Back to Languages

Urdu - Chapter 9 - At-Tawbah

Translation by Muhammad Junagarhi — Permalink

Verse 1 — Surah At-Tawbah 9:1

Allah aur uss kay rasool ki janib say beyzaari ka ailaan hai unn mushrikon kay baray mein jinn say tum ney ehad-o-paymaan kiya tha

Verse 2 — Surah At-Tawbah 9:2

Pus (aey mushriko!) tum mulk mein char maheenay tak to chal phir lo jaan lo kay tum Allah ko aajiz kerney walay nahi ho aur yeh (bhi yaad rahey) kay Allah kafiron ko ruswa kerney wala hai

Verse 3 — Surah At-Tawbah 9:3

Allah aur uss kay rasool ki taraf say logon ko baray hajj kay din saaf itlaa hai kay Allah mushrikon say beyzaar hai aur uss ka rasool bhi agar abb bhi tum tauba kerlo to tumharay haq mein behtar hai aur agar tum roo gardaani kero to jaan lo kay tum Allah ko hara nahi saktay. Aur kafiron ko dukh ki maar ki khabar phonca dijiye

Verse 4 — Surah At-Tawbah 9:4

Ba-juz unn mushrikon kay jin say tumhara mohaeeda ho chuka hai aur unhon ney tumhen zara sa bhi nuksan nahi phonchaya na kissi ki tumharay khilaf madad ki hai to tum bhi unn kay mohaeeday ki muddat unn kay sath poori kero Allah Taalaa perhezgaron ko dost rakhta hai

Verse 5 — Surah At-Tawbah 9:5

Phir hurmat walay maheenon kay guzartay hi mushrikon ko jahan pao qatal kero unhen giriftar kero unn ka mahasra kerlo aur unn ki taaq mein her ghaati mein ja betho haan agar woh tauba kerlen aur namaz kay paband hojayen aur zakar ada kerney lagen to tum unn ki rahen chor do. Yaqeenan Allah Taalaa bakhshney wala meharban hai

Verse 6 — Surah At-Tawbah 9:6

Agar mushrikon mein say koi tujh say panah talab keray to tu ussay panah dey dey yahan tak kay woh kalam Allah sunn ley phir ussay apni jaye amaan tak phoncha dey. Yeh iss liye kay yeh log bey ilm hain

Verse 7 — Surah At-Tawbah 9:7

Mushrikon kay liye ehad Allah aur uss kay rasool kay nazdeek kaisay reh sakta hai siwaye unn kay jin say tum ney ehad-o-paymaan masjid-e-haram kay pass kiya hai jab tak woh log tum say wada nibhayen tum bhi unn say wafa daari kero Allah Taalaa muttaqiyon say mohabbat rakhta hai

Verse 8 — Surah At-Tawbah 9:8

Unn kay wadon ka kiya aitbaar unn ka agar tum per ghalba hojaye to na yeh qarabat daari ka khayal keren na ehad-o-paymaan ka apni zabanon say to tumhen parcha rahey hain lekin unn kay dil nahi mantay inn mein say aksar to fasiq hain

Verse 9 — Surah At-Tawbah 9:9

Enhon ney Allah ki aayaton ko boht kam qeematon mein baich diya aur uss ki raah say roka. Boht bura hai jo yeh ker rahey hain

Verse 10 — Surah At-Tawbah 9:10

Yeh to kissi musalman kay haq main kissi rishtay daari ka ya ehad ka mutlaq lehaz nahi kertay yeh hain hi hadd say guzarney walay

Verse 11 — Surah At-Tawbah 9:11

Abb bhi agar yeh tauba kerlen aur namaz kay paband hojayen aur zakat detay rahen to tumharay deeni bhai hain. Hum to jannay walon kay liye aayaten khol khol ker biyan ker rahey hain

Verse 12 — Surah At-Tawbah 9:12

Agar yeh log ehad-o-paymaan kay baad bhi apni qasmon ko tor den aur tumharay deen mein taana zani keren to tum bhi unn sardaraan-e-kufur say bhir jao. Unn ki qasmen koi cheez nahi mumkin hai kay iss tarah woh baaz aajayen

Verse 13 — Surah At-Tawbah 9:13

Tum inn logon ki sirkoobi kay liye kiyon tayyar nahi hotay jinhon ney apni qasmon ko tor diya aur payghumbar ko jila watan kerney ki fikar mein hain aur khud hi awwal baat unhon ney tum say cher ki hai. Kiya tum inn say dartay ho? Allah hi ziyada mustahiq hai kay tum uss ka darr rakho ba-shart-e-kay tum eman walay ho

Verse 14 — Surah At-Tawbah 9:14

Inn say tum jang kero Allah Taalaa enhen tumharay hathon azab dey ga enhen zaleel-o-ruswa keray ga tumehn inn per madad dey ga aur musalmanon kay kalejay thanday keray ga

Verse 15 — Surah At-Tawbah 9:15

Aur unn kay dil ka ghum-o-gussa door keray ga aur woh jiss ki taraf chahata hai rehmat say tawajja farmata hai. Allah khoob janta boojhta hikmat wala hai

Verse 16 — Surah At-Tawbah 9:16

Kiya tum yeh samajh bethay ho kay tum chor diye jao gay halankay kay abb tak Allah ney tum mein unhen mumtaz nahi kiya jo mujahid hain aur jinhon ney Allah kay aur uss kay rasool kay aur mominon kay siwa kissi ko wali dost nahi banaya Allah khoob khabar daar hai jo tum ker rahey ho

Verse 17 — Surah At-Tawbah 9:17

Laeeq nahi kay mushrik Allah Taalaa ki masjidon ko abad keren. Daran halanakay woh khud apney kufur kay aap hi gawah hain inn kay aemaal gharat-o-ikarat hain aur woh daeemi tor per jahannumi hain

