Back to Languages

Urdu - Chapter 11 - Hud

Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim — Permalink

Verse 1 — Surah Hud 11:1

Verse 2 — Surah Hud 11:2

ye ek aisi kitab hai ke is ki ayate muhakkam ki gayi hai phir saaf saaf bayaan ki gayi hai ek hakeem baqabar ki taraf se

Verse 3 — Surah Hud 11:3

ye ke Allah ke siva kisi ki ibadath math karo, main tum ko Allah ki taraf se darane wala aur basharath dene wala hoon

Verse 4 — Surah Hud 11:4

aur ye ke tum log apne gunah apne rub se maaf karao phir osi ki taraf mutawajje raho, wo tum ko waqte muqarrar tak accha samaan (zindagi) dega aur har zyada amal karne wale ko zyada sawaab dega aur agar tum log eraaz karte rahe to mujh ko tumhare liye ek bade din ke azaab ka andesha hai tum ko Allah hee ke paas jana hai aur wo har shai par puri khudrath rakhta hai

Verse 5 — Surah Hud 11:5

yaad rakho, wo log apne sino ko dohra kiye dete hai taake apni batein (Allah) se chupa sake,yaad rakho ke wo log jis waqt apne kapde lapet te hai,wo us waqt bhi sab janta hai,jo kuch chupate hai aur jo kuch wo zaaher karte hai, bil-yaqin wo dilo ke andar ki batein janta hai

Verse 6 — Surah Hud 11:6

zamin par chalne phirne wale jitne jandaar hai sub ki roziya Allah tala par hai,wahi un ke rehne sehne ki jageh ko janta hai aur un ke saunpe jane ki jageh ko bhi sub kuch waze kitab mein maujod hai

Verse 7 — Surah Hud 11:7

Allah hee wo hai jis ne che din mein aasmaan aur zamin ko paida kiya aur us ka arsh paani par tha, ta ke wo tumhe aazmaye ke tum mein se acche amal kaun hai, agar aap un se kahe ke tum log marne ke baadh utha khade kiye jaoge to kafir log palat kar jawaab denge ke ye to nara saaf saaf jadu hai

Verse 8 — Surah Hud 11:8

aur agar hum un se azaab ko gini chuni muddath tak ke liye piche daal de to ye zaroor pukaar uthenge ke azaab ko kaun si cheez roke hoye hai, suno! jis din un ke paas aayega phir un se talne wala nahi, phir to jis cheez ki hasi uda rahe thein wo unhe gher legi

Verse 9 — Surah Hud 11:9

agar hum insan ko apni kisi nemath ka zaayeqa chaka kar phir ose us se lele to wo bahuth hee na ummid aur bada hee na shukra ban jata hai

Verse 10 — Surah Hud 11:10

aur agar hum ose koi nemath chakaye us saqti ke badh jo ose pahoch choki thi to wo kehne lagta hai ke bus boraiyya mujh se jati rahe, yaqinan wo bada hee itraane wala shekhi qoor hai

Verse 11 — Surah Hud 11:11

sivae un ke jo sabr karte hai aur nek kaamo mein lage rehte hai unhi logo ke liye baqshish bhi hai aur bahuth bada nek badla bhi

Verse 12 — Surah Hud 11:12

pas shayad ke aap is wahi ke kisi hisse ko chohd dene wale hai jo aap ki taraf nazil ki jati hai aur is se aap ka dil tang hai sirf un ki is baat par ke is par koi khazana kyo nahi utra? ya is ke saath koi farishta hee ata,sun lijiye! ke aap to sirf darane wale hee hai aur har cheez ka zimmedar Allah tala hai

Verse 13 — Surah Hud 11:13

kya ye kehte hai ke is Qur’an ko isi ne ghada hai, jawaab dijiye ke phir tum bhi isi ke misl dus surte ghadi hoyi le aao aur Allah ke siva jise chaho apne sath bula bhi lo agar tum sacche ho

