Verse 1 — Surah Saba 34:1
Tamam tareefen uss Allah kay liye sazawaar hain jiss ki milkiyat mein woh sab kuch hai jo aasmano aur zamin mein hai aakhirat mein bhi tareef ussi kay liye hai woh (bari) hikmaton wala aur (poora) khabardaar hai
Verse 2 — Surah Saba 34:2
Jo zamin mein jaye aur jo iss say niklay woh aasman say utray aur jo charh ker uss mein jaye woh sab say ba-khabar hai. Aur woh meharbaan nihayat bakhsish wala hai
Verse 3 — Surah Saba 34:3
Kuffaar kehtay hain hum per qayamat nahi aaye gi. Aap keh dijiyey! Kay mujhay meray rab ki qasam! Jo aalim-ul-ghaib hai kay woh yaqeenan tum per aaye gi Allah Taalaa say aik zarray kay barabar ki cheez bhi posheedah nahi na aasmano mein aur na zamin mein bulkay iss say bhi choti aur bari her cheez khuli kitab mein mojood hai
Verse 4 — Surah Saba 34:4
Takay woh eman walon aur neko kaaron ko bhala badla ata farmaye yehi log hain jin kay liye maghfirat aur izzat ki rozi hai
Verse 5 — Surah Saba 34:5
Aur humari aayaton ko neecha dikhaney ki jinhon ney kosish ki hai yeh woh log hain jin kay liye bad-tareen qisam ka dardnaak azab hai
Verse 6 — Surah Saba 34:6
Aur jinhen ilm hai woh dekh len gay jo kuch aap ki janib aap kay rab ki taraf say nazil hua hai woh (sarasir) haq hai aur Allah ghalib khoobiyon walay ki raah ki rehbari kerta hai
Verse 7 — Surah Saba 34:7
Aur kafiron ney kaha (aao) hum tumhen aik aisa shaks batlayen jo tumhen yeh khabar phoncha raha hai kay jab tum bilkul hi reza reza hojao gay to phir say aik naee pedaeesh mein aao gay
Verse 8 — Surah Saba 34:8
(hum nahi keh saktay) kay khud uss ney (hi) Allah per jhoot bandh liya hai ya ussay deewangi hai bulkay (haqeeqat yeh hai) kay aakhirat per yaqeen na rakhney walay hi azab mein aur door ki gumrahi mein hain
Verse 9 — Surah Saba 34:9
Kiya pus woh apnay aagay peechay aasman-o-zamin ko nahi dekh rahey? Agar hum chahayen to enhen zamin mein dhansa den ya inn per aasman kay tukray gira den yaqeenan iss mein poori daleel hai her uss banday kay liye jo (dil say) mutawajja ho
Verse 10 — Surah Saba 34:10
Aur hum ney dawood per apna fazal kiya aey paharo! Iss kay sath raghbat say tasbeeh parha kero aur parindon ko bhi (yehi hukum hai) aur hum ney iss kay liye loha naram ker diya
Verse 11 — Surah Saba 34:11
Kay tu poori poori zirhen bana aur joron mein andaza rakh tum sab nek kaam kiya kero. (yaqeen mano) kay mein tumharay aemaal dekh raha hun
Verse 12 — Surah Saba 34:12
Aur hum ney suleman kay liye hawa ko musakkhar ker diya kay subah ki manzil uss ki maheena bhar ki hoti thi aur shaam ki manzil bhi aur hum ney unn kay liye taanbay ka chashma baha diya. Aur uss kay rab kay hukum say baaz jinnat uss ki ma-tehati mein uss kay samney kaam kertay thay aur inn mein say jo bhi humaray hukum say sirtabi keray hum ussay bharakti hui aag kay azab ka maza chakhayen gay
Verse 13 — Surah Saba 34:13
Jo kuch suleman chahatay woh jinnat tayyar ker detay maslan qilay aur mujassmay aur hozon kay barabar lagan aur choolhon per jami hui mazboot deygen aey aal-e-dawood iss kay shukriya mein nek amal kero meray bandon mein say shukar guzar banday kum hi hotay hain
