Back to Languages

Urdu - Chapter 51 - Adh-Dhariyat

Translation by Muhammad Junagarhi — Permalink

Verse 1 — Surah Adh-Dhariyat 51:1

qasam hai bikherney waliyan ki ura ker

Verse 2 — Surah Adh-Dhariyat 51:2

Phir uthaney waliyan bojh ko

Verse 3 — Surah Adh-Dhariyat 51:3

Phir chalney waliyan narmi say

Verse 4 — Surah Adh-Dhariyat 51:4

Phir kaam ko taqseem kerney waliyan

Verse 5 — Surah Adh-Dhariyat 51:5

Yaqeen mano kay tum say jo wadey kiye jatay hain (sab) sachay hain

Verse 6 — Surah Adh-Dhariyat 51:6

Aur be-shak insaf honey walahai

Verse 7 — Surah Adh-Dhariyat 51:7

Qasam hai raahon walay aasman ki

Verse 8 — Surah Adh-Dhariyat 51:8

Yaqeenan tum mukhtalif baat mein paray huye ho

Verse 9 — Surah Adh-Dhariyat 51:9

Iss say wohi baaz rakha jatahai jo pher diya gaya ho

Verse 10 — Surah Adh-Dhariyat 51:10

Bey savad baten kerney walay gharat kerdiye gayr

Verse 11 — Surah Adh-Dhariyat 51:11

Jo ghaflat mein hain aur bhoolay huye hain

Verse 12 — Surah Adh-Dhariyat 51:12

Poochtey hain kay yom-e-jaza kab hoga

Verse 13 — Surah Adh-Dhariyat 51:13

han yeh woh din hai kay yeh aag per tapaye jayen gey

Verse 14 — Surah Adh-Dhariyat 51:14

Apni fitna-perdazi ka maza chakho yehi hai jiss ki tum jaldi macha rahey thay

Verse 15 — Surah Adh-Dhariyat 51:15

Be-shak taqwa walay log bahishton aur chashmon mein hongey

Verse 16 — Surah Adh-Dhariyat 51:16

unn kay rab ney jo kuch unhen ata farmaya hai ussay ley rahey hongey woh to iss say pehlay hi nekokaar thay

Verse 17 — Surah Adh-Dhariyat 51:17

Woh raat ko boht kum soya kertay thay

Verse 18 — Surah Adh-Dhariyat 51:18

Aur waqt-e-sahar istaghfaar kiya kertay thay

Verse 19 — Surah Adh-Dhariyat 51:19

Aur unkay maal mein mangney walon ka aur sawal say bachney walon ka haq tha

Verse 20 — Surah Adh-Dhariyat 51:20

Aur yaqeen walon kay liye to zamin mein boht si nishaniyan hain

Verse 21 — Surah Adh-Dhariyat 51:21

Aur khud tumhari zaat mein bhi to kiya tum dekhtay ho

Verse 22 — Surah Adh-Dhariyat 51:22

Aur tumhari rozi aur jo tum say wada kiya jata hai sab aasman mein hai

Verse 23 — Surah Adh-Dhariyat 51:23

Aasman-o-zamin kay perwerdigar ki qasam! kay yeh bilkul barhaq hai aisa hi jaisay kay tum baten kertay ho

Verse 24 — Surah Adh-Dhariyat 51:24

Kiya tujhay ibrahim(alh-e-salam)kay moazziz mehmanon ki khabar bhi phonchi hai

Verse 25 — Surah Adh-Dhariyat 51:25

Woh jab unkay han aaye to salam kiya ibrahim ney jawab-e-salam diya(aur kaha yeh to) ajnabi log hain

Verse 26 — Surah Adh-Dhariyat 51:26

Phir (Chup chaap jaldi jaldi) apney ghar walon ki taraf gaye aur aik farba bachrey (ka gosht) laye

Verse 27 — Surah Adh-Dhariyat 51:27

Aur issay unkay passrakha aur kaha aap khatay kiyon nahi

Verse 28 — Surah Adh-Dhariyat 51:28

phir to dil hi dil mein unn say khofzada hogaye. unhon ney kaha aap khof na kijiye aur unhon ney uss (hazrat Ibrahim) ko aik ilm walay larkay ki bisharat di

Verse 29 — Surah Adh-Dhariyat 51:29

Pus unki biwi aagay barhi aur heyrat mein aaker apney mun per hath maar ker kaha kay mein to burhiya hun aur sath hi banjh

Verse 30 — Surah Adh-Dhariyat 51:30

Unhon ney kaha han teray perwerdigar ney issi tarah farmaya hai. be-shakwoh hakeem-o-aleem hai

Verse 31 — Surah Adh-Dhariyat 51:31

(Hazrat Ibrahim alh-e-salam) ney kaha kay Allah kay bhejay huye (farishton!)tumhara kiya maqsad hai

