Back to Languages

Urdu - Chapter 43 - Az-Zukhruf

Translation by Muhammad Junagarhi — Permalink

Verse 1 — Surah Az-Zukhruf 43:1

Verse 2 — Surah Az-Zukhruf 43:2

Qasam hai iss wazeh kitab ki

Verse 3 — Surah Az-Zukhruf 43:3

Hum ney iss ko arabi zaban ka quran banaya hai kay tum samjh lo

Verse 4 — Surah Az-Zukhruf 43:4

Yaqeenan yeh loh-e-mehfooz mein hai aur humaray nazdeek buland martba hikmat wali hai

Verse 5 — Surah Az-Zukhruf 43:5

Kiya hum iss naseehat ko tum say iss bina per hata len kay tum hadd say guzar janey walay ho

Verse 6 — Surah Az-Zukhruf 43:6

Aur hum ney aglay logon mein bhi kitney hi nabi bhejay

Verse 7 — Surah Az-Zukhruf 43:7

Jo nabi unn kay pass aaya unhon ney uss ka mazak uraya

Verse 8 — Surah Az-Zukhruf 43:8

Pus hum ney inn say ziyadah zor aawaron ko tabah ker dala aur aglon ki misal guzar chuki hai

Verse 9 — Surah Az-Zukhruf 43:9

Agar aap inn say daryaft keren kay aasmano aur zamin ko kiss ney peda kiya to yaqeenan inn ka jaeab yehi hoga kay unhen ghalib-o-dana (Allah) ney hi peda kiya hai

Verse 10 — Surah Az-Zukhruf 43:10

Wohi hai jiss ney tumharay liye zamin ko farash (bichona) banaya aur iss mein tumharay liye rastay ker diyey takay tum raah paa liya kero

Verse 11 — Surah Az-Zukhruf 43:11

Ussi ney aasman say aik andazay kay mutabiq pani nazil farmaya pus hum ney iss say murah shehar ko zindah ker diya.issi tarah tum nikalay jaogay

Verse 12 — Surah Az-Zukhruf 43:12

Jiss ney tamam cheezon kay joray banaye aur tumharay liye kashtiyan banaeen aur chopaye janwar (peda kiyey) jinn per tum sawar hotay ho

Verse 13 — Surah Az-Zukhruf 43:13

Takay tum inn ki peeth per jamm ker sawar hua kero phir apnay rab ki nemat ko yaad kero jab iss per theek thaak beth jaoaur kaho pak zaat hai uss ki jiss ney issay humaray bus mein ker diya halankay humen issay qaboo kerney ki taqat na thi

Verse 14 — Surah Az-Zukhruf 43:14

Aur bil-yaqeen hum apnay rab ki taraf lot ker janey walay hain

Verse 15 — Surah Az-Zukhruf 43:15

Aur enhon ney Allah kay baaz bando ko uss ka juzz thera diya yaqeenan insan khulla na-shukra hai

Verse 16 — Surah Az-Zukhruf 43:16

Kiya Allah Taalaa ney apni makhlooq mein say betiyan to khud rakh leen aur tumhen beton say nawaza

Verse 17 — Surah Az-Zukhruf 43:17

(Halankay) inn mein say kissi ko jab uss cheez ki khabar di jaye jiss ki misal uss ney (Allah) rehman kay liye biyan ki hai to uss ka chehra siyah parr jata hai aur woh ghumgeen hojata hai

Verse 18 — Surah Az-Zukhruf 43:18

Kiya (Allah ki aulad larkiyan hain) jo zewraat mein palen aur jhagray mein (apni baat) wazeh na ker saken

Verse 19 — Surah Az-Zukhruf 43:19

Aur enhon ney farishton ko jo rehman kay ibadat guzaar hain aurten qarar dey liya. Kiya unn ki pedaeesh kay moqay per yeh mojood thay? Inn ki yeh gawahee likh li jayegi aur inn say (iss cheez ki) baaz purs ki jayegi

