Back to Languages

Urdu - Chapter 30 - Ar-Rum

Translation by Muhammad Junagarhi — Permalink

Verse 1 — Surah Ar-Rum 30:1

Verse 2 — Surah Ar-Rum 30:2

Roomi maghloob hogaye hain

Verse 3 — Surah Ar-Rum 30:3

Nazdeek ki zamin per aur woh maghloon honey kay baad un-qareeb ghalib aajayen gay

Verse 4 — Surah Ar-Rum 30:4

Chand saal mein hi. Iss say pehlay aur iss kay baad bhi ikhtiyar Allah Taalaa hi ka hai. Uss roz musalman shaadmaan hongay

Verse 5 — Surah Ar-Rum 30:5

Allah ki madad say woh jiss ki chahata hai madad kerta hai. Asal ghalin aur meharbaan wohi hai

Verse 6 — Surah Ar-Rum 30:6

Allah ka wada hai Allah Taalaa apnay waday kay khilaf nahi kerta lekin aksar log nahi jantay

Verse 7 — Surah Ar-Rum 30:7

Woh to (sirf) duniyawi zindagi kay zahir ko (hi) jantay hain aur aakhirat say to bilkul hi bay khabar hain

Verse 8 — Surah Ar-Rum 30:8

Kiya inn logon ney apnay dil mein yeh ghor nahi kiya? Kay Allah Taalaa ney aasmano ko aur zamin aur inn kay darmiyan jo kuch hai sab ko behtareen qareeney say muqarrar waqt tak kay liye hi (peda) kiya hai haan aksar log yaqeenan apnay rab ki mulaqat kay munkir hain

Verse 9 — Surah Ar-Rum 30:9

Kiya enhon ney zamin mein chal phir ker yeh nahi dekha kay inn say pehlay logon ka anjam kaisa (bura) hua? Woh inn say boht zada tawana (aur taqatwar) thay aur unhon ney (bhi) zamin boee joti thi aur inn say ziyada abad ki thi aur unn kay pass unkay rasool roshan dalaeel ley ker aaye thay. Yeh to na mumkin tha kayAllah Taalaa unn per zulm kerta lekin (dar asal) woh khud apni jano per zulm kertay thay

Verse 10 — Surah Ar-Rum 30:10

Phir aakhrish bura kerney walon ka boht hi bura anjam hua iss liye kay woh Allah Taalaa ki aayaton ko jhutlatay thay aur inn ki hansi uratay thay

Verse 11 — Surah Ar-Rum 30:11

Allah Taalaa hi makhlooq ki ibtida kerta hai phir wohi ussay doobara peda keray ga phir tum sab ussi ki taraf lotaye jaogay

Verse 12 — Surah Ar-Rum 30:12

Aur jiss din qayamat qaeem hogi to gunehgaar heyrat zada reh jayen gay

Verse 13 — Surah Ar-Rum 30:13

Aur inn kay tamam tar shareekon mein say aik bhi inn ka sifarshi na hoga aur (khud yeh bhi) apnay shareekon kay munkir ho jayen gay

Verse 14 — Surah Ar-Rum 30:14

Aur jiss din qayamat qaeem hogi uss din (jamaten) alag alag hojayen gi

Verse 15 — Surah Ar-Rum 30:15

Jo eman laa ker nek aemaal kertay rahey woh to jannat mein khush-o-khurram ker diyey jayen gay

Verse 16 — Surah Ar-Rum 30:16

Aur jinhon ney kufur kiya tha aur humari aayaton ko aur aakhirat ki mulaqat ko jhoota theraya tha woh sab azab mein pakar ker hazir rakhay jayen gay

Verse 17 — Surah Ar-Rum 30:17

Pus Allah Taalaa ki tasbeeh parha kero jab kay tum shaam kero aur jab subah kero

Verse 18 — Surah Ar-Rum 30:18

Tamam tareefon kay laeeq aasman-o-zamin mein sirf wohi hai teesray pehar bhi aur zohar kay waqt bhi (uss ki pakeezgi biyan kero)

