Verse 1 — Surah Ghafir 40:1
Haa-meem
Verse 2 — Surah Ghafir 40:2
Iss kitab ka nazil farmana uss Allah ki taraf say hai jo ghalib aur dana hai
Verse 3 — Surah Ghafir 40:3
Gunah ka bakhsney wala aur toba ka qabool farmaney wala sakht azab wala inam-o-qudrat wala jiss kay siwa koi mabood nahi. Ussi ki taraf wapis lotna hai
Verse 4 — Surah Ghafir 40:4
Allah Taalaa ki aayaton mein wohi log jhagartay hain jo kafir hain pus inn logon ka shehron mein chalna phirna aap ko dhokay mein na daal day
Verse 5 — Surah Ghafir 40:5
Qom-e-nooh ney aur unn kay baad kay girohon ney bhi jhutlaya tha. Aur her ummat ney apnay rasool ko giriftar kerleney ka iradah kiya aur baatil kay zariyey kaj behasiyan kien takay unn say haq ko bigar den pus mein ney unn ko pakar liya so meri taraf say kaisi saza hui
Verse 6 — Surah Ghafir 40:6
Aur issi tarah aap kay rab ka hukum kafiron per sabit hogaya kay woh dozakhi hain
Verse 7 — Surah Ghafir 40:7
Arash kay uthaney walay aur uss kay aas pass kay (farishtay) apnay rab ki tasbeeh hamd kay sath sath kertay hain aur uss per eman rakhtay hain aur eman walon kay liye istaghfaar kertay hain kehtay hain kay aey humaray perwerdigar! Tu ney her cheez ko apni bakhsish aur ilm say gher rakha hai pus tu enhen bakhash day jo toba keren aur teri raah ki perwi keren aur tu enhen dozakh kay azab say bhi bacha lay
Verse 8 — Surah Ghafir 40:8
Aey humaray rab! Tu enhen hameshgi wali jannaton mein ley ja jin kay tu ney inn say wada kiya hai aur inn kay baap dadon aur biwiyon aur aulad mein say (bhi) inn (sab) ko jo nek amal hain. Yaqeenan tu to ghalib-o-ba-hikmat hai
Verse 9 — Surah Ghafir 40:9
Enhen burayion say bhi mehfooz rakh hq to yeh hai kay uss din tu ney jissay burayion say bacha liya uss per tu ney rehmat kerdi aur boht bari kaamyabi to yehi hai
Verse 10 — Surah Ghafir 40:10
Be-shak jin logon ney kufur kiya unhen yeh awaz di jayegi kay yaqeenan Allah ka tum per gussa hona uss say boht ziyadah hai jo tum gussa hotay thay apnay ji say jab tum eman ki taraf bulaye jatay thay phir kufur kerney lagtay thay
Verse 11 — Surah Ghafir 40:11
Woh kahengay aey humaray perwerdigar! Tu ney humen doobara maara aur doobara hi jilaya abb hum apnay gunahon kay iqrari hain to kiya abb koi raah nikalney ki bhi hai
Verse 12 — Surah Ghafir 40:12
Yeh (azab) tumhen iss liye hai kay jabb sirf akelay Allah ka ziker kiya jata to tum inkar ker jatay thay aur agar iss kay sath kissi ko shareek kiya jata tha to tum maan letay thay pus abb faisal Allah buland-o-buzurg hi ka hai
Verse 13 — Surah Ghafir 40:13
Wohi hai jo tumhen apni nishaniyan dikhalata hai aur tumharay liye aasman say rozi utarta hai naseehat to sirf wohi hasil kertay hain jo (Allah ki taraf rujoo kertay hain)
Verse 14 — Surah Ghafir 40:14
Tum Allah ko pukartay raho uss kay liye deen ko khalis ker key go kafir bura manen
Verse 15 — Surah Ghafir 40:15
