Back to LanguagesPrevious ChapterNext Chapter
Urdu - Chapter 84 - Al-Inshiqaq
Translation by Muhammad Junagarhi — Permalink
Verse 1 — Surah Al-Inshiqaq 84:1
Jab asman phat jaey ga
Verse 2 — Surah Al-Inshiqaq 84:2
Aur apney rab kay hokum per kan lagaey ga aur issi kay laiq wo hay
Verse 3 — Surah Al-Inshiqaq 84:3
Aur jab zameen (khench ker)phela di jaey gi
Verse 4 — Surah Al-Inshiqaq 84:4
Aur iss mein jo hai ussay wo ugal degi aur khali hojaigi
Verse 5 — Surah Al-Inshiqaq 84:5
Aur apney rab ky hokoom per kaan lagaye gi aur isi kay laeeq wo hy
Verse 6 — Surah Al-Inshiqaq 84:6
Aey insaan! Tu apney rab say milney tak yeh koshish aur tamam kaam aur mehnatein kerky ussymulaqatkerney wala hy
Verse 7 — Surah Al-Inshiqaq 84:7
To(us waqt) jis shaks kydahaney hath mein aamaal naama diya jaiyga
Verse 8 — Surah Al-Inshiqaq 84:8
Us ka hisab to bari aasani say liya jaey ga
Verse 9 — Surah Al-Inshiqaq 84:9
Aur wo apney ehal ki taraf hansi khushi lot ayega
Verse 10 — Surah Al-Inshiqaq 84:10
Han jis shaks ka aamaal nama us ki peeth ky peechy say diya jaey ga
Verse 11 — Surah Al-Inshiqaq 84:11
To wo maut ko bulaney lagyga
Verse 12 — Surah Al-Inshiqaq 84:12
Aur bharakti hui jahanum meindakhil hoga
Verse 13 — Surah Al-Inshiqaq 84:13
Yeh sahks apnay mutalqeen mein(duniya mein)khush tah
Verse 14 — Surah Al-Inshiqaq 84:14
Isska khayal tah kay Allah ki taraf loot ker hi na jaey ga
Verse 15 — Surah Al-Inshiqaq 84:15
Que nahi hanlankay iska rab usy bakhobi dekh raha tha
Verse 16 — Surah Al-Inshiqaq 84:16
mujhy shafaq ki qasam!aur rat ki
Verse 17 — Surah Al-Inshiqaq 84:17
Aur iski jama kerda chezon ki qasam
Verse 18 — Surah Al-Inshiqaq 84:18
Aur chand ki jab kay wo kamil hojata hay
Verse 19 — Surah Al-Inshiqaq 84:19
Yaqenan tum ik halat say dosri halat per phuncho gay
Verse 20 — Surah Al-Inshiqaq 84:20
Inhein ki hogaya kay iman nahi laty
Verse 21 — Surah Al-Inshiqaq 84:21
Aur jab in kay pass quran parha jata hay to sajda nahi kerty
Verse 22 — Surah Al-Inshiqaq 84:22
balky jinhon nay kufur kiya wo jhotla rahy hein
Verse 23 — Surah Al-Inshiqaq 84:23
aur Allah khob janta hay jo kuch yah dilon mein rakhty hein
Verse 24 — Surah Al-Inshiqaq 84:24
Inhen alamnak azabon ki khush khabri suna do
Verse 25 — Surah Al-Inshiqaq 84:25
Han eman walon aur nek amal walon be shumar aur na khtam honey wala ajar hay