Yaqeenan firaon ney zamin mein sirkashi ker rakhi thi aur wahan kay logon ko giroh giroh bana rakha tha aur unn mein say aik firqay ko kamzor ker rakha tha aur unn kay larkon ko to zibah ker dalta tha aur unn ki larkiyon ko zinda chor deta tha. Be-shak-o-shuba woh tha hi mufisdon mein say
Phir humari chahat hui kay hum unn per karam farmayen jinhen zamin mein bey hadd kamzor ker diya gaya tha aur hum unhin ko paishwa aur (zamin) ka waris banayen
Hum ney musa (alh-e-salam) ki maa ko wahee ki kay issay doodh pilati reh aur jab tujhay iss ki nisbat koi khof maloom hoto issay darya mein baha dena aur koi darr khof ya ranj ghum na kerna hum yaqeenan issay tumhari taraf lotaney walay hain aur issay apnay payghumbaron mein bananey walay hain
Aakhir firaon kay logon ney iss bachay ko utha liya kay aakhir kaar yehi bacha inn ka dushman hua aur inn kay ranj ka baees bana kuch shak nahi kay firaon aur haamaan aur unn kay lashkar thay hi khata kaar
Aur firaon ki biwi ney kaha kay yeh to teri aur meri aankhon ki thandak hai issay qatal na kero boht mumkin hai kay yeh humen koi faeeda phonchaye ya hum issay apna hi beta bana len aur yeh log shaoor hi na rakhtay thay
Musa (alh-e-salam) ki walida ka dil bey qarar hogaya qareeb thin kay iss waqiyey ko zahir ker detin agar hum unn kay dil ko dharas na dey detay yeh iss liey kay woh yaqeen kerney walon mein rahey
Musa (alh-e-salam) ki walida ney uss ki behan say kaha kay tu iss kay peechay peechay ja to woh ussay door hi door say dekhti rahi aur firaoniyon ko iss ka ilm bhi na hua
Unn kay phonchney say pehlay hum ney musa (alh-e-salam) per daeeiyon ka doodh haram ker diya tha. Yeh kehnay lagi kay kiya mein tumhen aisa gharana bataon jo iss bachay ki tumharay liye perwerish keray aur hon bhi woh iss bachay kay khair khuwa
Pus hum ney ussay uss ki maa ki taraf wapis phonchaya takay uss ki aankhen thandi rahen aur aazardah khatir na ho aur jaan ley kay Allah Taalaa ka wada sacha hai lekin aksar log nahi jantay
Aur jab musa (alh-e-salam) apni jawani ko phonch gaye aur pooray tawana hogaye hum ney unhen hikmat-o-ilm ata farmaya neki kerney walon ko hum issi tarah badla diya kertay hain
Aur musa (alh-e-salam) aik aisay waqt shehar mein aaye jabkay shehar kay log ghaflat mein thay. Yahan do shakson ko lartay huyey paya yeh aik to uss kay rafiqon mein say tha aur yeh doosra uss kay dushmanon mein say uss ki qom walay ney uss kay khilaf jo uss kay dushmanon mein say tha uss say faryad ki jiss per musa (alh-e-salam) ney uss kay mukka mara jiss say woh marr gaya musa (alh-e-salam) kehnay lagay yeh to shetani kaam hai yaqeenan shetan dushman aur khullay tor per behkaney wala hai
Subah hi subah dartay andesha ki halat mein khabren lenay ko shehar mein gaye kay achanak wohi shaks jiss ney kal unn say madad talab ki thi unn say faryad ker raha hai. Musa (alh-e-salam) ney uss say kaha iss mein shak nahi tu to sareeh bey raah hai
Phir jab uss kay aur apnay dushman ko pakarna chaha woh faryadi kehnay laga kay musa (alh-e-salam) kiya jissa tarah tu ney kal aik shaks ko qatal kiya hai mujhay bhi maar dalna chahata hai tu to mulk mein zalim-o-sirkash hona hi chahata hai aur tera yeh irada hi nahi kay milap kerney walon mein say ho