Buland darjon wala arash ka malik woh apnay bandon mein say jiss per chahata hai wahee nazil kerta farmata hai takay woh mulaqat kay din say daraye
Verse 16 — Surah Ghafir 40:16
Jiss din sab log zahir hojayen gay unn ki koi cheez Allah say pocheedah na rahey gi. Aaj kiss ki baadshahi hai? Faqat Allah wahid-o-qahar ki
Verse 17 — Surah Ghafir 40:17
Aaj her nafas ko uss ki kamaee ka badla diya jayega. Aaj (kissi qisam ka) zulm nahi yaqeenan Allah Taalaa boht jald hisab kerney wala hai
Verse 18 — Surah Ghafir 40:18
Aur enhen boht hi qareeb anay wali (qayamat say) aagah kerdijiye jab kay dil halaq tak phonch jayen gay aur sab khamosh hongay zalimon ka na koi dili dost hoga na sifarshi kay jiss ki baat mani jaye gi
Verse 19 — Surah Ghafir 40:19
Woh aankhon ki khayanat ko aur seenon ki posheedah baaton ko (khoob) janta hai
Verse 20 — Surah Ghafir 40:20
Aur Allah Taalaa theek theek failsa ker dey ga uss kay siwa jihen yeh log pukartay hain woh kissi cheez ka bhi faisla nahi ker saktay be-shak Allah Taalaa khoob sunta khoob dekhta hai
Verse 21 — Surah Ghafir 40:21
Kiya yeh log zamin mein chalay phiray nahi kay dekhtay kay jo log inn say pehlay thay unn ka nateeja kaisa kuch hua? Woh ab-aitbaar qooat-o-taqat kay aur ba-aitbaar zamin mein apni yaadgaron kay inn say boht ziyadah thay pus Allah ney unhen unn kay gunahon per pakar liya aur koi na hua jo unhen Allah kay azab say bacha leta
Verse 22 — Surah Ghafir 40:22
Yeh iss waja say kay unn kay pass unn kay payghumber mojzzay ley ker aatay thay to woh inkar ker detay thay pus Allah unhen pakar leta tha. Yaqeenan woh taqatwar aur sakht azab wala hai
Verse 23 — Surah Ghafir 40:23
Aur hum ney musa (alh-e-salam) ko apni aayaton aur khulli daleelon kay sath bheja
Verse 24 — Surah Ghafir 40:24
Firaon hamaan aur qaroon ki taraf to unhon ney kaha (yeh to) jaddogar aur jhoota hai
Verse 25 — Surah Ghafir 40:25
Pus jab unn kay pass (musa alh-e-salam) humari taraf say (deen) haq ko ley ker aaye to unhon ney kaha kay iss kay sath jo eman walay hain unn kay larkon ko to maar dalo aur inn ki larkiyon ko zindah rakho aur kafiron ki jo heela saazi hai woh ghalati mein hi hai
Verse 26 — Surah Ghafir 40:26
Aur firaon ney kaha mujhay choro kay mein musa (alh-e-salam) ko maar dalon aur issay chahyey kay apnay rab ko pukaray mujhay to darr hai kay yeh kahen tumhara deen na badal dalay ya mulk mein koi (boht bara) fasad barpa na ker day
Verse 27 — Surah Ghafir 40:27
Musa (alh-e-salam) ney kaha mein apnay aur tumharay rab ki panah mein aata hun her uss takabbur kerney walay shaks (ki buraee) say jo roz-e-hisab per eman nahi rakhta
Verse 28 — Surah Ghafir 40:28
Aur aik momin shaks ney ji firaon kay khandan mein say tha aur apna eman chupaye huyey tha kaha kay kiya tum aik shaks ko mehaz iss baat per qatal kertay ho kay woh kehta hai kay mera rab Allah hai aur tumharay rab ki taraf say daleelen ley ker aaya hai agar woh jhoota ho to uss ka jhoot ussi per hai aur agar woh sacha ho to jiss (azab) ka woh tum say wada ker raha hai uss mein say kuch na kuch to tum per aa paray ga Allah Taalaa uss ki rehbari nahi kerta jo hadd say guzar janey walay aur jhootay hon
