Back to LanguagesPrevious ChapterNext Chapter
Urdu - Chapter 37 - As-Saffat
Translation by Muhammad Junagarhi — Permalink
Verse 1 — Surah As-Saffat 37:1
Qasam hai saf bandhney walay (farishton ki)
Verse 2 — Surah As-Saffat 37:2
Phir poori tarah dantney walon ki
Verse 3 — Surah As-Saffat 37:3
Phir zikar-e-Allah ki tilawat kerney walon ki
Verse 4 — Surah As-Saffat 37:4
Yaqeenan tum sab ka mabood aik hi hai
Verse 5 — Surah As-Saffat 37:5
Aasmano aur zamin aur inn kay darmiyan ki tamam cheezon aur mashriqon ka rab wohi hai
Verse 6 — Surah As-Saffat 37:6
Hum ney aasman-e-duniya ko sitaron ki zeenat say aaraasta kiya
Verse 7 — Surah As-Saffat 37:7
Aur hifazat ki sirkash shetan say
Verse 8 — Surah As-Saffat 37:8
Aalam-e-bala kay farishton (ki baaton) ko sunnay kay liye woh kaan bhi nahi laga saktay bulkay her taraf say woh maaray jatay hain
Verse 9 — Surah As-Saffat 37:9
Bhaganey kay liye aur unn kay liye daeemi azab hai
Verse 10 — Surah As-Saffat 37:10
Magar jo koi aik aadh baat uchak lay bhagay to (foran hi) uss kay peechay dehakta hua shola lag jata hai
Verse 11 — Surah As-Saffat 37:11
Inn kafiron say poocho to kay aaya inn ka peda kerna ziyadah dushwaar hai ya (unn ka) jinhen hum ney (inn kay ilawa) peda kiya? Hum ney (insano) ko less daar mitti say peda kiya hai
Verse 12 — Surah As-Saffat 37:12
Bulkay tu tajjub ker raha hai aur yeh maskhara pan ker rahey hain
Verse 13 — Surah As-Saffat 37:13
Aur jab enhen naseehat ki jati hai yeh nahi mantay
Verse 14 — Surah As-Saffat 37:14
Aur jab kissi moajzzay ko dekhtay hain to mazaq uratay hain
Verse 15 — Surah As-Saffat 37:15
Aur kehtay hain kay yeh to bilkul khullam khulla jadoo hi hai
Verse 16 — Surah As-Saffat 37:16
Kiya jab hum mar jayen gay aur khak aur haddi hojayen gay phir kiya (sach much) hum uthaye jayen gay
Verse 17 — Surah As-Saffat 37:17
Kiya hum say pehlay kay humaray baap dada bhi
Verse 18 — Surah As-Saffat 37:18
Aap jawab dijiye! Kay haan haan aur tum zaleel (bhi) howo gay
Verse 19 — Surah As-Saffat 37:19
Woh to sirf aik zor ki jhirki hai kay yakayak yeh dekhney lagay gay
Verse 20 — Surah As-Saffat 37:20
Aur kahen gay kay haye humari kharabi yehi jaza (saza) ka din hai
Verse 21 — Surah As-Saffat 37:21
Yehi faislay ka din hai jissay tum jhutlatay rahey
Verse 22 — Surah As-Saffat 37:22
Zalimon ko aur unn kay humrahiyon ko aur (jin) jin ki woh Allah kay ilawa parastish kertay thay
Verse 23 — Surah As-Saffat 37:23
(inn sab ko) jama kerkay enhen dozakh ki raah dikha do
Verse 24 — Surah As-Saffat 37:24
Aur enhen theraklo (iss liye) kay inn say (zaroori) sawal kiyey janay walay hain
Verse 25 — Surah As-Saffat 37:25
Tumhen kiya hogaya hai kay (iss waqt) tum aik doosray ki madad nahi kertay
Verse 26 — Surah As-Saffat 37:26
Bulkay woh (sab kay sab) aaj farmanbardaar bann gaye
Verse 27 — Surah As-Saffat 37:27
Woh aik doosray ki taraf mutawajja hoker sawal-o-jawab kerney lagen gay
Verse 28 — Surah As-Saffat 37:28
Kahen gay kay tum to humaray pass humari dayen taraf say aatay thay
Verse 29 — Surah As-Saffat 37:29