Verse 14 — Surah Saba 34:14
Phir jab hum ney unn per maut ka hukum bhej diya to unn ki khabar jinnat ko kissi ney na di siwaye ghunn kay keeray kay jo unn kay asa ko kha raha tha. Pus jab (suleman) gir paray uss waqt jinno ney jaan liya kay agar woh ghaib daan hotay to iss zillat kay azab mein mubtila na rehtay
Verse 15 — Surah Saba 34:15
Qom-e-saba kay liye apni bastiyon mein (qudrat-e-elahee ki) nishani thi unn kay dayen bayen do baagh thay (hum ney unn ko hukum diya tha kay) apnay rab ki di hui rozi khao aur uss ka shukar ada kero yeh umdah shehar aur woh bakhshney wala rab hai
Verse 16 — Surah Saba 34:16
Lekin unhon ney roo-gardani ki to hum ney unn per zor kay selab (ka paani) bhej diya aur hum ney unn kay (haray bharay) baaghon kay badlay do (aisay) baagh diye jo bad-maza mewon walay aur (ba-kasrat) jhao aur kuch bairi kay darakhton walay thay
Verse 17 — Surah Saba 34:17
Hum ney unn ki na-shukri ka yeh badla unhen diya. Hum (aisi) sakht saza baray baray na-shukron hi ko detay hain
Verse 18 — Surah Saba 34:18
Aur hum ney unn kay aur unn bastiyon kay darmiyan jin mein hum ney barkat dey rakhi thi chand bastiyan aur (abad) rakhi thin jo bar sir-e-raah zahir thin aur inn mein chalney ki manzilen muqarrar kerdi thin inn mein raton aur dino ko ba-aman-o-amaan chaltay phirtay thay
Verse 19 — Surah Saba 34:19
Lekin unhon ney phir kaha kay aey humaray perwerdigar! Humaray safar door daraz ker day chunkay khud unhon ney apnay hathon apna bura kiya iss liye hum ney unhen (guzishta) fasano ki soorat mein ker diya aur unn kay tukray tukray ura diye bila shuba her aik sabar-o-shukar kerney walay kay liye iss (maajray) mein boht si ibraten hain
Verse 20 — Surah Saba 34:20
Aur shetan ney unn kay baray mein apna guman sach ker dikhaya yeh log sab kay sab uss kay tabeydaar bann gaye siwaye momino ki aik jamaat kay
Verse 21 — Surah Saba 34:21
Shetan ka unn per koi zor (aur dabao) na tha magar iss liye kay hum inn logon ko jo aakhirat per eman rakhtay hain zahir ker dein unn logon mein say jo iss say shak mein hain.aur aap ka rab (her) her cheez per nigehbaan hai
Verse 22 — Surah Saba 34:22
Keh dijiyey! Kay Allah ka siwa jin jin ka tumhen gumaan hai (sab) ko pukar lo na unn mein say kissi ko aasmano aur zamino mein say aik zarray kay ikhtiyar hai na unn ka inn mein koi hissa hai na unn mein say koi Allah ka madadgar hai
Verse 23 — Surah Saba 34:23
Shifaat (sifarish) bhi uss kay pass kuch nafa nahi deti ba-juz unn kay jin kay liye ijazat hojaye. Yahan tak kay jab inn kay dilo say ghabrahat door ker di jati hai to poochtay hain tumharay perwerdigar ney kiya farmaya jawab detay hain kay haq farmaya aur woh buland-o-bala aur boht bara hai
Verse 24 — Surah Saba 34:24
Poochiye kay tumhen aasmano aur zamin say rozi kaun phonchata hai? (khud) jawab dijiye! Kay Allah Taalaa. (suno) hum ya tum. Ya to yaqeenan hodayat per hain ya khulli gumrahi mein hain
Verse 25 — Surah Saba 34:25