Shehar kay parlay kinaray say aik shaks dorta hua aaya aur kehnay laga aey musa! Yahan kay sardar teray qatal ka mashwara ker rahey hain pus tu boht jald chala ja mujhay apna khair khuwa maan
Pus musa (alh-e-salam) wahan say khofzada ho ker dekhtay bhaltay nikal kharay huyey kehnay lagay aey perwerdigar! Mujhay zlimon kay giroh say bacha ley
Madiyan kay pani per jab aap phonchay to dekha kay logon ki aik jamat wahan pani pila rahi hai aur do aurten alag khari apnay (janwaron ko) rokti hui dikhaee den poocha kay tumhara kiya haal hai woh boleen kay jab tak yeh charwahey wapis na lot jayen hum pani nahi pilatin aur humaray walid boht bari umar kay boorhay hain
Pus aap ney khud inn janwaron ko pani pila diya phir saye ki taraf hut aaye aur kehnay lagay aey perwerdigar! Tu jo kuch bhalaee meri taraf utaray mein uss ka mohtaj hun
Itnay mein dono aurton mein say aik unn ki taraf sharam-o-haya say chalti hui aaee kehnay lagi kay meray baap aap ko bula rahey hain takay aap ney humaray (janwaron) ko jo pani pilaya hai uss ki ujrat den jab hazrat musa (alh-e-salam) unn kay pass phonchay aur unn say apna sara haal biyan kiya to woh kehnay lagay abb na darr tu ney zalim qom say nijat paee
Unn dono mein say aik ney kaha abba ji! Aap enhen mazdoori per rakh lijiyey kiyon kay jinhen aap ujrat per rakhen unn mein say sab say behtar woh hai jo mazboot aur amanat daar ho
Uss buzrug ney kaha mein apni inn dono larkiyon mein say aik ko aap kay nikkah mein dena chahata hun iss (mehar per) kay aap aath saal tak mera kaam kaaj keren. Haan agar aap dus saal pooray keren to yeh aap ki taraf say bator ehsan kay hai mein yeh hergiz nahi chahata kay aap ko kissi mushaqqat mein dalon Allah ko manzoor hai to aagay chal ker aap mujhay bhala aadmi payen gay
Musa (lah-e-salam) ney kaha khair to yeh baat meray aur aap kay darmiyan pukhta hogaee mein inn dono muddaton mein say jissay poora keron mujh per koi ziyadti na ho hum yeh jo kuch ker rahey hain iss per Allah (gawah aur) kaar saaz hai
Jab hazrat musa (alh-e-salam) ney muddat poori ker liaur apnay ghar walon ko ley ker chalay to koh-e-toor ki taraf aag dekhi. Apni biwi say kehnay lagay thero! Mein ney aag dekhi hai boht mumkin hai kay mein wahan say koi khabar laaon ya aag ka koi angara laon takay tum seenk lo
Pus jab wahan phonchay to uss ba-barkat zamin kay maidan kay dayen kinaray kay darakht mein say awaz diyey gaye kay aey musa! Yaqeenan mein hi Allah hun saray jahano ka perwerdigar
Aur yeh (bhi awaz aaee) kay apni laathi daal dey. Phir jab ussay dekha kay woh saanp ki tarah phan phana rahi hai to peeth pher ker wapis hogaye aur murr ker rukh bhi na kiya hum ney kaha aey musa! Aagay aa darr mat yaqeenan tu her tarah aman wala hai
Apnay hath ko apnay girbaan mein daal woh baghair kisi qisam kay rog kay chamakta hua niklay ga bilkul safaid aur khof say (bachney kay liye) apnay bazoo apni taraf mila ley pus yeh dono moajzzay teray liye teray rab ki taraf say hain firaon aur uss ki jamat ki taraf yaqeenan woh sab kay sab bey hukum aur na farman log hain