Woh jawab den gay kay nahi bulkay tum hi eman daar na thay
Verse 30 — Surah As-Saffat 37:30
Aur kuch humara zor to tum per tha (hi) nahi. Bulkay tum (khud) sirkash log thay
Verse 31 — Surah As-Saffat 37:31
Abb to hum (sab) per humaray rab ki yeh baat sabit ho chuki kay hum (azab) chakhney walay hain
Verse 32 — Surah As-Saffat 37:32
Pus hum ney tumhen gumrah kiya hum to khud bhi gumrah hi thay
Verse 33 — Surah As-Saffat 37:33
So abb aaj kay din to (sab kay sab) azab mein shareek hain
Verse 34 — Surah As-Saffat 37:34
Hum gunehgaaro kay sath issi tarah kiya kertay hain
Verse 35 — Surah As-Saffat 37:35
Yeh woh (log) hain kay jab inn say kaha jata hai kay Allah kay siwa koi mabood nahi to yeh sirkashi kertay thay
Verse 36 — Surah As-Saffat 37:36
Aur kehtay thay kay kiya hum apnay maboodon ko aik deewaney shaeer ki baat per chor den
Verse 37 — Surah As-Saffat 37:37
(nahi nahi) bulkay (nabi) to haq (sacha deen) laye hain aur sab rasoolon ko sach jantay hain
Verse 38 — Surah As-Saffat 37:38
Yaqeenan tum dard-naak azab (ka maza) chakhney walay ho
Verse 39 — Surah As-Saffat 37:39
Tumhen ussi ka badla diya jayega jo tum kertay thay
Verse 40 — Surah As-Saffat 37:40
Magar Allah Taalaa kay khalis bargazeedah banday
Verse 41 — Surah As-Saffat 37:41
Unhin kay liye muqarrara rozi hai
Verse 42 — Surah As-Saffat 37:42
(her tarah kay) meway aur ba-izzat-o-ikraam hongay
Verse 43 — Surah As-Saffat 37:43
Nematon wali jannaton mein
Verse 44 — Surah As-Saffat 37:44
Takhton per aik doosray kay samney (bethay) hongay
Verse 45 — Surah As-Saffat 37:45
Jaari sharab kay jaam ka unn per dor chal raha hoga
Verse 46 — Surah As-Saffat 37:46
Jo saaf shaffaf peenay mein lazeez hogi
Verse 47 — Surah As-Saffat 37:47
Na uss say dard-e-sir ho aur na uss kay peenay say behken
Verse 48 — Surah As-Saffat 37:48
Aur unn kay pass neechi nazron bari bari aankhon wali (hooren) hongi
Verse 49 — Surah As-Saffat 37:49
Aisi jesay chupaye huyey anday
Verse 50 — Surah As-Saffat 37:50
(jannati) aik doosray ki taraf rukh kerkay poochen gay
Verse 51 — Surah As-Saffat 37:51
Unn mein say aik kehney wala kahe ga mera aik sathi tha
Verse 52 — Surah As-Saffat 37:52
Jo (mujh say) kaha kerta tha kay kiya tu (qayamat kay aaney ka) yaqeen kerney walon mein say hai
Verse 53 — Surah As-Saffat 37:53
Kiya jab kay hum mar ker mitti aur haddi hojayen gay kiya uss waqt hum jaza diyey janey walay hain
Verse 54 — Surah As-Saffat 37:54
Kahey ga tum chahtay ho kay jhaank ker dekh lo
Verse 55 — Surah As-Saffat 37:55
Jhaanktay hi ussay beechon beech jahannum mein (jalta hua) dekhay ga
Verse 56 — Surah As-Saffat 37:56
Kahey ga Wallah! Qareeb tha kay tu mujhay (bhi) barbaad ker day
Verse 57 — Surah As-Saffat 37:57
Agar meray rab ka ehsan na hota to mein bhi dizakh mein hazir kiyey janey walon mein hota
Verse 58 — Surah As-Saffat 37:58
Kiya (yeh sahih hai) kay hum marney walay hi nahi
Verse 59 — Surah As-Saffat 37:59
Ba-juz pehli aik mot kay aur na hum azab kiyey janey walay hain
Verse 60 — Surah As-Saffat 37:60
Phir to (zahir baat hai kay) yeh bari kaamyabi hai
