Back to LanguagesPrevious ChapterNext Chapter
Urdu - Chapter 23 - Al-Muminun
Translation by Muhammad Junagarhi — Permalink
Verse 1 — Surah Al-Muminun 23:1
Yaqeenan eman walon ney falah hasil kerli
Verse 2 — Surah Al-Muminun 23:2
Jo aoni namaz mein khusoo kertay hain
Verse 3 — Surah Al-Muminun 23:3
Jo laghwiyaat say mun mor letay hain
Verse 4 — Surah Al-Muminun 23:4
Jo zakat ada kerney walay hain
Verse 5 — Surah Al-Muminun 23:5
Jo apni sharamghaon ki hifazat kerney walay hain
Verse 6 — Surah Al-Muminun 23:6
Ba-juz apni biwiyon aur milkiyat ki londiyon kay yaqeenan yeh mala matiyon mein say nahi hain
Verse 7 — Surah Al-Muminun 23:7
Jo iss kay siwa kuch aur chahayen wohi hadd say tajawuz ker janey walay hain
Verse 8 — Surah Al-Muminun 23:8
Jo apni amanaton aur waday ki hifazat kerney walay hain
Verse 9 — Surah Al-Muminun 23:9
Jo apni namazon ki nigehbani kertay hain
Verse 10 — Surah Al-Muminun 23:10
Yehi waris hain
Verse 11 — Surah Al-Muminun 23:11
Jo firdous kay waris hongay jahan woh hamesha rahen gay
Verse 12 — Surah Al-Muminun 23:12
Yaqeenan hum ney insan ko mitti kay johar say peda kiya
Verse 13 — Surah Al-Muminun 23:13
Phir ussay nutfa bana ker mehfooz jagah mein qarar dey diya
Verse 14 — Surah Al-Muminun 23:14
Phir nutfay ko hum ney jama hua khoon bana diya phir uss khoon kay lothray ko gosht ka tukra ker diya. Phir gosht kay tukray ko haddiyan bana den phir haddiyon ko hum ney gosht pehna diya phir doosri banawat mein uss ko peda ker diya. Barkaton wala hai woh Allah jo sab say behtareen peda kerney wala hai
Verse 15 — Surah Al-Muminun 23:15
Iss kay baad phir tum sab yaqeenan marr janey walay ho
Verse 16 — Surah Al-Muminun 23:16
Phir qayamat kay din bila shuba tum sab uthaye jaogay
Verse 17 — Surah Al-Muminun 23:17
Hum ney tumharay upper saat aasman banaye hain aur hum makhlooqaat say ghafil nahi hain
Verse 18 — Surah Al-Muminun 23:18
Hum aik sahih andaz say aasman say paani barsatay hain phir ussay zamin mein thehra detay hain aur hum uss kay ley janey per yaqeena qadir hain
Verse 19 — Surah Al-Muminun 23:19
Issi pani kay zariyey say hum tumharay liye khajooron aur angooron kay baghaat peda ker detay hain kay tumharay liye inn mein boht say meway hotay hain enhi mein say tum khatay bhi ho
Verse 20 — Surah Al-Muminun 23:20
Aru woh darakht jo toor-e-seena pahar say nikalta hai jo tel nikalta hai aur khaney walay kay liye salan hai
Verse 21 — Surah Al-Muminun 23:21
Tumhray liye chopayon mein bhi boht bari bhari ibrat hai. inn kay peton mein say hum doodh pilatay hain aur bhi boht say nafay tumharay liye inn mein hain inn mein say baaz baaz ko tum khatay bhi ho
Verse 22 — Surah Al-Muminun 23:22
Aur inn per aur kashtiyon per tum sawar keraye jatay ho
Verse 23 — Surah Al-Muminun 23:23
