Verse 1 — Surah Ta-Ha 20:1
Verse 2 — Surah Ta-Ha 20:2
Hum ney yeh quran tujh per iss liye nahi utara kay tu mushaqqat mein parr jaye
Verse 3 — Surah Ta-Ha 20:3
Bulkay uss ki naseehat kay liye jo Allah say darta hai
Verse 4 — Surah Ta-Ha 20:4
Iss ka utarna uss ki taraf say hai jiss ney zamin ko aur buland aasmano ko peda kiya hai
Verse 5 — Surah Ta-Ha 20:5
Jo rehman hai arsh per qaeem hai
Verse 6 — Surah Ta-Ha 20:6
Jiss ki milkiyar aasmano aur zamin aur inn dono kay darmiyan aur (kurra-e-khak) kay neechay ki her aik cheez per hai
Verse 7 — Surah Ta-Ha 20:7
Agar tu unchi baat kahey to woh to her aik posheeda bulkay posheeda say posheeda tar cheez ko bhi ba-khoobi janta hai
Verse 8 — Surah Ta-Ha 20:8
Wohi Allah hai jiss kay siwa koi mabood nahi behtareen naam ussi kay hain
Verse 9 — Surah Ta-Ha 20:9
Tujhay musa (alh-e-salam) ka qissa bhi maloom hai
Verse 10 — Surah Ta-Ha 20:10
Jabkay uss ney aag dekh ker apney ghar walon say kaha kay tum zara si dare thehar jao mujhay aag dikhaee di hai. Boht mumkin hai kay mein iss ka koi angara tumharay pass laon yaa aag kay pass say rastay ki itlaa paon
Verse 11 — Surah Ta-Ha 20:11
Jab woh wahan phonchay to awaz di gaee aey musa
Verse 12 — Surah Ta-Ha 20:12
Yaqeenan mein hi tera perwerdigar hun to tu apni jootiyan utar dey kiyon kay tu pak maidan-e-toowa mein hai
Verse 13 — Surah Ta-Ha 20:13
Aur mein ney tujhay muntakhib ker liya hai abb jo wahee ki jaye ussay kaan laga ker sunn
Verse 14 — Surah Ta-Ha 20:14
Be-shak mein hi Allah hun meray siwa ibadat kay laeeq aur koi nahi pus tu meri hi ibadat ker aur meri yaad kay liye namaz qaeem rakh
Verse 15 — Surah Ta-Ha 20:15
Qayamat yaqeenan aaney wali hai jissay mein posheeda rakhna chahata hun takay her shaks ko woh badla diya jaye jo uss ney kosish ki ho
Verse 16 — Surah Ta-Ha 20:16
Pus abb iss kay yaqeen say tujhay koi aisa shaks rok na dey jo iss per eman na rakhta ho aur apni khuawish kay peechay para ho werna tu halak ho jaye ga
Verse 17 — Surah Ta-Ha 20:17
Aey musa terau iss dayen hath mein kiya hai
Verse 18 — Surah Ta-Ha 20:18
Jawab diya kay yeh meri lathi hai jiss per mein take lagata hun aur jiss say mein apni bakriyon kay liye pattay jhaar liya kerta hun aur bhi iss mein mujhay boht faeeday hain
Verse 19 — Surah Ta-Ha 20:19
Farmaya aey musa! Issay hath say neechay daal dey
Verse 20 — Surah Ta-Ha 20:20
Daltay hi woh saanp bann ker dorney lagi
Verse 21 — Surah Ta-Ha 20:21
Farmaya bey khof ho ker issay pakar ley hum issay ussi pehli si surat mein doobara laa den gay
Verse 22 — Surah Ta-Ha 20:22
Aur apna hath apni baghal mein daal ley to woh safaid chamakta hua ho ker niklay ga lekin baghair kisi aib (aur rog) kay yeh doosra moajzza hai
Verse 23 — Surah Ta-Ha 20:23
Yeh iss liye kay hum tujhay apni bari bari nishaniyan dikhana chahatay hain
Verse 24 — Surah Ta-Ha 20:24
Abb tu firaon ki taraf jaa uss ney barri sirkashi macha rakhi hai
Verse 25 — Surah Ta-Ha 20:25
Musa (alh-e-salam) ney kaha aey meray perwerdigar! Mera seena meray liye khol dey
Verse 26 — Surah Ta-Ha 20:26
Aur meray kaam ko mujh per aasan ker dey
Verse 27 — Surah Ta-Ha 20:27
