Back to LanguagesPrevious ChapterNext Chapter
Urdu - Chapter 68 - Al-Qalam
Translation by Muhammad Junagarhi — Permalink
Verse 1 — Surah Al-Qalam 68:1
Noon qasam hai qalam ki aur uss ki jo kuch kay who (farishtay) likhtay hain
Verse 2 — Surah Al-Qalam 68:2
Tu apany rab kay fazal say deewana nhai hai
Verse 3 — Surah Al-Qalam 68:3
Aur be-shak teray liye bey inteha ajar hai
Verse 4 — Surah Al-Qalam 68:4
Aur be-shak tu both baray (umda) ikhlaq per hai
Verse 5 — Surah Al-Qalam 68:5
Pus abb tub hi dekhlega aur yeh bhi dekh len gay
Verse 6 — Surah Al-Qalam 68:6
Kay tum main say kon fitnay mein pera hua hai
Verse 7 — Surah Al-Qalam 68:7
Be-shak tera rab apni raah say behaknay walon ko khoob jaanta hai aur wohraah yafta logon ko tu bakhoobi jaanta hai
Verse 8 — Surah Al-Qalam 68:8
Pus to jhutlanay walon kin a maan
Verse 9 — Surah Al-Qalam 68:9
who to chahtay hain kay tu zara dheela ho to yeh bhi dheelay par jayen
Verse 10 — Surah Al-Qalam 68:10
Aur tu kissi aisay shaks ka bhi kaha na manna jo ziyada qasmen khanay wala
Verse 11 — Surah Al-Qalam 68:11
Beywaqar’ qammena aibgo chughalkhor
Verse 12 — Surah Al-Qalam 68:12
Bhalaee say roknay wala had say barh janay wala gunehgaar
Verse 13 — Surah Al-Qalam 68:13
Gardan kash phir sath hi beynasab ho
Verse 14 — Surah Al-Qalam 68:14
Us ski sirkashi sirf iss liye hai kay who maal wala aur beton wala hai
Verse 15 — Surah Al-Qalam 68:15
Jab uss kay samnay humari aayaten parhi jaati hain to keh deta hai kay yeh to aglon kay qissay hain
Verse 16 — Surah Al-Qalam 68:16
Hum bhi us ski soond (naak) per daagh dengay
Verse 17 — Surah Al-Qalam 68:17
Be-shak hum ney unhen issi tarah aazmaliya jiss tarah hum ney baagh walon ko aazmaya tha job unho ney qasman khayen kay subha hotay hi iss baagh kay phal utar lengay
Verse 18 — Surah Al-Qalam 68:18
Aur inshaAllah na kaha
Verse 19 — Surah Al-Qalam 68:19
Pus iss per teray rab ki janib say aik bala chaaron taraf ghoom gaee aur yeh so hi rahey thay
Verse 20 — Surah Al-Qalam 68:20
Pus who baagh aisa hogaya jesay kati hui kheti
Verse 21 — Surah Al-Qalam 68:21
Abb subha hotay hi unho ney aik doosray ko aawazen dea
Verse 22 — Surah Al-Qalam 68:22
Kay agar tumhen phal utarnay hain to apni kheti per saweray hi saweray chal paro
Verse 23 — Surah Al-Qalam 68:23
phir yeh sab chupkay chupkay yeh baten kertay huye chalay
Verse 24 — Surah Al-Qalam 68:24
Kay aaj kay din koi miskeen tumharay pass na aanay paye
Verse 25 — Surah Al-Qalam 68:25
Aur lapkay huye subha subha gaye (Samajh rahey thay) kay hum qaaboo paagaye
Verse 26 — Surah Al-Qalam 68:26
job unho ney boogh dekha to kehnay logay yaqeenan hum raasta photo gaee
Verse 27 — Surah Al-Qalam 68:27
Nahi nahi bulkay humari qismat phoot gaee
Verse 28 — Surah Al-Qalam 68:28
Inn sab main jo behtar tha uss nay kaha kay mein tumsay na kehta tha kay tum Allah ki pakeezgi q iyon nahi biyan kertay