Yaqeenan hum ney nooh (alh-e-salam) ko uss ki qom ki taraf rasool bana ker bheja uss ney kaha aey meri qom kay logo! Allah ki ibadat kero aur uss kay siwa tumhara koi mabood nahi kiya tum (uss say) nahi dartay
Verse 24 — Surah Al-Muminun 23:24
Uss ki qom kay kafir sardaron ney saaf keh diya kay yeh to tum jesa hi insan hai yeh tum per fazeelat aur baraee hasil kerna chahata hai. Agar Allah hi ko manzoor hota to kissi farishtay ko utarta hum ney to issay apnay aglay baap dadon kay zamaney mein suna hi nahi
Verse 25 — Surah Al-Muminun 23:25
Yaqeenan iss shaks ko junoon hai pus tum issay aik waqt-e-muqarrara tak dheel do
Verse 26 — Surah Al-Muminun 23:26
Nooh (alh-e-salam) ney dua ki aey meray rab! Inn kay jhutlaney per tu meri madad farma
Verse 27 — Surah Al-Muminun 23:27
To hum ney unn ki taraf wahee bheji kay tu humari aankhon kay samney humari wahee kay mutabiq aik kashti bana. Jab humara hukum aajaye aur tanoor ubal paray to tu her qisam ka aik aik jora iss mein rakh ley aur apnay ehal ko bhi magar inn mein say jin ki babat humari baat pehaly guzar chuki hai. Khabardar jin logon ney zulm kiya hai unn kay baray mein mujh say kuch kalaam na kerna woh to sab doboye jayen gay
Verse 28 — Surah Al-Muminun 23:28
Jab tu aur teray sathi kashti per ba-itminaan betha jao to kehna sab tareef Allah kay liye hi hai jiss ney humen zalim logon say nijat ata farmaee
Verse 29 — Surah Al-Muminun 23:29
Aur kehna kay aey meray rab! Mujhay ba-barkat utarna utaar aur tu hi behtar hai utarney walon mein
Verse 30 — Surah Al-Muminun 23:30
Yaqeenan iss mein bari bari nishaniyan hain aur hum be-shak aazmaeesh kerney walay hain
Verse 31 — Surah Al-Muminun 23:31
Inn kay baad hum ney aur bhi ummat peda ki
Verse 32 — Surah Al-Muminun 23:32
Phir unn mein khud unn mein say (hi) rasool bhi bheja kay tum sab Allah ki ibadat kero aur uss kay siwa tumhara koi mabood nahi tum kiyon nahi dartay
Verse 33 — Surah Al-Muminun 23:33
Aur sardaraan-e-qom ney jawab diya jo kufur kertay thay aur aakhirat ki mulaqat ko jhutlatay thay aur hum ney unhen dunyawi zindagi mein khushal ker rakha tha kay yeh to tum jesa hi insan hai tumhari hi khooraq yeh bhi khata hai aur tumharay peenay ka pani hi yeh bhi peeta hai
Verse 34 — Surah Al-Muminun 23:34
Agar tum ney apnay jesay hi insan ki tabeydari kerli to be-shak tum sakht khasaray walay ho
Verse 35 — Surah Al-Muminun 23:35
Kiya yeh tumhen iss baat ka wada kerta hai kay jab tum marr ker sirf khak aur haddi reh jaogay to tum phir zinda kiye jaogay
Verse 36 — Surah Al-Muminun 23:36
Nahi nahi door aur boht door hai woh jiss ka tum wada diye jatay ho
Verse 37 — Surah Al-Muminun 23:37
(zindagi) to sirf duniya ki zindagi hai hum martay jeetay rehtay hain aur yeh nahi kay hum phir uthaye jayen gay
Verse 38 — Surah Al-Muminun 23:38
Yeh to bus aisa shaks hai jiss ney Allah per jhoot (bohtaan) bandh liya hai hum to iss per eman laney walay nahi hain
Verse 39 — Surah Al-Muminun 23:39