Verse 61 — Surah As-Saffat 37:61
Aisi (kaamyabi) kay liye amal kernay walon ko amal kerna chahayey
Verse 62 — Surah As-Saffat 37:62
Kiya yeh mehmaani achi hai ya seendh (zaqoom) ka darakht
Verse 63 — Surah As-Saffat 37:63
Jissay hum ney zalimon kay liye sakht aazmaeesh bana rakha hai
Verse 64 — Surah As-Saffat 37:64
Be-shak woh darakht jahannum ki jarr mein say nikalta hai
Verse 65 — Surah As-Saffat 37:65
Jiss kay khoshay shetan kay siron jesay hotay hain
Verse 66 — Surah As-Saffat 37:66
(jahannumi) issi darakht mein say khayen gay aur issi say pet bharen gay
Verse 67 — Surah As-Saffat 37:67
Phir iss per garum jaltay jaltay paani ki malooni hogi
Verse 68 — Surah As-Saffat 37:68
Phir inn sab ka lotna jahannum ki (aag kay dher ki) taraf hoga
Verse 69 — Surah As-Saffat 37:69
Yaqeen mano! Kay enhon ney apnay baap dadon ko behka hua paya
Verse 70 — Surah As-Saffat 37:70
Aur yeh unhi kay naqsh-e-qadam per dortay rahey
Verse 71 — Surah As-Saffat 37:71
Inn say pehlay bhi boht say aglay behak chukay hain
Verse 72 — Surah As-Saffat 37:72
Jinn mein hum ney daraney walay (rasool) bhejay thay
Verse 73 — Surah As-Saffat 37:73
Abb tu dekh ley jinhen dhamkaya gaya tha unn ka anjam kaisa kuch hua
Verse 74 — Surah As-Saffat 37:74
Siwaye Allah kay bargazeedah bandon kay
Verse 75 — Surah As-Saffat 37:75
Aur humen nooh (alh-e-salam) ney pukara to (dekhlo) hum kaisay achay dua qabool kerney walay hain
Verse 76 — Surah As-Saffat 37:76
Hum ney ussay aur uss kay ghar walon ko uss zabardast museebat say bacha liya
Verse 77 — Surah As-Saffat 37:77
Aur uss ki aulad ko hum ney baqi rehney wali bana di
Verse 78 — Surah As-Saffat 37:78
Aur hum ney uss ka (zikar-e-khair) pichlon mein baqi rakha
Verse 79 — Surah As-Saffat 37:79
Nooh (alh-e-salam) per tamam jahano mein salam ho
Verse 80 — Surah As-Saffat 37:80
Hum neki kerney walon ko issi tarah badlay detay hain
Verse 81 — Surah As-Saffat 37:81
Woh humaray eman daar bandon mein say tha
Verse 82 — Surah As-Saffat 37:82
Phir hum ney doosron ko dobo diya
Verse 83 — Surah As-Saffat 37:83
Aur uss (nooh alh-e-salam ki) tabeydaari kerney walon mein say (hi) ibrahim (alh-e-salam bhi) thay
Verse 84 — Surah As-Saffat 37:84
Jabkay apany rab kay pass bey-aib dil laye
Verse 85 — Surah As-Saffat 37:85
Unhon ney apnay baap aur apni qom say kaha kay tum kiya pooj rahey ho
Verse 86 — Surah As-Saffat 37:86
Kiya tum Allah kay siwa gharay huyey maboob chahtay ho
Verse 87 — Surah As-Saffat 37:87
To yeh (batlao kay) tum ney rab-ul-aalameen ko kiya samjh rakha hai
Verse 88 — Surah As-Saffat 37:88
Abb ibrahim (alh-e-salam) ney aik nigah sitaron ki taraf uthaee
Verse 89 — Surah As-Saffat 37:89
Aur kaha mein to beemar hun
Verse 90 — Surah As-Saffat 37:90
Iss per woh sab uss say mun moray huyey wapis chalay gaye
Verse 91 — Surah As-Saffat 37:91
Aap (chup chupatay) unn kay maboodon kay pass gaye aur farmaney lagay tum khatay kiyon nahi
Verse 92 — Surah As-Saffat 37:92
Tumhen kiya hogaya kay baat tak nahi kertay
Verse 93 — Surah As-Saffat 37:93
Phir to (poori qooat kay sath) dayen hath say unhen maarney per pal paray
