Inn say aglon ko bhi hum ney khoob jancha. Yeqeenan Allah Taalaa unhen bhi jan ley ga jo sach kehtay hain aur unhen bhi maloom ker ley ga jo jhootay hain
Kiya jo log burayiyan ker rahey hain unhon ney yeh samajh rakha hai kay woh humaray qaboo say bahir ho jayen gay yeh log kaisi buri tajweezen ker rahen hain
Aur jo log eman laye aur unhon ney mutabiq-e-sunnat kaam kiye hum unn kay tamam gunahon ko unn say door ker den gay aur unhen unn kay nek aemaal kay behtareen badlay den gay
Hum ney her insan ko apnay maa baap kay sath acha salook kerney ki naseehat ki hai haan agar woh yeh kosish keren kay aap meray sath ussay shareek ker len jiss ka aap ko ilm nahi to unn ka kehna na maniyey tum sab ka lotna meri hi taraf hai phir mein her uss cheez say jo tum kertay thay tumhen khabar doon ga
Aur baaz log aisay bhi hain jo zabani kehtay hain kay hum eman laye hain lekin jab Allah ki raah mein koi mushkil aan parti hai to logon ko ezza dahi ko Allah Taalaa kay azab ki tarah bana letay hain haan haan agar Allah ki madad aajaye to pukar uthtay hain kay hum to tumharay sathi hi hain kiya duniya jahaan kay seeno mein jo kuch hai usay Allah Taalaa janta nahi hai
Kafiron ney eman walon say kaha kay tum humari raah ki taby daari kero tumharay gunah hum utha len gay halankay woh inn kay gunahon mein say kuch bhi nahi uthaney walay yeh to mehaz jhootay hain
Albatta yeh apnay bojh dho len gay aur apnay bojhon kay sath hi aur bojh bhi. Aur jo kuch iftra perdaziyan ker rahey hain unn sab ki babat unn say baaz purs ki jaye gi
Aur hum ney nooh (alh-e-salam) ko unn ki qom ki taraf bheja woh unn mein sarhay no so saal tak rahey phir to unhen toofan ney dhar pakra aur woh thay bhi zalim
Aur ibrahim (alh-e-salam) ney bhi apni qom say farmaya kay Allah Taalaa ki ibadat kero aur uss say dartay raho agar tum mein daanaaee hai to yehi tumharay liye behtar hai
Tum to Allah Taalaa kay siwa buton ki pooja paat ker rahey ho aur jhooti baatein dil say gharh letay ho. Suno! Jin jin ki tum Allah Taalaa kay siwa pooja paat ker rahey ho woh to tumhari rozi kay malik nahi pus tumhen chahayey kay tum Allah Taalaa hi say roziyan talab kero aur ussi ki ibadat kero aur ussi ki shukar guzari kero aur ussi ki taraf tum lotaye jao gay
Kiya enhon ney nahi dekha kay makhlooq ki ibtida kissa tarah Allah ney ki phir Allah iss ka aey-aada keray ga yeh to Allah Taalaa per boht hi aasan hai
Keh dijiye! kay zamin mein chal phir ker dekho to sahi kay kiss tarah Allah Taalaa ney ibtida’an pedaeesh ki. Phir Allah Taalaa hi doosri naee pedaeesh keray ga Allah Taalaa her cheez per qadir hai
Unn ki qom ka jawab ba-juz iss kay kuch na tha kay kehney lagay kay issay maar dalo ya issay jala do. Aakhirish Allah ney unhen aag say bacha liya iss mein eman walay logon kay liye boht si nishaniyan hain
(hazrat ibrahim alh-e-salam ney) kaha kay tum ney jin buton ki parastish Allah kay siwa ki hai unhen tum ney apni aapas ki duniyawi dosti ki bina thera li hai tum sab qayamat kay din aik doosray say kufur kerney lago gay aur aik doosray per lanat kerney lago gay. Aur tumhara sab ka thikana dozakh hoga aur tumhara koi madadgaar na hoga
Pus hazrat ibrahim (alh-e-salam) per hazrat loot (alh-e-salam) eman laye aur kehnay lagay kay mein apnay rab ki taraf hijrat kerney wala hun. Woh bara hi ghalib aur hakeem hai
Aur hazrat loot (alh-e-salam) ka bhi ziker kero jabkay unhon ney apni qom say farmaya kay tum to iss bad-kaari per utar aaye ho jissay tum say pehlay duniya bhar mein say kissi ney nahi kiya
Kiya tum mardon kay pass bad faylee kay liye aatay ho aur raastay band kertay ho aur apni aam majlison mein bey hayaeeyon ka kaam kertay ho? Iss kay jawab mein uss ki qom ney ba-juz iss kay aur kuch nahi kaha kay bus jaa agar sacha hai to humaray pass Allah ka azab ley aa
Aur jab humaray bhejay huyey farishtay hazrat ibrahim (alh-e-salam) kay pass bisharat ley ker phonchay kehnay lagay kay iss basti walon ko hum halak kerney walay hain yaqeenan yahan kay rehney walay gunehgaar hain
(hazrat ibrahim alh-e-salam ney) kaha iss mein to loot (alh-e-salam) hain farishton ney kaha yahan jo hain hum unhen ba-khoobi jantay hain. Loot (alh-e-salam) ko aur uss kay khandan ko siwaye uss ki biwi kay hum bacha len gay albatta woh aurat peechay reh janey walon mein say hai
