Back to Languages

Urdu - Chapter 31 - Luqman

Translation by Muhammad Junagarhi — Permalink

Verse 1 — Surah Luqman 31:1

Verse 2 — Surah Luqman 31:2

Yeh hikmat wali kitab ki aayaten hain

Verse 3 — Surah Luqman 31:3

Jo neko karon kay liye rehbar aur (sirasir) rehmat hai

Verse 4 — Surah Luqman 31:4

Jo log namaz qaeem kertay hain aur zakat ada kertay hain aur aakhirat per (kamil) yaqeen rakhtay hain

Verse 5 — Surah Luqman 31:5

Yehi log hain jo apnay rab ki taraf say hidayat per hain aur yehi log nijat paney walay hain

Verse 6 — Surah Luqman 31:6

Aur baaz log aisay bhi hain jo laghaw baaton ko mol letay hain kay bey-ilmi kay sath logon ko Allah ki raah say behkayen aur ussay hansi banayen yehi woh log hain jin kay liye ruswa kerney wala azab hai

Verse 7 — Surah Luqman 31:7

Jab iss kay samney humari aayaten tilawat ki jati hain to takabbur kerta hua iss tarah say mun pher leta hai goya uss ney suna hi nahi goya kay uss kay dono kano mein daat lagay huyey hain aap issay dardnaak azab ki khabar suna dijiye

Verse 8 — Surah Luqman 31:8

Be-shak jin logon ney eman qabool kiya aur kaam bhi nek (mutabiq sunnat) kiyey unn kay liye nematon wali jannaten hain

Verse 9 — Surah Luqman 31:9

Jahan woh humesha rahen gay. Allah ka sacha wada hai woh boht bari izzat-o-ghalbay wala aur kamil hikmat wala hai

Verse 10 — Surah Luqman 31:10

Ussi ney aasmano ko baghair sutoon kay peda kiya hai tum enhen dekh rahey ho aur iss ney zamin mein paharon ko daal diya takay woh tumhen junbish na dey sakay aur her tarah kay jandaar zamin mein phela diyey. Aur hum ney aasman say pani barsa ker zamin mein her qisam kay nafees joray uga diyey

Verse 11 — Surah Luqman 31:11

Yeh hai Allah ki makhlooq abb tum mujhay iss kay siwa doosray kisi ki makhlooq to dikhao (kuch nahi) bulkay yeh zalim khulli gumarhee mein hain

Verse 12 — Surah Luqman 31:12

Aur hum ney yaqeenan luqman ko hikmat di thi kay tu Allah Taalaa ka shukar ker her shukar kerney wala apnay hi nafay kay liye shukar kerta hai jo bhi na shukri keray woh jaan ley kay Allah Taalaa bey niyaz aur tareefon wala hai

Verse 13 — Surah Luqman 31:13

Aur jab kay luqman ney waaz kehtay huyey apnay larkay say farmaya kay meray piyaray bachay! Allah kay sath shareek na kerna be-shak shirk bara bhaari zulm hai

Verse 14 — Surah Luqman 31:14

Hum ney insan ko uss kay maa baap kay mutalliq naseehat ki hai uss ki maa ney dukh per dukh utha ker ussay hamal mein rakha aur uss ki doodh chraee do baras mein hai kay tu meri aur apnay maa baap ki shukar guzari ker (tum sab ko) meri hi taraf lot ker aana hai

Verse 15 — Surah Luqman 31:15

Aur agar woh dono tujh per iss baat ka dabao daalen kay tu meray sath shareek keray jiss ka tujhay ilm na ho to tu unn ka kehna na manna haan duniya mein unn kay sath achi tarah basar kerna aur uss ki raah chalna jo meri taraf jhuka hua ho tumhara sab ka lotna meri hi taraf hai tum jo kuch kertay ho iss say phir mein tumhen khabardaar ker doon ga

Verse 16 — Surah Luqman 31:16

Piayaray betay agar koi cheez raaee kay danay kay barabar ho phir woh (bhi) khua kissi chattaan mein ho ya aasmano mein ho ya zamin mein ho ussay Allah Taalaa zaroor laye ga Allah Taalaa boht bareek been aur khabrdaar hai

Verse 17 — Surah Luqman 31:17

Aey meray piyaray betay! Tu namaz qaeem rakhna achay kaamo ki naseehat kertay rehna buray kamon say mana kiya kerna aur jo museebat tum per aajaye sabar kerna (yaqeen maan) kay yeh baray takeedi kaamo mein say hai

Verse 18 — Surah Luqman 31:18

Logon kay samney apnay gaal na phula aur zamin per itra ker na chal. Kissi takabbur kerney walay shekhi khoray ko Allah Taalaa pasand nahi farmata

Verse 19 — Surah Luqman 31:19

Apni raftar mein miyana rawi ikhtiyar ker aur pani awaz past ker yaqeenan awazon mein sab say badtar awaz gadhon ki awaz hai

