Back to Languages

Urdu - Chapter 93 - Ad-Duhaa

Translation by Muhammad Junagarhi — Permalink

Verse 1 — Surah Ad-Duhaa 93:1

Qasam hai chasht kay waqt ki

Verse 2 — Surah Ad-Duhaa 93:2

Aur qasam hai raat ki jab cha jaey

Verse 3 — Surah Ad-Duhaa 93:3

Naa to tery rab nay tujhy chora hai aur na woh bezar hogaya hai

Verse 4 — Surah Ad-Duhaa 93:4

Yaqenan tery liey injam aghaz say behter hoga

Verse 5 — Surah Ad-Duhaa 93:5

Tujhy tere rab baht jald (inam )dyga aur to razi (o khush )hojaey ga

Verse 6 — Surah Ad-Duhaa 93:6

Kiya us nay tujhy yateem paker jagah nahi di

Verse 7 — Surah Ad-Duhaa 93:7

Aur tujhay raah bhola paker hidayat nahi di

Verse 8 — Surah Ad-Duhaa 93:8

Aur tujhy na-daar paaker to-nagar nahi banadiya

Verse 9 — Surah Ad-Duhaa 93:9

Pus yateem per to bhi sakhti na kiya ker

Verse 10 — Surah Ad-Duhaa 93:10

Aur na sawal kernay waly ko dant dapat

Verse 11 — Surah Ad-Duhaa 93:11

Aur apnay rab ki nematon ko biyan kerta reh