Wohi hai jiss ney ehal-e-kitab mein say kafiron ko unn kay gharon say pehlay hashar kay waqt nikala tumhara gumaan (bhi) na tha kay woh niklen gay aur woh khud (bhi) samajh rahey thay kay unn kay (sangeen) qilay unhen Allah (kay azab) say bacha len gay pus unn per Allah (ka azab) aisi jagah say aa para kay unhen gumaan bhi na tha aur unn kay dilon mein Allah ney rob daal diya aur apney gharon ko apney hi haathon ujaar rahey thay aur musalmanon kay haathon (barbad kerwa rahey thay) pus aey aankhon walo! Ibrat hasil kero
Aur agar Allah Taalaa ney inn per jila watni ko muqaddar na ker diya hota to yaqeenan enhen duniya mein azab deta aur aakhirat mein (to) inn kay liye aag ka azab hai hi
Yeh iss liye kay enhon ney Allah Taalaa ki aur uss kay rasool ki mukhalifat ki aur jo bhi Allah ki mukhalifat keray ga to Allah Taalaa bhi sakht azab kerney wala hai
Tum ney khujooron kay jo darakht kaat dalay ya jinhen tum ney unn ki jaron mein baqi rehney diya. Yeh sab Allah Taalaa kay farmaan say tha aur iss liye bhi kay fasiqon ko Allah Taalaa ruswa keray
Aur inn ka jo maal Allah Taalaa ney apney rasool kay haath lagaya hai jiss per na to tum ney ghoray doraye hain aur na oont bulkay Allah Taalaa apney rasool ko jiss per chahaye ghalib ker deta hai aur Allah Taalaa her cheez per qadir hai
Bastiyon walon ka jo (maal) Allah Taalaa tumharay laray bhiray baghair apney rasool kay haath lagaye woh Allah ka hai aur rasool ka aur qarabat walon ka aur yateemon miskeenon ka aur musafiron ka hai takay tumharay dolat mandon kay haath mein hi yeh maal gardish kerta na reh jaye aur tumhen jo kuch rasool dey ley lo aur jiss say rokay ruk jao aur Allah Taalaa say dartay raha kero yaqeenan Allah Taalaa sakht azab wala hai
(fey kaa maal) unn mohajir miskeenon kay liye hai jo apney gharon say aur apney maalon say nikal diye gaye hain woh Allah kay fazal aur uss ki raza mandi kay talabgaar hain aur Allah Taalaa ki aur uss kay rasool ki madad kertay hain yehi raast baaz log hain
Aur (unn kay liye) jinhon ney iss ghar mein (yani madina) aur eman mein inn say pehlay jagah bana li hai aur apni taraf hijrat ker kay aaney walon say mohabbat kertay hain aur mohajireen ko jo kuch dey diya jaye iss say woh apney dilon mein koi tangi nahi rakhtay bulkay khud apney upper enhen tarjeeh detay hain go khud ko kitni hi sakht haajat ho (baat yeh hai) kay jo bhi apney nafs kay bukhul say bachaya gaya wohi kaamyaab (aur baa murad) hai
Aur (unn kay liye) jo inn kay baad aayen jo kahen gay kay aey huamray perwerdigar humen baksh dey aur humaray unn bhaiyon ko bhi jo hum say pehlay eman laa chukay hain aur eman daaron ki taraf say humaray dil mein keena (aur dushmani) naa daal aey humaray rab be-shak tu shafqat aur meharbani kerney wala hai
Kiya tu ney munfiqon ko na dekha? Kay apney ehal-e-kitab kafir bhaiyon say kehtay hain kay agar tum jila watan kiye gaye to zaroor bil zaroor hum bhi tumharay sath nikal kharay hongay aur tumharay baray mein hum kabhi bhi kissi ki baat na maanen gay aur agar tum say jang ki jaye gi to ba khuda hum tumhari madad keren gay lekin Allah Taalaa gawahi deta hai kay yeh qata’an jhootay hain
Agar woh jila watan kiye gaye to yeh unn kay sath na jayen gay aur agar inn say jang ki gaee yeh inn ki madad (bhi) na keren gay aur agar (bil farz) madad per aa bhi gaye to peeth pher ker (bhaag kharay) hon gay phir madad na kiye jayen gay
Yeh sab mill ker bhi tum say larr nahi saktay haan yeh aur baat hai kay qila band muqamaat mein hon ya deewaron ki aarh mein hon inn ki laraeeto inn mein aapas mein hi boht sakht hai go aap enhen mutahid samajh rahey hain lekin inn kay dil dar asal aik doosray say juda hain iss lie kay yeh bey aqal log hain
Shetan ki tarah kay uss ney insan say kaha kufur ker jab woh kufur ker chuka to kehney laga mein to tujh say bari hun mein to Allah rab-ul-aalameen say darta hun
Aey eman walon! Allah say dartay raho aur her shaks dekh (bhaal) ley kay kal (qayamat) kay wastay uss ney (aemaal ka) kiya (zakheera) bheja hai. Aur (her waqt) Allah say dartay raho Allah tumharay sab aemaal say ba khabar hai
Aur tum unn logon ki tarah mat ho jana jinhon ney Allah (kay ehkaam) ko bhula diya to Allah ney bhi unhen apni jano say ghafil ker diya aur aisay hi log na farmaan (faasiq) hotay hain
Agar hum iss quran ko kissi pahar per utartay to tu dekhta kay khof-e-elahee say woh pust ho ker tukray tukray ho jata hum inn misalon ko logon kay samney biyan kertay hain takay woh ghor-o-fiker keren
Wohi Allah hai jiss kay siwa koi mabood nahi badshah nihayat pak sab aeybon say saaf aman denay wala nighehbaan ghalib zor aawar aur baraee wala pak hai Allah unn cheezon say jinhen yeh uss ka shareek banatay hain
Wohi Allah hai peda kerney wala wujood bakshney wala soorat bananey wala ussi kay liye (nihayat) achay naam hain her cheez khuwa woh aasman mein ho khuwa zamin mein ho uss ki paki biyan kerti hai aur wohi ghalib hikmat wala hai