Verse 20 — Surah Luqman 31:20

Kiya tum nahi dekhtay kay Allah Taalaa ney zamin-o-aasman ki her cheez ko tumharay kaam mein laga rakha hai aur tumhen apni zahiri-o-baatni nematen bharpoor dey rakhi hain baaz log Allah kay baray mein baghair ilm kay aur baghair hidayat kay aur baghair roshan kitab kay jhagra kertay hain

Verse 21 — Surah Luqman 31:21

Aur jab unn say kaha jata hai kay Allah ki utari hui wahee ki tabey daari kero to kehtay hain kay hum ney to jiss tareeq per apnay baap dadon ko paya hai ussi ki tabey daari keren gay agar cheh shetan inn kay baron ko dozakh kay azab ki taraf bulata ho

Verse 22 — Surah Luqman 31:22

Aur jo (shaks) apnay aap ko Allah kay tabey ker dey aur ho bhi woh neko kaar yaqeenan uss ney mazboot kara thaam liya tamam kaamo ka anjam Allah ki taraf hai

Verse 23 — Surah Luqman 31:23

Kafiron kay kufur say aap ranjeedah na hon aakhir inn sab ka lotna humari janib hi hai phir hum inn ko batayen gay jo enhon ney kiya hai be-shak Allah seeno kay bhedon tak say waqif hai

Verse 24 — Surah Luqman 31:24

Hum enhen go kuch yun hi sa faeedah dey den lekin (bil-aakhir) hum enhen nihayat bey chaargi ki halat mein sakht azab ki taraf hanka ley jayen gay

Verse 25 — Surah Luqman 31:25

Agar aap inn say daryaft keren kay aasman-o-zamin ka khaliq kaun hai? To yeh zaroor jawab den gay kay Allah to keh dijiye kay sab tareef kay laeeq Allah hi hai lekin inn mein kay aksar bey ilm hain

Verse 26 — Surah Luqman 31:26

Aasmano mein aur zamin mein jo kuch hai woh sab Allah hi ka hai yaqeenan Allah Taalaa boht bara bey niyaz aur saza waar hamd-o-sana hai

Verse 27 — Surah Luqman 31:27

Roy-e-zamin kay (tamam) darkhton ki agar qalamen hojayen aur tamam samandaron ki seehaee ho aur inn kay baad sath samnadar aur hon tahum Allah kay kalmaat khatam nahi ho saktay be-shak Allah Taalaa ghalib aur ba-hikmat hai

Verse 28 — Surah Luqman 31:28

Tum sab ki pedaeesh aur marney kay baad jilana aisa hi hai jesay aik ji ka be-shak Allah Taalaa sunnay wala dekhney wala hai

Verse 29 — Surah Luqman 31:29

Kiya aap nahi dektay kay Allah Taalaa raat ko din mein aur din ko raat mein khapa deta hai sooraj chand ko ussi ney farma bardar ker rakha hai kay her aik muqarrara waqt tak chalta rahey Allah Taalaa her uss cheez say jo tum kertay ho khabardaar hai

Verse 30 — Surah Luqman 31:30

Yeh sab (intizamaat) iss waja say hain kay Allah Taalaa haq hai aur uss kay siwa jin jin ko log pukartay hain sab batil hain aur yaqeenan Allah Taalaa boht bulandiyon wala aur bati shaan wala hai

Verse 31 — Surah Luqman 31:31

Kiya tum iss per ghor nahi kertay kay dariya mein kashtiyan Allah kay fazal say chal rahi hain iss liye kay woh tumhen apni nishaniyan dikhaway yaqeenan iss mein her aik sabar shukar kerney walay kay liye boht si nishaniyan hain

Verse 32 — Surah Luqman 31:32

Aur jab unn per mojen saeebanon ki tarah chah jati hain to woh (nihayat) khuloos kay sath aeytiqaad kerkay Allah Taalaa hi ko pukartay hain. Phir jab woh (bari taalaa) unhen nijat dey ker khushki ki taraf phonchata hai to kuch inn mein say aeytidaal per rehtay hain aur humari aayaton ka inkar sirf wohi kertay hain jo bad-ehad aur na shukray hon

Verse 33 — Surah Luqman 31:33

Logo! Apnay rab say daro aur uss din ka khof kero jiss din baapo apnay betay ko koi nafa na phoncha sakay ga aur na beta apnay baap ka zara sa bhi nafa kerney wala hoga (yaad rakho) Allah ka wada sacha hai (dekho) tumehn duniya ki zindagi dhokay mein na dalay aur na dhokay baaz (shetan) tumehn dhokay mein daal dey

Verse 34 — Surah Luqman 31:34

Be-shak Allah Taalaa hi kay pass qayamat ka ilm hai wohi barish nazil farmata hai aur maa kay pet mein jo hai ussay janta hai. Koi (bhi) nahi janta kay kal kiya (kuch) keray ga? Na kissi ko yeh maloom hai kay kiss zamin mein maray ga (yaad rakho) Allah Taalaa ho pooray ilm wala aur sahih khabron wala hai