Back to Languages

Urdu - Chapter 57 - Al-Hadid

Translation by Muhammad Junagarhi — Permalink

Verse 1 — Surah Al-Hadid 57:1

Aasmanon aur zamin mein jo hai (Sub) Allah ki tasbeeh ker rahey hain woh zabardast ba-hikmat hai

Verse 2 — Surah Al-Hadid 57:2

Aasmanon aur zamin ki badshahat ussi ki hai.woh hi zindagi deta hai aur mot bhi aur woh her cheez per qadir hai

Verse 3 — Surah Al-Hadid 57:3

Wohi pehlay hai aur wohi peechay wohi zahir hai aur wohi makhfi aur woh her cheez ko bakhoobi janney wala hai

Verse 4 — Surah Al-Hadid 57:4

Wohi hai jiss ney aasmanon aur zamin ko cheh (6) din mein peda kiya phir arsh per mustawi hogaya Woh (Khoob) jaanta hai uss cheez ko zamin mein jaye aur jo uss say niklay aur jo aasmanoon say neechay aaye. aur jo kuch Charh ker uss mein jaye aur jahan kahin tum ho woh tumharay sath hai aur jo tum kerahey ho Allah dekh raha hai

Verse 5 — Surah Al-Hadid 57:5

Aasmanoon ki aur zamin ki baadshahi ussi ki hai aur tamam kaam ussi ki taraf lotaye jatay hain

Verse 6 — Surah Al-Hadid 57:6

Wohi raat ko din mein lejata hai aur wohi din ko raat mein dakhil kerdeta hai aur seenoon kay bhedon ka woh poora aalim hai

Verse 7 — Surah Al-Hadid 57:7

Allah per aur uss kay raool per eman ley aao aur uss maal mein say kharch kero jiss mein Allah ney tumhen doosron ka janasheen banaya hai pus jo tum mein say eman leyen aur kheraat keren unhen boht bara sawab milay ga

Verse 8 — Surah Al-Hadid 57:8

Tum ALLAH per eman kiyon nahi latay ? Halankay khud rasool tumhen apney rab per eman lanay ki dawat dey raha hai agar tum momin ho to who to tum say mazboot ehad-o-paymaan bhi ley chukka hai

Verse 9 — Surah Al-Hadid 57:9

Woh (ALLAH) hi hai jo apney banday per wazeh aayaten utaarta hai takay who tumhen andheron say noor ki taraf ley jaye yaqeenan ALLAH taalaa tum per narmi kernay wala reham kernay wala hai

Verse 10 — Surah Al-Hadid 57:10

kertay' darasal aasmanon our zamin ke meeress ka malik (tanha) Allah hi hai tum main say jin logo ney fatah say pehlay fi subilillah diya hai our qitaal kiya hai woh (doosron kay) barabar nahi bulkay unn say boht baray darjay kay hain jinhon nay fatah kay baad kheyraaten den our jahad kiyey haan bhalaee ka wada to Allah taalaaka unn sab say hai jo kuch tum ker rahey ho uss say Allah khabardaarhai

Verse 11 — Surah Al-Hadid 57:11

Kon hai jo Allah taalaa ko achi tarah qarz dey phir Allah Taalaa issay uss kay liye barhata chala jaye our uss kay liye pasandeedah ajar sabit hojaye

Verse 12 — Surah Al-Hadid 57:12

(Qayamat Kay) din tu dekhay ga kay momin mardo our orton ka noor unn kay aagay aagay our unkay dayen dor raha hoga aaj tumhen inn jannaton ki khushkhabri hai jinkay neechay nehren jaari hain jin main humesha ki rehaeesh hai yeh hai bari kaamyabi

Verse 13 — Surah Al-Hadid 57:13

Uss din munafiq mard-o-orat eman walon say kahan gay kay humara intizar to kero kay hum bhi tumharay noor say kuch roshni hasil kerlen jawab diya jayega kay tum apney peechay lot jao our roshni talash kero phir inkay our unkay darmiyan aik deewar haaeel kerdi jayegi jiss main darwaaza bhi hoga uss kay androoni hissay main to rehmathogi our bahir ki taraf azab hoga

Verse 14 — Surah Al-Hadid 57:14

Yeh chilla chilla ker unn say kahen gey kay kiya hum tumharay sath na thay woh kahengay kay haan thay to sahi lekin tum ney apney app ko fitnay mein phansa rakha tha our intizar mein hi rahey our shak-o-shuba kertay raheyour tumhen tumhari fazool tamannao ney dhokay mein hi rakha yahan tak kay Allah ka hukum aa phoncha our tumhen Allah kay baray mein dhoka denay walay ney dhokay mein hi rakha

Verse 15 — Surah Al-Hadid 57:15

Algharz aaj tum say na fidya (aur na badla) qabool kiya jayega our na kafiron say tum (sab) ka thikana dozakh hai wohi tumhari rafiq hai our woh bura thikana hai

Verse 16 — Surah Al-Hadid 57:16

Kiya abb tak eman walon kay liye waqt nahi aaya kay unkay dil zikar-e-elaahi say our our jo haqutar chuka hai uss say narum hojayen our unki tarah na hojayen jinhen unn say pehlay kitab di gaee thi phir job inn per aik zamana dorazguzer gaya to unkay dil sakht hogaye our inn mein boht say faasiq hain