Aur meri zaban ki girah bhi khol dey
Verse 28 — Surah Ta-Ha 20:28
Takay log meri baat achi tarah samajh saken
Verse 29 — Surah Ta-Ha 20:29
Aur mera qazir meray kunbay mein say ker dey
Verse 30 — Surah Ta-Ha 20:30
Yani mera bhai haroon (alh-e-salam) ko
Verse 31 — Surah Ta-Ha 20:31
Tu iss say meri kamar kuss dey
Verse 32 — Surah Ta-Ha 20:32
Aur ussay mera shareek kaar ker dey
Verse 33 — Surah Ta-Ha 20:33
Takay hum dono ba-kasrat teri tasbeeh biyan keren
Verse 34 — Surah Ta-Ha 20:34
Aur ba-kasrat teri yaad keren
Verse 35 — Surah Ta-Ha 20:35
Be-shak tu humen khoob dekhney bhalney wala hai
Verse 36 — Surah Ta-Ha 20:36
Janab baari taalaa ney farmaya musa teray tamam sawalaat poora ker diye gaye
Verse 37 — Surah Ta-Ha 20:37
Hum ney tujh per aik baar aur bhi bara ehsan kiya hai
Verse 38 — Surah Ta-Ha 20:38
Jabkay hum ney teri maa ko woh elhaam kiya jiss ka zikar abb kiya jaa raha hai
Verse 39 — Surah Ta-Ha 20:39
Kay tu ussay sandooq mein band ker kay darya mein chor dey pus darya ussay kinaray laa dalay ga aur mera aur khud uss ka dushman ussay ley ley ga aur mein ney apni taraf ki khaas mohabbat-o-maqbooliyat tujh per daal di. Takay teri perwerish meri aankhon kay samney ki jaye
Verse 40 — Surah Ta-Ha 20:40
(yaad ker) jabkay teri behan chal rahi thi aur keh rahi thi kay agar tum kaho to mein ussay bata doon jo uss ki nigehbani keray iss tadbeer say hum ney tujhay phir teri maa kay pass phonchaya kay uss ki aankhen thandi rahen aur woh ghumgeen na ho. Aur tu ney aik shaks ko maar dala tha iss per hum ney tujhay ghum say bacha liya gharz hum ney tujhay achi tarah aazma liya. Phir tu kaee saal tak madiyan kay logon mein thehra raha phir taqdeer-e-elahee kay mutabiq aey musa! Tu aaya
Verse 41 — Surah Ta-Ha 20:41
Aur mein ney tujhay khas apni zaat kay liye pasand farma liya
Verse 42 — Surah Ta-Ha 20:42
Abb tu apney bhai samet meri nishaniyan humrah liye huye jaa aur khabdaar meray zikar mein susti na kerna
Verse 43 — Surah Ta-Ha 20:43
Tum dono firaon kay pass jao uss ney bari sirkashi ki hai
Verse 44 — Surah Ta-Ha 20:44
Ussay narmi say samjhao kay shayad woh samajh ley ya darr jaye
Verse 45 — Surah Ta-Ha 20:45
Dono ney kaha aey humaray rab! Humen khof hai kay kahin firaon hum per koi ziyadti na keray ya apni sirkashi mein barh na jaye
Verse 46 — Surah Ta-Ha 20:46
Jawab mila kay tum mutlaqan khof na kero mein tumharay sath hun aur sunta dekhta rahoon ga
Verse 47 — Surah Ta-Ha 20:47
Tum iss kay pass jaa ker kaho kay hum teray perwerdigar kay payghumber hain tu humaray sath bani israeel ko bhej dey inn ki sazayen moqoof ker. Hum to teray pass teray rab ki taraf say nishani ley ker aaye hain aur salamti ussi kay liye hai jo hidayat ka paband ho jaye
Verse 48 — Surah Ta-Ha 20:48
Humari taraf wahee ki gaee hai kay jo jhutlaye aur roo gardani keray uss kay liye azab hai
Verse 49 — Surah Ta-Ha 20:49
Firaon ney poocha kay aey musa! Tum dono ka rab kaun hai
Verse 50 — Surah Ta-Ha 20:50
Jawab diya kay humara rab woh hai jiss ney her aik ko uss ki khas surat shakal inayat farmaee phir raah sujha di
Verse 51 — Surah Ta-Ha 20:51