Verse 19 — Surah Ar-Rum 30:19

(wohi) zinda ko murda say aur murda ko zinda say nikalta hai. Aur wohi zamin ko uss ki maut kay baad zinda kerta hai issi tarah tum (bhi) nikalay jao gay

Verse 20 — Surah Ar-Rum 30:20

Allah ki nishaniyon mein say hai kay uss ney tum ko mitti say peda kiya phir abb insan bann ker (chaltay phirtay) phel rahey ho

Verse 21 — Surah Ar-Rum 30:21

Aur uss ki nishaniyon mein say hai kay tumhari hi jins say biwiyan peda ki takay tum inn say aaram pao uss ney tumharay darmiyan mohabbat aur humdardi qaeem kerdi yaqeenan ghor-o-fiker kerney walon kay liye iss mein boht si nishaniyan hain

Verse 22 — Surah Ar-Rum 30:22

Uss (ki qudrat) ki nishaniyon mein say aasmano aur zamin ki pedaeesh aur tumhari zabano aur rangaton ka ikhtilaf (bhi) hai danish mando kay liye iss mein yaqeenan bari nishaniyan hain

Verse 23 — Surah Ar-Rum 30:23

Aur (bhi) uss ki (qudrat ki) nishani tumhari raton aur din ki neend mein hai aur uss kay fazal (yani rozi) ko tumhara talash kerna bhi hai. Jo log (kaan laga ker) sunnay kay aadi hain unn kay liye iss mein boht si nishaniyan hain

Verse 24 — Surah Ar-Rum 30:24

Aur uss ki nishaniyon mein say aik yeh (bhi) hai kay woh tumhen daraney aur umeedwaar bananay kay liye bijliyan dikhata hai aur aasman say barish barsata hai aur iss say murda zamin ko zinda ker deta hai iss mein (bhi) aqal mando kay liye boht si nishaniyan hain

Verse 25 — Surah Ar-Rum 30:25

Uss ki aik nishani yeh bhi hai kay aasman-o-zamin ussi kay hukum say qaeem hain phir jab woh tumhen awaz dey ga sirf aik baar ki awaz kay sath hi tum sab zamin say nikal aao gay

Verse 26 — Surah Ar-Rum 30:26

Aur aasman-o-zamin ki her her cheez ussi ki milkiyat hai aur her aik ussi kay farman kay ma-tehat hai

Verse 27 — Surah Ar-Rum 30:27

Wohi hai jo awwal baar makhlooq ko peda kerta hai phir ussay doobara peda keray ga aur yeh to uss per boht aasaan hai. Ussi ki behtareen aur aalaa sift hai aasmano aur zamin mein bhi aur wohi ghalbay wala hikmat wala hai

Verse 28 — Surah Ar-Rum 30:28

Allah Taalaa ney tumharay liye aik misaal khud tumhari hi biyan farmaee jo kuch hum ney tumhen dey rakha hai kiya uss mein tumharay ghulamon mein say bhi koi tumhara shareek hai? Kiya tum aur woh iss mein barabar darjay kay ho? Aur tum inn ka aisa khatra rakhtay ho jaisa khud apno ka hum aqal rakhney walon kay liye issi tarah khol khol ker aayaten biyan ker detay hain

Verse 29 — Surah Ar-Rum 30:29

Bulkay baat yeh hai kay yeh zalim to baghair ilm kay khuwaish parasti ker rahey hain ussay kaun raah dikhaye jissay Allah Taalaa raah say hata dey unn ka aik bhi madadgaar nahi

Verse 30 — Surah Ar-Rum 30:30

Pus aap yeksoo hoker apna mun deen ki taraf mutawajja ker den. Allah Taalaa ki woh fitrat jiss per uss ney logon ko peda kiya hai Allah Taalaa kay banaye ko badlna nahi yehi seedah deen hai lekin aksar log nahi samajhtay

Verse 31 — Surah Ar-Rum 30:31

(logo!) Allah Taalaa ki taraf rujoo ho ker uss say dartay raho aur namaz ko qaeem rakho aur mushrikeen mein say na ho jao

