Aey eman walo! Apni aawazen nabi ki awaz say uper na kero aur na unn say unchi aawaz say baat kero jesay aapas mein aik doosray say kertay ho, kahin (aisa na ho kay) tumharay aemaal ikaarat jayen aur tumhen khabar bhi na ho
Be-shak jo log Rasool Allah (PBUH) kay huzoor mein apni aawazen past rakhtay hain yehi woh log hain jinn kay dilon ko Allah ney perhezgari kay liye jaanch liya hai. Inn kay liye maghfirat hai aur bara sawab hai
Aey musalmano! Agar tumhen koi fasiq khabar dey to tum uss ko achi tarah tehqeeq kerlia kero aisa na ho kay nadaani mein kissi qom ko eza phoncha do phir apnay kiye per pasheymani uthao
Aur jaan rakho kay tum mein Allah kay rasool mojood hain agar woh tumhara kaha kertay rahey boht umoor mein, to tum mushkil mein par jao lekin Allah Taalaa ney eman ko tumharay liye mehboob bana diya hai aur issay tumharay dilon mein zeenat dey rakhi hai aur kufur ko aur gunah ko aur nafarmaani ko tumhari nighaon mein napasandeedah bana diya hai, yehi log raah yaafta hain
Aur agar musalmanon ki do jamaten aapas mein larr paren to unn mein mail milaap kerwa diya kero. Phir agar unn dono mein say aik jamat doosri jamat per ziyadti keray to tum (sab) uss giroh say jo ziyadti kerta hai laro.yahan tak kay woh Allah kay hukum ki taraf lot aaye, agar lot aaye to phir insaf kay sath sulah kerado aur adal kero be-shak Allah Taalaa insaf kerney walon say mohabbat kerta hai
Aey eman walo! Mard doosray mardon ka mazak na urayen mumkin hai kay yeh unn say behtar ho aur na orten orton ka mazak urayen mumkin hai kay yeh unn say behtar hon aur aapas mein aik doosray ko aib na lagao aur na kissi ko buray laqab do eman kay baad fisq bura naam hai aur jo toba na keren wohi log zalim hain
Aey eman walo! Boht badgumaaniyon say bacho yaqeen mano kay baaz badgumaniyan gunah hain, aur bhed na tatola kero aur na tum mein say koi kissi ki gheebat keray. Kiya tum mein say koi bhi apnay murdah bhai ka gosht khana pasand kerta ha? Tum ko iss say ghinn aayegi, aur Allah say dartay raho, be-shak Allah toba qabool kernay wala meharbaan hai
Aey logo! Hum ney tum sabb ko aik (hi) mard-o-orat say peda kiya hai aur iss liye kay tum aapas mein aik doosray ko pehchano kunbay aur qabeelay bana diye hain Allah kay nazdeek tum sabb mein say ba-izzat woh hai jo sabb say ziyadah darney wala hai yaqeen mano kay Allah dana aur ba-khabar hai
Dehaati log kehtay hain kay hum eman laye. Aap keh dijiye kay darhaqeeqat tum eman nahi laye lekin tum yun kaho kay hum islam laye (mukhalifat chor ker mutee hogaye) halankay abhi tak tumharay dilon mein eman dakhil hi nahi hua. Tum agar Allah ki aur uss kay rasool ki farmabardaari kerney lago gay to Allah tumharay aemaal mein say kuch bhi kum na keray ga. Be-shak Allah bakhshney wala meharbaan hai
Momin to woh hain jo Allah per aur uss kay rasool per (pakka) eman layen phir shak-o-shuba na keren aur apnay malon say aur apni jano say Allah ki raah mein jihad kertay rahen, (apnay dawaay-e-emaan mein) yehi sachay aur raast go hain
Kehdijiye! Kay kiya tum Allah Taalaa ko apni deen dari say aagah ker rahey ho, Allah her uss cheez say jo aasmano mein aur zamin mein hai bakhoobi aagah hai aur Allah her cheez ka jannay wala hai
Apnay musalman honay ka aap per ehsan jatatay hain. Aap kehdijiye kay apnay musalman honay ka ehsan mujh per na rakho bulkay dar-asal Allah ka tum per ehsan hai kay uss ney tumhen eman ki hidayat ki agar tum raast go ho