Nabi ney dua ki kay perwerdigar! Inn kay jhutlaney per tu meri madad ker
Verse 40 — Surah Al-Muminun 23:40
Jawab mila kay yeh to boht hi jald apnay kiye per pachtaney lagen gay
Verse 41 — Surah Al-Muminun 23:41
Bil-aakhir adal kay taqazay kay mutabiq cheekh ney pakar liya aur hum ney unhen koora karkat ker dala pus zalimon kay liye doori ho
Verse 42 — Surah Al-Muminun 23:42
Inn kay baad hum ney aur bhi boht si ummaten peda kin
Verse 43 — Surah Al-Muminun 23:43
Na to koi ummat apnay waqt-e-muqarrara say aagey barhi aur na peechay rahi
Verse 44 — Surah Al-Muminun 23:44
Phir hum ney lagataar rasool bhejay jab jab jiss ummat kay pass uss ka rasool aaya uss ney jhutlaya pus hum ney aik ko doosray kay peechay laga diya aur unhen afsana bana diya. Unn logon ko doori ho jo eman qabool nahi kertay
Verse 45 — Surah Al-Muminun 23:45
Phir hum ney musa (alh-e-salam) ko aur uss kay bhai haroon (alh-e-salam) ko apni aayaton aur khulli daleel kay sath bheja
Verse 46 — Surah Al-Muminun 23:46
Firaon aur uss kay lashkaron ki taraf pus unhon ney takabbur kiya aur thay hi woh sirkash log
Verse 47 — Surah Al-Muminun 23:47
Kehney lagay kay kiya hum apnay jesay do shakhson per eman aayen? Halankay khud unn ki qom (bhi) humaray ma-tehat hai
Verse 48 — Surah Al-Muminun 23:48
Pus unhon ney unn dono ko jhutlaya aakhir woh bhi halak shuda logon mein mill gaye
Verse 49 — Surah Al-Muminun 23:49
Hum ney to musa (alh-e-salam) ko kitab (bhi) di kay log raah-e-raast per aajyen
Verse 50 — Surah Al-Muminun 23:50
Hum ney ibn-e-marium aur uss ki walida ko aik nishani banaya aur unn dono ko buland saaf qarar wali aur jari pani wali jagah mein panah di
Verse 51 — Surah Al-Muminun 23:51
Aey payghumbaron! Halal cheez khao aur nek amal kero tum jo kuch ker rahey ho uss say mein ba-khoobi waqif hun
Verse 52 — Surah Al-Muminun 23:52
Yaqeenan tumhara yeh deen aik hi deen hai aur mein hi tum sab ka rab hun pus tum mujh say dartay raho
Verse 53 — Surah Al-Muminun 23:53
Phir unhon ney khud (hi) apnay amar (deen) kay aapas mein tukray tukray ker liye her giroh jo kuch uss kay pass hai ussi per itra raha hai
Verse 54 — Surah Al-Muminun 23:54
Pus aap (bhi) enhen unn ki ghaflat mein hi kuch muddat para rehney den
Verse 55 — Surah Al-Muminun 23:55
Kiya yeh (yun) samajh bethay hain? Kay hum jo bhi inn kay maal-o-aulad barha rahey hain
Verse 56 — Surah Al-Muminun 23:56
Woh inn kay liye bhalayion mein jaldi ker rahey hain (nahi nahi) bulkay yeh samajhtay hi nahi
Verse 57 — Surah Al-Muminun 23:57
Yaqeenan jo log apnay rab ki haibat say dartay hain
Verse 58 — Surah Al-Muminun 23:58
Aur jo apnay rab ki aayaton per eman rakhtay hain
Verse 59 — Surah Al-Muminun 23:59
Aur jo apnay rab kay sath kissi ko shareek nahi kertay
Verse 60 — Surah Al-Muminun 23:60
Aur jo log detay hain jo kuch detay hain aur unn kay dil kapkapatay hain kay woh apnay rab ki taraf lotney walay hain