Uss ney kaha acha yeh to batao aglay zamaney walon ka haal kiya hona hai
Verse 52 — Surah Ta-Ha 20:52
Jawab diya kay inn ka ilm meray rab kay haan kitab mein mojood hai na to mera rab ghalati kerta hai na bhoolta hai
Verse 53 — Surah Ta-Ha 20:53
Ussi ney tumharay liye zamin ko farash banaya hai aur iss mein tumharay chalney kay raastay banaye hain aur aasman say paani bhi wohi barsata hai phir iss barasaat ki waja say mukhtalif qisam ki paidawaar bhi hum hi peda kertay hain
Verse 54 — Surah Ta-Ha 20:54
Tum khud khao aur apney chopayon ko bhi charao. Kuch shak nahi kay iss mein aqalmandon kay liye boht si nishaniyan hain
Verse 55 — Surah Ta-Ha 20:55
Issi zamin mein hum ney tumhen peda kiya aur issi mein phir wapis lotayen gay aur iss say phir doobara tum sab ko nikal khara keren gay
Verse 56 — Surah Ta-Ha 20:56
Hum ney ussay apni sab nishaniyan dikha den lekin phir bhi uss ney jhutalaya aur inkaar ker diya
Verse 57 — Surah Ta-Ha 20:57
Kehney laga aey musa! Kiya tu iss liye aaya hai kay humen apnay jadoo kay zor say humaray mulk say bahir nikal dey
Verse 58 — Surah Ta-Ha 20:58
Acha hum bhi teray muqablay mein issi jaisa jadoo zaroor layen gay pus humaray aur apnay darmiyan aik waday ka waqt muqarrar ker ley kay na hum iss ka khof keren aur na tu saaf maidan mein muqabla ho
Verse 59 — Surah Ta-Ha 20:59
Musa (alh-e-salam) ney jawab diya kay zeenat aur jashan kay din ka wada hai aur yeh kay log din charhay hi jama ho jayen
Verse 60 — Surah Ta-Ha 20:60
Pus firaon lot gaya aur uss ney apnay hath kanday jama kiye phir aagaya
Verse 61 — Surah Ta-Ha 20:61
Musa (alh-e-salam) ney unn say kaha tumhari shamat aa chuki Allah Taalaa per jhoot aur iftra na bandho kay woh tumhen azabon say maliya mait ker dey yaad rakho woh kabhi kaamyaab na hoga jiss ney jhooti baat ghari
Verse 62 — Surah Ta-Ha 20:62
Pus yeh log aapas kay mashwaron mein mukhtalif raye ho gaye aur chup ker chupkay chupkay mashwara kerney lagay
Verse 63 — Surah Ta-Ha 20:63
Kehney lagay yeh dono mehaz jadoogar hain aur inn ka pukhta irada hai kay apney jadoo kay zor say tumhen tumharay mulk say nikal bahir keren aur tumharay behtareen mazhab ko barbaad ker den
Verse 64 — Surah Ta-Ha 20:64
To tum bhi apna koi dao utha na rakho phir saff bandi ker kay aao. Jo ghalib aagaya wohi bazi ley gaya
Verse 65 — Surah Ta-Ha 20:65
Kehney lagay aey musa! Ya to tu pehlay daal ya hum pehlay dalney walay bann jayen
Verse 66 — Surah Ta-Ha 20:66
Jawab diya kay nahi tum hi pehlay dalo. Abb to musa (alh-e-salam) ko yeh khayal guzrney laga kay unn ki rasiyan aur lakriyan unn kay jadoo kay zor say dor bhag rahi hain
Verse 67 — Surah Ta-Ha 20:67
Pus musa (alh-e-salam) ney apney dil hi dil mein darr mehsoos kiya
Verse 68 — Surah Ta-Ha 20:68
Hum ney farmay kuch khof na ker yaqeena tu hi ghalib aur bartar rahey ga
Verse 69 — Surah Ta-Ha 20:69
Aur teray dayen hath mein jo hai ussay daal dey kay unn ki tamam karigari ko woh nigal jaye enhon ney jo kuch banaya hai yeh sirf jadoogaron kay kartab hain aur jadoogar kahin say bhi aaye kaamyab nahi hota
Verse 70 — Surah Ta-Ha 20:70