Verse 18 — Surah At-Tawbah 9:18

Allah ki masjidon ki ronaq-o-abadi to unn kay hissay mein hai jo Allah per aur qayamat kay din per eman rakhtay hain namazon kay paband hon zakat detay hon Allah key siwa kissi say na dartay hontawaqqa hai kay yehi log yaqeenan hidayat yafta hain

Verse 19 — Surah At-Tawbah 9:19

Kiya tum ney hajiyon ko pani pila dena aur masjis-e-haram ki khidmat kerna iss kay barabar ker diya hai jo Allah per aur aakhirat kay din per eman laye aur Allah ki raah mein jihad kiya yeh Allah kay nazdik barabar kay nahi aur Allah Taalaa zalimon ko hidayat nahi deta

Verse 20 — Surah At-Tawbah 9:20

Jo log eman laye hijrat ki Allah ki raah mein apney maal aur apni jaan say jihad kiya woh Allah kay haan boht baray martabay walay hain aur yehi log murab paney walay hain

Verse 21 — Surah At-Tawbah 9:21

Enhen unn ka rab khushkhabri deta hai apni rehmat ki aur raza mandi ki aur jannaton ki inn kay liye wahan dawami nemat hai

Verse 22 — Surah At-Tawbah 9:22

Wahan yeh hamesha rehney walay hain Allah kay pass yaqeenan boht baray sawab hain

Verse 23 — Surah At-Tawbah 9:23

Aey eman walo! Apney baapon ko aur apney bhaiyon ko dost na banao agar woh kufur ko eman say ziyada aziz rakhen. Tum mein say jo bhi inn say mohabbat rakhay ga woh poora gunehgar zalim hai

Verse 24 — Surah At-Tawbah 9:24

Aap keh dijiye kay agar tumharay baap aur tumharay larkay aur tumharay bhai aur tumhari biwiyan aur tumharay kunbay qabeelay aur tumharay kamaye huye maal aur woh tijarat jiss ki kami say tum dartay ho aur woh hawayliyan jinehn tum pasand kertay ho agar yeh tumhen Allah say aur uss kay rasool say aur uss ki raah mein jihad say bhi ziyada aziz hain to tum intizar kero Allah Taalaa apna azab ley aaye. Allah Taalaa fasiqon ko hidayat nahi deta

Verse 25 — Surah At-Tawbah 9:25

Yaqeenan Allah Taalaa ney boht say maidanon mein tumhen fatah di hai aur hunain ki laraee walay din bhi jabkay tumhen apni kasrat per naaz hogaya tha lekin uss ney tumhen koi faeeda na diya bulkay zamin bawajood apni kushadgi kay tum per tang hogaee phir tum peeth pher ker murr gaye

Verse 26 — Surah At-Tawbah 9:26

Phir Allah ney apni taraf ki taskeen apney nabi per aur mominon per utari aur apney woh lashkar bhejay jinhen tum dekh nahi rahey thay aur kafiron ko poori saza di. Inn kuffaar kay yehi badla tha

Verse 27 — Surah At-Tawbah 9:27

Phir iss kay baad bhi jiss per chahaye Allah Taalaa apni rehmat ki tawajja farmaye ga Allah hi bakhsish-o-meharbani kerney wala hai

Verse 28 — Surah At-Tawbah 9:28

Aey eman walo! Be-shak mushrik bilkul hi na pak hain woh iss saal kay baad masjid-e-haram kay pass bhi na phatakney payen agar tumhen muflisi ka khof hai to Allah tumhen dolat mand ker dey ga apney fazal say agar chahaye Allah ilm-o-hikmat wala hai

Verse 29 — Surah At-Tawbah 9:29

Unn logon say laro jo Allah per aur qayamat kay din per eman nahi latay jo Allah aur uss kay rasool ki haram kerda shey ko haram nahi jantay na deen-e-haq ko qabool kertay hain unn logon mein say jinhen kitab di gaee hai yahan tak kay woh zaleel-o-khuwar hoker apney hath say jizya ada keren

Verse 30 — Surah At-Tawbah 9:30

Yahood kehtay hain kay uzair Allah ka beta hai aur nasrani kehtay hain kay maseeh Allah ka beta hai yeh qol sirf unn kay mun ki baat hai. Aglay munkiron ki baat ki yeh bhi naqal kerney lagay Allah enehn ghaarat keray woh kaisay paltaye jatay hain

Verse 31 — Surah At-Tawbah 9:31

Inn logon ney Allah ko chor ker apney aalimon aur darwishon ko apna rab banaya hai aur marium kay betay maseeh ko halankay unhen sirf aik akelay Allah hi ki ibadat ka hukum diya gaya tha jiss kay siwa koi mabood nahi woh pak hai unn kay shareek muqarrar kerney say

Verse 32 — Surah At-Tawbah 9:32

Woh chahatay hain kay Allah kay noor ko apne mun say bujha den aur Allah Taalaa inkari hai magar issi baat ka kay apna noor poora keray go kafir na khush hon

Verse 33 — Surah At-Tawbah 9:33

Ussi ney apney rasool ko hidayat aur sachay deen kay sath bheja hai kay issay aur tamam mazhabon per ghalib ker dey agar cheh mushrik bura manen

Verse 34 — Surah At-Tawbah 9:34

Aey eman walo! Aksar ulama aur abid logon ka maal na haq kha jatay hain aur Allah ki raah say rok detay hain aur jo log soney chandi ka khazana rakhtay hain aur Allah ki raah mein kharach nahi kertay unhen dard naak azab ki khabar phoncha dijiye

Verse 35 — Surah At-Tawbah 9:35

Jiss din iss khazaney ko aatish-e-dozakh mein tapaya jaye ga phir iss say unn ki payshaniyan aur pehloo aur peethen daaghi jayengi (unn say kaha jayega) yeh hai jisay tum ney apney liye khazana bana rakha tha. Pus apney khazanon ka maza chakho

