Back to Languages

Urdu - Chapter 35 - Fatir

Translation by Muhammad Junagarhi — Permalink

Verse 1 — Surah Fatir 35:1

Uss Allah kay liye tamam tareefen sazawaar hain jo (ibtida’an) aasmano aur zamin ka peda kerney wala aur do do teen teen char char paron walay farsihton ko apna payghumber (qasid) bananey wala hai makhlooq mein jo chahaye ziyadti kerta hai Allah Taalaa yaqeenan her cheez per qadir hai

Verse 2 — Surah Fatir 35:2

Allah Taalaa jo rehmat logon kay liye khol day so uss ka koi band kerney wala nahi aur jiss ko band kerday so uss kay baad iss ka koi jaari kerney wala nahi aur wohi ghalib hikmat wala hai

Verse 3 — Surah Fatir 35:3

Logo! Tum per jo inam Allah Taalaa ney kiye hain unhen yaad kero. Kiya Allah kay siwa aur koi bhi khaliq hai jo tumhen aasman aur zamin say rozi phonchaye? Uss ka siwa koi mabood nahi. Pus tum kahan ultay jatay ho

Verse 4 — Surah Fatir 35:4

Aur gar yeh aap ko jhutlayen to aap say pehlay kay tamam rasool bhi jhutlaye ja chukay hain. Tamam kaam Allah hi ki taraf lotaye jatay hain

Verse 5 — Surah Fatir 35:5

Logo! Allah Taalaa ka wada sacha hai tumhen zindaganiy-e-duniya dhokay mein na daal day aur na dhokay baaz shetan tumhen ghaflat mein daal day

Verse 6 — Surah Fatir 35:6

Yaad rakho! Shetan tumhara dushman hai tum ussay dushman jano woh to apnay giroh ko sirf iss liye hi bulata hai kay woh sab jahannum wasil hojayen

Verse 7 — Surah Fatir 35:7

Jo log kafir huyey unn kay liye sakht saza hai aur jo log eman laye aur nek aemaal kiye unn kay liye baksshish hai aur (boht) bara ajar hai

Verse 8 — Surah Fatir 35:8

Kiya pus woh shaks jiss kay liye uss kay burray aemaal muzayyan ker diye gaye hain pus woh unhen acha samajhta hai (kiya woh hidayat yaafta shaks jaisa hai) (yaqeen mano) kay Allah jissay chahaye gumraah kerta hai aur jissay chahaye raah-e-raast dikhata hai pus aap ko inn per ghum kha kha ker apni jaan halak mein na daalni chahayey yeh jo kuch ker rahey hain uss say yaqeenan Allah Taalaa ba-khoobi waqif hai

Verse 9 — Surah Fatir 35:9

Aur Allah hi hawayen chalata hai jo badlon ko uthati hain phir hum badlon ko khusk zamin ki taraf ley jatay hain aur iss say uss zamin ko uss ki maut kay baad zindah ker detay hain. Issi tarah soobara ji uthna (bhi) hai

Verse 10 — Surah Fatir 35:10

Jo shaks izzat hasil kerna chahata ho to Allah Taalaa hi ki sari izzat hai tamam tar suthray kalmaat ussi ki taraf charhtay hain aur nek aemaal unn ko buland kerta hai jo log buraeeyon kay dao ghaat mein lagay rehtay hain unn kay liye sakht tar azab hai aur unn ka yeh makar barbaad hojayega

Verse 11 — Surah Fatir 35:11

Logo! Allah Taalaa ney tumhen mitti say phir nutfa peda kiya hai phir tumhen joray joray (mard-o-aurat) banadiya hai aurton ka hamila hona aur bachon ka tawallud hona sab uss kay ilm say hi hai aur jo bari umar wala umar diya jaye aur jiss kissi ki umar ghatay woh sab kitab mein likha hua hai. Allah Taalaa per yeh baat bilkul aasan hai

Verse 12 — Surah Fatir 35:12

Aur barabar nahi do darya yeh meetha hai piyas bujhata peenay mein khusgawar aur yeh doosra khaari hai kerwa tum inn dono mein say taza gosht khatay ho aur woh zewraat nikaltay ho jinhen tum pehantay ho. Aur aap dekhtay hian kay bari bari kashtiyan pani ko cheerney pharney wali inn daryayon mein hain takay tum uss ka fazal dhondo aur takay tum uss ka shukar kero

Verse 13 — Surah Fatir 35:13

Woh raat ko din mein aur din ko raat mein dakhil kerta hai aur aftab aur mahtab ko ussi ney kaam mein laga diya hai. Her aik miyaad-e-moyyan per chal raha hai. Yehi hai Allah tum sab ka palney wala ussi ki saltanat hai. Jinhen tum iss kay siwa pukar rahey ho woh to khajoor ki guthli kay chilkay kay bhi malik nahi

