Verse 1 — Surah Ya-Sin 36:1
Verse 2 — Surah Ya-Sin 36:2
Qasam hai quran ba-hikmat ki
Verse 3 — Surah Ya-Sin 36:3
Kay be-shak aap payghumbaron mein hain
Verse 4 — Surah Ya-Sin 36:4
Seedhay rastay per hain
Verse 5 — Surah Ya-Sin 36:5
Yeh quran Allah zabardast meharban ki taraf say nazil kiya gaya hai
Verse 6 — Surah Ya-Sin 36:6
Takay aap aisay logon ko darayen jin kay baap daday nahi daraye gaye thay so (issi waja say) yeh ghafil hain
Verse 7 — Surah Ya-Sin 36:7
Inn mein say aksar logon per baat sabit hochuki hai so yeh log eman na layen gay
Verse 8 — Surah Ya-Sin 36:8
Hum ney unn ki gardano mein toq daal diyey hain phir woh thoriyon tak hain jiss say unn kay sir uper ko ulat gaye hain
Verse 9 — Surah Ya-Sin 36:9
Aur hum ney aik aarh unn kay samney ker di aur aik aarh unn kay peechay kerdi jiss say hum ney unn ko dhank diya so woh nahi dekh saktay
Verse 10 — Surah Ya-Sin 36:10
Aur aap inn ko darayen ya na darayen dono barabar hain yeh eman nahi layen gay
Verse 11 — Surah Ya-Sin 36:11
Bus aap to sirf aisay shaks ko dara saktay hain jo naseehat per chalay aur rehman say bey dekhay daray so aap uss ko maghfirat aur baq-waqar ajar ki khushkhabriyan suna dijiyey
Verse 12 — Surah Ya-Sin 36:12
Be-shak hum murdon ko zindah keren gay aur hum likhtay jatay hain woh aemaal bhi jin ko log aagay bhejtay hain aur unn kay woh aemaal bhi jin ko peechay chor jatay hain aur hum ney her cheez ko aik wazeh kitab mein zabt ker rakha hai
Verse 13 — Surah Ya-Sin 36:13
Aur aap inn kay samney aik misal (yani aik) basti walon ki misal (uss waqt ka) biyan kijiyey jabkay uss basti mein (kaee) rasool aaye
Verse 14 — Surah Ya-Sin 36:14
Jab hum ney unn kay pass do ko bheja so unn logon ney (awwal) dono ko jhutlaya phir hum ney teesray say taeed ki so unn teeno ney kaha hum tumharay pass bhejay gaye hain
Verse 15 — Surah Ya-Sin 36:15
Unn logon ney kaha kay tum to humari tarah mamooli aadmi ho aur rehman ney koi cheez nazil nahi ki. Tum nira jhoot boltay ho
Verse 16 — Surah Ya-Sin 36:16
Unn (rasoolon) ney kaha humara perwerdigar janta hai kay be-shak hum tumharay pass bhejen gaye hain
Verse 17 — Surah Ya-Sin 36:17
Aur humaray zimmay to sirf wazeh tor per phoncha dena hai
Verse 18 — Surah Ya-Sin 36:18
Unhon ney kaha kay hum to tum ko manhoos samajhtay hain. Agar tum baaz na aaye to hum pathron say tumhara kaam tamam ker den gay aur tum ko humari taraf say sakht takleef phonchay gi
Verse 19 — Surah Ya-Sin 36:19
Unn rasoolon ney kaha tumhari nahoosat tumharay sath hi lagi hui hai kiya iss ko nahoosat samajhtay ho kay tum ko naseehat ki jaye bulkay tum hadd say nikal janey walay log ho
Verse 20 — Surah Ya-Sin 36:20
Aur aik shaks (uss) shehar kay aakhri hissay say dorta hua aaya kehney laga kay aey meri qom! Inn rasoolon ki raah per chalo
Verse 21 — Surah Ya-Sin 36:21
Aisay logon ki raah per chalo jo tum say koi mawaza nahi mangtay aur woh raah-e-raast per hain