Verse 94 — Surah As-Saffat 37:94
Woh (butt parast) doray bhagay aap ki taraf mutawajja huyey
Verse 95 — Surah As-Saffat 37:95
To aap ney farmaya tum enhen poojtay ho jinhen (khud) tum tarashtay ho
Verse 96 — Surah As-Saffat 37:96
Halankay tumhen aur tumhari banaee hui cheezon ko Allah hi ney peda kiya hai
Verse 97 — Surah As-Saffat 37:97
Woh kehney lagay iss kay liye aik makan banao aur iss (dekakti hui) aag mein issay daal do
Verse 98 — Surah As-Saffat 37:98
Unhon ney to iss (ibrahim alh-e-salam) kay sath makar kerna chaha lekin hum ney unhi ko neecha ker diya
Verse 99 — Surah As-Saffat 37:99
Aur uss (ibrahim alh-e-salam) ney kaha mein to hijrat kerkay apnay perwerdigar ki taraf janey wala hun. Woh zaroor meri rehnumaee keray ga
Verse 100 — Surah As-Saffat 37:100
Aey meray rab! Mujhay nek bakht aulad ata farma
Verse 101 — Surah As-Saffat 37:101
To hum ney ussay aik burd-baar bachay ki bisharat di
Verse 102 — Surah As-Saffat 37:102
Phir jab woh (bacha) itni umar ko phoncha kay uss kay sath chalay phiray to uss (ibrahim alh-e-salam) ney kaha meray piyaray bachay! Mein khuwab mein apnay aap ko tujhay zibah kertay huyey dekh raha hun. Abb tu bata kay teri kiya raye hai? Betay ney jawab diya kay abba! Jo hukum hua hai ussay baja layiye inshaAllah aap mujhay sabar kerney walon mein say payen gay
Verse 103 — Surah As-Saffat 37:103
Gharz jab dono mutee hogaye aur uss ney (baap ney) uss ko (betay ko) paishaani kay bal gira diya
Verse 104 — Surah As-Saffat 37:104
To hum ney aawaz di kay aey ibrahim
Verse 105 — Surah As-Saffat 37:105
Yaqeenan tu ney apna khuwab sacha ker dikhaya be-shak hum neki kerney walon ko issi tarah jaza detay hain
Verse 106 — Surah As-Saffat 37:106
Dar-haqeeqat yeh khulla imtehan tha
Verse 107 — Surah As-Saffat 37:107
Aur hum ney aik bara zabeeha iss kay fidyey mein dey diya
Verse 108 — Surah As-Saffat 37:108
Aur hum ney unn ka zikar-e-khair pichlon mein baqi rakha
Verse 109 — Surah As-Saffat 37:109
Ibrahim (alh-e-salam) per salam ho
Verse 110 — Surah As-Saffat 37:110
Hum neko karon ko issi tarah badla detay hain
Verse 111 — Surah As-Saffat 37:111
Be-shak woh humaray eman daar bandon mein say tha
Verse 112 — Surah As-Saffat 37:112
Aur hum ney uss ko ishaq (alh-e-salam) nabi ki bisharat di jo saleh logon mein say hoga
Verse 113 — Surah As-Saffat 37:113
Aur hum ney ibrahim-o-ishaq (al-e-heem-us-salam) per barkaten nazil farmaeen aur inn dono ki aulad mein baazay to nek bakht hain aur baaz apnay nafs per sareeh zulm kerney walay hain
Verse 114 — Surah As-Saffat 37:114
Yaqeenan hum ney musa aur haroon (al-e-heem-us-salam) per bara ehsan kiya
Verse 115 — Surah As-Saffat 37:115
Aur unhen aur unn ki qom ko baray dukh dard say nijat dey di
Verse 116 — Surah As-Saffat 37:116
Aur unn ki madad ki to wohi ghalib rahey
Verse 117 — Surah As-Saffat 37:117
Aur hum ney unhen (wazeh aur) roshan kitab di
Verse 118 — Surah As-Saffat 37:118
Aur unhen seedhay rastay per qaeem rakha
Verse 119 — Surah As-Saffat 37:119
Aur hum ney unn dono kay liye peechay aanay walon mein yeh baat baqi rakhi