Abb to tamam jadoogar sajday mein girr paray aur pukar uthay kay hum to haroon (alh-e-salam) aur musa (alh-e-salam) kay rab per eman laye
Verse 71 — Surah Ta-Ha 20:71
Firaon kehnay laga kiya meri ijazat say pehlay hi tum iss per eman ley aaye? Yaqeenan yehi tumhara woh bara buzrug hai jiss ney tum sab ko jadoo sikhaya hai (sunn lo) mein tumharay hath paon ultay seedhay katwa ker tum sab ko khajoor kay tano mein sooli per latakwa doon ga aur tumhen poori tarah maloom hojaye ga kay hum mein say kiss ki maar ziyada sakht aur dairpaa hai
Verse 72 — Surah Ta-Ha 20:72
Unhon ney jawab diya kay na-mumkin hai kay hum tujhay tarjeeh den inn daleelon per jo humaray samney aa chukin aur uss Allah per jiss ney humen peda kiya hai abb to jo kuch tu kerney wala hai ker guzar tu jo kuch bhi hukum chala sakta hai wo issi duniyawi zindagi mein hi hai
Verse 73 — Surah Ta-Ha 20:73
Hum (iss umeed say) apney perwerdigar per eman laye kay woh humari khatayen moaf farma dey aur (khaas ker) kadoogari (ka gunah) jiss per tum ney humen majboor kiya hai Allah hi behtar aur hamesha baqi rehney wala hai
Verse 74 — Surah Ta-Ha 20:74
Baat yehi hai kay jo bhi gunehagaar bann ker Allah Taalaa kay haan hazir hoga uss kay liye dozakh hai jahan na maut hogi na zindagi
Verse 75 — Surah Ta-Ha 20:75
Aur jo bhi uss kay pass eman ki halat mein hazir hoga aur uss ney aemaal bhi nek kiye hongay uss kay liye buland-o-bala darjay hain
Verse 76 — Surah Ta-Ha 20:76
Hameshgi wali jannaten jin kay neechay nehren lehren ley rahi hain jahan woh hamesha (hamesha) rahen gay. Yehi inaam hai her uss shaks ka jo pak hai
Verse 77 — Surah Ta-Ha 20:77
Hum ney musa (alh-e-salam) ki taraf wahee nazil faramee kay tu raton raat meray bandon ko ley chal aur inn kay liye darya mein khushk raasta bana ley phir na tujhay kissi kay aa pakarney ka khatra hoga na darr
Verse 78 — Surah Ta-Ha 20:78
Firaon ney apney lashkaron samet inn ka taaqqub kiya phir to darya inn sab per chah gaya jaisa kuch chah janey wala tha
Verse 79 — Surah Ta-Ha 20:79
Firaon ney apni qom ko gumrahi mein daal diya aur seedha raasta na dikhaya
Verse 80 — Surah Ta-Ha 20:80
Aey bani israeel! Dekho hum ney tumhen tumharay dushman say nijat di aur tum say koh-e-toor ki dayen taraf ka wada kiya aur tum per mann-o-salwa utara
Verse 81 — Surah Ta-Ha 20:81
Tum humari di hui pakeeza rozi khao aur iss mein hadd say aagay na barho werna tum per mera ghazab nazil hoga aur jiss per mera ghazab nazil hojaye woh yaqeenan tabah hua
Verse 82 — Surah Ta-Ha 20:82
Haan be-shak mein unhen bakhsh denay wala hun jo tauba keren eman layen nek amal keren aur raah-e-raast per bhi rahen
Verse 83 — Surah Ta-Ha 20:83
Aey musa! Tujhay apni qom say (ghafil kerkay) kaun si cheez jaldi ley aaee
Verse 84 — Surah Ta-Ha 20:84
Kaha kay woh log bhi meray peechay hi peechay hain aur mein ney aey rab! Teri taraf jaldi iss liye ki kay tu khush hojaye
Verse 85 — Surah Ta-Ha 20:85
Farmaya! Hum ney teri qom ko teray peechay aazmaeesh mein daal diya aur unhen samri ney behka diya
Verse 86 — Surah Ta-Ha 20:86