Verse 20 — Surah Az-Zukhruf 43:20

Aur kehtay hain Allah chahta to hum inn ki ibadat na kertay. Enhen iss ki kuch khabar nahi yeh to sirf atkal pichoo (jhoot baaten) kehtay hain

Verse 21 — Surah Az-Zukhruf 43:21

Kiya hum ney enhen iss say pehlay koi (aur) kitab di hai jissay yeh mazboot thamay huyey hain

Verse 22 — Surah Az-Zukhruf 43:22

(nahi nahi) bulkay yeh to kehtay hain kay hum ney apnay baad dadon ko aik mazhab per paya aur hum inhi kay naqsh-e-qadam per chal ker raah yaafta hain

Verse 23 — Surah Az-Zukhruf 43:23

Issi tarah aap say pehlay bhi hum ney jiss basti mein koi daraney wala bheja wahan kay aasoodah haal logon ney yehi jawab diya kay hum ney apnay baap dada ko (aik raah per aur) aik deen per paya aur hum ney inhi kay naqsh-e-paa lo perwi kerney walay hain

Verse 24 — Surah Az-Zukhruf 43:24

(nabi ney) kaha bhi kay agar cheh mein tumharay pass uss say boht behtar (maqsood tak phonchaney wala) tareeqa ley ker aaya hun jiss per tum ney apnay baap dadon ko paya to unhon ney kaha hum iss kay munkir hain jissay day ker tumhen bheja gaya hai

Verse 25 — Surah Az-Zukhruf 43:25

Pus hum ney unn say intiqam liya aur dekh ley jhutlaney walon ka kaisa anjam hua

Verse 26 — Surah Az-Zukhruf 43:26

Aur jabkay ibrahim (alh-e-salam) ney apnay walid say aur apni qom say farmaya kay mein inn cheezon say beyzaar hun jinn ki tum ibadat kertay ho

Verse 27 — Surah Az-Zukhruf 43:27

Ba-juzz uss zaat kay jiss ney mujhay peda kiya hai aur wohi mujhay hidayat bhi keray ga

Verse 28 — Surah Az-Zukhruf 43:28

Aur ibrahim (alh-e-salam) issi ko apni aulad mein bhi baqi rehney wali baat qaeem ker gaye takay log (shirk say) baaz aatey rahen

Verse 29 — Surah Az-Zukhruf 43:29

Bulkay mein ney unn logon ko aur inn kay baap dadon ko saman (aur asbab) diya yahan tak kay unn kay pass haq aur saaf saaf sunaney wala rasool aagaya

Verse 30 — Surah Az-Zukhruf 43:30

Aur haq kay phonchtay hi yeh bol paray kay yeh to jadoo hai aur hum iss kay munkir hain

Verse 31 — Surah Az-Zukhruf 43:31

Aur kehney lagay yeh quran inn dono bastiyon mein say kissi baray aadmi per kiyon na nazil kiya gaya

Verse 32 — Surah Az-Zukhruf 43:32

Kiya aap kay rab ki rehmat ko yeh taqseem kertay hain? Hum ney hi inn ki zindagniy-e-duniya ki rozi inn mein taqseem ki hai aur aik ko doosray say buland kiya hai takay aik doosray ko matehat ker ley jissay yeh log samettay phirtay hain iss say aap kay rab ki rehmat boht hi behtar hai

Verse 33 — Surah Az-Zukhruf 43:33

Aur agar yeh baat na hoti kay tamam log aik hi tareeqay per hojayen gay to rehman kay sath kufur kerney walon kay gharon ki chatton ko hum chandi bana detay. Aur zeenon ko (bhi) jinn per charha kertay

Verse 34 — Surah Az-Zukhruf 43:34

Aur inn kay gharon kay darwazay aur takhat bhi jinn per woh takkiyey laga laga ker bethtay