Verse 22 — Surah Ya-Sin 36:22
Aur mujhay kiya hogaya hai kay mein uss ki ibadat na keroo jiss ney mujhay peda kiya aur tum sab ussi ki taraf lotaye jao gay
Verse 23 — Surah Ya-Sin 36:23
Kiya mein ussay chor ker aison ko mabood banaoon kay agar (Allah) rehman mujhay koi nuksan phonchana chahaye to unn ki sifarish mujhay kuch bhi nafa na phoncha sakay aur na woh mujhay bacha saken
Verse 24 — Surah Ya-Sin 36:24
Phir to mein yaqeenan khilli gumrahee mein hun
Verse 25 — Surah Ya-Sin 36:25
Meri suno! Mein to (sachay dil say) tum sab kay rab per eman laa chuka
Verse 26 — Surah Ya-Sin 36:26
(uss say) kaha gaya kay jannat mein chala jaa kehney laga kaash! Meri qom ko bhi ilm hojata
Verse 27 — Surah Ya-Sin 36:27
Kay mujhay meray rab ney bakhsh diya aur mujhay ba-izzat logon mein sy ker diya
Verse 28 — Surah Ya-Sin 36:28
Iss kay baad hum ney uss qom per aasman say koi lashkar na utara aur na iss tarah hum utara kertay hain
Verse 29 — Surah Ya-Sin 36:29
Woh to sirf aik zor ki cheekh thi kay yakayak woh sab kay sab bujh bujha gaye
Verse 30 — Surah Ya-Sin 36:30
(aisay) bando per afsos! Kabhi bhi koi rasool unn kay pass nahi aaya jiss ki hansi unhon ney na uraee ho
Verse 31 — Surah Ya-Sin 36:31
Kiya unhon ney nahi dekha kay inn kay pehlay boht si qomon ko hum ney gharat ker diya kay woh unn ki taraf lot ker nahi aayen gay
Verse 32 — Surah Ya-Sin 36:32
Aur nahi hai koi jamaat magar yeh kay woh jama hoker humaray samney hazir ki jayegi
Verse 33 — Surah Ya-Sin 36:33
Aur inn kay liye aik nishani (khusk) zamin hai jiss ko hum ney zindah ker diya aur iss say ghalla nikala jiss mein say woh kahatay hain
Verse 34 — Surah Ya-Sin 36:34
Aur hum ney iss mein khajooron kay aur angooron kay baghaat peda kerdiye aur jin mein hum ney chashmay bhi jari ker diye hain
Verse 35 — Surah Ya-Sin 36:35
Takay (log) uss kay phal khayen aur iss ki inn kay hathon ney nahi banaya. Phir kiyon shukar guzari nahi kertay
Verse 36 — Surah Ya-Sin 36:36
Woh pak zaat hai jiss ney her cheez kay joray peda kiye khua woh zamin ki ugaee hui cheezen hon khua khud unkay nafoos hon khua woh (cheezen) hon jinhen yeh jantay bhi nahi
Verse 37 — Surah Ya-Sin 36:37
Aur inn kay liye aik nishani raat hai jiss say hum din ko kheench latay detay hain to yakayak andheray mein reh jatay hain
Verse 38 — Surah Ya-Sin 36:38
Aur sooraj kay liye jo muqarrara raah hai woh ussi per chalta hai yeh hai muqarrar kerdah ghalib ba-ilm Allah Taalaa ka
Verse 39 — Surah Ya-Sin 36:39
Aur chand ki hum ney manzilen muqarrar ker rahkhi hain yahan tak kay woh lot ker purani tehni ki tarah hojata hai
Verse 40 — Surah Ya-Sin 36:40
Na aftab ki yeh majal hai kay chand ko pakray aur na raat din per aagay barh janey wali hai aur sab kay sab aasman mein tertay phirtay hain
Verse 41 — Surah Ya-Sin 36:41
Aur inn kay liye aik nishani (yeh bhi) hai kay hum ney inn ki nasal ko bhari hui kashti mein sawar kiya
Verse 42 — Surah Ya-Sin 36:42
