Back to Languages

Urdu - Chapter 38 - Sad

Translation by Muhammad Junagarhi — Permalink

Verse 1 — Surah Sad 38:1

Suaad! Iss naseehat walay quran ki qasam

Verse 2 — Surah Sad 38:2

Bulkay kufaar ghooroor-o-mukhalifat mein paray huyey hain

Verse 3 — Surah Sad 38:3

Hum ney iss say pehlay bhi boht si ummaton ko tabah ker dala unhon ney her chand cheek pukaar ki lekin woh waqt chutkaray ka na tha

Verse 4 — Surah Sad 38:4

Aur kafiron ko iss baat per tajjub hua kay unhi mein say aik unhen daraney wala aagaya aur kehney lagay kay yeh to jadoogar aur jhoota hai

Verse 5 — Surah Sad 38:5

Kiya iss ney itnay saray maboodon ka aik hi mabood ker diya waqaee yeh boht hi ajeeb baat hai

Verse 6 — Surah Sad 38:6

Unn kay sardaar yeh kehtay huyey chalay kay chalo ji aur apnay maboodon per jamay raho yaqeenan iss baat mein to koi gharz hai

Verse 7 — Surah Sad 38:7

Hum ney to yeh baat pichlay deen mein bhi nahi suni kuch nahi yeh to sirf gharant hai

Verse 8 — Surah Sad 38:8

Kiya hum sab mein issi per kalam-e-elahee nazil kiya gaya hai?Dar-asal yeh log meri wahee ki taraf say shak mein hain bulkay (sahih yeh hai kay) enhon ney abb tak mera azab chakha hi nahi

Verse 9 — Surah Sad 38:9

Ya kiya inn kay pass teray zabardast fayyaz rab ki rehmat kay khazaney hain

Verse 10 — Surah Sad 38:10

Ya kiya aasman-o-zamin aur inn kay damiyan ki her cheez ki badshaat inn hi ki hai to phir yeh rasiyan taan ker charh jayen

Verse 11 — Surah Sad 38:11

Yeh bhi (baray baray) lashkaron mein say shikast paya hua (chota sa) lashkar hai

Verse 12 — Surah Sad 38:12

Inn say pehlay bhi qom-e-nooh aur aad aur meekhon walay firaon ney jhutlaya tha

Verse 13 — Surah Sad 38:13

Aur samood ney aur qom-e-loot ney aur aeeka kay rehney walon ney bhi yehi (baray) lashkar thay

Verse 14 — Surah Sad 38:14

Inn mein say aik bhi aisa na tha jiss ney rasoolon ki takzeeb na ki ho pus meri saza inn per sabit hogaee

Verse 15 — Surah Sad 38:15

Enhen sirf aik cheekh ka intizar hai jiss mein koi tawaquff (aur dheel) nahi hai

Verse 16 — Surah Sad 38:16

Aur unhon ney kaha aey humaray rab! Humari sir-nawisht tu humen roz-e-hisab say pehlay hi day dey

Verse 17 — Surah Sad 38:17

Aap inn ki baton per sabar keren aur humaray banday dawood (alh-e-salam) ko yaad keren jo bari qooat wala tha yaqeenan woh boht rujoo kerney wala tha

Verse 18 — Surah Sad 38:18

Hum ney paharon ko uss kay tabey ker rakha tha kay uss kay sath shaam ko aur subha tasbeeh khuwani keren

Verse 19 — Surah Sad 38:19

Aur parindon ko bhi jama hoker sab kay sab uss kay zair-e-farman rehtay

Verse 20 — Surah Sad 38:20

Aur hum ney uss ki saltanat ko mazboot ker diya tha aur ussay hikmat di thi aur baat ka faisla kerna

Verse 21 — Surah Sad 38:21

Aur kiya tujhay jhagra kerney walon ki (bhi) khabar mili? Jab kay woh deewar phaand ker mehrab mein aagaye