Keh dijiye! Kay humaray kiye huye gunahon ki babat tum say koi sawal na kiya jayega na tumharay aemaal ki baaz purs hum say ki jayegi
Verse 26 — Surah Saba 34:26
Enhen khabar dey dijiye kay hum sab ko humara rab jama kerkay phir hum mein sachay faislay kerdey ga. Woh faislay chukaney wala hai aur dana
Verse 27 — Surah Saba 34:27
Keh dijiye! Kay acha mujhay bhi to unhen dikha do jinhen tum Allah ka shareek thera ker uss kay sath mila rahey ho aisa hergiz nahi bulkay wohi Allah hai ghalib ba-hikmat
Verse 28 — Surah Saba 34:28
Hum ney aap ko tamam logon kay liye khushkhabriyan sunaney wala aur aur daraney wala bana ker bheja hai haan magar (yeh sahih hai) kay logon ki aksariyat bey ilm hai
Verse 29 — Surah Saba 34:29
Poochtay hain kay woh wada hai kab? Sachay hoto bata do
Verse 30 — Surah Saba 34:30
Jawab dijiye kay waday ka din theek moyyan hai jiss say aik sa’at na tum peechay hut saktay ho na aagay barh saktay ho
Verse 31 — Surah Saba 34:31
Aur kafiro ney kaha kay hum hergiz na to iss quran ko manay na iss say pehlay ki kitabon ko! Aey dekhney walay kaash kay tu inn zalimon ko uss waqt dekhta jab kay yeh apnay rab kay samney kharay huyey aik doosray ko ilzam dey rahey hongay kamzor log baray logon say kahen gay agar tum na hotay to hum to momin hotay
Verse 32 — Surah Saba 34:32
Yeh baray log inn kamzoron ko jawab den gay kay kiya tumharay pass hidayat aa chukney kay baad hum ney tumhen iss say roka tha? (nahi) bulkay tum (khud) hi mujrim thay
Verse 33 — Surah Saba 34:33
(Iss kay jawab mein) yeh kamzor log inn mutakabbiron say kahen gay (nahi nahi) bulkay din raat makar-o-faraib say humen Allah kay sath kufur kerney aur uss kay shareek muqarrar kerney ka tumhara hukum dena humari bey emaani ka baees hua aur azab ko dekhtay hi sab ka sab dil mein pashemaan ho rahey hongay aur kafiron ki gardano mein hum toq daal den gay unhen sirf unn kay kiyey keraye aemaal ka badla diya jayega
Verse 34 — Surah Saba 34:34
Aur hum ney to jiss basti mein jo bhi aagah kerney wala bheja wahan kay khushaal logon ney yehi kaha kay jiss cheez kay sath tum bhejay gaye ho hum uss kay sath kufur kerney walay hain
Verse 35 — Surah Saba 34:35
Aur kaha hum maal-o-aulad mein boht barhay huyey hain yeh nahi hosakta kay hum azab diye jayen
Verse 36 — Surah Saba 34:36
Keh dijiye! kay mera rab jiss kay liye chahaye rozi kushada ker deta hai aur tang bhi ker deta hai lekin aksar log nahi jantay
Verse 37 — Surah Saba 34:37
Aur tumharay maal aur aulad aisay nahi kay tumhen humaray pass (martabon say) qareeb ker den haan jo eman layen aur nek amal keren unn kay liye unn kay aemaal ka dohra ajar hai aur woh nidar-o-bey-khof ho ker bala khano mein rahen gay
Verse 38 — Surah Saba 34:38
Aur jo log humari aayaton kay muqablay ki tag-o-do mein lagay rehtay hain yehi hain jo azab mein pakar ker hazir rakhay jayen gay
Verse 39 — Surah Saba 34:39
Keh dijiye! kay mera rab apnay bandon mein jiss kay liye chahaye rozi kushada kerta hai aur jiss kay liye chahata hai tang ker deta hai tum jo kuch bhi Allah ki raah mein kharach kero gay Allah uss ka (poora poora) badla dey ga aur woh sab say behtar rozi denay wala hai