Verse 29 — Surah Ghafir 40:29
Aey meri qom kay logo! Aaj to badshahaat tumhari hai kay iss zamin per tum ghalib ho lekin Allah ka azab hum per aagaya to kon humari madad keray ga? Firaon bola mein to tumhen wohi raye dey raha hun jo khud dekh raha hun aur mein to tumhen bhalaee ki raah hi batla raha hun
Verse 30 — Surah Ghafir 40:30
Uss momin ney kaha aey meri qom! (kay logo) mujhay to andesha hai kay tum per bhi wesa hi roz (bad azab) na aaye jo aur ummaton per aaya
Verse 31 — Surah Ghafir 40:31
Jesay ummat-e-nooh aur aad-o-samood aur inn kay baad walon ka (haal hua) Allah apnay bandon per kissi tarah ka zulm kerna nahi chahata
Verse 32 — Surah Ghafir 40:32
Aur mujhay tum per haank pukar kay din ka bhi darr hai
Verse 33 — Surah Ghafir 40:33
Jiss din tum peeth pher ker loto gay tumhen Allah say bachaney wala koi na hoga aur jissay Allah gumrah ker day uss ka hadi koi nahi
Verse 34 — Surah Ghafir 40:34
Aur iss say pehlay tumharay pass (hazrat) yousuf daleelen ley ker aaye phir bhi tum inn ki laaee hui (daleel) mein shak-o-shuba hi kertay rahey yahan tak kay jab unki wafaat hogaee to kehney lagay inn kay baad to Allah kissi rasool ko bhejay ga hi nahi issi tarah Allah gumrah kerta hai her uss shaks ko jo hadd say barh janey wala shak-o-shuba kerney wala ho
Verse 35 — Surah Ghafir 40:35
Jo baghair kissi sanad kay jo inn kay pass aaee ho Allah ki aayaton mein jhagartay hain Allah kay nazdeek aur momino kay nazdeek yeh to boht bari narazgi ki cheez hai Allah Taalaa issi tarah her aik maghroor sirkash kay dil per mohar ker deta hai
Verse 36 — Surah Ghafir 40:36
Firaon ney kaha aey haamaan! Meray liye aik bala khana bana shayad kay mein jo aasman kay darwazay hain
Verse 37 — Surah Ghafir 40:37
(unn) darwazon tak phonch jaon aur musa kay mabood ko jhaank loon aur be-shak mein samjhta hun woh jhoota hai aur issi tarah firaon ki bad-kirdariyan ussay bhali dikhaee gaeen aur raah say rok diya gaya aur firaon ki (her) heela saazi tabahee mein hi rahee
Verse 38 — Surah Ghafir 40:38
Aur uss momin shaks ney kaha kay aey meri qom! (kay logo) tum (sab) meri perwi kero mein nek raah ki taraf tumhari rehbari keroon ga
Verse 39 — Surah Ghafir 40:39
Aey meri qom! Yeh hayat-e-duniya matay-e-faani hai (yaqeen mano kay qarar) aur hameshgi ka ghar to aakhirat hi hai
Verse 40 — Surah Ghafir 40:40
Jiss ney gunah kiya hai ussay to barabar barabar ka badla hi hai aur jiss ney neki ki hai khua woh mard ho ya aurat aur woh eman wala ho to yeh log jannat mein jayen gay aur wahan be-shumar rozi payen gay
Verse 41 — Surah Ghafir 40:41
Aey meri qom! Yeh kiya baat hai kay mein tumhen nijat ki taraf bula raha hun aur tum mujhay dizakh ki taraf bula rahey ho
Verse 42 — Surah Ghafir 40:42