Verse 14 — Surah Hud 11:14

phir agar wo tumhari is baat ko qubol na kare to tum yaqin se jaan lo ke ye Qur’an Allah ke ilm ke saat utara gaya hai aur ye ke Allah ke siva koi mabood nahi, pus kya tum musalman hote ho

Verse 15 — Surah Hud 11:15

jo shaqs dunya ki zindagi aur us ki zinath par farefta hoa chahta ho, hum aiso ko un ke kul amaal (ka badla) yahi bharpor pahocha dete hai aur yaha unhe koi kami nahi ki jati

Verse 16 — Surah Hud 11:16

haan yahi wo log hai jin ke liye aqirath mein sivae aag ke aur kuch nahi aur jo kuch unhone yaha kiya hoga wahaan sub akaarat hai aur jo kuch un ke amaal thein sub barbaad hone wale hai

Verse 17 — Surah Hud 11:17

kya wo shaqs jo apne rub ke paas ki dalil par ho aur us ke saath Allah ki taraf ka gawah ho aur us se pehle mosa ki kitab (gawah ho) jo peshwa aur rehmath hai (auro ke barabar ho sakta hai?) yahi log hai jo us par iman rakhte hai aur tamam firqo mein se jo bhi us ka munkir ho us ke aaqri waade ki jageh jahannum hai, pus tu us mein kisi qism ke shube mein na reh, yaqinan ye tere rub ki janib se sarasar barhaq hai, lekin aksar log iman laane wale nahi hote

Verse 18 — Surah Hud 11:18

us se bad kar zaalim kaun hoga jo Allah par jhot baandhe, ye log apne parvardigar ke samne pesh kiye jayenge aur sare gawah kahenge ke ye wo log hai jinhone apne parvardigaar par jhoot baandha, qabardaar ho ke Allah ki lanat hai zaalimo par

Verse 19 — Surah Hud 11:19

jo Allah ki raah se rokte hai aur us mein kaji talaash kar lete hai, yahi aqirath ke munkir hai

Verse 20 — Surah Hud 11:20

na ye log dunya mein Allah ko hara sake aur na un ka koi himayati Allah ke siva hoa, un ke liye azaab dogna kiya jaega, na ye sunne ki taaqat rakhte thein aur na ye dekhte hee thein

Verse 21 — Surah Hud 11:21

yahi hai jinhone apna nuqsaan aap kar liya aur wo sub kuch un se kho gaya jo unhone ghad rakha tha

Verse 22 — Surah Hud 11:22

beshak yahi log aqirath mein ziya kaar1 honge

Verse 23 — Surah Hud 11:23

yaqinan jo log iman laye aur unhone kaam bhi nek kiye aur apne paalne wale ki taraf jhukte rahe, wahi jannath mein jaane wale hai jahaan wo hamesha hee rehne wale hai

Verse 24 — Surah Hud 11:24

un duno firqo ki misaal andhe behre aur dekhne sunne wale jaisi hai, kya ye duno misaal mein barabar hai? Kya phir bhi tum nasihath hasil nahi karte

Verse 25 — Surah Hud 11:25

yaqinan hum ne noah(alaihissalaam) ko us ki qaum ki taraf rasol bana kar bheja ke main tumhe saaf saaf hoshyaar kar dene wala ho

Verse 26 — Surah Hud 11:26

ke tum sirf Allah hee ki ibadath karo,mujhe to tum par dardnaak din ke azaab ka khauf hai

Verse 27 — Surah Hud 11:27

us ki khaum ke, kafiro ke sardaro ne jawaab diya ke hum to tujhe apne jaisa insaan hee dekhte hai aur tere tabedaro ko bhi hum dekhte hai ke ye log waaze taur par sivae neech logo ke, aur koi nahi, jo be-sonche samjhe (tumhari pairvi kar rahe hai) hum to tumhari kisi qism ki bartari apne upar nahi dekh rahe, balke hum to tumhe jhoota samajh rahe hai