Verse 29 — Surah Al-Qalam 68:29
To sab kehnay lagay humara rab pak hai be-shak hum hi zaalim thay
Verse 30 — Surah Al-Qalam 68:30
Phir who aik doosray ki taraf rukh kerkay aapas mein malamat kernay lagay
Verse 31 — Surah Al-Qalam 68:31
kehnay lagay haaye afsos! Yaqeenan hum sirkash thay
Verse 32 — Surah Al-Qalam 68:32
Kiya ajab hai kay humara rab humen iss say behtar badla dey dey hum to abb apnay rab say hi aarzoo rakhtay hain
Verse 33 — Surah Al-Qalam 68:33
Yun hi aafat aati hai aur aakhirat ki aafat both bari hai kaash! Unhen samajh hoti
Verse 34 — Surah Al-Qalam 68:34
Perhezgaaron kay liye unkay rab kay pass nematon waali jannaten hain
Verse 35 — Surah Al-Qalam 68:35
Kiya hum musalmanon ko misil gunehgaaron kay kerdengay
Verse 36 — Surah Al-Qalam 68:36
Tumhen kiya hogaya kaisay foislay ker rahey ho
Verse 37 — Surah Al-Qalam 68:37
Kiya tumharay pass koi kitab hai jiss mein tum parhtay ho
Verse 38 — Surah Al-Qalam 68:38
Kay iss mein tumhari manmaani baten hon
Verse 39 — Surah Al-Qalam 68:39
Yea tum nay hum say kuch qasman li hain ?jo qzayamat tak baaqi rahen kay tumharay liye who sab hai jot um apni taraf say muqarrar kerlo
Verse 40 — Surah Al-Qalam 68:40
Inn say poochao to kay inn mein say kon iss baat ka zimeydaar (aur daaweydaar) hai
Verse 41 — Surah Al-Qalam 68:41
Kiya inn kay koi shareek hain? To chahiye kay apnay apnay shareekor ko ley aayen agar yeh sachey hain
Verse 42 — Surah Al-Qalam 68:42
Jiss din pindali khol di jayegi aur sajday kay liye bulaye jayengay to (sajdah) na ker saken gay
Verse 43 — Surah Al-Qalam 68:43
Nigahen neechi hongi aur unn per zillat-o-khhuaari cha rahi hogi halankay yeh sajday kay liye (uss waqt bhi) bulaye jaatay thay jabkay sahih saalim thay
Verse 44 — Surah Al-Qalam 68:44
Pus mujhay aur iss kalaam ko jhutlanay walay ko chor dey hum unhen iss tarah aahista aahista bhi na hoga
Verse 45 — Surah Al-Qalam 68:45
Aur mein unhen dheel doonga be-shak meri tadbeer bari mazboot hai
Verse 46 — Surah Al-Qalam 68:46
Kiya tu inn say koi ujrat chahta hai jiss kay tawaan say yeh dabay jatay hon
Verse 47 — Surah Al-Qalam 68:47
Ya kiya inn kay pass ilm-e-ghaib hai jissay who likhtay hon
Verse 48 — Surah Al-Qalam 68:48
Pus tu apnay rab kay hokum ka sabar say (intezar ker) aur machli walay ki tarah na ho jo jab kay uss nay ghum ki holat main dua ki
Verse 49 — Surah Al-Qalam 68:49
Agar uss kay rab ki nemat na paaleti to yaqeenan who buray haalon main chatiyal medaan mein daal diya jata
Verse 50 — Surah Al-Qalam 68:50
ussay uss kay rab nay phir nawaza aur ussay nak-kaaron main kerdiya
Verse 51 — Surah Al-Qalam 68:51
Aur qareeb hai kay kafir apni tez nigahon say aap ko phusla den jab kabhi quran suntay hain aur keh detay hain yeh to zaroor deewana hai
Verse 52 — Surah Al-Qalam 68:52
Darhaqeeqat yeh (quran) to tamam jahan walon kay liye sarasir naseehat hi hai