo muttaqi hon

Verse 64 — Surah Maryam 19:64

Hum baghair teray rab kay hukum kay utar nahi saktay humaray aagay peechay aur inn kay darmiyan ki kul cheezen ussi ki milkiyat mein hain tera perwerdigar bhoolney wala nahi

Verse 65 — Surah Maryam 19:65

Aasmano ka zamin ka aur jo kuch inn kay darmiyan hai sab ka rab wohi hai tu ussi ki bandagi ker aur uss ki ibadat per jamm ja. Kiya teray ilm mein uss ka hum naam hum palla koi aur bhi hai

Verse 66 — Surah Maryam 19:66

Insan kehta hai kay jab mein marr jaonga to kiya phir zinda ker kay nikala jaonga

Verse 67 — Surah Maryam 19:67

Kiya yeh insan itna bhi yaad nahi rakhta kay hum ney ussay iss say pehlay peda kiya halankay woh kuch bhi na tha

Verse 68 — Surah Maryam 19:68

Teray perwerdigar ki qasam! Hum unhen aur shetano ko jama ker kay zaroor zaroor jahannum kay ird gird ghutno kay bal giray huye hazir ker den gay

Verse 69 — Surah Maryam 19:69

Hum phir her her giroh say unhen alag nikal khara keren gay jo Allah rehman say boht akray akray phirtay thay

Verse 70 — Surah Maryam 19:70

Phir hum unhen bhi khoob jantay hain jo jahannum kay dakhlay kay ziyada sazawaar hain

Verse 71 — Surah Maryam 19:71

Tum say her aik wahan zaroor warid honey wala hai yeh teray perwerdigar kay zimmay qataee faisal shuda amar hai

Verse 72 — Surah Maryam 19:72

Phir hum perhezgaron ko to bacha len gay aur na-farmano ko ussi mein ghutno kay bal gira hua chor den gay

Verse 73 — Surah Maryam 19:73

Jab inn kay samney humari roshan aayaten tilwat ki jati hain to kafir musalamano say kehtay hain batao hum tum dono jamaton mein say kiss ka martaba ziyada hai? Aur kiss ki majlis shandaar hai

Verse 74 — Surah Maryam 19:74

Hum to inn say pehlay boht si jamaton ko ghaarat ker chukay hain jo saaz-o-saman aur naam-o-numood mein inn say barh charh ker thin

Verse 75 — Surah Maryam 19:75

Keh dijiye! Jo gumrahi mein hota Allah rehman uss ko khoob lambi mohlat deta hai yehan tak kay woh unn cheezon kay dekh len jin ka wada kiye jatay hain yaani azab ya qayamat ko uss waqt unn ko sahih tor per maloom ho jayega kay kaun buray martabay wala aur kiss ka jutha kamzor hai

Verse 76 — Surah Maryam 19:76

Aur hidayat yafta logon ko Allah Taalaa hidayat mein barhata hai aur baqi rehney wali nekiyan teray rab kay nazdeek sawab kay lehaz say aur anjam kay lehaz say boht hi behtar hain

Verse 77 — Surah Maryam 19:77

Kiya tu ney ussay bhi dekha jiss ney humari aayaton say kufur kiya aur kaha kay mujhay to maal-o-aulad zaroor hi di jaye gi

Verse 78 — Surah Maryam 19:78

Kiya woh ghaib per mutla hai ya Allah ka koi wada ley chuka hai

Verse 79 — Surah Maryam 19:79

Hergiz nahi yeh jo bhi keh raha hai hum ussay zaroor likh len gay aur uss kay liye azab barhaye chalay jayen gay

Verse 80 — Surah Maryam 19:80

Yeh jin cheezon ko keh raha hai ussay hum iss kay baad ley len gay. Aur yeh to bilkul akela hi humaray samney hazir hoga

Verse 81 — Surah Maryam 19:81

Enhon ney Allah kay siwa doosray mabood bana rakhay hain kay woh inn kay liye baees-e-izzat hon

Verse 82 — Surah Maryam 19:82

Lekin aisa hergiz hona nahi. Woh to inn ki pooja say munkir honjayen gay aur ultay inn kay dushman bann jayen gay

Verse 83 — Surah Maryam 19:83

Kiya tu ney nahi dekha kay hum kafiron kay pass shetano ko bhejtay hain jo enhen khoob uksatay hain

Verse 84 — Surah Maryam 19:84

Tu inn kay baray mein jaldi na ker hum to khud hi inn kay liye muddat shumari ker rahey hain

Verse 85 — Surah Maryam 19:85

Jiss din hum perhezgaron ko Allah rehman ki taraf bator mehman kay jama keren gay

Verse 86 — Surah Maryam 19:86

Aur gunehgaron ko sakht piyas ki halat mein jahannum ki taraf haank ley jayen gay

Verse 87 — Surah Maryam 19:87

Kissi ko shifaat ka ikhtiyar na hoga siwaye unn kay jinhon ney Allah Taalaa ki taraf say koi qol-o-qarar ley liya hai

Verse 88 — Surah Maryam 19:88

Inn ka qol to yeh hai kay Allah rehman ney bhi aulad ikhtiyar ki hai

Verse 89 — Surah Maryam 19:89

Yaqeenan tum boht buri aur bhari cheez laye ho

Verse 90 — Surah Maryam 19:90

Qareeb hai kay iss qol ki waja say aasman phat jayen aur zamin shaq hojaye aur pahar rezay rezay hojayen

Verse 91 — Surah Maryam 19:91

Key woh rehman ki aulad sabit kerney bethay

Verse 92 — Surah Maryam 19:92

Shaan-e-rehman kay laeeq nahi kay woh aulad rakhay

Verse 93 — Surah Maryam 19:93

Aasman-o-zamin mein jo bhi hain sab kay sab Allah kay ghulam bann ker hi aaney walay hain

Verse 94 — Surah Maryam 19:94

Inn sab ko uss ney gher rakha hai aur sab ko poori tarah ginn bhi rakha hai

Verse 95 — Surah Maryam 19:95

Yeh saray kay saray qayamat kay din akelay uss kay pass hazir honey walay hain

Verse 96 — Surah Maryam 19:96

Be-shak jo eman laye hain aur jinhon ney shaeesta aemaal kiye hain unn kay liye Allah rehman mohabbat peda ker dey ga

Verse 97 — Surah Maryam 19:97

Hum ney iss quran ko teri zaban mein boht hi aasan ker diya hai kay tu iss kay zariye say perhezgaron ko khushkhabri dey aur jhagraloo logon ko dara dey

Verse 98 — Surah Maryam 19:98

Hum ney inn say pehlay boht si jamaten tabah ker di hain kiya inn mein say aik bhi aahat tu pata hai ya unn ki awaz ki bhanak bhi teray kaan mein parti hai