Verse 61 — Surah Al-Muminun 23:61
Yehi hain jo jaldi jaldi bhalaiyan hasil ker rahey hain aur yehi hain jo inn ki taraf dor janey walay hain
Verse 62 — Surah Al-Muminun 23:62
Hum kissi nafs ko uss ki taqat say ziyada takleef nahi detay aur humaray pass aisi kitab hai jo haq kay sath bolti hai inn kay upper kuch bhi zulm na kiya jayega
Verse 63 — Surah Al-Muminun 23:63
Bulkay inn kay dil iss taraf say ghaflat mein hain aur inn kay liye iss kay siwa bhi boht say aemaal hain jinehn woh kerney walay hain
Verse 64 — Surah Al-Muminun 23:64
Yahan tak kay jab hum ney inn kay asooda haal logon ko azab mein pakar liya to woh bilbilaney lagay
Verse 65 — Surah Al-Muminun 23:65
Aaj mat bilbilao yaqeenan tum humaray muqabley per madad na kiye jao gay
Verse 66 — Surah Al-Muminun 23:66
Meri aayaten tumharay samney parhi jati thin phir tum apni airhiyon kay bal ultay bhagtay thay
Verse 67 — Surah Al-Muminun 23:67
Akartay eenthtay afsana goi kertay issay chor detay thay
Verse 68 — Surah Al-Muminun 23:68
Kiya enhon ney iss baat mein ghor-o-fiker hi nahi kiya? Bulkay inn kay pass woh aaya jo inn kay aglay baap dadon kay pass nahi aaya tha
Verse 69 — Surah Al-Muminun 23:69
Ya enhon ney apnay payghubar ko pehchana nahi kay iss kay munkir ho rahey hain
Verse 70 — Surah Al-Muminun 23:70
Ya yeh kehtay hain issay junoon hai? Bulkey woh to inn kay pass haq laya hai. Haan inn mein aksar haq say chirney walay hain
Verse 71 — Surah Al-Muminun 23:71
Agar haq hi inn ki khuwaishon ka pairo ho jaye to zamin-o-aasman aur inn kay darmiyan ki her cheez darhum barhum hojaye. Haq to yeh hai kay hum ney enhen unn ki naseehat phoncha di hai lekin woh apni naseehat say mun morney walay hain
Verse 72 — Surah Al-Muminun 23:72
Kiya aap inn say koi ujrat chahatay hain? Yaad rakhiye kay aap kay rab ki ujrat boht hi behtar hai aur woh sab say behtar rozi rasan hai
Verse 73 — Surah Al-Muminun 23:73
Yaqeenan aap to enhen raah-e-raast ki taraf bula rahey hain
Verse 74 — Surah Al-Muminun 23:74
Be-shak jo log aakhirat per yaqeen nahi rakhtay who seedhay rastay say murr janey walay hain
Verse 75 — Surah Al-Muminun 23:75
Aur agar hum inn per raham farmayen aur inn ki takleef door ker den to yeh to apni apni sirkashi mein jamm ker aur behakney lagen
Verse 76 — Surah Al-Muminun 23:76
Aur hum ney enhen azab mein bhi pakra ta-hum yeh log na to apnay perwerdigar kay samney jhukay aur na hi aajzi ikhtiyar ki
Verse 77 — Surah Al-Muminun 23:77
Yahan tak kay jab hum ney inn per sakht azab ka darwaza khol diya to ussi waqt foran mayyus hogaye
Verse 78 — Surah Al-Muminun 23:78
Woh Allah hai jiss ney tumharay liye kaan aur aankhen aur dil pehda kiye magar tum boht (hi) kum shukar kertay ho
Verse 79 — Surah Al-Muminun 23:79
Aur wohi hai jiss ney tumhen peda ker kay zamin mein phela diya aur ussi ki taraf tum jama kiye jaogay