Verse 35 — Surah Az-Zukhruf 43:35

Aur soney kay bhi aur yeh sabb kuch yunhi sa duniya ki zindagi ka faeedah hai aur aakhirat to aap kay rab kay nazdeek (sirf) perhezgaron kay liye (hi) hai

Verse 36 — Surah Az-Zukhruf 43:36

Aur jo shaks rehman ki yaad say ghaflat keray hum uss per aik shetan muqarrar ker detay hain wohi uss ka sathi rehta hai

Verse 37 — Surah Az-Zukhruf 43:37

Aur woh unhen raah say roktay hain aur yeh iss khayal mein rehtay hain kay yeh hidayat yafta hai

Verse 38 — Surah Az-Zukhruf 43:38

Yehan tak kay jabb woh humaray pass aayega kahega kash! Meray aur teray darmiyan mashriq aur maghrib ki doori hoti (to) bara bura sathi hai

Verse 39 — Surah Az-Zukhruf 43:39

Aur jabkay tum zalim thehar chukay to tumhen aaj hergiz tum sabb ka azab mein shareek hona koi nafa na dey ga

Verse 40 — Surah Az-Zukhruf 43:40

Kiya pus tu behray ko suna sakta hai ya andhay ko raah dikha sakta hai aur ussay jo khulli gumrahee mein ho

Verse 41 — Surah Az-Zukhruf 43:41

Pus agar hum tujhay yahan say bhi ley jayen to bhi hum inn say badla lenay walay hain

Verse 42 — Surah Az-Zukhruf 43:42

Ya jo kuch inn say wada kiya hai woh tujhay dikha den hum inn per bhi qudrat rakhtay hain

Verse 43 — Surah Az-Zukhruf 43:43

Pus jo wahee aap ki taraf ki gaee hai ussay mazboot thamay rahen be-shak aap rah-e-raast per hain

Verse 44 — Surah Az-Zukhruf 43:44

Aur yaqeenan yeh (khud) aap kay liye aur aap ki qom kay liye naseehat hai aur unqareeb tum log poochay jaogay

Verse 45 — Surah Az-Zukhruf 43:45

Aur humaray inn nabiyon say poocho! Jinhen hum ney aap say pehlay bheja tha kay kiya hum ney siwaye rehman kay aur mabood muqarrar kiyey thay jinn ki ibadat ki jaye

Verse 46 — Surah Az-Zukhruf 43:46

Aur hum ney musa (alh-e-salam) ko apni nishaniyan dey ker firaon aur usskay umraa kay pass bheja to (Musa alh-e-salam ney jaa ker) kaha kay mein tamam jahano kay rab ka rasool hun

Verse 47 — Surah Az-Zukhruf 43:47

Pus jab woh humari nishaniyan ley ker unn kay pass aaye to be-saakhta unn per hansney lagay

Verse 48 — Surah Az-Zukhruf 43:48

Aur hum unhen jo nishaniyan dikhatay thay woh doosray say barhi chahrhi hoti thi aur hum ney unhen azab mein pakra takay woh baaz aajayen

Verse 49 — Surah Az-Zukhruf 43:49

Aur unhon ney kaha aey jadoogar! Humaray liye apnay rab say uss ki dua ker jiss ka uss ney tujh say wada ker rakha hai yaqeen maan kay hum raah per lag jayen gay

Verse 50 — Surah Az-Zukhruf 43:50

Phir jab hum ney woh azab unn say hata liya unhon ney ussi waqt apna qol-o-qarar tor diya

Verse 51 — Surah Az-Zukhruf 43:51

Aur firaon ney apni qom mein munadi keraee aur kaha aey meri qom! Kiya misir ka mulk mera nahi? Aur meray (mehlon kay) neechay yeh nehren beh rahi hain kiya tum dekhtay nahi

Verse 52 — Surah Az-Zukhruf 43:52

Bulkay mein behtar hun ba-nisbat uss kay jo be-toqeer hai aur saaf bol bhi nahi sakta

