Back to LanguagesPrevious ChapterNext Chapter
Urdu - Chapter 55 - Ar-Rahman
Translation by Muhammad Junagarhi — Permalink
Verse 1 — Surah Ar-Rahman 55:1
Rehman ney
Verse 2 — Surah Ar-Rahman 55:2
Quran sikhaya
Verse 3 — Surah Ar-Rahman 55:3
Ussi ney insan ko peda kiya
Verse 4 — Surah Ar-Rahman 55:4
Aur ussay bolna sikhaya
Verse 5 — Surah Ar-Rahman 55:5
Aftab aur mahtab (muqarra) hisab hain
Verse 6 — Surah Ar-Rahman 55:6
Aur sitaray aur darakht dono sajdah kertay hain
Verse 7 — Surah Ar-Rahman 55:7
Ussi ney aasman ko buland kiya aur ussi ney tarazoo rakhi
Verse 8 — Surah Ar-Rahman 55:8
Takay tum tolnay mein tajawuzz na kero
Verse 9 — Surah Ar-Rahman 55:9
Insaf kay sath wazan ko theek rakho aur tol mein kum na do
Verse 10 — Surah Ar-Rahman 55:10
Aur ussi ney makhlooq kay liye zameen bichadi
Verse 11 — Surah Ar-Rahman 55:11
Jiss mein meway hain aur khoshay walay khajoor kay darakht hain
Verse 12 — Surah Ar-Rahman 55:12
Aur bhuss wala anaj hai aur khushboodar phool hain
Verse 13 — Surah Ar-Rahman 55:13
Pus (aey insano aur jinno!) tum apney perwerdigaar ki kiss kiss nemat ko jhutlao gey
Verse 14 — Surah Ar-Rahman 55:14
Uss ney insan ko bajney wali mitti say peda kiya jo theekri ki tarah thi
Verse 15 — Surah Ar-Rahman 55:15
Aur jinnaat ko aag kay sholay say peda kiya
Verse 16 — Surah Ar-Rahman 55:16
Pus tum apney rab ki kiss kiss nemat ko jhutlao gey
Verse 17 — Surah Ar-Rahman 55:17
Woh rab hai dono mashriqon aur dono maghribon ka
Verse 18 — Surah Ar-Rahman 55:18
To(aey jinno aur insano) tum apney rab ki kiss kiss nemat ko jhutlao gey
Verse 19 — Surah Ar-Rahman 55:19
Uss ney do darya jaari kerdiye jo aik doosray say nil jaatay hain
Verse 20 — Surah Ar-Rahman 55:20
Inn dono mein aik aar hai kay uss say barh nahi saktay
Verse 21 — Surah Ar-Rahman 55:21
Pus apney perwerdigaar ki kon kon si nemat ko jhutlao hey
Verse 22 — Surah Ar-Rahman 55:22
Inn dono mein say miti aur mongey baraamad hotay hain
Verse 23 — Surah Ar-Rahman 55:23
Phir tum apney rab ki kiss kiss nemat ko jhutlao gey
Verse 24 — Surah Ar-Rahman 55:24
Aur Allah hi ki (milkiyat mein) hain woh jahaaz jo samandaron mein pahaar ki tarah buland (chal phir rahey) hain
Verse 25 — Surah Ar-Rahman 55:25
Pus (aey insano aur jinno!) tum apney rab ki kiss kiss nemat ko jhutlao gey
Verse 26 — Surah Ar-Rahman 55:26
Zamin per jo hain sab fana honay walay hain
Verse 27 — Surah Ar-Rahman 55:27
Sirf teray rab ki zaat jo azmat aur izzat wali hai baqi reh jayegi
Verse 28 — Surah Ar-Rahman 55:28
Phir tum apney rab ki kiss kiss nemat ko jhutlao gey
Verse 29 — Surah Ar-Rahman 55:29
Sab aasman-o-zamin walay ussi say maantay hain her roz woh aik shaan mein hai
Verse 30 — Surah Ar-Rahman 55:30
Phir tum apney rab ki kiss kiss nemat ko jhutlao gey
Verse 31 — Surah Ar-Rahman 55:31
(Jinno aur insanon kay giroho!) unqareeb hum tumhari taraf poori tarah mutawajja hojayen gey
Verse 32 — Surah Ar-Rahman 55:32
Phir tum apney rab ki kiss kiss nemat ko jhut ao gey
Verse 33 — Surah Ar-Rahman 55:33
Aey giroh-e-jinnaat-o-insan! zamin kay kinaron say bahir nikal janay ki taqat hai to nikal bhago! baghair ghalba aur taqat kay tum nahi nikal saktay
Verse 34 — Surah Ar-Rahman 55:34
Phir apney rab ki kiss kiss nemat ko jhutlao gey
Verse 35 — Surah Ar-Rahman 55:35
Tum per aag kay sholay aur dhuwan chora jayega phir tum muqabla na ker sako gey
Verse 36 — Surah Ar-Rahman 55:36
Phir apney rab ki nematon mein say kiss kiss nemat ko jhutlao gey
Verse 37 — Surah Ar-Rahman 55:37
Pus jabkay aasman phat ker surkh hojaye jaisay kay surkh chamra
Verse 38 — Surah Ar-Rahman 55:38
Pus tum apney rab ki kiss kiss nemat ko jhutlao gey
Verse 39 — Surah Ar-Rahman 55:39
