Verse 1 — Surah Qaf 50:1
Qaaf bohat bari shan walay iss quran ki qasam
Verse 2 — Surah Qaf 50:2
bulkay enhen tajjub maloom hua kay inn kay pass inhi mein say aik aagah kerney wala aaya to kafiron ney kaha kay yeh aik ajeeb cheez hai
Verse 3 — Surah Qaf 50:3
kiya jabb hum mar ker mitti hojayen gay phir yeh wapsi door (az aqal) hai
Verse 4 — Surah Qaf 50:4
Zamin jo kuch inn mein say ghatati hai who humen maloom hai aur humaray pass sabb yaad rakhnay waali kitab hai
Verse 5 — Surah Qaf 50:5
Buklay inhon nay sachi baat ko jhoot kaha hai jabkay who inn kay pass phonch chuki pus who aik uljhao mein par gaye hain
Verse 6 — Surah Qaf 50:6
Kiya inhon nay aasman ko apnay uper nahi dekha? Kay hum ney ussay kiss tarah banaya aur zeenat di hai iss mein koi shigaf nahi
Verse 7 — Surah Qaf 50:7
Aur zamin ko hum ney bicha diya hai aur iss mein hum ney pahaar daal diye hain aur iss mein hum ney qisam qisam ki khushnuma cheezen uga di hain
Verse 8 — Surah Qaf 50:8
Takay her rujoo kernay walay bandey kay liye beenaee aur daanaaee ka zariya ho
Verse 9 — Surah Qaf 50:9
Aur hum ney aasman say babarkat pani barsaya aur iss say baghaat aur katney walay khet k ghallay peda kiye
Verse 10 — Surah Qaf 50:10
Aur khujuron kay buland-o-bala darakht jinkay khoshay teh ba teh hain
Verse 11 — Surah Qaf 50:11
Bandon ki rozi kay liye aur hum ney pani say murda shehar ko zinda ker diya. Issi tarah (qabron say) nikalna hai
Verse 12 — Surah Qaf 50:12
Inn say pehlay Nooh ki qom ney aur rass walon ney aur samood ney
Verse 13 — Surah Qaf 50:13
Aur aad ney aur firaon ney aur biradran-e-loot ney
Verse 14 — Surah Qaf 50:14
Aur aeeka walon ney aur tubba ki qom ney bhi takzeeb ki thi.sab ney payghambron ko jhutlaya pus mera wada-e-azab inn per sadiq aagaya
Verse 15 — Surah Qaf 50:15
Kiya hum pehli baar kay peda kerney say thak gaye? Bulkay yeh log naee pedaeesh ki taraf say shak mein hain
Verse 16 — Surah Qaf 50:16
Hum ney insan ko peda kiya hai aur iss kay dil mein jo khayalat uthtay hain unn say hum waqif hain aur hum uss ki rag-e-jaan say bhi ziyadah uss say qareeb hain
Verse 17 — Surah Qaf 50:17
Jiss din do lenay walay ja letay hain aik dayen taraf aur aik bayen taraf betha hua hai
Verse 18 — Surah Qaf 50:18
(Insan) mun say koi lafz nikal nahi pata magar kay usskay pass nigheban tayyar hai
Verse 19 — Surah Qaf 50:19
Aur mot ki beyhoshi haq ley ker aa phonchi yehi hai jiss say tu bidakta phirta tha
Verse 20 — Surah Qaf 50:20
Aur soor phonk diya jayega.Wada-e-azab ka din yehi hai
Verse 21 — Surah Qaf 50:21
Aur her shaks iss tarah aayega kay uss kay sath aik lanay wala hoga aur aik gawahee denay wala
Verse 22 — Surah Qaf 50:22
Yaqeenan tu iss say ghaflat mein tha lekin hum ney teray samney say pardah hata diya pus aaj teri nigah bohat tez hai
Verse 23 — Surah Qaf 50:23
Uss ka humnasheen (farishta) kahega yeh hazir hai jo kay meray pass tha
Verse 24 — Surah Qaf 50:24