Verse 120 — Surah As-Saffat 37:120
Kay musa aur haroon (al-e-heem-us-salam) per salam ho
Verse 121 — Surah As-Saffat 37:121
Be-shak hum nek logon ko issi tarah badlay diya kertay hain
Verse 122 — Surah As-Saffat 37:122
Yaqeenan yeh dono humaray momin bandon mein say thay
Verse 123 — Surah As-Saffat 37:123
Be-shak ilyas (alh-e-salam) bhi payghumbaron mein say thay
Verse 124 — Surah As-Saffat 37:124
Jabkay unhon ney apni qom say farmaya kay tum Allah say dartay nahi ho
Verse 125 — Surah As-Saffat 37:125
Kiya tum ba’al (naami butt) ko pukartay ho? Aur sabb say behtar khaliq ko chor detay ho
Verse 126 — Surah As-Saffat 37:126
Allah jo tumhara aur tumharay aglay tamam baap dadon ka rab hai
Verse 127 — Surah As-Saffat 37:127
Lekin qom ney unhen jhutlaya pus woh zaroor (azab mein) hazir rakhay jayen gay
Verse 128 — Surah As-Saffat 37:128
Siwaye Allah Taalaa kay mukhlis bandon kay
Verse 129 — Surah As-Saffat 37:129
Hum ney (ilyas alh-e-salam) ka zikar-e-khair pichlon mein bhi baqi rakha
Verse 130 — Surah As-Saffat 37:130
Kay ilyas per salam ho
Verse 131 — Surah As-Saffat 37:131
Hum neki kerney walon ko issi tarah badla detay hain
Verse 132 — Surah As-Saffat 37:132
Be-shak woh humaray eman daar bandon mein say tha
Verse 133 — Surah As-Saffat 37:133
Be-shak loot (alh-e-salam bhi) payghumbaron mein say thay
Verse 134 — Surah As-Saffat 37:134
Hum ney unhen aur unn kay ghar walon sab ko nijat di
Verse 135 — Surah As-Saffat 37:135
Ba-juz uss burhiya kay jo peechay reh janey walon mein reh gaee
Verse 136 — Surah As-Saffat 37:136
Phir hum ney auron ko halak ker diya
Verse 137 — Surah As-Saffat 37:137
Aur tum to subha honey per unn ki bastiyon kay pass say guzartay ho
Verse 138 — Surah As-Saffat 37:138
Aur raat ko bhi kiya phir bhi nahi samajhtay
Verse 139 — Surah As-Saffat 37:139
Aur bila-shuba younus (alh-e-salam) nabiyon mein say thay
Verse 140 — Surah As-Saffat 37:140
Jab bhag ker phonchay bhari kashti per
Verse 141 — Surah As-Saffat 37:141
Phir qura-andazi hui to maghloob hogaye
Verse 142 — Surah As-Saffat 37:142
To phir unhen machli ney nigal liya aur woh khud apnay aap ko malamat kerney lag gaye
Verse 143 — Surah As-Saffat 37:143
Pus agar yeh paki biyan kerney walon mein say na hotay
Verse 144 — Surah As-Saffat 37:144
To logon kay uthaye janey kay din tak uss kay pet mein hi rehtay
Verse 145 — Surah As-Saffat 37:145
Pus unhen hum ney chatyal medan mein daal diya aur woh uss waqt beemar thay
Verse 146 — Surah As-Saffat 37:146
Aur unn per saya kerney wala aik bel daar darakht hum ney uga diya
Verse 147 — Surah As-Saffat 37:147
Aur hum ney unhen aik lakh bulkay aur ziyadah aadmiyon ki taraf bheja
Verse 148 — Surah As-Saffat 37:148
Pus woh eman laye aur hum ney unhen aik zamaney tak aish-o-ishrat di
Verse 149 — Surah As-Saffat 37:149
Inn say daryaft kijiye! Kay kiya aap kay rab ki to betiyan hain aur inn kay betay hain
Verse 150 — Surah As-Saffat 37:150
Ya yeh uss waqt mojood thay jabkay hum ney farishton ko moanniss peda kiya
Verse 151 — Surah As-Saffat 37:151