Tum mujhay yeh dawat dey rahey ho kay mein Allah kay sath kufur keroon aur uss kay sath shirk keroon jiss ka koi ilm mujhay nahi aur mein tumhen ghalib bakhshney walay (mabood) ki taraf dawat dey raha hun
Verse 43 — Surah Ghafir 40:43
Yeh yaqeeni amar hai kay tum mujhay jiss ki taraf bula rahey ho woh to na duniya mein pukaray janey kay qabil hai na aakhirat mein aur yeh (bhi yaqeeni baat hai) kay hum sab ka lotna Allah ki taraf hai aur hadd say guzar janey walay hi (yaqeenan) ahl-e-dozakh hain
Verse 44 — Surah Ghafir 40:44
Pus aagay chal ker tum meri baaton ko yaad kero gay mein apna moamla Allah kay supurd kerta hun yaqeenan Allah Taalaa bandon ka nigran hai
Verse 45 — Surah Ghafir 40:45
Pus ussay Allah Taalaa ney tamam badiyon say mehfooz rakh liya jo unhon ney soch rakhi thin aur firaon walon per buri tarah ka azab ulat para
Verse 46 — Surah Ghafir 40:46
Aag hai jiss kay samney yeh her subah shaam laye jatay hain aur jiss din qayamat qaeem hogi (farman hoga kay) firaoniyon ko sakht tareen azab mein daalo
Verse 47 — Surah Ghafir 40:47
Aur jab kay dozakh mein aik doosray say jhagren gayto kamzor log takabbur walon say (jin kay yeh tabey thay) kahen gay kay hum to tumharay pairo thay to kiya tum hum say iss aag ka koi hissa hata saktay ho
Verse 48 — Surah Ghafir 40:48
Woh baray log jawab den gay hum to sabhi iss aag mein hain Allah Taalaa apnay bandon kay darmiyan faislay ker chuka hai
Verse 49 — Surah Ghafir 40:49
Aur (tamam)jahannumi mill ker jahannum kay daroghon say kahen gay kay tum hi apnay perwerdigar say dua kero kay woh kissi din to humaray azab mein kami kerdey
Verse 50 — Surah Ghafir 40:50
Woh jawab den gay kay kiya tumharay pass tumharay rasool mojzzay ley ker nahi aaye thay? Woh kehen gay kiyon nahi woh kahen gay phir tum hi dua kero aur kafiron ki dua mehaz be-asar aur be-raah hai
Verse 51 — Surah Ghafir 40:51
Yaqeenan hum apnay rasoolon ki aur eman walon ki madad zindaganiy-e-duniya mein bhi keren gay aur uss din bhi jab gawahee denay walay kharay hongay
Verse 52 — Surah Ghafir 40:52
Jiss din zalimon ko unn ki (uzar) maazrat kuch nafa na dey gi unn kay liye laanat hi hogi aur unn kay liye bura ghar hoga
Verse 53 — Surah Ghafir 40:53
Hum ney musa (alh-e-salam) ko hidayat nama ata farmaya aur bano israeel ko iss kitab ka waris banaya
Verse 54 — Surah Ghafir 40:54
Kay woh hidayat-o-naseehat thi aqal mando kay liye
Verse 55 — Surah Ghafir 40:55
Pus aey nabi! To sabar ker Allah ka wada bila shak (o-shuba) sacha hi hai tu apnay gunah ki maafi mangta reh aur subah shaam apnay perwerdigar ki tasbeeh aur hamd biyan kerta reh
Verse 56 — Surah Ghafir 40:56
Jo log bawajood apnay pass kissi sanad kay na honay kay aayat-e-elahee mein jhagra kertay hain unn kay dilon mein ba-juz nirri baraee kay aur kuch nahi woh uss tak phonchney walay hi nahi so tu Allah ki panah mangta reh be-shak woh poora sunnay wala aur sab say ziyadah dekhney wala hai
Verse 57 — Surah Ghafir 40:57