Verse 36 — Surah At-Tawbah 9:36

Maheenon ki ginti Allah kay nazdeek kitab Allah mein baara ki hai ussi din say jab say aasman-o-zamin ko uss ney peda kiya hai inn mein say char hurmat-o-adab kay hain. Yehi durust deen hai tum inn maheenon mein apni janon per zulm na kero aur tum tamam mushrikon say jihad kero jaisay kay woh tum sab say lartay hain aur jaan rakho kay Allah Taalaa muttaqiyon kay sath hai

Verse 37 — Surah At-Tawbah 9:37

Meheenon ka aagey peechay ker dena kufur ki ziyadti hai iss say woh log gumrahi mein dalay jatay hain jo kafir hain. Aik saal to issay halal ker letay hain aur aik saal issi ko hurmat wala ker letay hain kay Allah ney jo hurmat rakhi hai uss kay shumar mein to moafiqat ker len phir ussay halal bana len jissay Allah ney haram kiya hai enhen inn kay buray kaam bhalay dikha diye gaye hain aur qom-e-kuffaar ki Allah rehnumaee nahi farmata

Verse 38 — Surah At-Tawbah 9:38

Aey eman walon tumhen kiya hogaya hai kay jab tum say kaha jata hai kay chalo Allah kay raastay mein kooch kero to tum zamin say lagay jatay ho. Kiya tum aakhirat kay ewaz duniya ki zindagani per hi reejh gaye ho. Suno! Duniya ki zindagi to aakhirat kay muqablay mein kuch yun hi si hai

Verse 39 — Surah At-Tawbah 9:39

Agar tum ney kooch na kiya to tumhen Allah Taalaa dard naak saza dey ga aur tumharay siwa aur logon ko badal laye ga tum Allah Taalaa ko koi nuksan nahi phoncha saktay aur Allah her cheez per qadir hai

Verse 40 — Surah At-Tawbah 9:40

Agar tum inn (nabi PBUH) ki madad na kero yo Allah hi ney inn ki madad ki uss waqt jabkay enhen kafiron ney (dess say) nikal diya tha do mein say doosra jabkay woh dono ghaar mein thay jab yeh apney sathi say keh rahey thay kay ghum na ker Allah humaray sath hai pus janab-e-baari ney apni taraf say taskeen uss per nazil farma ker unn lashkaron say unn ki madad ki jinhen tum ney dekha hi nahi uss ney kafiron ki baat pust ker di aur buland-o-aziz to Allah ka kalma hi hai Allah ghalib hai hikmat wala hai

Verse 41 — Surah At-Tawbah 9:41

Nikal kharay hojao hulkay phulkay ho to bhi aur bhari bharkum ho to bhi aur raah-e-rab mein apni maal-o-jaan say jihad kero yehi tumharay liye behtar hai agar tum mein ilm ho

Verse 42 — Surah At-Tawbah 9:42

Agar jald wasool honey wala maal-o-asbaab hota aur halka sa safar hota to yeh zaroor aap kay peechay ho letay lekin unn per doori aur daraz ki mushkil parr gaee. Abb ato yeh Allah ki qasmen khayen gay kay agar hum mein qooat-o-taqat hoti to hum yaqeenan aap kay sath nikaltay yeh apni janon ko khud hi halakat mein daal rahey hain inn kay jhootay honey ka sacha ilm Allah ko hai

Verse 43 — Surah At-Tawbah 9:43

Allah tujhay moaf farma dey tu ney enhen kiyon ijazat dey di? Baghair iss kay, kay teray samney sachay log khul jayen aur tu jhootay logon ko bhi jaan ley

Verse 44 — Surah At-Tawbah 9:44

Allah kay din per aur qayamat kay din per eman-o-yaqeen rakhney walay to maali aur jaani jihad say ruk rehney ki kabhi bhi tujh say ijazat talab nahi keren gay aur Allah Taalaa perhezgaron ko khoob janta hai

Verse 45 — Surah At-Tawbah 9:45

Yeh ijazat to tujh say wohi talab kertay hain jinhen na Allah per eman hai na aakhirat kay din ka yaqeen hai jin kay dil shak mein paray huye hain aur woh apney shak mein hi sir-gardan hain

Verse 46 — Surah At-Tawbah 9:46

Agar inn ka irada jihad kay liye nikalney ka hota to woh iss safar kay liye saman ki tayyari ker rakhtay lekin Allah ko inn ka uthna pasand hi na tha iss liye enhen harkat say hi rok diya aur keh diya gaya kay tum bethney walon kay sath bethay hi raho

Verse 47 — Surah At-Tawbah 9:47

Agar yeh tum mein mill ker nikaltay bhi to tumharay liye siwaye fasad kay aur koi cheez na barhatay bulkay tumharay darmiyan khoob ghoray dora detay aur tum mein fitney dalney ki talash mein rehtay inn kay mannay walay khud tum mein mojood hain aur Allah inn zalimon ko khoob janta hai

Verse 48 — Surah At-Tawbah 9:48

Yeh to iss say pehlay bhi fitnay ki talash kertay rahey hain aur teray liye kaamon ko ulat pulat kertay rahey hain yahan tak kay haq aa phoncha aur Allah ka hukum ghalib aagaya bawajood yeh kay woh na khushi mein hi rahey

Verse 49 — Surah At-Tawbah 9:49

Inn mein say koi to kehta hai mujhay ijazat dijiye mujhay fitnay mein na daliye aagah raho woh to fitnay mein parr chukay hain aur yaqeenan dozakh kafiron ko gher leney wali hai