Aur mer bhai haroon (alh-e-salam) mujh say boht ziyada faseeh zaban wala hai tu ussay bhi mera madadgar bana ker meray sath bhej kay woh mujhay sacha manay mujhay to khof hai kay woh sab mujhay jhutla den gay
Allah Taalaa ney farmaya kay hum teray bhai kay sath tera bazoo mazboot ker den gay aur tum dono ko ghalba den gay firaoni tum tak phonch hi na saken gay ba-sabab humari nishaniyon kay tum dono aur tumhari tabey daari kerney walay hi ghalib rahen gay
Pus jab unn kay pass musa (alh-e-salam) humaray diyey huyey khullay moajzzay ley ker phonchay to woh kehnay lagay yeh to sirf ghara gharaya jadoo hai hum ney apnay aglay baap dadon kay zamaney mein kabhi yeh nahi suna
Hazrat musa (alh-e-salam) kehnay lagay mera rab taalaa issay khoob janta hai jo uss kay pass ki hidayat ley ker aata hai aur jiss kay liye aakhirat ka (acha) anjam hota hai yaqeenan bey insafon ka bhala na hoga
Firaon kehney laga aey darbariyo! Mein to apnay siwa kissi ko tumhara mabood nahi janta. Sunn aey haamaan! Tu meray liye mitti ko aag say pakwa phir meray liye aik mehal tameer ker to mein musa kay mabood ko jhank loon ussay mein to jhooton mein say hi gumaan ker raha hun
Aur unn aglay zamaney walon ko halak kerney kay baad hum ney musa (alh-e-salam) ko aisi kitab inayat farmaee jo logon kay liye daleel aur hidayat-o-rehmat ho ker aaee thi takay woh naseehat hasil ker len
Aur toot kay maghribi janib jab kay hum ney musa (alh-e-salam) ko hukum ehkaam ki wahee phonchaee thi na to tu mojood tha aur na tu dekhney walon mein say tha
Lekin hum ney boht si naslen peda kin jin per lambi muddaten guzar gayen aur na tu madiyan kay rehney walon mein say tha kay unn kay samney humari aayaton ki tilawat kerta bulkay hum hi rasoolon kay bhejney walay rahey
Aur na tu toor ki taraf tha jab kay hum ney aawaz di bulkay yeh teray perwerdigar ki taraf say aik rehmat hai iss liye kay tu unn logon ko hoshiyaar ker dey jin kay pass tujh say pehlay koi daraney wala nahi phoncha kiya ajab kay woh naseehat hasil ker len
Agar yeh baat na hoti kay enhen unn kay apnay hathon aagay bhejay huyey aemaal ki waja say koi naseehat phonchti to yeh keh uthtay kay aey humaray rab! Tu ney humari taraf koi rasool kiyon na bheja? Kay hum teri aayaton ki tabeydaari kertay aur eman walon mein say ho jatay
Phir jab unn kay pass humari taraf say haq aa phoncha to kehtay hain kay yeh woh kiyon nahi diya gaya jesay diyey gaye thay musa (alh-e-salam) acha to kiya musa (alh-e-salam) ko jo kuch diya gaya tha uss kay sath logon ney kufur nahi kiya tha saaf kaha tha kay yeh dono jadoogar hain jo aik doosray kay madadgaar hain aur hum to inn sab kay munkir hain
Phir agar yeh teri na maney to tu yaqeen ker lay kay yeh sirf apni khuwaish ki pairwee ker rahey hain. Aur uss say barh ker behka hua kaun hai? Jo apni khuwaish kay peechay para hua ho baghair Allah ki rehnumaee kay be-shak Allah Taalaa zalim logon ko hidayat nahi deta
Aur jab uss ki aayaten unn kay pass parhi jati hain to woh keh detay hain kay iss kay humaray rab ki taraf say haq honey per humara eman hai hum to iss say pehlay hi musalman hain
