Back to LanguagesPrevious ChapterNext Chapter
Urdu - Chapter 90 - Al-Balad
Translation by Muhammad Junagarhi — Permalink
Verse 1 — Surah Al-Balad 90:1
Mein iss sher ki qasam khata hun
Verse 2 — Surah Al-Balad 90:2
aur ap is sher mein muqeem hein
Verse 3 — Surah Al-Balad 90:3
aur (qasam hy)insani bap aur olad ki
Verse 4 — Surah Al-Balad 90:4
Yaqeenan hum ney insan ko(bari)mushaqat mein paida kia hy
Verse 5 — Surah Al-Balad 90:5
kiya yeh guman kerta hy kay yeh kisis kay bas mein hi nai
Verse 6 — Surah Al-Balad 90:6
khyta (phirta )hy ky mein ney to bohat kuch maal khrch ker dala
Verse 7 — Surah Al-Balad 90:7
kiya(yun) samjhta hy ky kisi nay ussy dekha(hi ) nahi
Verse 8 — Surah Al-Balad 90:8
kiya hum nay uski do ankhein nahi banain
Verse 9 — Surah Al-Balad 90:9
aur zaban aur hunt(nahi banaey)
Verse 10 — Surah Al-Balad 90:10
hum nay dekha diy usko dono rasty
Verse 11 — Surah Al-Balad 90:11
So issy na hosakha kay ghatti mein dakhil hota
Verse 12 — Surah Al-Balad 90:12
Aur kiya samjha ky ghatti hy kiya
Verse 13 — Surah Al-Balad 90:13
Kisi garden(gulam londi)ko azad kerna
Verse 14 — Surah Al-Balad 90:14
ya bhok waly din khana khilana
Verse 15 — Surah Al-Balad 90:15
Kisi reshtydar yateem ko
Verse 16 — Surah Al-Balad 90:16
Ya khahsaar miskeen ko
Verse 17 — Surah Al-Balad 90:17
Phir unlogon mein say hojata jo iman laey aur ik dosry ko sabar ki aurreham kerney ki wasiyat kerty hein
Verse 18 — Surah Al-Balad 90:18
Yehi log hein daein bazo waly(khushbakhti waly)
Verse 19 — Surah Al-Balad 90:19
Aur jin logon nay humari aayaton kay sath kufur kiya yeh kam-bakhti waly hain
Verse 20 — Surah Al-Balad 90:20
Inn hi per aag hogi jo charo taraf say gheri hoi hogi