Verse 50 — Surah At-Tawbah 9:50

Aap ko agar koi bhalaee mill jaye to unhen bura lagata hai aur koi buraee phonch jaye to yeh kehtay hain hum ney to apna moamla pehlay say hi durust ker liya tha phir to baray hi itratay huye lottay hain

Verse 51 — Surah At-Tawbah 9:51

Aap keh dijiye kay humen siwaye Allah kay humaray haq mein likhay huye kay koi cheez phonch hi nahi sakti woh humara kaar saaz aur mola hai. Mominon ko to Allah ki zaat pak per hi bharosa kerna chahaiye

Verse 52 — Surah At-Tawbah 9:52

Keh dijiye kay tum humaray baray mein jiss cheez ka intizar ker rahey ho woh do bhalaeeyon mein say aik hai aur hum tumharay haq mein iss ka intizar kertay hain kay ya to Allah Taalaa apney pass say koi saza tumhen dey ya humaray hathon say pus aik taraf tum muntazir raho doosri janib tumharay sath hum bhi muntazir hain

Verse 53 — Surah At-Tawbah 9:53

Keh dijiye kay tum khushi ya na khushi kissi tarah bhi kharach kero qabool to hergiz na kiya jayega yaqeenan tum fasiq log ho

Verse 54 — Surah At-Tawbah 9:54

Koi sabab unn kay kharach ki qabooliyat kay na honey ka iss kay siwa nahi kay yeh Allah aur uss kay rasool kay munkir hain aur bari kaahili say hi namaz ko aatay hain aur buray dil say hi kharach kertay hain

Verse 55 — Surah At-Tawbah 9:55

Pus aap ko inn kay maal-o-aulad tajjub mein na daal den. Allah ki chahat yehi hai kay iss say enhen duniya ki zindagi mein hi saza dey aur inn kay kufur hi ki halat mein inn ki janen nikal jayen

Verse 56 — Surah At-Tawbah 9:56

Yeh Allah ki qasam kha kha ker kehtay hain yeh tumhari jamat kay log hain halankay woh dar-asal tumharay nahi baat sirf itni hai kay yeh darpok log hain

Verse 57 — Surah At-Tawbah 9:57

Agar yeh koi bachao ki jagah ya koi ghaar ya koi bhi sir ghusaney ki jagah paa len to abhi uss taraf lagam tor ker ultay bhaag chooten

Verse 58 — Surah At-Tawbah 9:58

Inn mein woh bhi hain jo kheyraati maal ki taqseem kay baray mein aap per aib rakhtay hain agar enhen iss mein say mill jaye to khush hain aur agar iss mein say na mila to foran hi bigar kharen huye

Verse 59 — Surah At-Tawbah 9:59

Agar yeh log Allah aur uss kay rasool kay diye huye per khush rehtay aut keh detay kay Allah humen kafi hai Allah humen apney fazal say dey ga aur uss ka rasool bhi hum to Allah ki zaat say hi tawaqqa rakheny walay hain

Verse 60 — Surah At-Tawbah 9:60

Sadqay sirf faqeeron kay liye hain aur miskeenon kay liye aur inn kay wasool kerney walon kay liye aur unn kay liye jin kay dil parchaye jatay hon aur gardan churaney mein aur qaraz daron kay liye aur Allah ki raah mein aur raah ro musafiron kay liye farz hai Allah ki taraf say aur Allah ilm-o-hikmat wala hai

Verse 61 — Surah At-Tawbah 9:61

Inn mein say woh bhi hain jo payghumbar ko ezza detay hain kehtay hain kay kaan ka kacha hai aap keh dijiye kay woh kaan tumharay bhalay kay liye hai woh Allah per eman rakha hai aur musalamanon ki baaton ka yaqeen kerta hai aur tum mein say jo ehal-e-eman hain yeh unn kay liye rehmat hai rasool Allah (PBUH) ko jo log ezze detay hain unn kay liye dukh ki maar hai

Verse 62 — Surah At-Tawbah 9:62

Mehaz tumhen khush kerney kay liye tumharay samney Allah ki qasmen kha jatay hain halankey agar yeh eman daar hotay to Allah aur uss ka rasool raza mand kerney ka ziyada mustahiq thay

Verse 63 — Surah At-Tawbah 9:63

Kiya yeh nahi jantay kay jo bhi Allah ki aur uss kay rasool ki mukhlifat keray ga yaqeenan uss kay liye dozakh ki aag hai jiss mein woh hamesha rehney wala hai yeh zabardast ruswaee hai

Verse 64 — Surah At-Tawbah 9:64

Mufiqon ko her waqt iss baat ka khutka laga rehta hai kay kahin musalmanon per koi surat na utray jo inn kay dilon ki baaten unhen batla dey. Keh dijiye kay tum mazaq uratay raho yaqeenan Allah Taalaa ussay zahir kerney wala hai jiss say tum darr dubak rahey ho

Verse 65 — Surah At-Tawbah 9:65

Agar aap inn say poochen to saaf keh den gay kay hum to yun hi aapas mein hans bol rahey thay. Keh dijiye kay Allah ussi ki aayaten aur uss ka rasool hi tumharay hansi mazaq kay liye reh gaye hain

Verse 66 — Surah At-Tawbah 9:66

Tum bahaney na banao yaqeenan tum apney eman kay baad bey eman hogaye agar hum tum mein say kuch logon say dar guzar bhi kerlen to kuch logon ko unn kay jurm ki sangeen saza bhi den gay

Verse 67 — Surah At-Tawbah 9:67

Tamam munafiq mard-o-aurat aapas mein aik hi hain yeh buri baaton ka hukum detay hain aur bhali baaton say roktay hain aur apni muthi band rakhtay hain yeh Allah ko bhool gaye enhen bhula diya be-shak munafiq hi fasiq-o-ba-dkirdar hain

