Back to LanguagesPrevious ChapterNext Chapter
Urdu - Chapter 53 - An-Najm
Translation by Muhammad Junagarhi — Permalink
Verse 1 — Surah An-Najm 53:1
Qasam hai sitarey ki jab woh girey
Verse 2 — Surah An-Najm 53:2
Kay tumharey sathi ney na raah gum ki hai na woh terhi raah per hai
Verse 3 — Surah An-Najm 53:3
Aur na woh apni khuwaish say koi baat kehtay hain
Verse 4 — Surah An-Najm 53:4
Woh to sirf wahi hai jo utari jaati hai
Verse 5 — Surah An-Najm 53:5
Issay poori taqat walay farishtey ney sikhaya hai
Verse 6 — Surah An-Najm 53:6
Jo zor -aawar hai phir woh seedha khara hogaya
Verse 7 — Surah An-Najm 53:7
Aur woh buland aasmanon kay kinaron per tha
Verse 8 — Surah An-Najm 53:8
Phir nazdeek hua aur utar aaya
Verse 9 — Surah An-Najm 53:9
Pus woh do kamanon kay ba-qadar fasla reh gaya bulkay iss say bhi kum
Verse 10 — Surah An-Najm 53:10
Pus uss ney ALLAH kay bandaey ko wahi phonchaee jo bhi phonchaee
Verse 11 — Surah An-Najm 53:11
Dil ney jhoot nahi kaha jissay (payghumber ney) dekha
Verse 12 — Surah An-Najm 53:12
Kiya tum jhagra kertay ho iss per jo (payghumber) dekhtey hain
Verse 13 — Surah An-Najm 53:13
Issay to aik martaba aur bhi dekha tha
Verse 14 — Surah An-Najm 53:14
Sidrat-ul-muntaha kay pass
Verse 15 — Surah An-Najm 53:15
Issi kay pass jannat-ul-maawa hai
Verse 16 — Surah An-Najm 53:16
Jabkay sidrah ko chupaye leti thi woh cheez jo uss per cha rahi thi
Verse 17 — Surah An-Najm 53:17
Na to nigah behki na had say barhi
Verse 18 — Surah An-Najm 53:18
Yaqeenan uss ney apney rab ki bari bari nishaniyon mein say baaz nishaniyan dekha len
Verse 19 — Surah An-Najm 53:19
Kiya tum ney laat aur uzza ko dekha
Verse 20 — Surah An-Najm 53:20
Aur manaat teesray pichlay ko
Verse 21 — Surah An-Najm 53:21
Kiya tumharay liye larkay aur ALLAH kay liye larkiya hain
Verse 22 — Surah An-Najm 53:22
Yeh to abb bari beyinsafi ki taqseem hai
Verse 23 — Surah An-Najm 53:23
DAR-asal yeh sirf naam hain jo tum ney aur tumharay baap dadon ney inkay rakh liye hain Allah ney inki koi daleel nahi utaari yeh log to sirf atkal kay aur apni nafsaani khuwaishon kay peechay paray huye hain aur yaqeenan unkay rab ki taraf say unkay pass hidayat aa chuki hai
Verse 24 — Surah An-Najm 53:24
Kiya her shaks jo aarzoo keray ussay mayassar hai
Verse 25 — Surah An-Najm 53:25
Allah hi kay hath hai yeh hajaan aur woh jahaan
Verse 26 — Surah An-Najm 53:26
Aur boht say farishtay aasmanon mein hain jinki sifarish kuch bhi nafa nahi dey sakti magar yeh aur baat hai kay Allah taalaa apni khushi aur apni chahat say jioss kay liye chahye ijazat dey dey
Verse 27 — Surah An-Najm 53:27
Be-shak jo log aakhirat per eman nahi rakhtay woh farishton ka zanana naam muqarrar kertay hain
Verse 28 — Surah An-Najm 53:28
Halankay unhen iss ka koi ilm nahi woh sirf apney gumaan kay peechay paray huye hain aur be-shak weham(o-guman) haq kay muqablay mein kuch kaam nahi deta
Verse 29 — Surah An-Najm 53:29
To app iss say mun mor len jo humari yaad say mun moray aur jinka iradah ba-juz zindagan-e-duniya kay aur kuch na ho
Verse 30 — Surah An-Najm 53:30
Yehi inn kay ilm ki inteha hai aap ka rab iss say khoob waqif hai jo iss ki raah say bhatak gaya hai aur wohi khoob waqif hai iss say bhi jo raah yafta hai