Verse 22 — Surah Sad 38:22

Jab yeh (hazrat) dawood (alh-e-salam) kay pass phonchay pus yeh unn say darr gaye unhon ney kaha khof na kijiyey! Hum do fareeq muqadma hain hum mein say aik ney ziyadti ki hai pus humaray darmiyan haq kay sath faisla ker dijiyey aur na-insafi na kijiyey aur humen seedhi raah bata dijiyey

Verse 23 — Surah Sad 38:23

(suniyey) yeh mera bhai hai iss kay pass ninnanway dunbiyan hain aur meray pass aik hi dunbi hai lekin yeh mujh say keh raha hai kay apni yeh aik bhi mujh hi ko day dey aur mujh per baat mein bari sakhti baratta hai

Verse 24 — Surah Sad 38:24

Aap ney farmaya! Iss ka apni dunbiyon kay sath teri aik dunbi mila lenay ka sawal be-shak teray upper aik zulm hai aur aksar hissay daar aur shareek (aisay hi hotay hain kay) aik doosray per zulm kertay hain siwaye unn kay jo eman laye aur jinhon ney nek amal kiyey aur aisay log boht hi kum hain aur (hazrat) dawwod (alh-e-salam) samajh gaye kay hum ney unhen aazmaya hai phir to apnay rab say istaghfaar kerney lagay aur aajzi kertay huyey gir paray aur (poori tarah) rujoo kiya

Verse 25 — Surah Sad 38:25

Pus hum ney bhi unn ka woh (kasoor) maaf ker diya yaqeenan woh humaray nazdeek baray martabay walay aur boht achay thikaney walay hain

Verse 26 — Surah Sad 38:26

Aey dawood! Hum ney tumhen zamin mein khalifa bana diya tum logon kay darmiyan haq kay sath faislay kero aur apni nafsani khuwaish ki perwi na kero werna woh tumhen Allah ki raah say bhatka deygi yaqeenan jo log Allah ki raah say bhatak jatay hain unn kay liye sakht azab hai iss liye kay unhon ney hisab kay din ko bhula diya hai

Verse 27 — Surah Sad 38:27

Aur hum ney aasman-o-zamin aur inn kay darmiyan ki cheezon ko na-haq peda nahi kiya yeh guman to kafiron ka hai so kafiron kay liye kharabi hai aag ki

Verse 28 — Surah Sad 38:28

Kiya hum unn logon ko jo eman laye aur nek amal kiye unn kay barabar ker den gay jo (humesha) zamin mein fasad machatay rahey ya perhezgaron ko badkaron jesa ker den gay

Verse 29 — Surah Sad 38:29

Yeh ba-barkat kitab hai jissay hum ney aap ki taraf iss liye nazil farmaya hai kay log iss ki aayaton per ghor keren aur aqalmand iss say naseehat hasil keren

Verse 30 — Surah Sad 38:30

Aur hum ney dawwod ko suleman (naami farzand) ata farmaya jo bara acha bandah tha aur beyhad rujoo kerney wala tha

Verse 31 — Surah Sad 38:31

Jab unkay samney shaam kay waqt tez-ro khasay ghoray paish kiye gaye

Verse 32 — Surah Sad 38:32

To kehney lagay mein ney apnay perwerdigar ki yaad per inn ghoron ki mohabbat ko tarjeeh di yahan tak kay (aftab) chup gaya

Verse 33 — Surah Sad 38:33

Unn (ghoron) ko doobara meray samney lao! Phir to pindliyon aur gardano per hath pherna shoroo ker diya

Verse 34 — Surah Sad 38:34

Aur hum ney suleman (alh-e-salam) ki aazmaeesh ki aur unn kay takhat per aik jism daal diya phir uss ney rujoo kiya

Verse 35 — Surah Sad 38:35

Kaha kay aey meray rab! Mujhay bakhsh day aur mujhay aisa mulk ata farma jo meray siwa kissi (shaks) kay laeeq na ho tu bara hi denay wala hai

Verse 36 — Surah Sad 38:36

Pus hum ney hawa ko unn kay ma-tehat ker diya woh aap kay hukum say jahan aap chahtay narmi say phoncha diya kerti thi

Verse 37 — Surah Sad 38:37

Aur (taqatwar) jinnat ko bhi (unn ka ma-tehat ker diya) her imarat bananey walay ko aur ghota khor ko