Verse 80 — Surah Al-Muminun 23:80
Aur wohi hai jo jilata aur maarta hai aur raat din kay rad-o-badal ka mukhtar bhi wohi hai. Kiya tum ko samajh boojh nahi
Verse 81 — Surah Al-Muminun 23:81
Bulkay inn logon ney bhi wesi hi baat kahi jo aglay kehtay chalay aaye
Verse 82 — Surah Al-Muminun 23:82
Kay kiya jab hum marr ker mitti aur haddi hojayen gay kiya phir bhi hum zaroor uthaye jayen gay
Verse 83 — Surah Al-Muminun 23:83
Hum say aur humaray baap dadon say pehlay hi say yeh wada hota chala aaya hai kuch nahi yeh to sirf aglay logon kay afsaney hain
Verse 84 — Surah Al-Muminun 23:84
Poochiye to sahih kay zamin aur iss ki kul cheezen kiss ki hain? Batlao agar tum jantay ho
Verse 85 — Surah Al-Muminun 23:85
Foran jawab den gay kay Allah ki keh dijiye kay phir tum naseehat kiyon nahi hasil kertay
Verse 86 — Surah Al-Muminun 23:86
Daryaft kijiye kay saaton aasmano ka aur boht ba-azmat arsh ka rab kaun hai
Verse 87 — Surah Al-Muminun 23:87
Woh log jawab den gay kay Allah hi hai. Keh dijiye! kay phir tum kiyon nahi dartay
Verse 88 — Surah Al-Muminun 23:88
Poochiye kay tamam cheezon ka ikhtiyar kiss kay hath mein hai? Jo panah deta hai aur jiss kay muqablay mein koi panah nahi diya jata agar tum jantay ho to batla do
Verse 89 — Surah Al-Muminun 23:89
Yehi jawab den gay kay Allah hi hai. Keh dijiye phir tum kidhar say jadoo ker diye jatay ho
Verse 90 — Surah Al-Muminun 23:90
Haq yeh hai kay hum ney unhen haq phoncha diya hai aur yeh be-shak jhootay hain
Verse 91 — Surah Al-Muminun 23:91
Na to Allah ney kissi ko beta banaya aur na uss kay sath aur koi mabood hai werna her mabood apni makhlooq ko liye liye phirta aur her aik doosray per charh dorta. Jo osaaf yeh batlatay hain unn say Allah pak (aur bey-niaz) hai
Verse 92 — Surah Al-Muminun 23:92
Woh ghaeeb hazir ka jannay wala hai aur jo shirk yeh kertay hain uss say bala tar hai
Verse 93 — Surah Al-Muminun 23:93
Aap dua keren kay aey meray perwerdigar! Agar tu mujhay woh dikhaye jiss ka wada enhen diya jaraha hai
Verse 94 — Surah Al-Muminun 23:94
To aey rab! Tu mujhay inn zlimon kay giroh mein na kerna
Verse 95 — Surah Al-Muminun 23:95
Hum jo kuch waday enhen dey rahey hain sab aap ko dikha denay per yaqeenan qadir hain
Verse 96 — Surah Al-Muminun 23:96
Buraee ko iss tareeqay say door keren jo sirasir bhalaee wala ho jo kuch yeh biyan kertay hain hum ba-khoobi waqif hain
Verse 97 — Surah Al-Muminun 23:97
Aur dua keren kay aey meray perwerdigar! Mein shetano kay waswason say teri panah chahata hun
Verse 98 — Surah Al-Muminun 23:98
Aur aey rab! Mein teri panah chahata hun kay woh meray pass aajayen
Verse 99 — Surah Al-Muminun 23:99
Yahan tak kay jab inn mein say kissi ko maut aaney lagti hai to kehta hai aey meray perwerdigar! Mujhay wapis lota dey
Verse 100 — Surah Al-Muminun 23:100