Verse 53 — Surah Az-Zukhruf 43:53

Acha iss per soney kay kanggan kiyon nahi aa paray ya iss kay sath per bandh ker farishtay hi aajatay

Verse 54 — Surah Az-Zukhruf 43:54

Uss ney apni qom ko behlaya phuslaya aur unhon ney ussi ki maan li yaqeenan yeh saray hi nafarman log thay

Verse 55 — Surah Az-Zukhruf 43:55

Phir jab unhon ney humen gussa dilaya to hum ney unn say intiqam liya aur sab ko dubo diya

Verse 56 — Surah Az-Zukhruf 43:56

Pus hum ney unhen gaya guzra ker diya aur pichlon kay liye misal bana di

Verse 57 — Surah Az-Zukhruf 43:57

Aur jab ibn-e-mariyam ki misal biyan ki gaee to iss say teri qom (khushi say) cheekhney lagi hai

Verse 58 — Surah Az-Zukhruf 43:58

Aur enhon ney kaha kay humaray mabood achay hain ya woh? Tujh say inn ka yeh kehna mehaz jhagray ki gharaz say hai bulkay yeh log hain hi jhagraloo

Verse 59 — Surah Az-Zukhruf 43:59

Essa (alh-e-salam) bhi sirf banda hi hai jiss per hum ney ehsan kiya aur ussay bani-isareel kay liye nishan-e-qudrat banaya

Verse 60 — Surah Az-Zukhruf 43:60

Agar hum chahtay to tumharay ewaz farishtay kerdetay jo zamin mein ja nasheeni kertay

Verse 61 — Surah Az-Zukhruf 43:61

Aur yaqeenan essa (alh-e-salam) qayamat ki alamat hai pus tum qayamt kay baray mein shak na kero aur meri tabeydaari kero yehi seedhi raah hai

Verse 62 — Surah Az-Zukhruf 43:62

Aur shetan tumhen rok na day yaqeenan woh tumhara sareeh dushman hai

Verse 63 — Surah Az-Zukhruf 43:63

Aur jab essa (alh-e-salam) mojzzay laye to kaha kay mein tumharay pass hikmat laya hun aur iss liye aaya hun kay jinn baaz cheezon mein tum mukhtalif ho unhen wazeh kerdoon pus tum Allah Taalaa say daro aur mera kaha mano

Verse 64 — Surah Az-Zukhruf 43:64

Mera aur tumhara rab faqat Allah Taalaa hi hai. Pus tum sab uss ki ibadat kero. Rah-e-raast (yehi) hai

Verse 65 — Surah Az-Zukhruf 43:65

Phir (bani-israeel ki) jamaton ney aapas mein ikhtilaf kiya pus zalimon kay liye kharabi hai dukh walay din ki aafat say

Verse 66 — Surah Az-Zukhruf 43:66

Yeh log sirf qayamat kay muntazir hain kay woh achnak inn per aa paray aur enhen khabar bhi na ho

Verse 67 — Surah Az-Zukhruf 43:67

Uss din (gehray) dost bhi aik doosray kay dushman ban jayen gay siwaye perhezgaron kay

Verse 68 — Surah Az-Zukhruf 43:68

Meray bando! Aaj to tum per koi khof (o-hiras) hai aur na tum (bad-dil aur) ghumzadah hogay

Verse 69 — Surah Az-Zukhruf 43:69

Aur jo humari aayaton per eman laye aur thay bhi woh (farmabardar) musalman

Verse 70 — Surah Az-Zukhruf 43:70

Tum aur tumhari biwiyan hasshash basshash (razi khushi) jannat mein chalay jao

Verse 71 — Surah Az-Zukhruf 43:71

Inn kay charon taraf say soney ki rakabiyan aur soney kay gilason ka dor chalaya jaye ga inn kay ji jiss cheez ki khuwaish keren aur jiss say inn ki aankhen lazzat payen sab wahan hoga aur tum iss mein hamesha raho gay