Verse 14 — Surah Fatir 35:14

Agar tum enhen pukaro to woh tumhari pukar suntay hi nahi aur agar (bil-farz) sunn bhi len to faryad rasi nahi keren gay bulkay qayamat kay din tumharay iss shirk ka saaf inkar ker jayen gay. Aap ko koi bhi haq-taalaa jaisa khabardaar khabren na deyga

Verse 15 — Surah Fatir 35:15

Aey logo! Tum Allah kay mohtaj ho aur Allah bey niyaz khoobiyon wala hai

Verse 16 — Surah Fatir 35:16

Agar woh chahaye to tum ko fana ker dey aur aik naee makhlooq peda ker day

Verse 17 — Surah Fatir 35:17

Aur yeh baat Allah ko kuch mushkil nahi

Verse 18 — Surah Fatir 35:18

Koi bhi bojh uthaney wala doosray ka bojh nahi uthaye ga agar koi giran baar doosray ko apna bojh uthaney kay liye bulaye ga to woh uss mein say kuch bhi na uthaye ga go qarabat daar hi ho. Tu sirf unhi ko aagah ker sakta hai jo ghaeebana tor per apnay rab say dartay hain aur namazon ki pabandi kertay hain aur jo bhi pak hojaye woh apnay hi nafay kay liye pak hoga. Lotna Allah hi ki taraf hai

Verse 19 — Surah Fatir 35:19

Aur andha aur aankhon wala barabar nahi

Verse 20 — Surah Fatir 35:20

Aur na tareeki aur roshni

Verse 21 — Surah Fatir 35:21

Aur na chaaon aur na dhoop

Verse 22 — Surah Fatir 35:22

Aur zinday aur murday barabar nahi hosaktay Allah Taalaa jiss ko chahata hai suna deta hai aur aap unn logo ko nahi suna saktay jo qabron mein hain

Verse 23 — Surah Fatir 35:23

Aap to sirf daraney walay hain

Verse 24 — Surah Fatir 35:24

Hum ney hi aap ko haq day ker khushkhabri sunaney wala aur darr sunaney wala bana ker bheja hai aur koi ummat aisi nahi hui jiss mein koi darr sunaney wala na guzra ho

Verse 25 — Surah Fatir 35:25

Aur agar yeh log aap ko jhutla den to jo log inn say pehlay ho guzray hain unhon ney bhi jhutlaya tha unn kay pass bhi unn kay payghumber moajjzay aur saheefay aur roshan kitaben ley ker aaye thay

Verse 26 — Surah Fatir 35:26

Phir mein ney unn kafiron ko pakar liya so mera azab kaisa hua

Verse 27 — Surah Fatir 35:27

Kiya aap ney iss baat per nazar nahi ki kay Allah Taalaa ney aasman say pani utara phir hum ney iss kay zariyey say mukhtalif rangaton kay phal nikalay aur paharon kay mukhtalif hissay hain safaid aur surukh kay inn ki bhi rangaten mukhtalif hain aur boht gehray siyah

Verse 28 — Surah Fatir 35:28

Aur issi tarah aadmiyon aur janwaron aur chopayon mein bhi baaz aisay hain kay unn ki rangaten mukhtalif hain Allah say uss kay wohi banday dartay hain jo ilm rakhtay hain waqaee Allah Taalaa zabardast bara bakhsney wala hai

Verse 29 — Surah Fatir 35:29

Jo log kitabullah ki tilawat kertay hain aur namaz ki pabandi rakhtay hain aur jo kuch hum ney unn ko ata farmaya hai uss mein say posheedah aur ailaniya kharach kertay hain woh aisi tijarat kay umeedwaar hain jo kabhi khasaray mein na hogi

Verse 30 — Surah Fatir 35:30

Takay unn ko unki ujraten poori day aur unn ko apnay fazal say aur ziyadah day be-shak woh bara bakhsney wala qadardaan hai

Verse 31 — Surah Fatir 35:31

Aur yeh kitab jo hum ney aap kay pass wahee kay tor per bheji hai yeh bilkul theek hai jo kay apnay say pehli kitabon ki bhi tasdeeq kerti hai. Allah Taalaa apnay bandon ki poori khabar rakhney wala khoob dekhney wala hai

Verse 32 — Surah Fatir 35:32

Phir hum ney unn logon ko (iss) kitab ka waris banaya jin ko hum ney apnay bandon mein say pasand farmaya. Phir baazay to inn mein apni jano per zulm kerney walay hain aur baazay inn mein mutawassit darjay kay hain aur baazay inn mein Allah ki tofiq say nekiyon mein taraqqi kiye chalay jatay hain. Yeh bara fazal hai