Pus musa (alh-e-salam) sakht ghazab naak hoker ranj kay sath wapis lotay aur kehnay lagay kay aey meri qom walo! Kiya tum say tumharay perwerdigar ney nek wada nahi kiya tha? Kiya iss ki muddat tumhen lambi maloom hui? Bulkay tumhara irada hi yeh hai kay tum per tumharay perwerdigar ka ghazab nazil ho? Kay tum ney meray waday ka khilaf kiya
Verse 87 — Surah Ta-Ha 20:87
Unhon ney jawab diya kay hum ney apney ikhtiyar say aap kay sath waday ka khilaf nahi kiya. Bulkay hum per zewraat qom kay bojh laad diye gaye thay unhen hum ney daal diya aur issi tarah samri ney bhi daal diye
Verse 88 — Surah Ta-Ha 20:88
Phir uss ney logon kay liye aik bachra nikal khara kiya yaani bachray ka butt jiss ki gaye ki si awaz bhi thi phir kehney lagay kay yehi tumhara bhi mabood hai aur musa ka bhi lekin musa bhool gaya hai
Verse 89 — Surah Ta-Ha 20:89
Kiya yeh gumrah log yeh bhi nahi dekhtay kay woh to inn ki baat ka jawab bhi nahi dey sakta aur na inn kay kissi buray bhalay ka ikhtiyar rakhta hai
Verse 90 — Surah Ta-Ha 20:90
Aur haroon (alh-e-salam) ney iss say pehlay hi inn say keh diya tha aey meri qom walo! Iss bachray say to sirf tumhari aazmaeesh ki gaee hai tumahra haqeeqi perwerdigar to Allah rehman hi hai pus tum sab meri tabey daari kero. Aur meri baat manray chalay jao
Verse 91 — Surah Ta-Ha 20:91
Enhon ney jawab diya kay musa (alh-e-salam) ki wapsi tak to hum issi kay mujawar banay bethay rahen gay
Verse 92 — Surah Ta-Ha 20:92
Musa (alh-e-salam) kehnay lagay aey musa haroon! Enhen gumrah hotay hua dekhtay huye tujhay kiss cheez ney roka tha
Verse 93 — Surah Ta-Ha 20:93
Kay tu meray peechay na aaya. Kiya tu bhi meray farmaan ka na-farmaan bann betha
Verse 94 — Surah Ta-Ha 20:94
Haroon (alh-e-salam) ney kaha aey meray maa jaye bhai! Meri darhi na pakar aur sir kay baal na kheench mujhay to sirf yeh khayal daaman geer hua kay kahin aap yeh (na) farmayen kay tu ney bani israeel mein tafarqa daal diya aur meri baar ka intezar na kiya
Verse 95 — Surah Ta-Ha 20:95
Musa (alh-e-salam) ney poocha samri tera kiya moamla hai
Verse 96 — Surah Ta-Ha 20:96
Uss ney jawab diya kay mujhay woh cheez dikhaee di jo enhen dikhaee na di to mein ney farstada-e-elahee kay naqsh-e-qadam say aik muthi bhar li ussay iss mein daal diya issi tarah meray dil ney yeh baat meray liye bhali bana di
Verse 97 — Surah Ta-Ha 20:97
Kaha acha jaa duniya ki zindagi mein teri saza yehi hai kay tu kehta rehey kay mujhay na choona aur aik aur bhi wada teray sath hai jo tujh say hergiz na talay ga aur abb tu apney iss mabood ko bhi dekh lena jiss kay aetikaaf kiye huye tha kay hum issay jala ker darya mein raiza raiza ura den gay
Verse 98 — Surah Ta-Ha 20:98
Asal baat yehi hai kay tum sab ka mabood-e-bar haq sirf Allah hi hai uss kay siwa koi parastish kay qabil nahi. Uss ka ilm tamam cheezon per hawi hai
Verse 99 — Surah Ta-Ha 20:99
Issi tarah hum teray samney pehlay ki guzri hui waardaaten biyan farma rahen hain aur yaqeena hum tujhay apney pass say naseehat ata farma chukay hain
Verse 100 — Surah Ta-Ha 20:100
Iss say jo mun pher ley ga woh yaqeenan qayamat kay din apna bhari bojh laday huye hoga
Verse 101 — Surah Ta-Ha 20:101
Jiss mein hamesha hi rahey ga aur inn kay liye qayamat kay din (bara) bojh hai
