Back to Languages

Urdu - Chapter 44 - Ad-Dukhan

Translation by Muhammad Junagarhi — Permalink

Verse 1 — Surah Ad-Dukhan 44:1

Verse 2 — Surah Ad-Dukhan 44:2

Qasam hai iss wazahat wali kitab ki

Verse 3 — Surah Ad-Dukhan 44:3

Yaqeenan hum ney issay ba-barkat raat mein utara hai be-shak hum daraney walay hain

Verse 4 — Surah Ad-Dukhan 44:4

Issi raat mein her aik mazboot kaam ka faisla kiya jata hai

Verse 5 — Surah Ad-Dukhan 44:5

Humaray pass say hukum hoker hum hi hain rasool bana ker bhejney walay

Verse 6 — Surah Ad-Dukhan 44:6

Aap kay rab ki meharbani say. Wohi hai sunnay wala jannay wala

Verse 7 — Surah Ad-Dukhan 44:7

Jo rab hai aasmano ka aur zamin ka aur jo kuch inn kay darmiyan hai agar tum yaqeen kerney walay ho

Verse 8 — Surah Ad-Dukhan 44:8

Koi mabood nahi iss kay siwa wohi jilata hai aur maarta hai wohi tumhara rab hai aur tumharay aglay baap dadon ka

Verse 9 — Surah Ad-Dukhan 44:9

Bulkay woh shak mein paray khel rahen hain

Verse 10 — Surah Ad-Dukhan 44:10

Aap uss din kay muntazir rahen jabkay aasman zahir dhuwan laye ga

Verse 11 — Surah Ad-Dukhan 44:11

Jo logon ko gher ley ga yeh dard-naak azab hai

Verse 12 — Surah Ad-Dukhan 44:12

Kahen gay kay aey humaray rab! Yeh aafat hum say door ker dey hum eman qabool kertay hain

Verse 13 — Surah Ad-Dukhan 44:13

Inn kay liye naseehat kahan hai? Khol khol ker biyan kerney walay payghumber unn kay pass aa chukay

Verse 14 — Surah Ad-Dukhan 44:14

Phir bhi inhon ney unn say mun phera aur keh diya kay sikhaya parhaya hua baaoola hai

Verse 15 — Surah Ad-Dukhan 44:15

Hum azab ko thora door ker den gay to phir tum apni ussi halat per aajao gay

Verse 16 — Surah Ad-Dukhan 44:16

Jiss din hum bari sakht pakar pakaren gay bilyaqeen hum badla lenay walay hain

Verse 17 — Surah Ad-Dukhan 44:17

Yaqeenan inn say pehlay hum qom-e-firaon ko (bhi) aazma chukay hain jinn kay pass (Allah ka) ba-izzat rasool aaya

Verse 18 — Surah Ad-Dukhan 44:18

Kay Allah Taalaa kay bando ko meray hawalay kerdo yaqeen mano kay mein tumharay liye amanat daar rasool hun

Verse 19 — Surah Ad-Dukhan 44:19

Aur tum Allah Taalaa kay samney sirkashi na kero mein tumharay pass khulli daleel laney wala hun

Verse 20 — Surah Ad-Dukhan 44:20

Aur mein apnay aur tumharay rab ki panah mein aata hun iss say kay tum mujhay sangsaar kerdo

Verse 21 — Surah Ad-Dukhan 44:21

Aur agar tum mujh per eman nahi latey to mujh say alag hi raho

Verse 22 — Surah Ad-Dukhan 44:22

Phir unhon ney apnay rab say dua ki kay yeh sabb gunehgar log hain

Verse 23 — Surah Ad-Dukhan 44:23

(hum ney keh diya) kay raton raat tu meray bando ko ley ker nikal yaqeenan tumhara peecha kiya jayega

Verse 24 — Surah Ad-Dukhan 44:24

Tu darya ko saakin chor ker chala jaa bilashuba yeh lashkar gharq kerdiya jayega

Verse 25 — Surah Ad-Dukhan 44:25

Woh boht say baghaat aur chashmey chor gaye

Verse 26 — Surah Ad-Dukhan 44:26

Aur khetiyan aur rahat buksh thikaney

Verse 27 — Surah Ad-Dukhan 44:27

Aur woh aaram ki cheezen jinn mein aish ker rahey thay

Verse 28 — Surah Ad-Dukhan 44:28

Uss i tarah hogaya aur hum ney inn sabb ka waris doosri qom ko bana diya

Verse 29 — Surah Ad-Dukhan 44:29

So unn per na na to aasman-o-zamin roye aur na unhen mohlat mili

Verse 30 — Surah Ad-Dukhan 44:30

Aur be-shak hum ney (hi) bani isareel ko (sakht) ruswakun saza say nijat di

Verse 31 — Surah Ad-Dukhan 44:31

(Jo) firaon ki taraf say (horahi) thi.fil-waqey woh sirkash aur hadd say guzarney walon mein say tha