Verse 68 — Surah At-Tawbah 9:68

Allah Taalaa inn munafiq mardon aurton aur kafiron say jahannum ki aag ka wada ker chuka hai jahan yeh hamesha rehney walay hain wohi enhen kafi hai inn per Allah ki phitkar hai aur inn hi kay liye daeemi azab hai

Verse 69 — Surah At-Tawbah 9:69

Misil unn logon kay jo tum say pehlay thay tum mein say woh ziyada qooat walay thay aur ziyada maal-o-aulad walay thay pus woh apna deeni hissa barat gaye phir tum ney bhi apna hissa barat liya jaisay tum say pehlay kay log apney hissay say faeeda mand huye thay aur tum ney bhi issi tarah mazaqan behas ki jaisay kay unhon ney ki thi. Unn kay aemaal duniya aur aakhirat mein ghaarat hogaye yehi log nuksan paney walay hain

Verse 70 — Surah At-Tawbah 9:70

Kiya enhen apney say pehlay logon ki khabren nahi phonchin qom-e-nooh aur aad aur samood aur qom-e-ibrajhim aur ehal-e-madiyen aur ehal-e-motafiqaat (ulti hui bastiyon kay rehney walay) ki unn kau pass unn kay payghumbar daleel ley ker phonchay Allah aisa na tha kay unn per zulm keray bulkay unhon ney khud hi apney upper zulm kiya

Verse 71 — Surah At-Tawbah 9:71

Momin mard-o-aurat aapas mein aik doosray kay (madadgar-o-maavin aur) dost hain woh bhalaiyon ka hukum detay hain aur buraiyon say roktay hain namazon ko pabandi say baja latay hain zakat ada kertay hain Allah ki aur uss kay rasool ki baat maantay hain yehi log hain jin per Allah Taalaa both jald reham faramaye ga be-shak Allah ghalbay wala hikmat wala hai

Verse 72 — Surah At-Tawbah 9:72

Inn eman daar mardon aur aurton say Allah ney unn jannaton ka wada farmaya hai jin kay neechay nehren lehren ley rahi hain jahan woh hamesha hamesh rehney walay hain aur inn saaf suthray pakeezah mehallaat ka jo unn hameshgi wali jannaton mein hain aur Allah ki raza mandi sab say bari cheez hai yehi zabardast kaamyabi hai

Verse 73 — Surah At-Tawbah 9:73

Aey nabi! Kafiron aur munafiqon say jihad jari rakho aur inn per sakht hojao inn ki asli jagah dozakh hai jo nihayat bad tareen jagah hai

Verse 74 — Surah At-Tawbah 9:74

Yeh Allah ki qasmen kha ker kehtay hain kay enhon ney nahi kaha halankay yaqeenan kufur ka kalma inn ki zaban say nikal chuka aur yeh apney islam kay baad kafir hogaye hain aur enhon ney iss kaam ka qasad bhi kiya jo poora na ker sakay. Yeh sirf issi baat ka intiqam ley rahey hain kay enhen Allah ney apney fazal say aur uss kay rasool ney dolat mand ker diya agar yeh abb bhi toba ker len to yeh inn kay haq mein behtar hai aur agar mun moray rahen to Allah Taalaa enhen duniya-o-aakhirat mein dard naak azab dey ga aur zamin bhar mein inn ka koi himayati aur madadgar na khara hoga

Verse 75 — Surah At-Tawbah 9:75

Inn mein woh bhi hain jinhon ney Allah say ehad kiya tha kay agar woh humen apney fazal say maal dey ga to hum zaroor sadqa-o-kheyraat keren gay aur neko kaaron mein hojayen gay

Verse 76 — Surah At-Tawbah 9:76

Lekin jab Allah ney apney fazal say enhen diya to yeh iss mein bakheeli kerney lagay aur taal matol ker kay mun mor liya

Verse 77 — Surah At-Tawbah 9:77

Pus iss ki saza mein Allah ney inn kay dilon mein nafaq daal diya Allah say milney kay dinon tak kiyon kay enhon ney Allah say kiye huye waday ka khilaf kiya aur kiyon kay jhoot boltay rahey

Verse 78 — Surah At-Tawbah 9:78

Kiya woh nahi jantay kay Allah Taalaa ko unn kay dil ka bhed aur unn ki sirgoshi sab maloom hai aur Allah Taalaa ghaib ki tamam baaton say khabardaar hai

Verse 79 — Surah At-Tawbah 9:79

Jo log inn musalmanon per taanaa zani kertay hain jo dil khol ker kheyraat kertay hain aur unn logon per jinhen siwaye apni mehnat mazdoori kay aur kuch mayyasar hi nahi pus yeh unn ka mazaq uratay hain Allah bhi inn say tamaskhur kerta hai enhi kay liye dard naak azab hai

Verse 80 — Surah At-Tawbah 9:80

Inn kay liye istaghfaar ker ya na ker. Agar tu satter martaba bhi inn kay liye istaghfaar keray to bhi Allah enhen hergiz na bakhshay ga yeh iss liye kay enhon ney Allah say aur uss kay rasool say kufur kiya hai aisay fasiq logon ko rab karim hidayat nahi deta

Verse 81 — Surah At-Tawbah 9:81

Peefchay reh janey walay log rasool Allah (PBUH) kay janey kay baad apney bethay rehney per khush hain enhon ney Allah ki raah mein apney maal aur apni janon say jihad kerna na pasand rakha aur enhon ney keh diya kay iss garmi mein mat niklo. Keh dijiye kay dozakh ki aag boht hi sakht garam hai kaash kay woh samajhtay hotay

Verse 82 — Surah At-Tawbah 9:82

Pus enhen chahaiye kay boht kum hansen aur boht ziyada royen badlay mein uss kay jo yeh kertay hain

