Back to Languages

Urdu - Chapter 73 - Al-Muzzammil

Translation by Muhammad Junagarhi — Permalink

Verse 1 — Surah Al-Muzzammil 73:1

Aey kapray mein lipatnay walay

Verse 2 — Surah Al-Muzzammil 73:2

Rat (kay waqat namaz) mein khary hojao mager kam

Verse 3 — Surah Al-Muzzammil 73:3

Adhi rat ya is say bhi kuch kam kerly

Verse 4 — Surah Al-Muzzammil 73:4

Ya is per barha dy aur quran ko thehar thehar kar (saf )parha ker

Verse 5 — Surah Al-Muzzammil 73:5

Yaqeenan hum tuj per bohat bhari bat anqareeb nazil kerein gay

Verse 6 — Surah Al-Muzzammil 73:6

Beshak rat ka uthna dil jamai kay liye intehai munasib hay aur bat ko bohat durust ker daynay wala hay

Verse 7 — Surah Al-Muzzammil 73:7

Yaqeena tujhay din mein bohat shughal rahta hay

Verse 8 — Surah Al-Muzzammil 73:8

To apney rab kay nam ka ziakr kiya ker aur tamam khalaiq say kat ker us ki taraf mutawajha ho ja

Verse 9 — Surah Al-Muzzammil 73:9

Mashriq o maghrib ka perwardigar jis ka koi maabood nahi to usko apna karsaz bana lay

Verse 10 — Surah Al-Muzzammil 73:10

Aur jo kuch wo kahy to sehta rah aur wazedari kay sath un say alag thalag rah

Verse 11 — Surah Al-Muzzammil 73:11

Aur mujhy aur in jhotlanay waly asoda hal logon ko chor day aur inhein zara si muhlat dy

Verse 12 — Surah Al-Muzzammil 73:12

Yaqeenan hamary han sakht biriyan hein aur sulagti haoi jahanum hay

Verse 13 — Surah Al-Muzzammil 73:13

Aur halq mein atakney wala khana hay aur dard deney wal azb

Verse 14 — Surah Al-Muzzammil 73:14

Jiss din zamen aur pahar thar thara jaein gzy aur phaar missal bhor bhori rait kay telon kay hojaein gay

Verse 15 — Surah Al-Muzzammil 73:15

Beshak hum ney tumhari taraf bhi tum per gawahi dynay wala rasool bhyj diya hay jaisa kay hum ney firoon kay pass rasol bhyja tha

Verse 16 — Surah Al-Muzzammil 73:16

To firoon ney us rasol kin a frmani ki to hum ney usy sakht (wabal ki)pakar mein paker liya

Verse 17 — Surah Al-Muzzammil 73:17

Tum ager kafir rahy to usdin kaisy panah pao gay jo din bachon ko burha ker day ga

Verse 18 — Surah Al-Muzzammil 73:18

Jiss dion asman phat jaey ga Allh Talah ka yeh wada ho ker hi rahnay wala hay

Verse 19 — Surah Al-Muzzammil 73:19

Beshak yeh nasehat hay pus jo chahey apney rab ki taraf rah ikhtiyar keray

Verse 20 — Surah Al-Muzzammil 73:20

Apka rab bakhobi janta hay ka yap aur aap kay sath kay logon ki ik jamat qareeb do tahai rat kay aur adhi rat kay aur ik tahai rat kay tahajud parhti hay aur rat din ka pora andaza Allah Talaa ko hi hay.wo (khob) janta hay kay tum is say hergiz na nibha sako gay pus isnay tum per meharbani ki lyhaza jitna qyran parhna tumhary liye asan ho itna hi parho wo janta hay kay tum mein baaz bimar bhi hongay baaz dosray zameen mein chal phir ker Allah Talah ka fazal (yani rozi bhi)talash kerein gay aur kuch log Allah talah ki rah mein jahad bhi kerein gay so tum basani jitna quran parh sako parho aur namaz ki pabandi rakho. Aur zakat dytay raha kero aur Allah Talah ko acha qarz do aur jo neki tum apney liye agay bhyjo gay ussy Allah talah kay han bhyter say bhyter aur sawab mein bohat ziyada pao gay ALLAH TALAH say moafi mangtay raho yaqeenan AllahTalah bakhshney wala meharban hy