Back to LanguagesPrevious ChapterNext Chapter
Urdu - Chapter 76 - Al-Insan
Translation by Muhammad Junagarhi — Permalink
Verse 1 — Surah Al-Insan 76:1
Yaqeenan guzra hai insan per ik waqat zamanay mein jab kay yeh koi qabe e zikar chez na tha
Verse 2 — Surah Al-Insan 76:2
Besahak hum ney insan ko milay julay nutfay say imtehan kay liye paida kiya aur uss ko sunta dekhta banaya
Verse 3 — Surah Al-Insan 76:3
Hum ney ussay raah dikhai abb khua wo shukar guzar banay khua na shukra
Verse 4 — Surah Al-Insan 76:4
Yaqeenaa hum ney kafiron kay liye zanjeeron aur toq aur sholon wali aag tayar ker rakhi hay
Verse 5 — Surah Al-Insan 76:5
Besahk neek log wo jam piyein gay jiss ki azmaish kafiron ki hay
Verse 6 — Surah Al-Insan 76:6
Jo aik chesma hai jiss say Allah kay banday piyen gay uss ki nehrein nikaal ley jaengay (jidher chahen)
Verse 7 — Surah Al-Insan 76:7
Jo nazar poori kertay hein aur uss din say dartay hein jiss ki buraee charon taraf phel jaanay wali hia
Verse 8 — Surah Al-Insan 76:8
Aur Allah Taalaa ki mohabat mein khana khilatay hein miskeen yateem aur qediyon ko
Verse 9 — Surah Al-Insan 76:9
Hum to tumhein sirf Allah Taalaa ki raza mandi kay liye khilatay hein na tum say badla chatay hein na shuker guzari
Verse 10 — Surah Al-Insan 76:10
Beshak hum apney perwardigar say uss din ka khof kertay hein jo udaasi aur sakhti wala hoga
Verse 11 — Surah Al-Insan 76:11
Pus inhen Allah Taala ney uss din ki buraee say bacha liya aur inhen taazgi aur khushi phonchaee
Verse 12 — Surah Al-Insan 76:12
Aut inhen inkay sabar kay badlay jannat aur reshmi libass ata farmaye
Verse 13 — Surah Al-Insan 76:13
Yeh wahan takhton per takiey lagaey huye bethen gay na wahan aftab ki garmi dfekhein gay ja jaray ki sakhti
Verse 14 — Surah Al-Insan 76:14
In jannaton kay saaye un per jhukey huye hongay aur inkay (meway aur)gunchay neechay latkaaey huye hongay
Verse 15 — Surah Al-Insan 76:15
Aur in per chandi kay bartano aur in jaamon ka dor keraya jayega jo sheeshay kay hongay
Verse 16 — Surah Al-Insan 76:16
Sheeshy bhi chandi kay jinko(saqi ney)andazay say nap rakha hoga
Verse 17 — Surah Al-Insan 76:17
Aur inhein wahan wo jam pilaya jaey ga jin ki amezish zanjabeel ki hogi
Verse 18 — Surah Al-Insan 76:18
Jaanat ki ik nehar say jiss ka nam salsabeel hay
Verse 19 — Surah Al-Insan 76:19
Aur inkay ird gird ghoomtey phirtay hongay wo kumsin bachay jo hamesha rehnay walay hein jab tu unhein dekhay to samjhay key wo bikhray hoey sachay moti hein
Verse 20 — Surah Al-Insan 76:20
Tu wahan jahan kahin bhi nazar daley ga saraser nematein aur azeem-ul-shan saltanat hi dekhay ga
Verse 21 — Surah Al-Insan 76:21
In kay jismoon per sabz bareek aur motay reshmi kapray hongay aur enhen chandi kay kangan ka zewar pehnaya jaeyga aur inhein unka rab pak saaf sharab pilaey ga
Verse 22 — Surah Al-Insan 76:22
(kaha jaeyga)kay yeh hai teray aemal ka badla aur tumhari koshish kiqadar ki gaee
Verse 23 — Surah Al-Insan 76:23
Beshak hum ney tujh per ba tedreej quran nazil kiya hai
Verse 24 — Surah Al-Insan 76:24
Pus to apney rab kay hokum per qaim rah aur in mein say kissi gunhagar ya na shukray ka kaha na maan
Verse 25 — Surah Al-Insan 76:25
Aur apney rab kay naam ka subha o sham zikar kiya ker
Verse 26 — Surah Al-Insan 76:26
Aur raat kay waqat uss kay saamnay sajday ker aur bohat raat tak uss ki tasbeeh kiya ker
Verse 27 — Surah Al-Insan 76:27
Behak yeh log jaldi milnay wali(duniya) ko chahtay hein aur apney peechay aik baray bhari din ko choray detay hein
Verse 28 — Surah Al-Insan 76:28
Hum ney inhein peda kiya aur hum ney hi in key jor aur bandhan mazboot kiey aur hum jab chahen in kay ewaz in jesay auron ko badal layen
Verse 29 — Surah Al-Insan 76:29
Yaqeenan yeh to aik naseehat hai pus jo chahey apney rab ki raah lelay
Verse 30 — Surah Al-Insan 76:30
Aur tum na chahogay magar yeh kay Allah Taalaa hi chahey beshak Allah Talah ilm wala ba hikmat hai
Verse 31 — Surah Al-Insan 76:31
Jissay chahey apni rehmat mein daakhil kerley aur zaalimon kay liye uss ney dard naak azab tayyar ker rakha hai