Uss din kissi insan aur kissi jinn say uss kay gunahon ki pursish na ki jayegi
Verse 40 — Surah Ar-Rahman 55:40
Pus tum apney rab ki kiss kiss nemat ko jhutlao gey
Verse 41 — Surah Ar-Rahman 55:41
Gunahgaar sirf huliye say hi pehchan liye jayen gey aur unki peshaniyon kay baal aur qadam pakar liye jayen gey
Verse 42 — Surah Ar-Rahman 55:42
Pus tum apney rab ki kiss kiss nemat ko jhutlao gey
Verse 43 — Surah Ar-Rahman 55:43
Yeh hai woh jahannum jissay mujrim jhoota jaantay thay
Verse 44 — Surah Ar-Rahman 55:44
Uss kay aur kholtay huye garum paani kay darmiyan chakkar khayen gey
Verse 45 — Surah Ar-Rahman 55:45
Pus tum apney rab ki kiss kiss nemat ko jhutlao gey
Verse 46 — Surah Ar-Rahman 55:46
Aur uss shaks kay liye jo apney rab kay samnay khara honay say dara do jannaten hain
Verse 47 — Surah Ar-Rahman 55:47
Pus tum apney rab ki kiss kiss nemat ko jhutlao gey
Verse 48 — Surah Ar-Rahman 55:48
(Dono jannaten) boht si tehniyon aur shakhon wali hain
Verse 49 — Surah Ar-Rahman 55:49
Pus tum apney rab ki kiss kiss nemat ko jhutlao gey
Verse 50 — Surah Ar-Rahman 55:50
Inn dono (jannaton) mein behtay huye chashmay hain
Verse 51 — Surah Ar-Rahman 55:51
Pus tum apney rab ki kiss kiss nemat ko jhutlao gey
Verse 52 — Surah Ar-Rahman 55:52
Inn dono jannaton mein her qisam kay mewon ki do qismen hongi
Verse 53 — Surah Ar-Rahman 55:53
Phir tum apney rab ki kiss kiss nemat ko jhutlao gey
Verse 54 — Surah Ar-Rahman 55:54
Jannati aisay farashon per takkiya lagaye huye hongay jinkay astar dabeez resham kay hongay aur inn dono jannaton kay meway bilkul qareeb hongay
Verse 55 — Surah Ar-Rahman 55:55
Pus tum apney rab ki kiss kiss nemat ko jhutlaogey
Verse 56 — Surah Ar-Rahman 55:56
Wahan (sharmeeli) neechi nigah wali hooren hain jinhen unn say pehlay kissi jinn-o-ins ney hath nahi lagaya
Verse 57 — Surah Ar-Rahman 55:57
Pus apney paalnay walay ki kiss kiss nemat ko jhtlao gey
Verse 58 — Surah Ar-Rahman 55:58
Woh hooren misil yaqoot aur mongay kay hongi
Verse 59 — Surah Ar-Rahman 55:59
Pus tum apney perwerdigaar ki kiss kiss nemat ko jhutlao gey
Verse 60 — Surah Ar-Rahman 55:60
Ehsan ka badla ehsan kay siwa kiya hai
Verse 61 — Surah Ar-Rahman 55:61
Pus apney rab ki kiss kiss nemat ko jhutlao gey
Verse 62 — Surah Ar-Rahman 55:62
Aur inn kay siwa do jannaten aur hain
Verse 63 — Surah Ar-Rahman 55:63
Pus tum apney perwerish kernay walay ki kiss nemat ko jhutlao gey
Verse 64 — Surah Ar-Rahman 55:64
Jo dono gehri sabz siyahi maeel hain
Verse 65 — Surah Ar-Rahman 55:65
Batao abb apney perwerdigaar ki kiss kiss nemat ko jhtlao gey
Verse 66 — Surah Ar-Rahman 55:66
Inn mein do(josh say) ubalnay walay chashmay hain
Verse 67 — Surah Ar-Rahman 55:67
Phir tum apney rab ki kon konsi nemat ko jhutlao gey
Verse 68 — Surah Ar-Rahman 55:68
Inn dono mein meway aur khajoor aur anaar hongay
Verse 69 — Surah Ar-Rahman 55:69
Kiya abb bhi rab ki kissi nemat ki takzeeb tum kerogay
Verse 70 — Surah Ar-Rahman 55:70
Inn mein nek seerat khoobsurat orten hain
Verse 71 — Surah Ar-Rahman 55:71
Pus tum apney rab ki kiss kiss nemat ko jhutlao gey
Verse 72 — Surah Ar-Rahman 55:72
(gori rangat ki) hooren jannati khemon mein rehnay waaliyah hain
Verse 73 — Surah Ar-Rahman 55:73
Pus tum apney rab ki kiss kiss nemat ko jhutlao gey
Verse 74 — Surah Ar-Rahman 55:74
Unnko hath nahi lagaya kissi insan ya jinn ney iss say qabal
Verse 75 — Surah Ar-Rahman 55:75
Pus apney perwerdigaar ki kon konsi nemat ko jhtlao gey
Verse 76 — Surah Ar-Rahman 55:76
Sabz masnadon aur undah farshon per takkiya lagaye huye hongay
Verse 77 — Surah Ar-Rahman 55:77
Pus tum apney rab ki kiss kiss nemat ko jhutlao gey
Verse 78 — Surah Ar-Rahman 55:78
Teray perwerdigar ka naam ba barkat hai jo izzat-o-jalal wala hai