Phir dohra ker do do baar dekhley teri nigah teri taraf zalil(o-aajiz) hoker thaki hui lot aayegi.Be-shak hum ney aasman duniya ko chiraghon (sitaron) say aarasta kiya aur enehn shetanon kay maarnay ka zariya banadiya aur shetanon kay liye hum ney (dozakh ka jalanay wala) azab tayyar kerdiya
Qareeb hai kay (abhi) gussay kay maaray phat jaye jab kabhi iss mein koi giroh dala jayega uss say jahannum kay daroghay poochen gey kay kiya tumharay pass daranay wala koi nahi aaya tha
Woh jawab dengey kay be-shak aaya tha lekin hum ney ussay jhutlaya aur hum ney kaha kay Allah taalaa ney kuch bhi naazil nahi farmaya tum boht bari gumrahi mein hi ho
Woh zaat jiss ney tumharay liye zamin ko past-o-mutee kerdia takay tum uss ki raahon mein chaltay phirtay raho aur Allah ki roziyan khao (piyo) ussi ki taraf (tumhen) ji ker uth khara hona hai
Kiya yeh apnay uper per kholay huye aur (kabhi kabhi) sametay huye(urnay walay) parindon ko nahi dekhtay enhen (Allah) Rehman hi (hawa-o-faza mein) thaamay huye hai. be-shak her cheez uski nigah mein hai
Jab yeh log iss waday ko qareeb tar paalen gey uss waqt unn kafiron kay chehray bigar jayen gey aur kehdia jayega kay yehi hai jissay tum talab kiya kertay thay
Aap kehdijiye acha agar mujhay aur meray saathiyonko Allah taalaa halak kerdey ya hum per reham keray (bahar sooratyeh to batao) kay kafirron ko dardnaak azab say kon bachaye ga
Aap kehdijiye! kay wohi Rehman hai hum to iss per eman la chukay aur issi per humara bharosa hai tumhenunqareeb maloom hojayega kay sareeh gumrahee mein kon hai