Verse 32 — Surah Ar-Rum 30:32

Unn logon mein say jinhon ney apnay deen ko tukray tukray ker diya aur khud bhi giroh giroh hogaye her giroh uss cheez per jo uss kay pass hai magan hai

Verse 33 — Surah Ar-Rum 30:33

Logon ko jab kabhi koi museebat phonchti hai to apnay rab ki taraf (poori tarah) rujoo ho ker duyayen kertay hain phir jab woh apni taraf say rehmat ka maza chakhata hai to unn mein say aik jamat apnay rab kay sath shirk kerney lagti hai

Verse 34 — Surah Ar-Rum 30:34

Takay woh uss cheez ki na-shukri keren jo hum ney unhen di hai acha tum faeeda utha lo abhi abhi tumhen maloom hojaye ga

Verse 35 — Surah Ar-Rum 30:35

Kiya hum ney unn per koi daleel nazil ki hai jo ussay biyan kerti hai jissay yeh Allah kay sath shareek ker rahey hain

Verse 36 — Surah Ar-Rum 30:36

Aur jab hum logon ko rehmat ka maza chakhatay hain to woh khoob khush ho jatay hain aur agar unhen unn kay hathon kay kertoot ki waja say koi buraee phonchay to aik dum woh mehaz na-umeed ho jatay hain

Verse 37 — Surah Ar-Rum 30:37

Kiya enhon ney yeh nahi dekha kay Allah Taalaa jissay chahaye kushada rozi deta hai aur jissay chahaye tang iss mein bhi unn logon kay liye jo eman latay hain nishaniyan hain

Verse 38 — Surah Ar-Rum 30:38

Pus qarabat daar ko miskeen ko musafir ko her aik ko uss ka haq dijiye yeh unn kay liye behtar hai jo Allah Taalaa ka mun dekhna chahatay hon aisay hi log nijat paney walay hain

Verse 39 — Surah Ar-Rum 30:39

Tum jo sood per detay ho kay logon kay maal mein barhta rahey woh Allah Taalaa kay haan nahi barhta. Aur jo kuch sadqa zakat tum Allah Taalaa ka mun dekhney (aur khushnoodi kay liye) do to aisay log hi hain apna do chand kerney walay

Verse 40 — Surah Ar-Rum 30:40

Allah Taalaa woh hai jiss ney tumhen peda kiya phir rozi di phir maar dalay ga phir zinda ker dey ga batao tumharay shareeko mein say koi bhi aisa hai jo inn say kuch bhi ker sakta ho. Allah Taalaa kay liye paki aur bar tari hai her uss sharik say jo yeh log muqarrar kertay hain

Verse 41 — Surah Ar-Rum 30:41

Khushki aur tari mein logon ki bad aemaaliyon kay baees fasad phel gaya. Iss liye kay unhen unn kay baaz kertooton ka phal Allah Taalaa chakha dey (boht) mumkin hai kay woh baaz aajayen

Verse 42 — Surah Ar-Rum 30:42

Zamin mein chal phir ker dekho to sahi kay aglon ka anjam kiya hua. Jin mein aksar log mushrik thay

Verse 43 — Surah Ar-Rum 30:43

Pus aap apna rukh uss sachay aur seedhay deen ki taraf hi rakhen qabal iss kay kay woh din aajaye jiss ka tal jana Allah Taalaa ki taraf say hai hi nahi uss din sab mutafarriq ho jayen gay

Verse 44 — Surah Ar-Rum 30:44

Kufur kerney walon per unn kay kufur ka wabaal hoga aur nek kaam kerney walay apni hi aaram gaah sanwaar rahey hain

Verse 45 — Surah Ar-Rum 30:45

Takay Allah Taalaa unhen apnay fazal say jaza dey jo eman laye aur nek aemaal kiyey woh kafiron ko dost nahi rakhta hai