Verse 83 — Surah At-Tawbah 9:83

Pus agar Allah Taalaa aap ko inn ki kissi jamat ki taraf lota ker wapis ley aaye phir yeh aap say maidan-e-jang mein nikalney ki ijazat talab keren to aap keh dijiye kay tum meray hergiz chal nahi saktay aur na meray sath tum dushmanon say laraee ker saktay ho. Tum ney pehli martaba hi beth rehney ko pasand kiya tha pus tum peechay reh janey walon mein hi bethay raho

Verse 84 — Surah At-Tawbah 9:84

Inn mein say koi marr jaye to aap uss kay janazay ki hergiz namaz na parhen aur na uss ki qabar per kharay hon. Yeh Allah aur uss kay rasool kay munkir hain aur martay dum tak bad kaar bey ita’at rahen hain

Verse 85 — Surah At-Tawbah 9:85

Aap ko inn kay maal-o-aulad kuch bhi bhalay na lagen! Allah ki chahat yehi hai kay enhen inn cheezon say dunyawi saza dey aur yeh apni janen nikalney tak kafir hi rahen

Verse 86 — Surah At-Tawbah 9:86

Jab koi surat utari jati hai kay Allah per eman lao aur uss kay rasool kay sath mill ker jihad kero to inn mein say dolat mandon kay aik tabqa aap kay pass aaker yeh keh ker rukhsat ley leta hai kay humen to bethay rehney walon mein hi chor chor dijiye

Verse 87 — Surah At-Tawbah 9:87

Yeh to khana nasheen aurton ka sath denay per reejh gaye aur inn kay dilon per mohar laga di gaee abb woh kuch samajh aqal nahi rakhtay

Verse 88 — Surah At-Tawbah 9:88

Lekin khud rasool Allah (PBUH) aur iss kay sath kay eman walay apney maalon aur janon say jihad kertay hain yehi log bhalaiyon walay hain aur yehi log kaamyabi hasil kerney walay hain

Verse 89 — Surah At-Tawbah 9:89

Enhi kay liye Allah ney woh jannaten tayyar ki hain jin kay neechay nehren jaari hain jin mein yeh hamesha rehney walay hain yehi boht bari kaamyabi hai

Verse 90 — Surah At-Tawbah 9:90

Badiya nasheenon mein say uzur walay log hazir huye kay enhen rukhsat dey di jaye aur woh beth rahey jinhon ney Allah say aur uss kay rasool say jhooti baaten banaee thin, abb to inn mein jitney kuffaar hain enhen dukh denay wali maar phonch ker rahey gi

Verse 91 — Surah At-Tawbah 9:91

Zaeefon aur beemaron per aur unn per jin kay pass kharach kerney ko kuch bhi nahi koi haraj nahi ba-shart-e-kay woh Allah aur uss kay rasool ki khair khuwaee kertay rahen aisay nek kaaron per ilzam ki koi raah nahi Allah Taalaa bari maghfirat-o-rehmat wala hai

Verse 92 — Surah At-Tawbah 9:92

Haan unn per bhi koi haraj nahi jo aap kay pass aatay hain kay aap unhen sawari mohiyya ker den to aap jawab detay hain kay mein to tumahri sawari kay liye kuch bhi nahi pata to woh ranj-o-ghum say apni aakhon say aansoo bahatay huye lot jatay hain kay enhen kharach kerney kay liye kuch bhi mayyasar nahi

Verse 93 — Surah At-Tawbah 9:93

Be-shak unhin logon per raah-e-ilzam hai jo bawajood dolat mand honey kay aap say ijazat talab kertay hain. Yeh khana nasheen aurton ka sath denay per khush hain aur inn kay dilon per mohar-e-khudawandi lagg chuki hai jiss say woh mehaz bey ilm hogaye hain

Verse 94 — Surah At-Tawbah 9:94

Yeh log tumharay samney uzur paish keren gay jab tum inn kay pass wapis jaogay. Aap keh dijiye kay yeh uzur paish mat kero hum kabhi tum ko sacha na samjhen gay Allah Taalaa hum ko tumhari khabar dey chuka hai aur aaenda bhi Allah aur uss ka rasool tumhari kaar guzari dekh len gay phir aisay kay pass lotaye jaogay jo posheeda aur zahir sab ka jannay wala hai phir woh tum ko bata dey ga jo kuch tum kertay thay

Verse 95 — Surah At-Tawbah 9:95

Haan woh abb tumharay samney Allah ki qasmen kha jayen gay jab tum unn kay pass wapis jaogay takay tum unn ko unn ki halat per chor do. So tum unn ko unn ki halat per chor do. Woh log bilkul ganday hain aur unn ka thikana dozakh hai unn kaamon kay badlay jinhen woh kiya kertay thay

Verse 96 — Surah At-Tawbah 9:96

Yeh iss liye qasmen khayen gay kay tum inn say razi hojao to Allah Taalaa to aisay fasiq logon say razi nahi hota

Verse 97 — Surah At-Tawbah 9:97

Dehati log kufur aur nifaq mein boht hi sakht hain aur unn ko aisa hona hi chahaiye kay unn ko inn kay ehkaam ka ilm na ho jo Allah Taalaa ney apney rasool per nazil farmaye hain aur Allah bara ilm wala bari hikmat wala hai

Verse 98 — Surah At-Tawbah 9:98

Aur inn dehatiyon mein baaz aisay hain kay jo kuch kharach kertay hain uss ko jurmana samajhtay hain aur tum musalmanon kay wastay buray waqt kay muntazir rehtay hain bura waqt inn hi per parney wala hai aur Allah sunnay wala aur jannay wala hai

Verse 99 — Surah At-Tawbah 9:99

Aur baaz ehal-e-dehaat mein aisay bhi hain jo Allah Taalaa per aur qayamat kay din per eman rakhtay hain aur jo kuch kharach kertay hain inn ko indallah qurb hasil honey ka zariya aur rasool ki dua ka zariya banatay hain yaad rakho kay inn kay yeh kharach kerna be-shak inn kay liye mojib-e-qurbat hai inn ko Allah Taalaa zaroor apni remat mein dakhil keray ga Allah Taalaa bari maghfirat wala bari rehmat wala hai