Phir jab humaray qasid loot (alh-e-salam) kay pass phonchay to woh inn ki waja say ghumgeen huyey aur dil hi dil mein ranj kerney lagay. Qasidon ney kaha aap na khof khayiey na aazarda hon hum aap ko maa aap kay mutallaqeen kay bacha len gay magar aap ki biwi kay woh azab kay liye baqi reh janey walon mein say hogi
Aur madiyan ki taraf hum ney unn kay bhai shoaib (alh-e-salam) ko bheja unhon ney kaha aey meri qom kay logo! Allah ki ibadat kero qayamat kay din ki tawaqqa rakho aur zamin mein fasad na kertay phiro
Aur hum ney aadiyon aur samoodiyon ko bhi gharat kiya jin kay baad makanaat tumharay samney zahir hain aur shetan ney unhen unn ki bad aemaaliyan aaraasta ker dikhaee thin aur unhen raah say rok diya tha bawajood yeh kay yeh aankhon walay aur hoshiyaar thay
Aur qaroon aur firaon aur haamaan ko bhi unn kay pass hazrat musa (alh-e-salam) khulay khulay moajzzay ley ker aaye thay phir bhi unhon ney zamin mein takabbur kiya lekin hum say aagay barhney walay na ho sakay
Phir to her aik ko hum ney uss kay gunah ka wabaal mein giriftar ker liya inn mein say baaz per hum ney pathron ka menh barsaya aur inn mein say baaz ko zor daar awaz sakht awaz ney daboch liya aur inn mein say baaz ko hum ney zamin mein dhansa diya aur inn mein say baaz ko hum ney dobo diya Allah Taalaa aisa nahi kay unn per zulm keray bulkay yehi log apni jano per zulm kertay thay
Jin logon ney Allah Taalaa kay siwa aur kaar saaz muqarrar ker rakhay hain unn ki misaal makri ki si hai kay woh bhi aik ghar bana leti hai halankay tamam gharon say ziyada boda ghar makri ka ghar hi hai kaash! Woh jaan letay
Jo kitab aap ki taraf wahee ki gaee hai ussay parhiyey aur namaz qaeem keren yaqeenan namaz bey hayaee aur buraee say rokti hai be-shak Allah ka ziker boht bari cheez hai tum jo kuch ker rahey ho uss say Allah khabardaar hai
Aur ehal-kitab kay sath behas-o-mubahisa na kero magar iss tareeqay per jo umdah ho magar unn kay sath jo unn mein zalim hain aur saaf aeylaan kerdo kay humara to iss kitab per bhi eman hai jo hum per utari gaee hai aur iss per bhi jo tum per utari gaee hai humara tumhara mabood aik hi hai. Hum sab ussi kay hukum bardaar hain
Aur hum ney issi tarah aap ki taraf apni kitab nazil farmaee hai pus jinhen hum ney kitab di hai woh iss per eman latay hain aur inn (mushrikeen) mein say baaz iss per eman rakhtay hain aur humari aayaton ka inkar sirf kafir hi kertay hain
Unhon ney kaha iss per kuch nishaniyan (moajzzaat) iss kay rab ki taraf say kiyon nahi utaray gaye. Aap keh dijiye kay nishaniyan to sab Allah Taalaa kay pass hain mein to sifr khullam khulla aagah ker denay wala hun
Kiya enhen yeh kafi nahi? Kay hum ney aap per kitab nazil farma di jo inn per parhi ja rahi hai iss mein rehmat (bhi) hai aur naseehat (bhi) hai unn logon kay liye jo eman latay hain
Keh dijiye kay mujh mein aur tum mein Allah Taalaa gawah hona kafi hai woh aasman-o-zamin ki her cheez ka aalim hai jo log batil kay mannay walay aur Allah Taalaa say kufur kerney walay hain woh zabardast nuksan aur ghatay mein hain
Yeh log aap say azab ki jaldi ker rahey hain. Agar meri taraf say muqarrar kiya hua waqt na hota to abhi tak inn kay pass azab aa chuka hota yeh yaqeeni baat hai kay achanak inn ki bey khabri mein inn kay pass azab aa phonchay ga
Aur jo log eman laye aur nek kaam kiye unhen hum yaqeenan jannat kay unn bala khano mein jaga den gay jin kay neechay chashmen beh rahey hain jahan woh hamesha rahen gay kaam kerney walon ka kiya hi acha ajar hai
Aur agar aap inn say daryaft keren kay zamin-o-aasman ka khaliq aur sooraj chand ko kaam mein laganey wala kaun hai? To inn ka jawab yehi hoga kay Allah Taalaa phir kidhar ultay jarahey hain
Aur agar aap inn say sawal keren kay aasman say pani utaar ker zamin ko uss ki maut kay baad zinda kiss ney kiya? To yaqeenan inn ka jawab yehi hoga Allah Taalaa ney. Aap keh den kay her tareef Allah hi kay liye saza waar hai bulkay inn mein say aksar bey aqal hain
Pus yeh log jab kashti mein sawar hotay hain to Allah Taalaa hi ko pukartay hain uss kay liye ibadat ko khalis ker kay phir jab woh enhen khuski ki taraf bacha laata hai to ussi waqt shirk kerney lagtay hain
Kiya yeh nahi dekhtay kay hum ney haram ko baa-aman bana diya hai halankay inn kay ird-gird say log uchak liye jatay hain kiya yeh batil per to yaqeen rakhtay hain aur Allah Taalaa ki nematon per na-shukri kertay hain
Aur uss say bara zalim kaun hoga? Jo Allah Taalaa per jhoot bandhay ya jab haq uss kay pass aajaye woh ussay jhutlaye kiya aisay kafiron ka thikana jahannum mein na hoga