Back to Languages
Urdu - Chapter 104
Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim
Verse 1
badi qaraabi hai har aise shaqs ki jo ayb tatolne waala, gheebath karne waala ho
Verse 2
jo maal ko jama karta jaaye aur ginta jaaye
Verse 3
wo samajhta hai ke us ka maal us ke paas sada rahega
Verse 4
har giz nahi, ye to zaroor tod phod dene waali aag mein phek diya jayega
Verse 5
aur tujhe kya maloom ke aisi aag kya hogi
Verse 6
wo Allah ta’ala ki silgaayi hoyi aag hogi
Verse 7
jo dilo par chadti chali jayegi
Verse 8
wo un par har taraf se bandh ki hoyi hogi
Verse 9
bade bade sutuno mein