Back to Languages

Urdu - Chapter 71 - Nuh

Translation by Muhammad Junagarhi — Permalink

Verse 1 — Surah Nuh 71:1

Yaqeenan hum ney Nooh(alh e salam)ko inki qom ki taraf bheja kay apni qom ko darado (aur khabaerdar kerdo) isss say pehlay kay inkay pass dardnak azab ajaye

Verse 2 — Surah Nuh 71:2

(Nooh alh e salam ney)kaha aey meri qom mein tumhein saaf saaf daranay wala hun

Verse 3 — Surah Nuh 71:3

Kay tum Allah ki ibadat kero aur issi say daro aur mera kaha maano

Verse 4 — Surah Nuh 71:4

To wo tumhary gunha bukhsh day ga aur tumhein aik waqat mukarrera tak chor dega YaqeenanAllah ka wada jab aajata hay to moakhir nahi hota kaash kay tumhien samjh hoti

Verse 5 — Surah Nuh 71:5

(nooh alh e salam ney) kaha aey mery perwardigar!mein ney apni qom ko raat din teri taraf bulaya hai

Verse 6 — Surah Nuh 71:6

Mager meray bulanay say yeh log aur ziyada bhagnay lagay

Verse 7 — Surah Nuh 71:7

Mein ney jab khabi unhein teri bakhsish kay liye bulaya unhon ney apni ungliyan apney kaano mein daal lein aur apney kapron ko orh liya aur urh gaye aur bara takabur kiya

Verse 8 — Surah Nuh 71:8

Phir mein ney unhein ba-awaz buland bulaya

Verse 9 — Surah Nuh 71:9

Aur beshak mein ney insay elaaniya bhi kaha aur chupkay chupkay bhi

Verse 10 — Surah Nuh 71:10

Aur mein ney kaha kay apney rab say apney gunha bakhswao(aur maafi mango)wo yaqeenan bara bakhsnay wala hay

Verse 11 — Surah Nuh 71:11

Wo tum per aasman ko khob barsata hua chor dega

Verse 12 — Surah Nuh 71:12

Aur tumhein khob pay dar pay maal aur olaad mein taraqi dega Aur tumhein baaghat dega aur tumharay liye nikaal dega

Verse 13 — Surah Nuh 71:13

Tumhein kiya hogaya hay kay tum Allah ki bartari ki aqeedah nahi rakhtay

Verse 14 — Surah Nuh 71:14

Halankay uss ney tumhein tarah tarah say paida kiya hay

Verse 15 — Surah Nuh 71:15

Kiya tum nahi dekhtay kay Allah Talah ney kiss tarah opper talay sath asman paida ker diey hein

Verse 16 — Surah Nuh 71:16

Aur in mien chand ko khob jagmata banaya hai aur sooraj ko roshan chiragh banaya hay

Verse 17 — Surah Nuh 71:17

Aur tum ko zameen say aik (khass ehtimam say)ugaya hai(aur paida kiya hai)

Verse 18 — Surah Nuh 71:18

Phir tumhein issi mein lota leya jaeyga aur(aik khass tareeqay)say phir nikalay ga

Verse 19 — Surah Nuh 71:19

Aur tumharay liye zameen ko Allah Taalaa ney farsh banadiya hay

Verse 20 — Surah Nuh 71:20

Takay tum uski kushada raahon mein chalo phiro

Verse 21 — Surah Nuh 71:21

Nooh(alh e salam) ney kaha aey meray perwardigar!in logon ney meri to nafarmani ki aur aison ki farmanbardari ki jinkay maal o olaad ney inko(yaqeenan)nuksan hi mein barhaya hai

Verse 22 — Surah Nuh 71:22

Aur in logon ney bara sakht fareeb kiya

Verse 23 — Surah Nuh 71:23

Aur kaha unhon ney kay hergiz apney maaboodon ko na chorna aur na wad aur suwaa aur yaghoos aur yaooq aur nasar ko(chorna)

Verse 24 — Surah Nuh 71:24

Aur unhon ney bohat say logon ko gumrah kiya (elaahi)tu in zaalimon ki gumrahi aur barha

Verse 25 — Surah Nuh 71:25

Yeh log ba sabab apney gunaahon kay dabo deygay aur jahanum mein phuncha diey gaye aur Allah kay siwa apna koi madadgar unhonay na paya

Verse 26 — Surah Nuh 71:26

Aur Nooh(alh e salam)ney kaha kay aey mery paalnay walay! To roy e zameen per kissi kafir ko rehnay sehnay wala na chor

Verse 27 — Surah Nuh 71:27

Ager to enhen chor dega to (yaqeenan)yeh tery (aur)bandon ko(bhi)gumrah kardeingay aur yeh faajiron aur dheet kafiron hi ko janum deingay

Verse 28 — Surah Nuh 71:28

Aey meray perwardigar!to mujhay aur meray maa baap aur jo eman ki halat mein meray ghar +mein aye aur tamam momin mardon aur auraton ko bakhsh dey aur kafiron ko siwaey barbadi key aur kissi baat mein na barha