Verse 100 — Surah At-Tawbah 9:100

Aur jo mohajreen aur ansaar sabiq aur muqaddam hain aur jitney log ikhlaas kay sath unn kay pairo hain Allah unn sab say razi hua aur woh sab uss say razi huye aur Allah ney unn kay liye aisay baagh mohiyya ker rakhay hain jin kay neechay nehren jaari hongi jin mein hamesha rahen gay yeh bari kaamyabi hai

Verse 101 — Surah At-Tawbah 9:101

Aur kuch tumharay gird-o-paish walon mein aur kuch madinay walon mein aisay munafiq hain kay nifaq per aray huye hain aap inn ko nahi jantay inn ko hum jantay hain hum inn ko dohri saza den gay phir woh baray bhari azab ki taraf bhejay jayen gay

Verse 102 — Surah At-Tawbah 9:102

Aur kuch aur log hain jo apni khata kay iqrari hain jinhon ney milay julay amal kiye thay kuch bhalay aur kuch buray Allah say umeed hai kay unn ki toba qabool farmaye. Bila shuba Allah Taalaa bari maghfirat wala bari rehmat wala hai

Verse 103 — Surah At-Tawbah 9:103

Aap inn kay maalon mein sadqa ley lijiye jiss kay zariye say aap inn ko pak saaf ker den aur inn kay liye dua kijiye bila shuba aap ki dua inn kay liye mojib-e-itminaan hai aur Allah Taalaa khoob sunta hai khoob janta hai

Verse 104 — Surah At-Tawbah 9:104

Kiya inn ko yeh khabar nahi kay Allah hi apney bandon ki toba qabool kerta hai aur wohi sadqaat ko qabool farmata hai aur yeh kay Allah hi toba qabool kerney mein aur rehmat kerney mein kaamil hai

Verse 105 — Surah At-Tawbah 9:105

Keh dijiye kay tum amal kiye jao tumharay amal Allah khud dekh ley ga aur uss ka rasool aur eman walay (bhi dekh len gay) aur zaroor tum ko aisay kay pass jana hai jo tamam chupi aur khuli cheezon ka jannay wala hai. So woh tum ko tumhara sab kiya hua batla dey ga

Verse 106 — Surah At-Tawbah 9:106

Aur kuch aur log hain jin ka moamla Allah kay hukum aaney tak mulatawee hai unn ko saza dey ga ya unn ki toba qabool ker ley ga aur Allah khoob jannay wala hai bara hikmata wala hai

Verse 107 — Surah At-Tawbah 9:107

Aur baaz aisay hain jinhon ney inn aghraaz kay liye masjid banaee hai kay zarrar phonchayen aur kufur ki baaten keren aur eman daron mein tafreeq dalen aur uss shaks kay qayam ka saman keren jo iss say pehlay say Allah aur rasool ka mukhalif hai aur qasmen kha jayen gay kay ba-juz bhalaee kay aur humari kuch neeyat nahi aur Allah gawah hai kay woh bilkul jhootay hain

Verse 108 — Surah At-Tawbah 9:108

Aap iss mein kabhi kharay na hon. Albatta jiss masjid ki bunyaad awwal din say taqwa per rakhi gaee hai woh iss laeeq hai kay aap iss mein kharay hon iss mein aisay aadmi hain kay woh khoob pak honey ko pasand kertay hain aur Allah Taalaa khoob pak honey walon ko pasand kerta hai

Verse 109 — Surah At-Tawbah 9:109

Phir aaya aisa shaks behtar hai jiss ney apni emaarat ki bunyaad Allah say darney per aur Allah ki khushnoodi per rakhi ho ya woh shaks kay jiss ney apni emaarat ki bunyaad kissi ghaati kay kinaray per jo kay girney hi ko ho rakhi ho phir woh iss ko ley ker aatish-e-dozakh mein girr paray aur Allah Taalaa aisay zalimon ko samajh hi nahi deta

Verse 110 — Surah At-Tawbah 9:110

Inn ki yeh emaarat jo enhon ney banaee hai hamesha inn kay dilon mein shak ki bunyaad per (kaanta bann ker) khutakti rahey gi haan magar inn kay dil hi agar paash paash hojayen to khair aur Allah Taalaa bara ilm wala bari hikmat wala hai

Verse 111 — Surah At-Tawbah 9:111

Bila shuba Allah Taalaa ney musalmanon say unn ki janon ko aur unn kay maalon ko iss baat kay ewaz mein khareed liya hai kay unn ko jannat milay gi. Woh log Allah ki raah mein lartay hain jiss mein qatal kertay hain aur qatal kiye jatay hain iss per sacha wada kiya gaya hai toraat mein aur injeel mein aur quran mein aur Allah say ziyada apney ehad ko kaun poora kerney wala hai to tum log apni iss bey per jiss ka tum ney moamla thehraya hai khsuhi manao aur yeh bari kaamyabi hai

Verse 112 — Surah At-Tawbah 9:112

Woh aisay hain jo tauba kerney walay ibadat kerney walay hamd kerney walay roza rakhney walay (yaa raah-e-haq mein safar kerney walay) rukoo aur sajda kerney walay nek baaton ki taleem kerney walay aur buri baaton say baaz rakhney walay aur Allah ki haddon ka khayal rakhney walay hain aur aisay momineen ko aap khushkhabri suna dijiye

Verse 113 — Surah At-Tawbah 9:113

Payghumbar ko aur doosray musalmanon ko jaaez nahi kay mushrikeen kay liye maghfirat ki dua maangen agar cheh woh rishtay daar hi hon iss amar kay zahir ho janey kay baad kay yeh log dozakhi hain