Verse 40 — Surah Saba 34:40
Aur inn sab ko Allah uss din jama kerkay farishton say daryaft farmaye ga kay kiya yeh log tumhari ibadat kertay thay
Verse 41 — Surah Saba 34:41
Woh kahen gay teri zaat pak hai aur humara wali to tu hai na kay yeh bulkay yeh log jinno ki ibadat kiya kertay thay inn mein kay aksar ka unhi per eman tha
Verse 42 — Surah Saba 34:42
Pus aaj tum mein say koi (bhi) kiss kay liye (bhi kissi qisam kay) nafa nuksan ka malik na hoga. Aur hum zalimo say keh den gay kay iss aag ka maza chakho jissay tum jhutlatay rahey
Verse 43 — Surah Saba 34:43
Aur jab unn kay samney humari saaf saaf aayaten parhi jati hain to kehtay hain yeh aisa shaks hai jo tumehn tumharay baap dada kay maboodon say rok dena chahata hai (iss kay siwa koi baat nahi) aur kehtay hain kay yeh to ghara hua jhoot hai aur haq inn kay pass aa chuka phir bhi kafir yehi kehtay rahey kay yeh to khula hua jadoo hai
Verse 44 — Surah Saba 34:44
Aur inn (makkah walon) ko na to hum ney kitaben dey rakhi hain jinhen yeh parhtay hon na inn kay pass aap say pehlay koi aagah kerney wala aaya
Verse 45 — Surah Saba 34:45
Aur inn say pehlay kay logon ney bhi humari baaton ko jhutlaya tha aur unhen jo hum ney dey rakha tha yeh to uss kay daswen hissay ko bhi nahi phonchay pus unhon ney meray rasoolon ko jhutlaya (phir dekh kay) mera azab kaisa (sakht) tha
Verse 46 — Surah Saba 34:46
Keh dijiye! kay mein tumhen sirf aik hi baat ki naseehat kerta hun kay tum Allah kay wastay (zidd chor ker) do do mill ker ya tanha kharay hoker socho to sahi tumharay iss rafiq ko koi janoon nahi woh to tumhen aik baray (sakht) azab kay aaney say pehlay daraney wala hai
Verse 47 — Surah Saba 34:47
Keh dijiye! kay jo badla mein tum say maangon woh tumharay liye hai mera badla to Allah Taalaa hi kay zimmay hai. Woh her cheez say ba-khabar (aur mutlaa) hai
Verse 48 — Surah Saba 34:48
Keh dijiye! kay mera rab haq (sachi wahee) nazil farmata hai woh her ghaib ka jannay wala hai
Verse 49 — Surah Saba 34:49
Keh dijiye! kay haq aa chuka batil na to pehlay kuch ker saka hai aur na ker sakay ga
Verse 50 — Surah Saba 34:50
Keh dijiye! kay agar mein behak jaon to meray behakney (ka wabaal) mujh per hi hai aur agar mein raahe-hidayat per hun to ba-sabab iss wahee kay jo mera perwerdigar mujhay kerta hai woh bara hu sunnay wala aur boht hi qareeb hai
Verse 51 — Surah Saba 34:51
Aur agar aap (woh waqt) mulahiza keren jabkay yeh kuffaar ghabraye phiren gay phir nikal bhagney ki koi soorat na hogi aur qareeb ki jaga say giriftar ker liye jayen gay
Verse 52 — Surah Saba 34:52
Uss waqt kahen gay kay hum iss quran per eman laye lekin iss qadar door jaga say (matlooba cheez) kaisay hath aa sakti hai
Verse 53 — Surah Saba 34:53
Iss say pehlay to enhon ney iss say kufur kiya tha aur door daraz say binn dekhay hi phenktay rahey
Verse 54 — Surah Saba 34:54
Inn ki chahaton aur inn kay darmiyan pardah haael ker diya gaya jaisa kay iss say pehlay bhi inn jaison kay sath kiya gaya woh bhi (inhi ki tarah) shak-o-taraddud mein (paray huyey) thay