Back to LanguagesPrevious ChapterNext Chapter
Urdu - Chapter 96 - Al-Alaq
Translation by Muhammad Junagarhi — Permalink
Verse 1 — Surah Al-Alaq 96:1
Parh apnay rab kay naam say jiss nay peda kiya
Verse 2 — Surah Al-Alaq 96:2
Jiss nay insan ko khoon kay lothray say peda kiya
Verse 3 — Surah Al-Alaq 96:3
tu parhta reh tera rab baray karam wala hai
Verse 4 — Surah Al-Alaq 96:4
Jiss nay qalam kay zariye(ilm)sikhaya
Verse 5 — Surah Al-Alaq 96:5
Jiss nay insan ko who sikhaya jissay who nai janta tha
Verse 6 — Surah Al-Alaq 96:6
Such much insan to apnay say bahir hojata hy
Verse 7 — Surah Al-Alaq 96:7
isliey kay who apnay apko beparwah(ya tu nagar)samjhta hy hai
Verse 8 — Surah Al-Alaq 96:8
Yaqeenan lotna teray rab ki taraf hai
Verse 9 — Surah Al-Alaq 96:9
(Bhala)issay bhi tumnay dekha jo bandy ko rokta hai
Verse 10 — Surah Al-Alaq 96:10
Jabkay who banda salat ada kerta hai
Verse 11 — Surah Al-Alaq 96:11
Bahala batla to ager who hidayat per ho
Verse 12 — Surah Al-Alaq 96:12
Ya parhezgari ka hokum deta ho
Verse 13 — Surah Al-Alaq 96:13
Bhala dekho to agar yeh jhutlata ho aur mun perhta ho to
Verse 14 — Surah Al-Alaq 96:14
Kiya uss nay nahi jana kay Allah Taalaa ussay khob dekh raha hai
Verse 15 — Surah Al-Alaq 96:15
Yaqeenan ager yeh baaz na raha to hum iski peshani kay baal paker ker ghaseetein gay
Verse 16 — Surah Al-Alaq 96:16
Aisi peshani jo jhooti katakar hai
Verse 17 — Surah Al-Alaq 96:17
yeh apni majlis walon ko bulalay
Verse 18 — Surah Al-Alaq 96:18
hum bhi (dozakh kay)piyadon ko bula lein gy
Verse 19 — Surah Al-Alaq 96:19
Khabardar! isska kehna hergiz na manna aur sajda ker aur qareeb hoja