Verse 33 — Surah Fatir 35:33

Woh baghaat mein humesha rehney kay jin mein yeh log dakhil hongay sonay kay kanggan aur moti pehnaye jawen gay. Aur poshak unn ki wahan resham ki ki hogi

Verse 34 — Surah Fatir 35:34

Aur kahen gay Allah ka lakh lakh shukar hai jiss ney hum say ghum door kiya. Be-shak humara parwerdigar bara bakhsney wala bara qadardaan hai

Verse 35 — Surah Fatir 35:35

Jiss ney hum ko apnay fazal say humesha rehney kay muqam mein la utara jahan na hum ko koi takleef phonchay gi aur na hum ko koi khastagi phonchay gi

Verse 36 — Surah Fatir 35:36

Aur jo log kafir hain unn kay liye dozakh ki aag hai na to unn ki qaza hi aaye gi kay marr hi jayen aur na dozakh ki azab hi unn say halka kiya jayega. Hum her kafir ko aisi hi saza detay hain

Verse 37 — Surah Fatir 35:37

Aur woh log iss mein chillayen gay aey humaray parwerdigar! Hum ko nikal ley hum achay kaam keren gay bar-khilaf unn kaamon kay jo kiya kertay thay (Allah kahey ga) kiya hum ney tum ko itni umar na di thi kay jiss ko samjhna hota woh samjh sakta aur tumharay pass daraney wala bhi phoncha tha so maza chakho kay (aisay) zalimon ka koi madadgaar nahi

Verse 38 — Surah Fatir 35:38

Be-shak Allah Taalaa jannay wala hai aasmano aur zamin ki posheedah cheezon ka be-shak wohi jannay wala hai seenon ki baaton ka

Verse 39 — Surah Fatir 35:39

Wohi aisa hai jiss ney tum ko zamin mein aabad kiya so jo shaks kufur keray ga uss kay kufur ka wabaal ussi per paray ga. Aur kafiron kay liye unn ka kufur unn kay perwerdigar kay nazdeek narazi hi barhaney ka baees hota hai aur kafiron kay liye unn ka kufur khasarah hi barhney ka baees hota hai

Verse 40 — Surah Fatir 35:40

Aap kahiye! Kay tum apnay qarardaad shareekon ka haal to batlao jin ko tum Allah kay siwa pooja kerta ho. Yani mujh ko yeh batlao kay unhon ney zamin mein say konsa (juzzv) banaya hai ya unn ka aasmano mein kuch saajha hai ya hum ney unn ko koi kitab di hai kay yeh uss ki daleel per qaeem hon bulkay yeh zalim aik doosray say niray dhokay ki baaton ka wada kertay aatay hain

Verse 41 — Surah Fatir 35:41

Yaqeeni baat hai kay Allah Taalaa aasmano aur zamin ko thamay huyey hai kay woh tal na jayen aur agar woh tal jayen to phir Allah kay siwa aur koi inn ko thaam bhi nahi sakta. Woh haleem ghafoor hai

Verse 42 — Surah Fatir 35:42

Aur inn kufaar ney bari zor daar qasam khaee thi kay inn kay pass agar koi daraney wala aaye to woh her aik ummat say ziyada hidayat qabool kerney walay hon. Phir jab inn kay pass aik payghumbar aa phonchay to bus inn ki nafrat hi mein izafa hua

Verse 43 — Surah Fatir 35:43

Duniya mein apnay ko bara samjhney ki waja say aur inn ki buri tadberon ki waja say aur buri tadbeeron ka wabaal inn tadbeer walon per hi parta hai so kiya yeh uss dastoor kay muntazir hain jo aglay logon kay sath hota raha hai. So aap Allah kay dastoor ko kabhi badalta hua na payen gay aur aap Allah kay dastoor ko kabhi muntaqil hota hua na payen gay

Verse 44 — Surah Fatir 35:44

Aur kiya yeh log zamin mein chalay phiray nahi jiss mein dekhtay bhaaltay kay jo log inn say pehlay ho guzray hain unn ka anjam kiya hua? Halankay woh qooat mein inn say barhay huyey thay aur Allah aisa nahi hai kay koi cheez uss ko hara day na aasmano mein aur na zamin mein woh baray ilm wala bari qudrat wala hai

Verse 45 — Surah Fatir 35:45

Aur agar Allah Taalaa logon per unn kay aemaal kay sabab darogeer farmaney lagta to roy-e-zamin per aik jaandaar ko na chorta lekin Allah Taalaa inn ko aik miyad-e-moyyan tak mohlat dey raha hai so jab inn ki woh miyad aa phonchay gi Allah Taalaa apnay bandon ko aap dekh ley ga