Verse 32 — Surah Ad-Dukhan 44:32

Aur hum ney danista tor per bani israeel ko duniya jahan walon per fokiyat di

Verse 33 — Surah Ad-Dukhan 44:33

Aur hum ney unhen aisi nishaniyan din jinn mein sareeh aazmaeesh thi

Verse 34 — Surah Ad-Dukhan 44:34

Yeh log to yehi kehtay hain

Verse 35 — Surah Ad-Dukhan 44:35

Kay (aakhri cheez) yehi humara pehli baar (duniya say) mar jana hai aur hum doobara uthaye nahi jayen gay

Verse 36 — Surah Ad-Dukhan 44:36

Agar tum sachay ho to humaray baap dadon ko ley aao

Verse 37 — Surah Ad-Dukhan 44:37

Kiya yeh log behtar hain ya tubba’a ki qom kay log aur jo unn say bhi pehlay thay. Hum ney unn sabb ko halak ker diya yaqeenan woh gunehgar thay

Verse 38 — Surah Ad-Dukhan 44:38

Hum ney zamin aur aasmano aur inn kay darmiyan ki cheezon ko khel kay tor per peda nahi kiya

Verse 39 — Surah Ad-Dukhan 44:39

Bulkay hum ney unhen durust tadbeer kay sath peda kiya hai lekin inn mein aksar log nahi jantay

Verse 40 — Surah Ad-Dukhan 44:40

Yaqeenan faislay ka din inn sabb ka tey shuda waqt hai

Verse 41 — Surah Ad-Dukhan 44:41

Uss din koi dost kissi dost kay kuch bhi kaam na aayega aur na unki imdad ki jayegi

Verse 42 — Surah Ad-Dukhan 44:42

Magar jiss per Allah ki meharbani hojaye woh zabardast aur reham kerney wala hai

Verse 43 — Surah Ad-Dukhan 44:43

Be-shak zaqoom (thoher) ka darakht

Verse 44 — Surah Ad-Dukhan 44:44

Gunehgar ka khana hai

Verse 45 — Surah Ad-Dukhan 44:45

Jo misil talchat kay hai aur pet mein kholta rehta hai

Verse 46 — Surah Ad-Dukhan 44:46

Misil tez garum pani kay

Verse 47 — Surah Ad-Dukhan 44:47

Issay pakar lo phir ghaseettay huyey beech jahannum tak phonchao

Verse 48 — Surah Ad-Dukhan 44:48

Phir iss kay sir per sakht garum pani ka azab bahao

Verse 49 — Surah Ad-Dukhan 44:49

(iss say kaha jayega) chakhta jaa tu to bara zee-izzat aur baray ikraam wala tha

Verse 50 — Surah Ad-Dukhan 44:50

Yehi woh cheez hai jiss mein tum shak kiya kertay thay

Verse 51 — Surah Ad-Dukhan 44:51

Be-shak (Allah say) darney walay aman chain ki jagah mein hongay

Verse 52 — Surah Ad-Dukhan 44:52

Baghon aur chashmon mein

Verse 53 — Surah Ad-Dukhan 44:53

Bareek aur dabeez resham kay libas pehney huyey aamney samney behtay hongay

Verse 54 — Surah Ad-Dukhan 44:54

Yeh uss tarah hai aur hum bari bari aankhon wali hooron say unka nikah kerden gay

Verse 55 — Surah Ad-Dukhan 44:55

Dil jamaee kay sath wahan her tarah kay mewon ki farmaeeshen kertay hongay

Verse 56 — Surah Ad-Dukhan 44:56

Wahan woh mot chakhney kay nahi haan pehli mot (jo woh marr chukay) enhen Allah Taalaa ney dozakh ki saza say bacha diya

Verse 57 — Surah Ad-Dukhan 44:57

Yeh sirf teray rab ka fazal hai yehi hai bari kamyabi

Verse 58 — Surah Ad-Dukhan 44:58

Hum ney iss (quran) ko teri zaban mein aasan kerdiya takay woh naseehat hasil keren

Verse 59 — Surah Ad-Dukhan 44:59

Abb tu muntazir reh yeh bhi muntazir hain