Verse 17 — Surah Al-Hadid 57:17

Yaqeen mano Allah hi zamin ko uss ki mot kay baad zinda kerdeta hai hum ney to tumharay liye apni aayaten biyan kerdin takay tum samjho

Verse 18 — Surah Al-Hadid 57:18

Be-shak sadqa denay walay mard our sadqa denay wali orten our jo Allah ko khuloos kay sath qarz dey rahey hain unkay liye yeh barhaya jayega our unn kay liye pasandeedah ajar-o-sawab hai

Verse 19 — Surah Al-Hadid 57:19

Allah our uskay rasool per jo eman rakhtay hain wohi log apney rab kay nazdeek siddiq our shaheed hain unkay liye unka ajar our unka noor hai our jo log kufur kertay hain our humari aayaton ko jhutlatay hain woh jahannomi hain

Verse 20 — Surah Al-Hadid 57:20

Khoob jaan rakho kay duniya ki zindagi sirf khel tamasha zeenat aor aapas main fakhar (o-ghuroor) our maal-o-olad main aik ka doosary say apney aap ko ziyadah batlana jaisay barish aur iss ki padawaar kisanon ko achi maloom hota hai phir job woh khushk hojati hai to zard rang main iss ko tum dejhtey ho phir woh bilkul choora choora hojatai hai our aakhirat main sakht azab aur Allah ke maghfirat our razamandi hai our duniya ki zundagi ba-juz dhokay kay saman kay our kuch bhi to nahi

Verse 21 — Surah Al-Hadid 57:21

(Aao) doro apney rab ki maghfirat ki taraf our uss jannat ki taraf jiss ki wussat kay barabar hai yeh unkay liye banaee gaee hai jo Allah per aur uskay rasoolon per eman rakhtay hain yeh Allah ka fazal hai jissay chahye dey aur Allah bara fazl wala hai

Verse 22 — Surah Al-Hadid 57:22

Na koi museebat duniya main aati hai na (Khaas) tumhari jaanon main magar iss say pehlay kay hum usko peda keran woh aik khaas kitab main likhi hui hai yeh (kaam) Allah taalaa per (bilkul)aasan hai

Verse 23 — Surah Al-Hadid 57:23

Takay tum apney say fol shuda kissi cheez per ranjeedah na hojoya kero our na attakerdah cheez per itra jao.our itranay walay shekhi khoron ko Allah pasand nhifarmata

Verse 24 — Surah Al-Hadid 57:24

Jo (khud bhi) bulkul keren aur doosron ko (bhi) bulkhul ki taleem dea Suno! jo bhi main pheray Allah beyniaz aur sazawaar hamd-o-sana hai

Verse 25 — Surah Al-Hadid 57:25

yaqeenan hum ney apney payghambaron ko khuli doleelen dey ker bheja our unkay sath kitab our meean nazilfarmaya. takay log adal per qaeem rahein aur hum ney lohey ko utara jiss mein sakht hebat-o-qooat hai aur logon kay liye aur bhi (boht say) faeeday hain aur iss liye bhi kay ALLAH jaan ley kay uski aur uss kay rasoolon ki madad bey dekhay kon kerta hai be-shak ALLAH qooat wala aur zabardast hai

Verse 26 — Surah Al-Hadid 57:26

Be-shak hum ney nooh aur ibrahim (aleh-e-salam) ko (payghumber banaker) bheja aur hum ney inn dono ki olad mein payghumbari aur kitab jari rakhi to inn mein say kuch to raah yafta huye aur inn mein say aksar boht nafarman rahey

Verse 27 — Surah Al-Hadid 57:27

Inn kay baad phir bhi hum apney rasoolon ko pay-dar-pay bhejtay rahey aur inn kay baad Essa bin mariyum(aleh-e-salam) ko bheja aur unhen injeel ata farmaee aur unn kay mannay walon kay dilon mein shafqat aur reham peda kerdiahaan rehbaniyat (tark-e-duniya) to un logon ney unn per issay wajib na kiya tha siwaye ALLAH ki raza joee kay so so unhon ney iss ki poori riyat na ki phir bhi hum ney unn mein say jo eman laye thay unhen unka ajar diya aur unn mein ziyadaah tar log nafarman hain

Verse 28 — Surah Al-Hadid 57:28

Aey woh logon jo eman laye ho ALLAH say dartay raha kero aur uss kay rasool per eman lao ALLAH tumhen apni rehmat ka dohra hissa dey ga aur tumhen noor dey ga jiss ki roshni mein tum chalo gey phiro gey aur tumharay gunah bhi moaaf farma dey ga ALLAH bakshnay wala meharbaan hai

Verse 29 — Surah Al-Hadid 57:29

yeh iss liye kay ehl-e-kitab jaan lein kay ALLAH kay fazal kay kissi hissay per bhi unhen ikhtiyar nahi aur yeh kay (sara) fazal ALLAH hi kay hath hai woh jissay chahye dey aur ALLAH hai hi bara fazal wala