Kay apni chori hui duniya mein jaa ker nek aemaal ker loon hergiz aisa nahi hoga yeh to sirf aik qol hai jiss ka yeh qaeel hai inn kay pas-e-pusht to aik hijab hai inn kay doobara ji uthney kay din tak
Verse 101 — Surah Al-Muminun 23:101
Pus jab kay soor phoonk diya jayega uss din na to aapas kay rishtay hi rahen gay na aapas ki pooch gooch
Verse 102 — Surah Al-Muminun 23:102
Jin ki tarazoo ka palla bhari hogaya woh to nijat walay hogaye
Verse 103 — Surah Al-Muminun 23:103
Aur jin kay tarazoo ka palla halka hogaya yeh hain woh jinhon ney apna nuksan aap ker liya jo hamesha kay liye jahannum wasil huye
Verse 104 — Surah Al-Muminun 23:104
Unn kay chehron ko aag jhulasti rahey gi aur woh wahan bad-shakal banay huye hongay
Verse 105 — Surah Al-Muminun 23:105
Kiya meri aayaten tumharay samney tilawat nahi ki jati thin? Phir bhi tum enhen jhutlatay thay
Verse 106 — Surah Al-Muminun 23:106
Kahen gay kay aey perwerdigar! Humari bad-bakhti hum per ghalib aagaee (waqaee) hum thay hi gumrah
Verse 107 — Surah Al-Muminun 23:107
Aey humaray perwerdigar! Humen yahan say nijat dey agar abb hi hum aisa hi keren to be-shak hum zalim hain
Verse 108 — Surah Al-Muminun 23:108
Allah Taalaa farmaye ga phitkaray huye yahin paray raho aur mujh say kalaam na kero
Verse 109 — Surah Al-Muminun 23:109
Meray bando ki aik jamat thi jo barbar yehi kehti rahi kay aey humaray perwerdigar! Hum eman laa chukay hain tum humen bakhsh aur hum per reham farma to sab meharbano say ziyada meharbaan hai
Verse 110 — Surah Al-Muminun 23:110
(lekin) tum enhen mazaq mein hi uratay rahey yahan tak kay (iss mashghalay ney) tum ko meri yaad (bhi) bhula di aur tum inn say mazaq hi kertay rahey
Verse 111 — Surah Al-Muminun 23:111
Mein ney aaj enhen inn kay uss sabar ka badla dey diya hai kay woh khatir khua apni murad ko phonch chukay hain
Verse 112 — Surah Al-Muminun 23:112
Allah Taalaa daryaft farmaye ga kay tum zamin mein ba-aitbar barson ki ginti kiss qadar rahey
Verse 113 — Surah Al-Muminun 23:113
Woh kahen gay aik din ya aik din say bhi kum ginti ginnay walon say bhi pooch lijiye
Verse 114 — Surah Al-Muminun 23:114
Allah Taalaa farmaye ga fil-waqey tum wahan boht hi kum rahey ho aey kaash! Tum issay pehaly hi say jaan letay
Verse 115 — Surah Al-Muminun 23:115
Kiya tum yeh gumaan kiye huye ho kay hum ney tumhen yunhi beykaar peda kiya hai aur yeh kay tum humari taraf lotaye hi na jao gay
Verse 116 — Surah Al-Muminun 23:116
Allah Taalaa sacha badshah hai woh bari bulandi wala hai uss ka siwa koi mabood nahi wohi buzurg arsh ka malik hai
Verse 117 — Surah Al-Muminun 23:117
Jo shaks Allah kay sath kissi doosray mabood ko pukaray jiss ki koi daleel uss kay pass nahi pus uss ka hisab to uss kay rab kay upper hi hai. Be-shak kafir log nijat say mehroom hain
Verse 118 — Surah Al-Muminun 23:118
Aur kaho kay aey meray rab! Tu bakhsh aur reham ker aur tu sab meharbano say behtar meharbani kerney wala hai