Back to LanguagesPrevious ChapterNext Chapter
Urdu - Chapter 69 - Al-Haqqah
Translation by Muhammad Junagarhi — Permalink
Verse 1 — Surah Al-Haqqah 69:1
Sabit honey wali
Verse 2 — Surah Al-Haqqah 69:2
Sabit honay wali kiya hay
Verse 3 — Surah Al-Haqqah 69:3
Aur tujhay kiya maloom kay wo sabit shuda kiya hay
Verse 4 — Surah Al-Haqqah 69:4
Is khrka deney wali ko samood aur aad ney jhutla dia tha
Verse 5 — Surah Al-Haqqah 69:5
(jis kay nateejay mein)samood to behad khufnak (aur onchi)awaz say halak ker diey gay
Verse 6 — Surah Al-Haqqah 69:6
Aur aad behad tez o tund hawa say gharat ker diey gaey
Verse 7 — Surah Al-Haqqah 69:7
Jis say in per lagatar sath rat aur aath din tak (Allah ney)musalat rakha.pus tum dekhtay kay yeh log zameen per istrah gir gaey jaisay kay khjoor kay khokhly tanay hon
Verse 8 — Surah Al-Haqqah 69:8
Kiya in mein say koi bhi tujhay baqi nazar araha hy
Verse 9 — Surah Al-Haqqah 69:9
Firoon aur iss say pehlay kay log aur jin ki bastiyan ulat di gaein unhon ney bhi khataein kiein
Verse 10 — Surah Al-Haqqah 69:10
Aur apney rab kay rasool ki nafarmani ki(bilakhir)Allah ney unhein(bhi)zaberdast girift mein ly lia
Verse 11 — Surah Al-Haqqah 69:11
jab pani mein tughyani agai to us waqat hum ney tumhein kashti mein charha liya
Verse 12 — Surah Al-Haqqah 69:12
Takay is say tumharay liey nasehat aur yad gar banadein aur(taky)yad rakhaney waly kan issy yad rakhein
Verse 13 — Surah Al-Haqqah 69:13
Pus jab kay soor mein ik phonk phonki jaey gi
Verse 14 — Surah Al-Haqqah 69:14
Aur zameen aur pahar utha liey jaein gay aur ik hi chot mein reza reza ker dey jaein gay
Verse 15 — Surah Al-Haqqah 69:15
Us din ho parnay wali(qiyamat)ho paray gi
Verse 16 — Surah Al-Haqqah 69:16
aur asman phat jaey ga aur us din bilkol boda ho jaey ga
Verse 17 — Surah Al-Haqqah 69:17
Is kay kinaron per farishtay hon gay aur tery perwardigar ka arsh us din aath(farishtay)apney opper uthaey hon gay
Verse 18 — Surah Al-Haqqah 69:18
Us din tum sab samney pesh kiey jao gay tumhara koi bhed poshida na rahy ga
Verse 19 — Surah Al-Haqqah 69:19
So jissay uska nama e amal us kay daein hath mein diya jaey ga to wo kehnay lagay ga kay lo mera nama e amal parh lo
Verse 20 — Surah Al-Haqqah 69:20
Mujhy to kamil yaqeen tha kay mujhy apna hisab milna hay
Verse 21 — Surah Al-Haqqah 69:21
Pus wo ik dil pasand zindagi mein ho ga
Verse 22 — Surah Al-Haqqah 69:22
Bulan o bala jant mein
Verse 23 — Surah Al-Haqqah 69:23
Jiss kay meway jhokay paray hon gay
Verse 24 — Surah Al-Haqqah 69:24
(in say kaha jaey ga) kay mazay say khao piyo apney in amal kay badlay jo tum ney guzishta zamanay mein kiy
Verse 25 — Surah Al-Haqqah 69:25
Lakin jissay uss(kay amal)ki kitab us kay baein hath mein di jaey gi wo to kahy ga kay kash kay mujhy meri kitab di hi na jati
Verse 26 — Surah Al-Haqqah 69:26
Aur mein janta hi na kay hisab kiya hay
Verse 27 — Surah Al-Haqqah 69:27
Kash ! kay moot (mera)kam hi tamam kerdyti
Verse 28 — Surah Al-Haqqah 69:28
Mery maal ney bhi mujhy kuch nafa na diya
Verse 29 — Surah Al-Haqqah 69:29
Mera ghalba bhi mujhsy jata raha
Verse 30 — Surah Al-Haqqah 69:30
(hokum hoga)issay pakar lo phir issy toq phyna do
Verse 31 — Surah Al-Haqqah 69:31
Phir isay dozakh mein dal do
Verse 32 — Surah Al-Haqqah 69:32
Phir issy asi zanjeer mein jiss ki paymaish satter hath ki hay jaker do
Verse 33 — Surah Al-Haqqah 69:33
Beshak yeh Allah azmat walay per iman na rakhta tha
Verse 34 — Surah Al-Haqqah 69:34
Aur miskeen kay khilanay per raghbat na dilata tha
Verse 35 — Surah Al-Haqqah 69:35
Pus aj iska na koi dost hay
Verse 36 — Surah Al-Haqqah 69:36
Aur na siway peep kay is ki koi ghiza hay
Verse 37 — Surah Al-Haqqah 69:37
Jissay ghunahgaron kay siwa koi nai kahey ga
Verse 38 — Surah Al-Haqqah 69:38
Pus mujhy qasam hay un chezon ki jinhein tum dekhtay ho
Verse 39 — Surah Al-Haqqah 69:39
Aur on chezon ki jinhein tum nahi dekhtay
Verse 40 — Surah Al-Haqqah 69:40
Kay be sahk yeh(quran)buzurgh rasool ka qool hay
Verse 41 — Surah Al-Haqqah 69:41
Yeh kisi shair ka qool nahi(afsos)tumhein bohat kam yaqeen hay
Verse 42 — Surah Al-Haqqah 69:42
Aur na kisi kahin ka qool hay(afsos)bohat kam nasehat lay rahay ho
Verse 43 — Surah Al-Haqqah 69:43
(ye to)rab ul alameen ka utara howa hay
Verse 44 — Surah Al-Haqqah 69:44
Aur ager yeh hum per koi bhi bat bana lyta
Verse 45 — Surah Al-Haqqah 69:45
To albata hum iska dahana hath paker letay
Verse 46 — Surah Al-Haqqah 69:46
Phir is ki sheyrag kaat detay
Verse 47 — Surah Al-Haqqah 69:47
Phir tum mein say koi bhi mujhy issy roknay wala na hota
Verse 48 — Surah Al-Haqqah 69:48
Yaqeenan yeh quran perhezgaron kay liye nasehat hay
Verse 49 — Surah Al-Haqqah 69:49
Humein pori tarah maloom hay kay tum mein say baaz iskay jhotlanay waly hein
Verse 50 — Surah Al-Haqqah 69:50
beshak (yeh jhutlan)kafiron per hasrat hay
Verse 51 — Surah Al-Haqqah 69:51
Aur beshak (o shuba)yeh yaqeni haq hay
Verse 52 — Surah Al-Haqqah 69:52
Pus to apney rab e azeem ki paki biyan ker