Verse 102 — Surah Ta-Ha 20:102
Jiss din soor phonka jayega aur gunehgaron ko hum uss din (dehshat ki waja say) neeli peeli aankhon kay sath gher layen gay
Verse 103 — Surah Ta-Ha 20:103
Woh aapas mein chupkay chupkay keh rahey hongay kay hum to (duniya mein) sirf dus din hi rahey
Verse 104 — Surah Ta-Ha 20:104
Jo kuch woh keh rahey hain uss ki haqeeqat say hum ba-khabar hain inn mein say sab say ziyada acha raah wala keh raha hoga kay tum to sirf aik hi din rahey
Verse 105 — Surah Ta-Ha 20:105
Woh aap say paharon ki nisbat sawal kertay hain to aap keh den kay enhen mera rab raiza raiza ker kay ura dey ga
Verse 106 — Surah Ta-Ha 20:106
Aur zamin ko bilkul humwaar saaf maidan kerkay chor dey ga
Verse 107 — Surah Ta-Ha 20:107
Jiss mein to na kahin mor tor dekhay ga na oonch neech
Verse 108 — Surah Ta-Ha 20:108
Jiss din log pukarney walay kay peechay chalen gay jiss mein koi kuji na hogi aur Allah rehman kay samney tamam aawazen pust hojayen gi siwaye khusur phusur kay tujhay kuch bhi sunaee na dey ga
Verse 109 — Surah Ta-Ha 20:109
Uss din sifarish kuch kaam na aaye gi magar jisay rehman hukum dey aur uss ki baat ko pasand farmaye
Verse 110 — Surah Ta-Ha 20:110
Jo kuch inn kay aagay peechay hai ussay Allah hi janta hai makhlooq ka ilm uss per hawi nahi hosakta
Verse 111 — Surah Ta-Ha 20:111
Tamam chehray uss zinda aur qaeem daeem mudabbir Allah kay samney kamal aajzi say jhukay huye hongay yaqeenan woh barbaad hua jiss ney zulm laad liya
Verse 112 — Surah Ta-Ha 20:112
Aur jo nek aemal keray aur eman wala bhi ho to na ussay bey insafi ka khutka hoga na haq talfi ka
Verse 113 — Surah Ta-Ha 20:113
Issi tarah hum ney tujh per arabi quran nazil farmaya hai aur tarah tarah say iss mein darr ka biyan sunaya hai takay log perhezgaar bann jayen ya inn kay dil mein soch samajh to peda keray
Verse 114 — Surah Ta-Ha 20:114
Pus Allah aali shaan wala sacha aur haqeeqi badshah hai. Tu quran parhney mein jaldi na ker uss say pehlay kay teri taraf jo wajee ki jati hai woh poori ki jaye haan yeh dua ker kay perwerdigar! Mera ilm barha
Verse 115 — Surah Ta-Ha 20:115
Hum ney adam ko pehlay hi takeedy hukum dey diya tha lekin woh bhool gaya aur hum ney uss mein koi azum nahi paya
Verse 116 — Surah Ta-Ha 20:116
Aur jab hum ney farishton say kaha kay adam (alh-e-salam) ko sajjda kero to iblees kay siwa sab ney kiya uss ney saaf inkar ker diya
Verse 117 — Surah Ta-Ha 20:117
To hum ney kaha aey adam! Yeh tera aur teri biwi ka dushman hai (khayal rakhna) aisa na ho kay woh tum dono ko jannat say nikalwa dey key tu musibat mein par jaye
Verse 118 — Surah Ta-Ha 20:118
Yahan to tujhay yeh aaram hai kay na tu bhooka hota hai na nanga
Verse 119 — Surah Ta-Ha 20:119
Aur na tu yahan piayasa hota hai na dhoop say takleef uthata hai lekin shetan ney ussay waswasa dala kehney laga kay kiya mein tujhay daeemi zindagi ka darakht aur badshaat batlaon kay jo kabhi purani na ho
Verse 120 — Surah Ta-Ha 20:120
Lekin shetan ney ussay waswasa dala kehney laga kay kiya mein tujhay daeemi zindagi ka darakht aur badshat batlaon kay jo kabhi purani na ho
Verse 121 — Surah Ta-Ha 20:121