Yeh apnay kiye huyey sabar kay badley dohra dohra ajar diye jayen gay. Yeh neki say badi ko taal detay hain aur hum ney enhen jo dey rakha hai iss mein say detay rehtay hain
Aur jab bey huda baat kaan mein parti hai to uss say kinara ker letay hain aur keh detay hain kay humaray amal humaray liye aur tumharay amal tumharay liye tum per salam ho hum jahilon say (ulajhna) nahi chahatay
Kehney lagay kay agar hum aap kay sath hoker hidayat kay tabey daar bann jayen to hum to apnay mulk say uchak liye jayen kiya hum ney unehn aman-o-amaan aur hurmat walay haram mein jagah nahi di? Jahan tamam cheezon kay phal khinchay chalay aatay hain jo humaray pass bator rizk kay hain lekin inn mein say aksar kuch nahi jantay
Aur hum ney boht si woh bastiyan tabah kerdin jo apnay aish-o-ishrat mein itraney lagi thin yeh hain unn ki rehaeesh ki jaghen jo unn kay baad boht kum hi abad ki gaeen aur hum hi hain aakhir sab kuch kay waris
Tera rab kissi aik basti ko bhi uss waqt tak halak nahi kerta jab tak kay unn ki kissi bari basti mein apna koi payghumbar nahi bhej dey jo unehn humari aayaten parh ker suna deyaur hum bastiyon ko ussi waqt halak kertay hain jabkay wahan walay zulm-o-sitam per kamar kass len
Aur tumhen jo kuch diya gaya hai woh sirf zindag-e-duniya ka samaan aur ussi ki ronaq hai haan Allah kay pass jo hai woh boht hi behtar aur dairpaa hai. Kiya tum nahi samajhtay
Kiya woh shaks jiss say hum ney nek wada kiya hai jissay woh qata’an paney wala hai misil uss shaks kay ho sakta hai? Jissay hum ney zindaganiy-e-duniya ki kuch yun hi si manfa’at dey di phir bil-aakhir woh qayamat kay roz pakra baandha hazir kiya jayega
Jin per baat aa chuki woh jawab den gay kay aey humaray perwerdigar! Yehi woh hain jinhen hum ney behka rakha tha hum ney enhen issi tarah behkaya jiss tarah hum behkay thay hum teri sarkar mein apni dast darazi kertay hain yeh humari ibadat nahi kertay thay
Aur aap ka rab jo chahata hai peda kerta hai aur jisay chahata hai chun leta hai inn mein say kissi ko koi ikhtiyar nahi Allah hi kay liye paki hai woh buland tar hai her uss cheez say kay log shareek kertay hain
Wohi Allah hai uss kay siwa koi laeeq-e-ibadat nahi duniya aur aakhirat mein ussi ki tareef hai. Ussi kay liye farman rawaqee hai aur ussi ki taraf tum sab pheray jao gay
Keh dijiye! kay dekho to sahi agar Allah Taalaa tum per raat hi raat qayamat tak barabar ker dey to siwaye Allah kay kaun mabood hai jo tumharay pass din ki roshni laye? Kiya tum suntay nahi ho
Poochiye! Kay yeh bhi batado kay agar Allah Taalaa tum per hamesha qayamat tak din hi din rakhay to bhi siwaye Allah Taalaa kay koi mabood hai jo tumharay pass raat ley aaye? Jiss mein tum aaraam hasil kero kiya tum dekh nahi rahey ho
Ussi ney tumharay liye apnay fazal-o-karam say din raat muqarrar ker diye hain kay tum raat mein aaraam kero aur din mein uss ki bheji hui rozi talash kero yeh iss liye kay tum shukar ada kero
Aur hum her ummat mein say aik gawah alag ker len gay kay apni daleelen paish kero pus uss waqt jaan len gay kay haq Allah Taalaa ki taraf hai aur jo kuch iftra woh jortay thay sab unn kay pass say kho jaye ga