Verse 32 — Surah Adh-Dhariyat 51:32

Unhon ney jawab diya kay hum gunagar qom ki taraf bhejay gaye hain

Verse 33 — Surah Adh-Dhariyat 51:33

Takay hum unn per kitti kay kankar barsayen

Verse 34 — Surah Adh-Dhariyat 51:34

Jo teray rab ki taraf say nishan zada hain unn had say guzar janay walon kay liye

Verse 35 — Surah Adh-Dhariyat 51:35

Pus jitney eman walay wahan thay hum ney unhen nikal liya

Verse 36 — Surah Adh-Dhariyat 51:36

Aur hum ney wahan musalmanon ka sirf aik hi ghar paya

Verse 37 — Surah Adh-Dhariyat 51:37

Aur wahan hum ney unkay liye jo dardnaak azab ka darr rakhtey hain aik(kamil) alamat chori

Verse 38 — Surah Adh-Dhariyat 51:38

Musa(alh-e-salam kay qissay) mein (bhi humari taraf say tanbeeh hai) kay hum ney ussay firaon ki taraf khuli daleel dey ker bheja

Verse 39 — Surah Adh-Dhariyat 51:39

Pus uss ney apney balbootay per mun mora aur kehney laga yeh jadoogar hai ya deewana hai

Verse 40 — Surah Adh-Dhariyat 51:40

Bil-aakhir hum ney ussay aur uss kay lashkaron ko apney azab mein pakar ker darya mein daal diya woh tha hi malamat kay qabil

Verse 41 — Surah Adh-Dhariyat 51:41

Iss tarah aadiyon mein bhi (humari taraf say tanbeeh hai) jabkay hum ney unn say khali aandhi bheji

Verse 42 — Surah Adh-Dhariyat 51:42

Woh jiss jiss cheez per girti thi ussay boseedah hadi ki tarah (choora choora) kerdeti thi

Verse 43 — Surah Adh-Dhariyat 51:43

Aur samood (kay qissay) mein bhi (ibrat) hai jab unsay kaha gaya kay tum kuch dino tak faeedah uthalo

Verse 44 — Surah Adh-Dhariyat 51:44

Lekin unhon ney apney rab kay hukum say sirtabi ki jiss per unhen unkay dekhtay dekhtay (tez-o-tund) karakay ney halak kerdiya

Verse 45 — Surah Adh-Dhariyat 51:45

Pus na woh kharay hosakay aur na badla ley sakay

Verse 46 — Surah Adh-Dhariyat 51:46

Aur Nooh(alh-e-salam) ki qom ka bhi iss say pehlay (yehi haal ho chuka tha) woh bhi baray nafarman log thay

Verse 47 — Surah Adh-Dhariyat 51:47

Aasman ko hum ney (apney) hathon say banaya hai aur yaqeenan hum kushadgi kernay walay hain

Verse 48 — Surah Adh-Dhariyat 51:48

Aur zamin ko hum ney farsh banadiya hai pus hum boht hi achay bichanay walay hain

Verse 49 — Surah Adh-Dhariyat 51:49

Aur her cheez ko hum ney jora jora peda kiya hai takay tum naseehat hasil kero

Verse 50 — Surah Adh-Dhariyat 51:50

Pus tum Allah ki taraf dor bhag (yani rujoo) kero yaqeenan main tumhen uss ki taraf say saaf saaf tanbeeh kernay wala hun

Verse 51 — Surah Adh-Dhariyat 51:51

Aur Allah kay sath kissi aur ko mabood na therao. be-shak mein tumhen uss ki taraf say khula daraney wala hun

Verse 52 — Surah Adh-Dhariyat 51:52

Issi tarah jo log inn say pehlay guzray hain unkay pass jo bhi rasool aaya unhon ney keh diya ya to yeh jadoogar hai ya deewana hai

Verse 53 — Surah Adh-Dhariyat 51:53

Kiya yeh iss baat ki aik doosray ko wassiyat kertay gaye hain

Verse 54 — Surah Adh-Dhariyat 51:54

(Nahi) bulkay yeh sab kay sab sirkash hain to app inn say mun pher len. aap per koi malamat nahi

Verse 55 — Surah Adh-Dhariyat 51:55

Aur naseehat kertay rahen yaqeenan yeh naseehat eman walon ko nafa degi

Verse 56 — Surah Adh-Dhariyat 51:56

Mein ney jinnat aur insanon ko mehaz issi liye peda kiya hai kay woh sirf meri ibadat keren

Verse 57 — Surah Adh-Dhariyat 51:57

Na mein inn say rozi chchta hun na meri yeh chahat hai kay yeh mujhay khilayen

Verse 58 — Surah Adh-Dhariyat 51:58

Allah taalaa to khud hi sab ka rozi rasan tawanaee wala aur zor awar hai

Verse 59 — Surah Adh-Dhariyat 51:59

Pus jin logon ney zulm kiya hai unhen bhi unkay sathiyon kay hissay kay nuisil hissa mileyga lehaza woh mujh say jaldi talab na keren

Verse 60 — Surah Adh-Dhariyat 51:60

Pus kharabi hai munkiron ko unkay uss din ki jiss ka wada diye jatay hain