Back to LanguagesPrevious ChapterNext Chapter
Urdu - Chapter 91 - Ash-Shams
Translation by Muhammad Junagarhi — Permalink
Verse 1 — Surah Ash-Shams 91:1
Qasam hai sooraj ki aur uski dhoop ki
Verse 2 — Surah Ash-Shams 91:2
Qasam hai chand ki jab uskay peechay ay
Verse 3 — Surah Ash-Shams 91:3
Qasam hai din ki jab soraj ko numaya keray
Verse 4 — Surah Ash-Shams 91:4
Qasam hai raat ki jab ussay dhanp lay
Verse 5 — Surah Ash-Shams 91:5
Qasam hai aasman ki aur uskay bananey ki
Verse 6 — Surah Ash-Shams 91:6
Qasam hai zamen ki or ussy hamwar kernay ki
Verse 7 — Surah Ash-Shams 91:7
Qasam hai nafs ki or ussy durust bananey ki
Verse 8 — Surah Ash-Shams 91:8
phir samjh di usko badkari ki aur bach ker chalnay ki
Verse 9 — Surah Ash-Shams 91:9
Jiss nay ussay pak kiya wo kamyab hua
Verse 10 — Surah Ash-Shams 91:10
Aur jiss nay ussay khak mein mila diya wo nakam hoa
Verse 11 — Surah Ash-Shams 91:11
(Qom)samood nay apni sarkashi kay baees jhutlaya
Verse 12 — Surah Ash-Shams 91:12
Jab unka bara badbakht uth khara hoa
Verse 13 — Surah Ash-Shams 91:13
Unhein Allah kay rassol nay farmadiya tha kay Allah Taalaa ki ontni aur uss kay peeenay ki bari ki (hifazat karo)
Verse 14 — Surah Ash-Shams 91:14
Un logon nay apnay pyghamber ko jhota samjh ker uss ontni ki kochein kaat dein pus unkay rab nay unkay gunahon kay baees un per halakat dali aur phir halakat ko aam kerdiya aur uss basti ko barabar ker diya
Verse 15 — Surah Ash-Shams 91:15
Wo nahi darta uskay tabahkun anjam say