Aasmano-o-zamin ki pedaeesh yaqeenan insan ki pedaeesh say boht bara kaam hai lekin (yeh aur baat hai kay) aksar log be-ilm hain
Verse 58 — Surah Ghafir 40:58
Andha aur beena barabar nahi na woh log jo eman laye aur bhalay kaam kiyey bad-kaaron kay (barabar hain) tum (boht) kum naseehat hasil ker rahey ho
Verse 59 — Surah Ghafir 40:59
Qayamat bil-yaqeen aur be-shuba aaney wali hai lekin (yeh aur baat hai kay) boht say log eman nahi latay
Verse 60 — Surah Ghafir 40:60
Aur tumharay rab ka farman (sirzad ho chuka) hai kay mujh say dua kero mein tumhari duaon ko qabool keroon ga yaqeen mano kay jo log meri ibadat say khudsari kertay hain woh abhi abhi zaleel hoker jahannum mein phonch jayen gay
Verse 61 — Surah Ghafir 40:61
Allah Taalaa ney tumharay liye raat bana di kay tum iss mein aaram hasil kero aur din ko dekhney wala bana diya be-shak Allah Taalaa logon per fazal-o-karam wala hai lekin aksat log shukar guzari nahi kertay
Verse 62 — Surah Ghafir 40:62
Yehi Allah hai tum sab ka rab her cheez ka khaliq iss kay siwa koi mabood nahi phir kahan tum phiray jatay ho
Verse 63 — Surah Ghafir 40:63
Issi tarah woh log bhi pheray jatay rahey jo Allah ki aayaton ka inkar kertay thay
Verse 64 — Surah Ghafir 40:64
Allah hi hai jiss ney tumharay liye zami ko therney ki jagah aur aasman ko chat bana diya aur tumhari sooraten banaeen aur boht achi banaeen aur tumehn umdah umdah cheezen khaney ko ata farmaeen yehi Allah tumhara perwerdigar hai pus boht hi barkaton wala Allah hai saray jahaan ka perwerish kerney wala
Verse 65 — Surah Ghafir 40:65
Woh zindah hai jiss kay siwa koi mabood nahi pus tum khalis ussi ki ibadat kertay huyey ussay pukaro tamam khoobiyen Allah hi kay liye hain jo tamam jahano ka rab hai
Verse 66 — Surah Ghafir 40:66
Aap keh dijiyey! Kay mujhay unn ki ibadat say rok diya gaya hai jinhen tum Allah kay siwa pukar rahey ho iss bina per kay meray pass meray rab ki daleelen phonch chuki hain mujhay yeh hukum diya gaya hai kay mein tamam jahano kay rab ka tabey farman hojaon
Verse 67 — Surah Ghafir 40:67
Woh wohi hai jiss ney tumhen mitti say phir nutfay say phir khoon kay lothray say peda kiya phir tumhen bachay ki soorat mein nikalta hai phir (tumhen barhata hai kay) tum apni qooat ko phonch jao phir boorhay hojao. Tum mein say baaz iss say pehlay hi fot hojatay hain (woh tumhen chor deta hai) takay tum muddat moayyen tak phonch jao aur takay tum soch samajh lo
Verse 68 — Surah Ghafir 40:68
Wohi hai jo jilata hai aur maar dalta hai phir woh jab kissi kaam ka kerna muqarrar kerta hai to ussay sirf yeh kehta hai kay hoja pus woh hojata hai
Verse 69 — Surah Ghafir 40:69
Kiya tu ney unhen dekha jo Allah ki aayaton mein jhagartay hain woh kahan pher diyey jatay hain
Verse 70 — Surah Ghafir 40:70
Jinn logon ney kitab ko jhutlaya aur ussay bhi jo hum ney apnay rasoolon kay sath bheja unhen abhi abhi haqeeqat-e-haal maloom hojayegi
Verse 71 — Surah Ghafir 40:71