Verse 72 — Surah Az-Zukhruf 43:72

Yehi woh bahisht hai kay tum apnay aemaal kay badlay iss kay waris banaye gaye ho

Verse 73 — Surah Az-Zukhruf 43:73

Yahan tumharay liye ba-kasrat meway hain jinhen tum khatay raho gay

Verse 74 — Surah Az-Zukhruf 43:74

Be-shak gunehgar log azab-e-dozakh mein hamesha rahen gay

Verse 75 — Surah Az-Zukhruf 43:75

Yeh azab kabhi bhi unsay halka na kiya jayega aur woh issi mein mayyus paray rahen gay

Verse 76 — Surah Az-Zukhruf 43:76

Aur hum ney inn per zulm nahi kiya bulkay yeh khud hi zalim thay

Verse 77 — Surah Az-Zukhruf 43:77

Aur pukar pukar ker kahen gay kay aey malik! Tera rab humara kaam hi tamam ker day woh kahega kay tumhen to (hamesha) rehna hai

Verse 78 — Surah Az-Zukhruf 43:78

Hum to tumharay pass haq ley aaye lekin tum mein say aksar log haq say nafrat rakhney walay thay

Verse 79 — Surah Az-Zukhruf 43:79

Kiya unhon ney kissi kaam ka pukhta iradah ker liya hai to yaqeen mano kay hum bhi pukhta kaam kerney walay hain

Verse 80 — Surah Az-Zukhruf 43:80

Kiya inn ka yeh khayal hai kay hum inn ki posheedah baaton ko aur inn ki sirgoshiyon ko nahi suntay (yaqeenan hum barabar sunn rahey hain) bulkay humaray bhejay huyey inn kay pass hi likh rahey hain

Verse 81 — Surah Az-Zukhruf 43:81

Aap keh dijiye! Kay agar bil-faraz rehman ki aulad ho to mein sab say pehlay ibadat kerney wala hota

Verse 82 — Surah Az-Zukhruf 43:82

Aasmano aur zamin aur arsh ka rab jo kuch yeh biyan kertay hain iss say (boht) pak hai

Verse 83 — Surah Az-Zukhruf 43:83

Abb aap enhen issi behas mubahisay aur khel kood mein chor dijiye yahan tak kay enhen uss din say sabiqa parr jaye jinn ka yeh wada diyey jatay hain

Verse 84 — Surah Az-Zukhruf 43:84

Wohi aasmano mein mabood hai aur zamin mein bhi wohi qabil-e-ibadat hai aur woh bari hikmat wala aur pooray ilm wala hai

Verse 85 — Surah Az-Zukhruf 43:85

Aur woh boht barkaton wala hai jiss kay pass aasman-o-zamin aur inn kay darmiyan ki badshahat hai aur qayamat ka ilm bhi ussi kay pass hai aur ussi ki janib tum sab lotaye jao gay

Verse 86 — Surah Az-Zukhruf 43:86

Jinehn yeh log Allah kay siwa pukartay hain woh shifaat kerney ka ikhtiyar nahi rakhtay haan (mustahiq-e-shifaat woh hain) jo haq baat ka iqrar keren aur unhen ilm bhi ho

Verse 87 — Surah Az-Zukhruf 43:87

Agar aap inn say daryaft keren kay enehn kiss ney peda kiya hai? To yaqeenan yeh jawab den gay kay Allah ney, phir yeh kahan ultay jatay hain

Verse 88 — Surah Az-Zukhruf 43:88

Aur inn ka (payghumbar ka aksar) yeh kehna kay aey meray rab! Yaqeenan yeh woh log hain jo eman nahi latay

Verse 89 — Surah Az-Zukhruf 43:89

Pus aap inn say mun pher len aur keh den. (acha bhai) salam! Enehn unqareeb (khud hi) maloom hojaye ga