Verse 38 — Surah Sad 38:38

Aur doosray jinnat ko bhi jo zanjeeron mein jakray rehtay

Verse 39 — Surah Sad 38:39

Yeh hai humara atiya abb tu ehsan ker ya rol rakh kuch hisab nahi

Verse 40 — Surah Sad 38:40

Unn kay liye humaray pass bara taqarrub hai aur boht acha thikana hai

Verse 41 — Surah Sad 38:41

Aur humaray banday ayub (alh-e-salam) ka (bhi) zikar ker jabkay uss ney apnay rab ko pukara kay mujhay shetan ney ranj aur dukh phonchaya hai

Verse 42 — Surah Sad 38:42

Apna paaon maaro yeh nahaney ka thanda aur peenay ka paani hai

Verse 43 — Surah Sad 38:43

Aur hum ney ussay uss ka poora kunba ata farmaya bulkay utna hi aur bhi issi kay sath apni (khaas) rehmat say aur aqalmandon ki naseehat kay liye

Verse 44 — Surah Sad 38:44

Aur apnay hath mein tinko ka aik mutha (jhaaro) ley ker maar day aur qasam ka khilaf na ker sach to yeh hai kay hum ney ussay bara sabir banda paya woh bara nek banda tha aur bari hi raghbat rakhney wala

Verse 45 — Surah Sad 38:45

Humaray bandon ibarhim, ishaq aur yaqoob (al-e-heem-us-salam) ka bhi zikar kero jo hathon aur aankhon walay thay

Verse 46 — Surah Sad 38:46

Hum ney unhen aik khaas baat yani aakhirat ki yaad kay sath makhsoos ker diya tha

Verse 47 — Surah Sad 38:47

Yeh sab humaray nazdeek bargazeedah aur behtareen log thay

Verse 48 — Surah Sad 38:48

Ismail, yasa aur zulkifil (al-e-heem-us-salam) ka bhi zikar ker dijiye. Yeh sab behtareen log thay

Verse 49 — Surah Sad 38:49

Yeh naseehat hai aur yaqeen mano kay perhezgaron ki bari achi jagah hai

Verse 50 — Surah Sad 38:50

(yani hameshgi wali) jannaten jin kay darwazay unn kay liye khilay huyey hain

Verse 51 — Surah Sad 38:51

Jin mein ba-faraghat takkiyey lagaye bethay huyey tarah tarah kay meway aur qisam qisam ki sharabon ki farmaeesh ker rahey hain

Verse 52 — Surah Sad 38:52

Aur unn kay pass neechi nazron wali hum umar hooren hongi

Verse 53 — Surah Sad 38:53

Yeh hai jiss ka wada tum say hisab kay din kay liye kiya jata tha

Verse 54 — Surah Sad 38:54

Be-shak roziyan (khaas) humara atiya hain jin ka kabhi khatma hi nahi

Verse 55 — Surah Sad 38:55

Yeh to hui jaza (yad rakho kay) sirkashon kay liye bari buri jagah hai

Verse 56 — Surah Sad 38:56

Dozakh hai jiss mein woh jayen gay (aah) kiya hi bura bichona hai

Verse 57 — Surah Sad 38:57

Yeh hai pus issay chakhen garum paani aur peep

Verse 58 — Surah Sad 38:58

Iss kay ilawa aur tarah tarah kay azab

Verse 59 — Surah Sad 38:59

Yeh aik qom hai jo tumharay sath (aag mein) janey wali hai koi khush aamdeed unn kay liye nahi hai yehi to jahannum mein janey walay hain

Verse 60 — Surah Sad 38:60

Woh kahen gay bulkay tum hi ho jin kay liye koi khush amdeed nahi hai tum hi ney to issay pehlay hi say humaray samney laa rakha tha pus rehney ki bari buri jagah hai

Verse 61 — Surah Sad 38:61

Woh kahen gay aey humaray rab! Jiss ney (kufur ki rasam) humaray liye pehlay say nikali ho uss kay haq mein jahannum ki dugni saza kerday