Verse 114 — Surah At-Tawbah 9:114

Aur ibrahim (alh-e-salam) ka apney baap kay liye dua-e-maghfirat maangna woh sirf wada kay sabab say tha jo unhon ney uss say wada ker liya tha phir jab unn per yeh baat zahir hogaee kay woh Allah ka dushman hai to woh iss say mehaz mehaz bey talluq hogaye waqaee ibrahim (alh-e-salam) baray naram dil aur burd baar thay

Verse 115 — Surah At-Tawbah 9:115

Aur Allah aisa nahi kerta kay kissi qom ko hidayat ker kay baad mein gumrah kerdey jab tak kay unn cheezon ko saaf saaf na batla dey jin say woh bachen be-shak Allah Taalaa her cheez ko khoob janta hai

Verse 116 — Surah At-Tawbah 9:116

Bila shuba Allah hi ki saltanat hai aasmanon aur zamin mein. Wohi jilata aur maarta hai aur tumhara Allah kay siwa na koi yaar hai aur na koi madadgar hai

Verse 117 — Surah At-Tawbah 9:117

Allah Taalaa ney payghumber kay haal per tawajja farmaee aur mohajreen aur ansaar kay haal per bhi jinhon ney aisi tangi kay waqt payghumbar ka sath diya iss kay baad kay inn mein say aik giroh kay dilon mein kuch tazalzul ho chala tha. Phir Allah ney unn kay haal per tawajja farmaee. Bila shuba Allah Taalaa inn sab per boht hi shafiq meharban hai

Verse 118 — Surah At-Tawbah 9:118

Aur teen shakson kay haal per bhi jin ka moamla multawee chor diya gaya tha. Yahan tak kay jab zamin ba-waajood apni farakhi kay unn per tang honey lagi aur woh khud apni jaan say tang aagaye aur unhon ney samajh liya kay Allah say kahin panah nahi mill sakti be-juz iss kay kay ussi ki taraf rujoo kiya jaye phir unn kay haal per tawajja farmaee takay woh aaeenda bhi toba ker saken. Be-shak Allah Taalaa boht toba qabool kerney wala aur bara reham wala hai

Verse 119 — Surah At-Tawbah 9:119

Aey eman walo! Allah Taalaa say daro aur sachon kay sath raho

Verse 120 — Surah At-Tawbah 9:120

Madinay kay rehney walon ko aur jo dehaati unn kay gird-o-paish mein hain unn ko yeh zaiba na tha kay rasool Allah ko chor ker peechay reh jayen aur na yeh kay apni jaan ko unn ki jaan say aziz samajhen yeh iss sabab say key inn ko Allah ki raah mein jo piyas lagi aur jo thakaan phonchi aur jo bhook lagi aur jo kissi aisi jagah chalay jo kuffaar kay liye mojib-e-ghaiz hua ho aur dushmanon ki jo kuch khabar li inn sab per inn kay naam (aik aik) nek kaam likh gaya. Yaqeenan Allah Taalaa mukhliseen ka ajar zaya nahi kerta

Verse 121 — Surah At-Tawbah 9:121

Aur jo kuch chota bara enhon ney kharach kiya aur jitney maidan inn ko tey kerney paray yeh sab bhi inn kay naam likha gaya takay Allah Taalaa inn kay kaamon ka achay say acha badla dey

Verse 122 — Surah At-Tawbah 9:122

Aur musalmanon ko yeh na chahaiye kay sab kay sab nikal kharay hon so aisa kiyon na kiya jaye kay inn ki her bari jamat mein say aik choti jamat jaya keray takay woh deen ki samajh boojh hasil keren aur takay yeh log apni qom ko jabkay woh inn kay pass aayen darayen takay woh darr jayen

Verse 123 — Surah At-Tawbah 9:123

Aey eman walon! inn kuffaar say laro jo tumharay aas pass hain aur inn ko tumharay andar sakhti pana chahaiye aur yeh yaqeen rakho kay Allah Taalaa muttaqi logon kay sath hai

Verse 124 — Surah At-Tawbah 9:124

Aur jab koi surat nazil ki jati hai to baaz munafiqeen kehtay hain kay iss surat ney tum mein say kiss kay eman ko ziyada kiya hai so log jo eman walay hain iss surat ney unn kay eman ko ziyada kiya hai aur woh khush horahey hain

Verse 125 — Surah At-Tawbah 9:125

Aur jin kay dilon mein rog hai iss surat ney unn mein unn ki gandagi kay sath aur gandagi barha di aur woh halat-e-kufur hi mein marr gaye

Verse 126 — Surah At-Tawbah 9:126

Aur kiya inn ko nahi dikhlaee deta kay yeh log her saal aik baar ya do baar kissi na kissi aafat mein phanstay rehtay hain phir bhi na toba kertay aur na naseehat qabool kertay hain

Verse 127 — Surah At-Tawbah 9:127

Aur jab koi surat nazil ki jati hai to aik doosray ko dekhney lagtay hain kay tum ko koi dekhta to nahi phir chal detay hain Allah Taalaa ney inn ka dil pher diya hai iss waja say kay woh bey samajh log hain

Verse 128 — Surah At-Tawbah 9:128

Tumharay pass aik aisay payghumber tashreef laye hain jo tumhari jinss mein say hain jin per tumhari takleef boht hi dushwaar guzarti hai jo tumhari bhalaee kay khuwan hain. Jo musalmanon per baray hi shafiq aur meharban hain

Verse 129 — Surah At-Tawbah 9:129

Phir agar roo gardaani keren to aap keh dijiye kay meray liya Allah kafi hai iss kay siwa koi mabood nahi. Mein ney issi per bharosa kiya aur woh baray arsh ka maalik hai