Back to Languages

Urdu - Chapter 89 - Al-Fajr

Translation by Muhammad Junagarhi — Permalink

Verse 1 — Surah Al-Fajr 89:1

Verse 2 — Surah Al-Fajr 89:2

Verse 3 — Surah Al-Fajr 89:3

Aur juft aur taaq ki

Verse 4 — Surah Al-Fajr 89:4

Aur raat ki jab wo chalney lagy

Verse 5 — Surah Al-Fajr 89:5

Kiya inmein aqalmand kay wasty kafi qisam hay

Verse 6 — Surah Al-Fajr 89:6

Kiya ap ney nahi dekha ka yap kay rab nay Qom aad kay sath kiya kiya

Verse 7 — Surah Al-Fajr 89:7

Satoonon waly erum kay sath

Verse 8 — Surah Al-Fajr 89:8

Jis ki manind (koi qum) mulko mein paida nahi ki gai

Verse 9 — Surah Al-Fajr 89:9

Aur qum-e-samood kay sath jinho nay wadi mein bary bary pather trashy thy

Verse 10 — Surah Al-Fajr 89:10

Aur firoon kay sath jo meekhon wala tha

Verse 11 — Surah Al-Fajr 89:11

In sabhon nay shiron mein sir utha rakha tha

Verse 12 — Surah Al-Fajr 89:12

Aur bohat fasad macha rakha tha

Verse 13 — Surah Al-Fajr 89:13

Akhir tery rab nay in sab py azab ka kora barsaya

Verse 14 — Surah Al-Fajr 89:14

Yaqeenan tera rab ghat mein hay

Verse 15 — Surah Al-Fajr 89:15

Insan (ka yeh hal hay kay) jab ussy us ka rab azmata hay aur izat o neymat dyta hay to wo khyney lagta hay kay mery rab nay mujhy izat dar banadiya

Verse 16 — Surah Al-Fajr 89:16

aur jab wo usko azmata hay aur uski rozi tang kerdyta hay to wo kehney lagta hay kay mera rab nay meri ahanat ki hy(aur zalil kiya)

Verse 17 — Surah Al-Fajr 89:17

Aiaa herghiz nahi balkay (bat yeh hy) kay tum (hi)log yateemo ki izat nahi kerty

Verse 18 — Surah Al-Fajr 89:18

Aur miskino kay khilaney ki ik dosry ko targheeb nahi kerty

Verse 19 — Surah Al-Fajr 89:19

Aur (mardon ki)miras sameth sameth ker khaty ho

Verse 20 — Surah Al-Fajr 89:20

Aur maal ko ji bhar ker aziz rakhty ho

Verse 21 — Surah Al-Fajr 89:21

Yaqeenan jis waqat zameen koot koot ker baraber kerdi jaey gi

Verse 22 — Surah Al-Fajr 89:22

Aur tera rab(khud )ajaey ga aur farishty safen bandh ker(ajaey gay)

Verse 23 — Surah Al-Fajr 89:23

Aur jis din jhanum bhi lai jaey gi oss din insan ko samjh ayegi magar aj osky samjhney ka faida kahan

Verse 24 — Surah Al-Fajr 89:24

Wo kahy ga kay kash kay mein nay apni is zindagi kay liey kuch peshgi saman kiya hota

Verse 25 — Surah Al-Fajr 89:25

Pus aj Allah kay azab jaisa azab kisi ka na hoga

Verse 26 — Surah Al-Fajr 89:26

Na uski qaid o band jaisi kisi ki qaid o band hogi

Verse 27 — Surah Al-Fajr 89:27

Ay itmynan wali rooh

Verse 28 — Surah Al-Fajr 89:28

To apney rab ki taraf loot chal is tarah kay to issy razi wo tujh say khush

Verse 29 — Surah Al-Fajr 89:29

Pus mery khas bandon mein dakhil hoja

Verse 30 — Surah Al-Fajr 89:30

Aur meri jannat mein chali ja