Aur inn kay liye issi jaisi aur cheezen peda ken jin per yeh sawar hotay hain
Verse 43 — Surah Ya-Sin 36:43
Aur agar hum chahatay to enhen dobo detay. Phir na to koi unn ka faryad rass hota na woh bachaye jayen
Verse 44 — Surah Ya-Sin 36:44
Lekin hum apni taraf say rehmat kertay hain aur aik muddat tak kay liye unhen faeeday day rahey hain
Verse 45 — Surah Ya-Sin 36:45
Aur inn say jab (kabhi) kaha jata hai kay aglay pichlay (gunahon) say bacho takay tum per reham kiya jaye
Verse 46 — Surah Ya-Sin 36:46
Aur inn kay pass to inn kay rab ki nishaniyon mein say koi nishani aisi nahi aati jiss say yeh bey rukhi na barattay hon
Verse 47 — Surah Ya-Sin 36:47
Aur inn say jab kaha jata hai kay Allah Taalaa kay diye huyey mein say kuch kharach kero to yeh kuffar eman walon ko jawab detay hain kay hum enhen kiyon khilayen? Jinhen agar Allah Taalaa chahata to khud khila pila deta tum to ho hi khulli gumrahi mein
Verse 48 — Surah Ya-Sin 36:48
Woh kehtay hain kay yeh wada kab hoga sachay ho to batlao
Verse 49 — Surah Ya-Sin 36:49
Enhen sirf aik sakht cheekh ka intezar hai jo enhen aa pakray gi aur yeh bahum laraee jhagray mein hi hongay
Verse 50 — Surah Ya-Sin 36:50
Uss waqt na to yeh waseeyat ker saken gay aur na apnay ehal ki taraf lot saken gay
Verse 51 — Surah Ya-Sin 36:51
To soor kay phoonkay jatay hi sab kay sab apni qabron say apnay perwerdigar ki taraf (tez tez) chalney lagen gay
Verse 52 — Surah Ya-Sin 36:52
Kahen gay haye haye! Humen humari khuwab gahaon say kiss ney utha diya. Yehi hai jiss ka wada rehman ney diya tha aur rasoolon ney sach sach keh diya tha
Verse 53 — Surah Ya-Sin 36:53
Yeh nahi hai magar aik cheekh kay yakayak saray kay saray humaray samney hazir ker diyey jayen gay
Verse 54 — Surah Ya-Sin 36:54
Pus aaj kissi shaks per kuch bhi zulm na kiya jayega aur tumhen nahi badla diya jayega magar sirf unhi kamon ka jo tum kiya kertay thay
Verse 55 — Surah Ya-Sin 36:55
Jannati log aaj kay din apnay (dilchasp)mashghalon mein hashash bashash hain
Verse 56 — Surah Ya-Sin 36:56
Woh aur unn ki biwiyan sayon mein masheriyon per takiya lagaye bethay hongay
Verse 57 — Surah Ya-Sin 36:57
Inn kay liye jannat mein her qisam kay meway hongay aur bhi jo kuch woh talab keren
Verse 58 — Surah Ya-Sin 36:58
Meharbaan perwerdigar ki taraf say unhen salam kaha jayega
Verse 59 — Surah Ya-Sin 36:59
Aey gunehgaron! Aaj tum alag hojao
Verse 60 — Surah Ya-Sin 36:60
Aey aulad-e-adam! Kiya mein ney tum say qol-o-qarar nahi liya tha kay tum shetan ki ibadat na kerna woh to tumhara khulla dushman hai
Verse 61 — Surah Ya-Sin 36:61
Aur meri hi ibadat kerna. Seedhi raah yehi hai
Verse 62 — Surah Ya-Sin 36:62
Shetan ney to tum mein say boht sari makhlooq ko behka diya. Kiya tum aqal nahi raktay
Verse 63 — Surah Ya-Sin 36:63
Yehi woh dozakh hai jiss ka tumhen wada diya jata tha
Verse 64 — Surah Ya-Sin 36:64
Apnay kufur ka badla paney kay liye aaj iss mein dakhil hojao