Verse 31 — Surah An-Najm 53:31
Aur Allah hi ka hai jo kuch aasmanon mein hai. aur jo. kuch zamin mein hai takay Allah taalaa buray amal kerney walon ko unkay aemaal ka badla dey aur nek kaam kerney walon ko acha badla inayat farmaye
Verse 32 — Surah An-Najm 53:32
Inn logon ko jo baray gunahon say bachtay hain aur beyhayaee say bhi siwaye kissi chotay say gunah kay be-shak tera rab boht kushada maghfirat wala hai woh tumhen bakhoobi jaanta hai jabkay uss ney tumhen zamin say peda kiya aur jabkay tum apni maaon kay pet mein bachay thay pus tum apni pakeezgi aap biyan na kero wohi pehezgaron ko khoob janta hai
Verse 33 — Surah An-Najm 53:33
Kiya app ney ussay dekha jiss ney mun mor liya
Verse 34 — Surah An-Najm 53:34
Aur boht kuin diya aur hath kio rok liya
Verse 35 — Surah An-Najm 53:35
Kiya ussay ilm-e-ghaib hai kay woh (sab kuch) dekh raha hai
Verse 36 — Surah An-Najm 53:36
Kiya ussay iss cheez ki khabar nahi di gaee jo musa (alh-e-salam) kay kay
Verse 37 — Surah An-Najm 53:37
Aur wafadaar Ibrahim (alh-e-salam) kay saheefon mein tha
Verse 38 — Surah An-Najm 53:38
Kay koi shaks kissi doosray ka bojh na uthayega
Verse 39 — Surah An-Najm 53:39
Aur yeh kay her insan kay liye sirf wohi hai jiss ki kosish khud uss ney ki
Verse 40 — Surah An-Najm 53:40
Aur yeh kay be-shak uss ki kosish unqareeb dekhi jayegi
Verse 41 — Surah An-Najm 53:41
Phir ussay poora poora badla diya jayega
Verse 42 — Surah An-Najm 53:42
Aur yeh kay aap kay rab hi ki taraf phonchna hai
Verse 43 — Surah An-Najm 53:43
Aur yeh kay wohi hansata hai aur wohi rulata hai
Verse 44 — Surah An-Najm 53:44
Aur yeh kay wohi maarta hai aur jilata hai
Verse 45 — Surah An-Najm 53:45
Aur yeh kay ussi ney jora yani nar-o-mada peda kiya hai
Verse 46 — Surah An-Najm 53:46
Nutfay say jabkay woh tapkaya jata hai
Verse 47 — Surah An-Najm 53:47
Aur yeh kay ussi kay zimmey doobara peda kerna hai
Verse 48 — Surah An-Najm 53:48
Aur yeh kay wohi maaldar banata hai aur sarmaya deta hai
Verse 49 — Surah An-Najm 53:49
Aur yeh kay wohi sheyara (sitaray) ka rab hai
Verse 50 — Surah An-Najm 53:50
Aur yeh kay ussi ney aad awwal ko halak kiya hai
Verse 51 — Surah An-Najm 53:51
Aur samood ko bhi (jin men say) aik ko bhi baqi na rakha
Verse 52 — Surah An-Najm 53:52
Aur iss say pehlay Qom-e-nooh ko yaqeenan woh baray zalim aur sirkash thay
Verse 53 — Surah An-Najm 53:53
Aur motafiqa (shehar ya utti hui bastiyon ko) ussi ney ulat diya
Verse 54 — Surah An-Najm 53:54
Phir uss per cha diya jo chaya
Verse 55 — Surah An-Najm 53:55
Pus aey insan tu apney rab ki kiss neimat kay baray mein jhagray ga
Verse 56 — Surah An-Najm 53:56
Yeh (nabi) daranay walay hain pehlay daramay walon mensay
Verse 57 — Surah An-Najm 53:57
Aanay wali ghari qareeb aagaee hai
Verse 58 — Surah An-Najm 53:58
Allah kay siwa iss ka (waqt moayyen per khol) dikhaney wala koi nahi
Verse 59 — Surah An-Najm 53:59
Pus tum kiya iss baat say tajjub kertay ho
Verse 60 — Surah An-Najm 53:60
Aur hans rahey ho? rotay nahi
Verse 61 — Surah An-Najm 53:61
(Bulkay) tum khel rahey ho
Verse 62 — Surah An-Najm 53:62
Abb Allah kay samney sajday kero aur (ussi ki) ibadat kero