Kiya yeh kehtay hain kay iss ney issay gharh liya hai. ( nahi nahi) bulkay yeh teray rab Taalaa ki taraf say haq hai takay aap unhen darayen jin kay pass aap say pehlay koi daraney wala nahi aaya takay woh raah-e-raast per aajyen
Allah Taalaa woh hai jiss ney aasmano-o- zamin ko aur jo kuch inn kay darmiyan hai sab ko cheh din mein pedah ker diya phir arsh per qaeem hua tumharay liye uss kay siwa koi madadgar aur sifarishi nahi. Kiya phir bhi tum naseehat hasil nahi kertay
Woh aasman say ley ker zamin tak (her) kaam ki tadbeer kerta hai phir (woh kaam) aik aisay din mein uss ki taraf charh jata hai jiss ka andaza tumhari ginti kay aik hazar saal kay barbar hai
Kaash kay aap dekhtay jab kay gunehgar log apnay rab Taalaa kay samney sir jhukaye huyey hongay kahen gay aey humaray rab! Hum ney dekh liya aur sunn liya abb tu humen wapis lota dey hum nek aemaal keren gay hum yaqeen kerney walay hain
Agar hum chahtay to her shaks ko hidayat naseeb farma detay lekin meri yeh baat bilkul haq ho chuki hai kay mein zaroor zaroor jahannum ko insano aur jinno say pur kerdoon ga
Abb tum apnay iss din ki mulaqat kay faramosh ker denay ka maza chakho hum ney bhi tumhen bhula diya aur apney kiye huye aemaal (ki shamat) say abdi azab ka maza chakho
Humari aayaton per wohi eman latay hain jinhen jab kabhi inn say naseehat ki jati hai to woh sajday mein gir partay hain aur apnay rab ki hamd kay sath uss ki tasbeeh parhtay hain aur takabbur nahi kertay hain
Inn ki kerwaten apnay bistaron say alag rehti hain apnay rab ko khof aur umeed kay sath pukartay hain aur jo kuch hum ney enhen dey rakha hai woh kharach kertay hain
Jin logon ney eman qabool kiya aur nek aemaal bhi kiye unn kay liye humeshgi wali jannaten hain mehmandari hai unn kay aemaal kay badlay jo woh kertay thay
Lekin jin logon ney hukum adooli ki unn ka thikana dozakh hai. Jab kabhi iss say bahir nikalna chahyen gay issi mein lota diyey jayen gay. Aur kah diya jayega kay apnay jhutlaney kay badlay aag ka azab chakho
Uss say barh ker zalim kaun hai jissay Allah Taalaa ki aayaton say waaz kiya gaya phir bhi uss ney unn say mun pher liya (yaqeen mano) kay hum bhi gunehgaron say intiqam leney walay hain
Be-shak hum ney musa ko kitab di pus aap ko hergiz uss ki mulaqat mein shak na kerna chahyey aur hum ney ussay bani israeel ki hidayat ka zariya banaya
Aur jab unn logon ney sabar kiya to hum ney unn mein say aisay paishwa banaye jo humaray hukum say logon ko hidayat kertay thay aur woh humari aayaton per yaqeen rakhtay thay
Kiya iss baat ney bhi enhen hidayat nahi di kay hum ney inn say pehlay boht si ummaton ko halak ker diya jin kay makano mein yeh chal phir rahey hain. Iss mein to (bari) bari nishaniyan hain. Kiya phir bhi yeh nahi sunntay
Kiya yeh nahi dekhtay kay hum pani ko banjar (ghair abad) zamin ki taraf baha ker ley jatay hain phir iss say hum khetiyan nikaltay hain jissay inn kay chopaye aur yeh khud khatay hain kiya phir bhi yeh nahi dekhtay