Verse 65 — Surah Ya-Sin 36:65
Hum aaj kay din inkay mun per mohar laga den gay aur inn kay hath hum say batein keren gay aur inn kay paaon gawaheeyian den gay unn kamon ki jo woh kertay thay
Verse 66 — Surah Ya-Sin 36:66
Agar hum chahtay to inn ki aankhen bey noor ker detay phir yeh rastay ki taraf dortay phirtay lekin enhen kaisay dikhaee deta
Verse 67 — Surah Ya-Sin 36:67
Aur agar hum chahatay to inn ki jaga hi per inn ki soorten masakh ker detay phir na woh chal phir saktay aur na lot saktay
Verse 68 — Surah Ya-Sin 36:68
Aur jissay hum boorsha kertay hain ussay pedaeeshi halat ki taraf phir ulat detay hain kiya phir bhi woh nahi samajhtay
Verse 69 — Surah Ya-Sin 36:69
Na to hum ney iss payghumber ko shair sikhaye aur na yeh iss kay laeeq hai. Woh to sirf naseehat aur wazeh quran hai
Verse 70 — Surah Ya-Sin 36:70
Takay woh her uss shaks ko aagah kerday jo zindah hai aur kafiron per hujjat sabit hojaye
Verse 71 — Surah Ya-Sin 36:71
Kiya woh nahi dekhtay kay hum ney apnay hathon banaee hui cheezon mein say unn kay liye chopaye (bhi) peda ker diye jin kay yeh malik hogaye hain
Verse 72 — Surah Ya-Sin 36:72
Aur inn mawesheeyon ko hum ney unn ka tabey farman bana diya hai jin mein say baaz to inn ki sawariyan hain aur baaz ka gosht khatay hain
Verse 73 — Surah Ya-Sin 36:73
Enhen unn say aur bhi boht faeeday hain aur peenay ki cheezen. Kiya phit (bhi) yeh shukar ada nahi keren gay
Verse 74 — Surah Ya-Sin 36:74
Aur woh Allah kay siwa doosron ko mabood banatay hain takay woh madad kiye jayen
Verse 75 — Surah Ya-Sin 36:75
(halankay) unn mein inn ki madad ki taqat hi nahi (lekin) phir bhi (musrikeen) unn kay liye hazir baash lashkari hain
Verse 76 — Surah Ya-Sin 36:76
Pus aap ko inn ki baat ghumnaak na keray hum inn ki possheedah aur ailaniya sari baaton ko (ba-khoobi) jantay hain
Verse 77 — Surah Ya-Sin 36:77
Kiya insan ko itna bhi maloom nahi kay hum ney ussay nutfay say peda kiya hai? Phir yakayak woh sarreh jhagraloo bann betha
Verse 78 — Surah Ya-Sin 36:78
Aur uss ney humaray liye misal biyan ki aur apni (asal) pedaeesh ko bhool gaya kehney laga inn gali sarhi haddiyon ko kon zindah ker sakta hai
Verse 79 — Surah Ya-Sin 36:79
Aap jawab dijiye! Kay enhen woh zindah keray ga jiss ney enhen awwal martaba peda kiya hai jo sab tarah ki pedaeesh ka ba-khoobi jannay wala hai
Verse 80 — Surah Ya-Sin 36:80
Wohi jiss ney tumharay liye sabz darakht say aag peda kerdi jiss say tum yakayak aag sulgatay ho
Verse 81 — Surah Ya-Sin 36:81
Jiss ney aasman aur zamin ko peda kiya hai kiya woh inn jeson kay peda kerney per qadir nahi be-shak qadir hai. Aur wohi to peda kerney wala dana (beena) hai
Verse 82 — Surah Ya-Sin 36:82
Woh jab kisi cheez ka iradah kerta hai ussay itna farma dena (kafi hai) kay ho ja woh ussi waqt hojati hai
Verse 83 — Surah Ya-Sin 36:83
Pus pak hai woh Allah jiss hath mein her cheez ki badshaat hai aur jiss ki taraf tum sab lotaye jaogay