Verse 62 — Surah Sad 38:62

Aur jahannumi kahen gay kiya baat hai kay woh log humen dikhaee nahi detay jinhen hum buray logon mein shumar kertay thay

Verse 63 — Surah Sad 38:63

Kiya hum ney hi unn ka mazaq bana rakha tha ya humari nigahen unn say hat gaee hain

Verse 64 — Surah Sad 38:64

Yaqeen jano kay dozakhiyon ka yeh jhagra zaroor hi hoga

Verse 65 — Surah Sad 38:65

Keh dijiye! Kay mein to sirf khabaar kerney wala hun aur ba-juz Allah wahid ghalib kay aur koi laeeq ibadat nahi

Verse 66 — Surah Sad 38:66

Jo perwerdigar hai aasmano ka aur zamin ka aur jo kuch inn kay darmiyan hai woh zabardast aur bara bakhsney wala hai

Verse 67 — Surah Sad 38:67

Aap keh dijiye kay yeh boht bari khabar hai

Verse 68 — Surah Sad 38:68

Jiss say tum be-parwah ho rahey ho

Verse 69 — Surah Sad 38:69

Mujhay unn buland qadar farishton ki (baat cheet ka) koi ilm hi nahi jabkay woh takraar ker rahey thay

Verse 70 — Surah Sad 38:70

Meri taraf faqat yehi wahee ki jati hai kay mein to saaf saaf aagah ker denay wala hun

Verse 71 — Surah Sad 38:71

Jabkay aap kay rab ney farishton say irshad farmaya kay mein mitti say insan ko peda kerney wala hun

Verse 72 — Surah Sad 38:72

So jab mein ussay theek thaak kerlon aur uss mein apni rooh phoonk don to tum sab uss kay samney sajjday mein gir parna

Verse 73 — Surah Sad 38:73

Chunacha tamam farishton ney sajjdah kiya

Verse 74 — Surah Sad 38:74

Magar iblees ney (na kiya) uss ney takabbur kiya aur woh tha kafiron mein say

Verse 75 — Surah Sad 38:75

(Allah Taalaa ney) farmaya aey iblees! Tujhay issay sajjdah kerney say kiss cheez ney roka jissay mein ney apnay hathon say peda kiya kiya tu kuch ghamand mein aagaya hai? Ya tu baray darjay walon mein say hai

Verse 76 — Surah Sad 38:76

Uss ney jawab diya mein iss say behtar hun tu ney mujhay aag say banaya aur iss mitti say banaya hai

Verse 77 — Surah Sad 38:77

Irshad hua kay tu yahan say nikal ja tu mardood hua

Verse 78 — Surah Sad 38:78

Aur tujh per qayamat kay din tak meri lanat-o-phitkaar hai

Verse 79 — Surah Sad 38:79

Kehney laga meray rab mujhay logon kay uth kharay honey kay din tak mohlat day

Verse 80 — Surah Sad 38:80

(Allah Taalaa ney) farmaya tu mohlat walon mein say hai

Verse 81 — Surah Sad 38:81

Mutayyen waqt kay din tak

Verse 82 — Surah Sad 38:82

Kehney laga phir to teri izzat ki qasam! Mein inn sab ko yaqeenan behka doon ga

Verse 83 — Surah Sad 38:83

Ba-juz teray unn bandon kay jo cheedah aur pasndeedah hon

Verse 84 — Surah Sad 38:84

Farmaya sach to yeh hai aur mein sach hi kaha kerta hun

Verse 85 — Surah Sad 38:85

Kay tujh say aur teray tamam mannay walon say mein (bhi) jahannum ko bhar doon ga

Verse 86 — Surah Sad 38:86

Keh dijiye! Kay mein tum say iss per koi badla talab nahi kerta aur na mein takaluf kerney walon mein say hun

Verse 87 — Surah Sad 38:87

Yeh to tamam jahan walon kay liye sarasir naseehat (o-ibrat) hai

Verse 88 — Surah Sad 38:88

Yaqeenan tum iss ki haqeeqat ko kuch hi waqt kay baad (sahih tor per) jaan logay