Qaroon tha to qom-e-musa say lekin unn per zulm kerney laga tha hum ney ussay (iss qadar) khazaney dey rakhay thay kay kaee kaee taqatwar log ba mushkil uss ki kunjiyan utha saktay thay aik baar uss ki qom ney uss say kaha kay itra mat! Allah Taalaa itraney walon say mohabbat nahi rakhta
Aur jo kuch Allah Taalaa ney tujhay dey rakha hai uss mein say aakhirat kay ghar ki talash bhi rakh aur apnay dunyawi hissay ko bhi na bhool aur jesay Allah ney teray sath ehsan kiya hai tu bhi acha salook ker aur mulk mein fasad ka khuwan na ho yaqeen maan kay Allah mufsidon ko na pasand rakhta hai
Qaroon ney kaha yeh sab kuch mujhay meri apni samajh ki bina per hi diya gaya hai kiya issay abb tak yeh nahi maloom kay Allah Taalaa ney uss say pehlay boht si basti walon ko ghaarat ker diya jo uss say boht ziyada qooat walay aur boht bari jama poonji walay thay. Aur gunehgaaron say unn kay gunahon ki baaz purs aisay waqt nahi ki jati
Pus qaroon poori aaraeesh kay sath apni qom kay majmay mein nikla to dunyawi zindagi kay matwalay kehney lagay kaash kay humen bhi kissi tarah woh mill jata jo qaroon ko diya gaya hai. Yeh to bara hi qismat ka dhani hai
Zee ilm log unhen samjhaney lagay kay afsos! Behtar cheez to woh hai jo bator sawab unhen milay gi jo Allah per eman layen aur nek amal keren yeh baat unhi kay dil mein dali jati hai jo sabar-o-sahaar walay hon
(aakhir kaar) hum ney ussay uss kay mehal samet zamin mein dhansa diya aur Allah kay siwa koi jamaat uss ki madad kay liye tayyar na hui na woh khud apnay bachaney walon mein say ho saka
Aur jo log kal uss kay martabay per phonchney ki aarzoo mandiyan ker rahey thay woh aaj kehney lagay kay kiya tum nahi dekhtay kay Allah Taalaa hi apnay bandon mein say jiss kay liye chahaye rozi kushada ker deta hai aur tang bhi? Agar Allah Taalaa hum per fazal na kerta to humen bhi dhansa deta kiya dekhtay nahi ho kay na-shukron ko kabhi kaamyabi nahi hoti
Aakhirat ka yeh bhala ghar hum unn hi kay liye muqarrar ker detay hain jo zamin mein unchaee baraee aur fakhar nahi kertay na fasad ki chahat rakhtay hain. Perhezgaron kay liye nihayat hi umdaa anjam hai
Jo shaks neki laye ga uss uss say behtar milay ga aur jo buraee ley ker aaye ga to aisay bad-aemaali kernay walon ko unn kay unhi aemaal ka badla diya jaye ga jo woh kertay thay
Jiss Allah ney aap per quran nazil farmaya hai woh doobara aap ko pehli jagah laaney wala hai keh dijiye! kay mera rab ussay bhi ba-khoobi janta hai jo hidayat laya hai aur uss bhi jo khulli gumrahee mein hai
Aap ko kabhi iss ka khayal bhi na guzra tha kay aap ki taraf kitab nazil farmaee jaye gi lekin yeh aap kay rab i meharbaani say utra. Abb aap ko hergiz kafiron ka madadgaar na hona chahaye
Khayal rakhiye kay yeh kufaar aap ko Allah Taalaa ki aayaton ki tableegh say rok na den iss kay baad kay yeh aap ki janib utari gaeen to apnay rab ki taraf bulatay rahen aur shirk kerney walon mein say na hon
Allah Taalaa kay sath kissi aur mabood ko na pukarna ba-juz Allah Taalaa kay koi aur mabood nahi her cheez fana honey wali hai magar ussi ka mun. (aur zaat ) ussi kay liye farmanrawaee hai aur tum ussi ki taraf lotaye jaogay