Daal do jahannum mein her kafir sirkash ko
Verse 25 — Surah Qaf 50:25
Jo nek kaam say rikney wala aur hadd say guzar janay wala aur shak kerney wala tha
Verse 26 — Surah Qaf 50:26
Jiss ney Allah k sath doosra mabood bana liye tha pus iss say sakht azab mein daal do
Verse 27 — Surah Qaf 50:27
Iss ka humnasheen (shetan) kahega aey humaray rab! Mein ney issay gumrah nahi kiya tha bulkay yeh khud hi door daraz ki gumrahi mein tha
Verse 28 — Surah Qaf 50:28
Haq taalaa farmaye ga bus meray samney jhagray ki baat mat kero mein to pehlay hi tumhari taraf waeed (wada-e-azab) bhej chuka tha
Verse 29 — Surah Qaf 50:29
Meray haan baat badalti nahi aur na hi mein apnay bandon per zara bhi zulm kerney wala hun
Verse 30 — Surah Qaf 50:30
Jiss din hum dozakh say poochen gay kiya tu bhar chuki? Woh jawab dey di kiya kuch aur ziyadah bhi hai
Verse 31 — Surah Qaf 50:31
Aur jannat perhezgaron kay liye bilkul qareeb kerdi jayegi zara bhi door na hogi
Verse 32 — Surah Qaf 50:32
Yeh hai jiss ka tum say wada kiya jata tha her uss shaks kay liye jo rujoo kerney wala aur pabandi kerney wala ho
Verse 33 — Surah Qaf 50:33
Jo rehman ka ghaeebana khof rakhta ho aur tawajja wala dil laya ho
Verse 34 — Surah Qaf 50:34
Tum iss jannat mein salamti kay sath dakhil hojao. Yeh hamesha rehney ka din hai
Verse 35 — Surah Qaf 50:35
Yeh wahan jo chahyen unhen milay ga (bulkay) humaray pass aur bhi ziyadah hai
Verse 36 — Surah Qaf 50:36
Aur inn say pehlay bhi hum boht si ummaton ko halak ker chukay hain jo inn say taqat mein bohat ziyadah thi woh shehron mein dhondtay hi reh gaye, kay koi bhagney ka thikana hai
Verse 37 — Surah Qaf 50:37
Iss mein her sahib-e-dil kay liye ibrat hai aur uss kay liye jo dil say mutawajja hoker kaan lagaye aur woh hazir ho
Verse 38 — Surah Qaf 50:38
Yaqeenan hum ney aasmanon aur zamin aur jo kuch iss kay darmiyan hai sab ko (sirf) cheh (6) din mein peda kerdiya aur humen thakaan ney chua tak nahi
Verse 39 — Surah Qaf 50:39
Pus yeh jo kuch kehtay hain aap iss per sabar keren aur apnay rab ki tasbeeh tareef kay sath biyan keren sooraj nikalney say pehlay bhi aur sooraj ghuroob honey say pehlay bhi
Verse 40 — Surah Qaf 50:40
Aur raat kay kissi waqt bhi tasbeeh keren aur namaz kay baad bhi
Verse 41 — Surah Qaf 50:41
Aur sunn rakhen kay jiss din aik pukarney wala qareeb hi ki jagah say pukaray ga
Verse 42 — Surah Qaf 50:42
Jiss roz uss tund-o-tez cheekh ko yaqeen kay sath sunn len gay, yeh din hoga nikalney ka
Verse 43 — Surah Qaf 50:43
Hum hi jilatay hain aur hum hi martay hain aur humari hi taraf lot phir ker aana hai
Verse 44 — Surah Qaf 50:44
Jiss din zamin phat jayegi aur yeh dortay huye (nikal paren gay) yeh jama kerlena hum per boht hi aasan hai
Verse 45 — Surah Qaf 50:45
Yeh jo kuch keh rahey hain hum bakhoobi jaantay hain aur aap inn per jabar kerney walay nahi to aap quran kay zariyey enhen samjhatay rahen jo meray waeed (daraway kay wadon) say dartay hain