Tumharay pass jab munafiq aatay hain to kehtay hain kay hum iss baat kay gawah hain kay be-shak aap Allah kay rasool hain aur Allah janta hai yaqeenan aap uss kay rasool hain aur Allah gawahi deta hai kay yeh munafiq qata’an jhootay hain
Jab aap enhen dekh len to inn kay jism aap ko khushnuma maloom hon yeh jab baaten kerney lagen to aap inn ki baaton per (apna) kaan lagayen goya kay yeh lakriyan hain deewar kay shaharay lagee huin her (sakht) aawaz ko apney khilaf samajhtay hain yehi haqeeqi dushman hain inn say bacho Allah enhen ghaarat keray kahan say phiray jatay hain
Aur jab inn say kaha jata hai aao tumharay liye Allah kay rasool istaghfaar keren to apney sir matkatay hain aur aap dekhen gay kay woh takabbur kertay huye ruk jatay hain
Inn kay haq mein aap ka istaghfaar kerna aur na kerna dono barabar hai Allah Taalaa enhen hergiz na bakshay ga be-shak Allah Taalaa (aisay) na farmaan logon ko hidayat nahi deta
Yehi woh log hain jo kehtay hain kay jo log rasool-lullah kay pass hain unn per kuch kharach na kero yahan tak kay woh idhar udhar ho jayen aur aasman-o-zamin kay kul khazaney Allah Taalaa ki milkiyat hain lekin yeh munfiq bey samajh hain
Yeh kehtay hain kay agar hum abb lot ker madina jayen gay to izzat wala wahan say zillat walay ko nikal dey ga. Suno! Izzat to sirf Allah Taalaa kay liye aur uss kay rasool kay liye aur eman daaron kay liye hai lekin yeh munafiq jantay nahi
Aur jo kuch hum ney tumhen dey rakha hai uss mein say (humari raah mein) iss say pehaly kharach kero kay tum mein say kissi ko maut aajaye to kehney lagay aey meray perwerdigar! Mujhay to thori dare ki mohlat kiyon nahi deta? Kay mein sadqa keroon aur nek logon mein say ho jaon
Aur jab kissi ka muqarrar waqt aajata hai phir ussay Allah Taalaa hergiz mohlat nahi deta aur jo kuch tum kertay ho uss say Allah Taalaa bakhoobi ba khabar hai