Back to Languages

Urdu - Chapter 75 - Al-Qiyamah

Translation by Muhammad Junagarhi — Permalink

Verse 1 — Surah Al-Qiyamah 75:1

Mein qasam khata hun qayamat kay din ki

Verse 2 — Surah Al-Qiyamah 75:2

Aur qasam khata hun uss nafas ki jo malamat kernay wala ho

Verse 3 — Surah Al-Qiyamah 75:3

Kiya insan yeh khayal kert hai kay hum uss ki hadiyan jama kerengay hi nahi

Verse 4 — Surah Al-Qiyamah 75:4

Han zaror kerengay hum to qadir hain kay usski por por tak durust kerdein

Verse 5 — Surah Al-Qiyamah 75:5

Bulkay insan to chahta hai kay aagay aagay na farmaniyan kerta jaey

Verse 6 — Surah Al-Qiyamah 75:6

Poochata hai kay qayamat ka din kab aaye ga

Verse 7 — Surah Al-Qiyamah 75:7

Pus jiss waqat kay nigha pathra jaeygi

Verse 8 — Surah Al-Qiyamah 75:8

Aur chand benoor hojaey ga

Verse 9 — Surah Al-Qiyamah 75:9

Aur soraj aur chand jama kerdiye jaeingay

Verse 10 — Surah Al-Qiyamah 75:10

Uss din insan kahega kay aaj bhegnay ki jagah kahan hai

Verse 11 — Surah Al-Qiyamah 75:11

Nahi nahi koi panahgah nahi

Verse 12 — Surah Al-Qiyamah 75:12

Aaj to teray perwardigar ki tarf hi qarar gah hai

Verse 13 — Surah Al-Qiyamah 75:13

Aaj insan ko uss kay aagay bhejay huye aur peechay choray hoye say aagah kiya jaeyga

Verse 14 — Surah Al-Qiyamah 75:14

Bulkay insan khud apney upper aap hujjat hai

Verse 15 — Surah Al-Qiyamah 75:15

Agercha kitnay hi bahanay pesh keryga

Verse 16 — Surah Al-Qiyamah 75:16

(ay nabi) aap quran ko jadi (yaad kernay)kay liey apni zabaan ko herkat na den

Verse 17 — Surah Al-Qiyamah 75:17

Iss ka jama kerna aur (aap ki zaba say)perhna humaray zimmay hai

Verse 18 — Surah Al-Qiyamah 75:18

Hum jab issay parhlen to aap iss kay parhnay ki perwi kerein

Verse 19 — Surah Al-Qiyamah 75:19

Phir is ka wazeh ker dyna hamary zimy hay

Verse 20 — Surah Al-Qiyamah 75:20

Nahi nahi tum jaldi milnay wali(duniya) ki mohabat rakhtay ho

Verse 21 — Surah Al-Qiyamah 75:21

Aur akhrat ko chor bethy ho

Verse 22 — Surah Al-Qiyamah 75:22

Uss roz bohat say chehery ter o taza aur ba runaq hongay

Verse 23 — Surah Al-Qiyamah 75:23

Apney rab ki taraf dekhtay hongay

Verse 24 — Surah Al-Qiyamah 75:24

Aur kitnay chehry us din (bad ronaq aur) udas hongay

Verse 25 — Surah Al-Qiyamah 75:25

Samjhtay hongay kay in kay sath kamar toor dynay wala mamla ki jaey ga

Verse 26 — Surah Al-Qiyamah 75:26

Nahi nahi jab roz hansli tak phunchay gi

Verse 27 — Surah Al-Qiyamah 75:27

Aur kaha jaeyga koi char phonk kernay wala hay

Verse 28 — Surah Al-Qiyamah 75:28

Aur jan liya unsay kay yeh waqat judai hay

Verse 29 — Surah Al-Qiyamah 75:29

Aur pindli say pindli lipat jaey gi

Verse 30 — Surah Al-Qiyamah 75:30

Aj tery perwardigar ki taraf chalna hay

Verse 31 — Surah Al-Qiyamah 75:31

Us ney na to tasdeeq ki aur na namaz ada ki

Verse 32 — Surah Al-Qiyamah 75:32

Bulkay jhutlaya aur roh gatdani ki

Verse 33 — Surah Al-Qiyamah 75:33

Phir apney gher walon kay pass itrata hoya gaya

Verse 34 — Surah Al-Qiyamah 75:34

Afsos hay tujhay per hasrat hay tujh per

Verse 35 — Surah Al-Qiyamah 75:35

Waaye hai aur kharabi hay tery liye

Verse 36 — Surah Al-Qiyamah 75:36

Kiya insan yeh samjhta hay kay usy be kaar chor diay jaey ga

Verse 37 — Surah Al-Qiyamah 75:37

Kiya wo iki ghary pani ka katra na tha jo tapkaya gaya tha

Verse 38 — Surah Al-Qiyamah 75:38

Phir wo laho ka lothra hogay phir Allah ney usy paida kia aur durasat bana diya

Verse 39 — Surah Al-Qiyamah 75:39

Phir us say joray yani nar o mada banay

Verse 40 — Surah Al-Qiyamah 75:40

kiya (Allah Talah) iss (amar)per qadir nahi kay murday ko zinda kerday