Unhein isskay siwa koi hokum nahi diya gaya kay sirf Allah ki ibadat kerein ussi kay liey deen ko khalis rakhein.ibraheem hanif kay deen per aur salat ko qaem rakhein aur zakat dety rahen yehi hai deen sedhi millat ka
Be-shak jo log ehl-e-kitab mein say kafir huye aur mushrikeen sab dozakh ki aag mein(jaeigy)jahan who hamesha(hamesha)reheingy.yeh log bad tareen khalaeeq hain
Inn ka badla unkay rab kay pass hameshgi wohi jannaten hein jinkay neechy nehrein beh rahi hein jin mein who hamesha hamesha rahein gay.Allah Taalaa unsy razi hua aur yeh uss say razi huye.yeh hai uskay liey jo apnay perwardigar say daray