Chunacha inn dono ney uss darakht say kuch kha liya pus unn kay satar khul gaye aur bahisht kay pattay apney upper taankney lagay. Adam (alh-e-salam) ney apney rab ki na-farmani ki pus behak gaya
Verse 122 — Surah Ta-Ha 20:122
Phir uss kay rab ney nawaza uss ki toba qabool ki aur uss ki rehnumaee ki
Verse 123 — Surah Ta-Ha 20:123
Farmaya tum dono yahan say utar jao tum aapas mein aik doosray kay dushman ho abb tumharay pass jab kabhi meri taraf say hidayat phonchay to jo meri hidayat ki pairwee keray na to woh behkay ga na takleef mein paray ga
Verse 124 — Surah Ta-Ha 20:124
Aur (haan) jo meri yaad say roo gardani keray ga uss ki zindagi tangi mein rahey gi aur hum ussay baroz qayamat andha ker kay uthayen gay
Verse 125 — Surah Ta-Ha 20:125
Woh kahey ga kay elahee! Mujhay tu ney andha bana ker kiyon uthaya? Halankay mein to dekhta bhalta tha
Verse 126 — Surah Ta-Ha 20:126
(jawab milay ga kay) issi tarah hona chahye tha tu meri aaee hui aayaton ko bhool gaya to aaj tu bhi bhula diya jata hai
Verse 127 — Surah Ta-Ha 20:127
Hum aisa hi badla her uss shaks ko diya kertay hain jo hadd say guzar jaye aur apney rab ki aayaton per eman na laye aur be-shak aakhirat ka azab nihayat hi sakht aur baqi rehney wala hai
Verse 128 — Surah Ta-Ha 20:128
Kiya inn ki rehbari iss baat ney bhi nahi ki kay hum ney inn say pehlay boht si bastiyan halak ker di hain jin kay rehney sehney ki jaga yeh chal phir rahey hain. Yaqeenan iss mein aqal mandon kay liye boht si nishaniyan hain
Verse 129 — Surah Ta-Ha 20:129
Agar teray rab ki baat pehlay hi say muqarrar shuda aur waqt moyyen kerda na hota to issi waqt azab aa chimatta
Verse 130 — Surah Ta-Ha 20:130
Pus inn ki baton per sabar ker aur apney perwerdigar ki tasbeeh aur tareef biyan kerta reh sooraj nikalney say pehlay aur uss kay dobney say pehlay raat kay mukhtalif waqton mein bhi aur din kay hisson mein bhi tasbeeh kerta reh boht mumkin hai kay tu razi ho jaye
Verse 131 — Surah Ta-Ha 20:131
Aur apni nighayen hergiz unn cheezon ki taraf na dorana jo hum ney inn mein say mukhtalif logon ko aaraeesh-e-duniya ki dey rakhi hain takay unhen iss mein aazma ley teray rab ka diya hua hi (boht) behtar aur boht baqi rehney wala hai
Verse 132 — Surah Ta-Ha 20:132
Apney gharaney kay logon per namaz ki takeed rakh aur khud bhi iss per jama reh hum tujh say rozi nahi maangtay bulkay hum khud tujhay rozi detay hain aakhir mein bol bala perhezgari hi ka hai
Verse 133 — Surah Ta-Ha 20:133
Enhon ney kaha kay yeh nabi humaray pass apney perwerdigar ki taraf say koi nishani kiyon nahi laya? Kiya inn kay pass agli kitabon ki wazeh daleel nahi phonchi
Verse 134 — Surah Ta-Ha 20:134
Aur agar hum iss say pehlay hi enehn azab say halak ker detay to yaqeenan yeh keh uthtay kay aey humaray perwerdigar tu ney humaray pass apna rasool kiyon na bheja? Kay hum teri aayaton ki tabeydari kertay iss say pehlay kay hum zaleel-o-ruswa hotay
Verse 135 — Surah Ta-Ha 20:135
Keh dijiye kay her aik anjam ka muntazir hai pus tum bhi intezar mein raho. Abhi abhi qata’an jaan lo gay kay raah-e-raast walay kaun hain aur kaun raah yafta hain