Jabakay unki gardano mein toq hongay aur zanjeeren hongi ghaseetay jayen gay
Verse 72 — Surah Ghafir 40:72
Kholtay huyey paani mein aur phir jahannum ki aag mein jalaye jayen gay
Verse 73 — Surah Ghafir 40:73
Phir unn say poocha jayega kay jinhen tum shareek kertay thay woh kahan hain
Verse 74 — Surah Ghafir 40:74
Jo Allah kay siwa thay woh kahen gay kay woh to hum say behak gaye bulkay hum to iss say pehlay kissi ko bhi pukartay hi na thay. Allah Taalaa kafiron ko issi tarah gumrah kerta hai
Verse 75 — Surah Ghafir 40:75
Yeh badla hai uss cheez ka jo tum zamin mein na-haq phoolay na samatay thay. Aur (be-ja) itratay phirtay thay
Verse 76 — Surah Ghafir 40:76
(abb aao) jahannum mein hamesha rehney kay liye (iss kay) darwazon mein dakhil hojao kiya hi buri jagah hai takabbur kerney walon ki
Verse 77 — Surah Ghafir 40:77
Pus aap sabar keren Allah ka wada qata’an sacha hai enhen hum ney jo waday dey rakhay hain inn mein say kuch hum aap ko dikhayen ya (iss say pehlay) hum aap ko wafat dey den inn ka lotaya jana to humari hi taraf hai
Verse 78 — Surah Ghafir 40:78
Yaqeenan hum aap say pehlay bhi boht say rasool bhej chukay hain jinn mein say baaz kay (waqeyaat) hum aap ko biyan ker chukay hain aur unn mein say baaz kay (qissay) to hum ney aap ko biyan hi nahi kiyey aur kissi rasool ka yeh (maqdoor) na tha kay koi mojzza Allah ki ijazat kay baghair la sakay phir jiss waqt Allah ka hukum aaye ga haq kay sath faisla ker diya jayega aur uss jagah ahl-e-baatil khasaray mein reh jayen gay
Verse 79 — Surah Ghafir 40:79
Allah woh hai jiss ney tumharay liye chopaye peda kiyey jinn mein say baaz per tum sawar hotay ho aur baaz ko tum khatay ho
Verse 80 — Surah Ghafir 40:80
Aur bhi tumharay liye inn mein boht say nafay hain aur takay apnay seeno mein chupi hui hajaton ko inhi per sawari kerkay tum hasil kerlo aur inn chopayon per aur kashtiyon per sawar kiyey jatay ho
Verse 81 — Surah Ghafir 40:81
Allah tumhen apni nishaniyan dikhata jaraha hai pus tum Allah ki kin kin nishaniyon ka munkir bantay raho gay
Verse 82 — Surah Ghafir 40:82
Kiya enhon ney zamin mein chal phir ker apnay say pehlon ka anjam nahi dekha? Jo inn say tadaad mein ziyadah thay qooat mein sakht aur zamin mein boht sari yaadgaren chori thin unn kay kiyey kaamon ney unhen kuch bhi faeedah na phonchaya
Verse 83 — Surah Ghafir 40:83
Pus jab kabhi unn kay pass unn kay rasool khulli nishaniyan ley ker aaye to yeh apnay pass kay ilm per itraney lagay bil-aakhir jiss cheez ko mazaq mein ura rahey thay wohi unn per ulat pari
Verse 84 — Surah Ghafir 40:84
Humara azab dekhtay hi kehney lagay kay Allah wahid per hum eman laye aur jin jin ko hum uss ka shareek bana rahey thay hum ney unn sab say inkar kiya
Verse 85 — Surah Ghafir 40:85
Lekin humaray azab ko dekh lenay kay baad unn kay eman ney unhen nafa na diya. Allah ney apna mamool yehi muqarrar ker rakha hai jo uss kay bando mein barabar chala aaraha hai aur uss jagah kafir kharab-o-khasta huyey