Verse 46 — Surah Ar-Rum 30:46

Uss ki nishaniyon mein say khushkhabriyan denay wali hawaon ko chalana bhi hai iss liye kay tumhen apni rehmat say lutf andoz keray aur iss liye kay uss kay hukum say kashtiyan chalen aur iss liye kay uss kay fazal ko tum dhondo aur iss liye kay tum shukar guzari kero

Verse 47 — Surah Ar-Rum 30:47

Aur hum ney aap say pehlay bhi apnay rasoolon ko unn ki qom ki taraf bheja woh unn kay pass deleelen laye. Phir hum ney gunehgaaron say intiqam liya. Hum per momino ki madad kerna lazim hai

Verse 48 — Surah Ar-Rum 30:48

Allah Taalaa hawayen chalata hai woh abar ko uthati hain phir Allah Taalaa apni mansha kay mutabiq ussay aasman mein phela deta hai aur uss kay tukray tukray ker deta hai phir aap dekhtay hain kay uss kay andar say qatray nikaltay hain aur jinhen Allah chahata hai unn bandon per qoh pani barsata hai to woh khush khush ho jatay hain

Verse 49 — Surah Ar-Rum 30:49

Yaqeen manna kay barish unn per barasney say pehlay pehlay to woh na umeed ho rahey thay

Verse 50 — Surah Ar-Rum 30:50

Pus aap rehmat-e-elahee kay aasaar dekhen kay zamin ki maut kay baad kiss tarah Allah Taalaa ussay zinda ker deta hai? Kuch shak nahi kay wohi murdon ko zinda kerney wala hai aur woh her her cheez per qadir hai

Verse 51 — Surah Ar-Rum 30:51

Aur agar hum baad-e-tund chala den aur yeh log inhi kheton ko (mujahee hui) zard pari hui dekh len to phir iss kay baad na shukri kerney lagen

Verse 52 — Surah Ar-Rum 30:52

Be-shak aap murdon ko nahi suna saktay aur na behron ko (apni) awaz suna saktay hain jab kay woh peeth pher ker murr gaye hon

Verse 53 — Surah Ar-Rum 30:53

Aur na aap andhon ko unn ki gumrahee say hidayat kerney walay hain aap to sirf unhi logon ko sunatay hain jo humari aayaton per eman rakhtay hain pus wohi itaat kerney walay hain

Verse 54 — Surah Ar-Rum 30:54

Allah Taalaa wohi hai jiss ney tumhen kamzori ki halat mein peda kiya phir uss kamzori kay baad tawanaee di phir uss tawanaee kay baad kamzori aur burhapa diya jo chahata hai peda kerta hai woh sab say poora waqif aur sab per poora qadir hai

Verse 55 — Surah Ar-Rum 30:55

Aur jiss din qayamat barpa ho jayegi gunehgaar log qasmen khayen gay kay (duniya mein) aik ghari kay siwa nahi theray issi tarah yeh behkay huyey hi rahey

Verse 56 — Surah Ar-Rum 30:56

Aur jin logon ko ilm aur eman diya gaya woh jawab den gay kay tum to jaisa kitab-ul-llah mein hai yom-e-qayamat tak theray rahey. Aaj ka yeh din qayamat hi ka din hai lekin tum to yaqeen hi nahi mantay thay

Verse 57 — Surah Ar-Rum 30:57

Pus uss din zalimo ko unn ka uzur bahana kuch kaam na aaye ga aur na unn say toba aur amal talab kiya jayega

Verse 58 — Surah Ar-Rum 30:58

Be-shak hum ney iss quran mein logon kay samney kul misaalen biyan ker di hain. Aap inn kay pass koi bhi nishani laayen yeh kafir to yehi kahen gay kay tum (be-huda go) bilkul jhootay ho

Verse 59 — Surah Ar-Rum 30:59

Allah Taalaa unn logon kay dilo per jo samajh nahi rakhtay yun hi mohar ker deta hai

Verse 60 — Surah Ar-Rum 30:60

Pus aap sabar keren yaqeenan Allah ka wada sacha hai. Aap ko woh log halka (bey sabra) na keren jo yaqeen nahi rakhtay