Aagah raho! Kay yeh log sirf apni iftra per-dazi say keh rahey hain
Verse 152 — Surah As-Saffat 37:152
Kay Allah Taalaa ki aulad hai. Yeqeenan yeh mehaz jhootay hain
Verse 153 — Surah As-Saffat 37:153
Kiya Allah Taalaa ney apnay liye betiyon ko beton per tarjeeh di
Verse 154 — Surah As-Saffat 37:154
Tumhen kiya hogaya hai kaisay hukum lagatay phirtay ho
Verse 155 — Surah As-Saffat 37:155
Kiya tum iss qadar bhi nahi samajhtay
Verse 156 — Surah As-Saffat 37:156
Ya tumharay pass iss ki koi saaf daleel hai
Verse 157 — Surah As-Saffat 37:157
To jao agar sachay ho to apni hi kitab ley aao
Verse 158 — Surah As-Saffat 37:158
Aur inn logon ney to Allah kay aur jinnaat kay darmiyan bhi qarabat daari theraee hai aur halankay khud jinnaat ko maloom hai kay woh (iss aqeeday kay log azab kay samney) paish kiyey jayen gay
Verse 159 — Surah As-Saffat 37:159
Jo kuch yeh (Allah kay baray mein) biyan ker rahey hain uss say Allah Taalaa bilkul pak hai
Verse 160 — Surah As-Saffat 37:160
Siwaye Allah kay mukhlis bandon kay
Verse 161 — Surah As-Saffat 37:161
Yaqeen mano kay tum sab aur tumharay maboodaan (baatil)
Verse 162 — Surah As-Saffat 37:162
Kissi aik ko bhi behka nahi saktay
Verse 163 — Surah As-Saffat 37:163
Ba-juz uss kay jo jahannumi hi hai
Verse 164 — Surah As-Saffat 37:164
(farishton ka qol hai kay) hum mein say to her aik ki jagah muqarrar hai
Verse 165 — Surah As-Saffat 37:165
Aur hum to (bandag-e-elahee mein) saff basta kharay hain
Verse 166 — Surah As-Saffat 37:166
Aur uss ki tasbeeh biyan ker rahey hain
Verse 167 — Surah As-Saffat 37:167
Kuffaar to kaha kertay thay
Verse 168 — Surah As-Saffat 37:168
Kay agar humaray samney aglay logon ka zikar hota
Verse 169 — Surah As-Saffat 37:169
To hum bhi Allah kay cheedah banday bann jatay
Verse 170 — Surah As-Saffat 37:170
Lekin phir iss quran kay sath kufur ker gaye pus abb un-qareeb jaan len gay
Verse 171 — Surah As-Saffat 37:171
Aur albata humara wada pehlay hi apnay rasoolon kay liye sadir ho chuka hai
Verse 172 — Surah As-Saffat 37:172
Kay yaqeenan woh hi madad kiyey jayen gay
Verse 173 — Surah As-Saffat 37:173
Aur humara hi lashkar ghalib (aur bartar) rahey ga
Verse 174 — Surah As-Saffat 37:174
Abb aap kuch dino tak inn say mun pher lijiyey
Verse 175 — Surah As-Saffat 37:175
Aur enhen dekhtay rahiyey aur yeh bhi aagay chal ker dekh len gay
Verse 176 — Surah As-Saffat 37:176
Kiya yeh humaray azab ki jaldi macha rahey hain
Verse 177 — Surah As-Saffat 37:177
Suno! Jab humara azab inn kay medan mein utar aaye ga uss waqt unn ki jin ko muta-nabbay ker diya gaya tha bari buri subha hogi
Verse 178 — Surah As-Saffat 37:178
Aap kuch waqt tak inn ka khayal chor dijiyey
Verse 179 — Surah As-Saffat 37:179
Aur dekhtay rahiyey yeh bhi abhi abhi dekh len gay
Verse 180 — Surah As-Saffat 37:180
Pak hai aap ka rab jo bot bari izzat wala hai her uss cheez say (jo mushrik) biyan kertay hain
Verse 181 — Surah As-Saffat 37:181
Payghumbaron per salam hai
Verse 182 — Surah As-Saffat 37:182
Aur sab tarah ki tareef Allah kay liye hai jo saray jahan ka rab hai