Verse 28 — Surah Hud 11:28

noah ne kaha, meri qaum walo! mujhe batao to agar main apne rub ki taraf se kisi dalil par hoa aur mujhe us ne apne paas ki koi rehmath ataa ki ho phir wo tumhari nigah mein na aai to kya zabardasti main ose tumhare gale mond doon2, halaan ke tum is se bezaar ho

Verse 29 — Surah Hud 11:29

meri khaum walo! main tum se is par maal nahi maangta,mere sawaab to sirf Allah tala ke haa hai, na main iman walo ko apne paas se nikaal sakta ho, unhe apne rub se milna hai lekin main dekhta ho ke tum log jahaalat kar rahe ho

Verse 30 — Surah Hud 11:30

meri qaum ke logo! agar main un momino ko apne paas se nikaal do to Allah ke muqaable mein meri madad kaun kar sakta hai? kya tum kuch bhi nasihath nahi pakadte

Verse 31 — Surah Hud 11:31

main tum se nahi kehta ke mere paas Allah ke khazane hai (suno!) main ghaib ka ilm bhi nahi rakhta, na main ye kehta hoon ke main koi farishta ho na mera ye qaul hai ke jin par tumhari nigaahe zillat se pad rahi hai unhe Allah tala koi nemath dega hee nahi, un ke dil mein jo hai ose Allah hee qoob jaanta hai, agar main aisi baat kaho to mera shumaar zalimo mein ho jaega

Verse 32 — Surah Hud 11:32

(khaum ke logo ne) kaha aye nuh! tu ne hum se bahes karli, aur qoob bahes karli, ab to jis cheez se hamein dhamka raha hai wahi hamaare paas le aa, agar to saccho mein hai

Verse 33 — Surah Hud 11:33

jawaab diya ke ose bhi Allah tala hee layega agar wo chahe aur haan tum ose haraane wale nahi ho

Verse 34 — Surah Hud 11:34

tumhe meri qair qaahi kuch bhi nafa nahi de sakti go main kitni hee tumhari qair qwahi kyo na chaho bashart ye ke Allah ka irada tumhe gumrah karne ka ho, wahi tum sub ka parvardigar hai aur osi ki taraf lautaye jaoge

Verse 35 — Surah Hud 11:35

kya ye kehte hai ke ise khud isi ne ghad liya hai? tu jawaab de, ke agar main ne ise ghad liya ho to mera gunah mujh par hai aur main un gunaho se bari hoon, jo tum kar rahe ho

Verse 36 — Surah Hud 11:36

nuh ki taraf wahi bheji gayi ke teri qaum mein se jo iman la choke, un ke siva aur koi ab iman layega hee nahi, pas tu un ke kaamo par ghamgeen na ho

Verse 37 — Surah Hud 11:37

aur ek kashti hamari aankho ke samne aur hamari wahi se tayyar kar, aur zalimo ke bare mein hum se koi baat cheet na kar wo pani mein dubo diye jane wale hai

Verse 38 — Surah Hud 11:38

wo (nuh) kashti banane lage, un ki khaum ke jo sardar un ke paas se guzarte wo un ka mazaaq udate, wo kehte agar tum hamara mazaaq udate ho to hum bhi tum par ek din hasenge, jaise tum hum par haste ho

Verse 39 — Surah Hud 11:39

tumhe bahuth jald maalom ho jaega ke kis par azaab aata hai jo ose ruswa kare aur us par hameshgi ki saza utar aaye

Verse 40 — Surah Hud 11:40

yahaan tak ke jab hamara hukm aa pahoncha aur tannuur3 ubalne laga, hum ne kaha ke, is kashti mein har qism ke (jaandaaro mein se) jode (yani) do (jaanwar, ek nar aur ek maada) sawaar karaale, aur apne ghar ke logo ko bhi sivae un ke jin par pehle se baath pad chuki hai aur sub iman walo ko bhi, us ke saath iman lane wale bahuth hee kam thein

Verse 41 — Surah Hud 11:41

nuh alaihissalaam ne kaha us kashti mein bait jao Allah hee ke naam se us ka chalna aur teherna hai, yaqinan mera rub badi baqshish aur bade rahem wala hai

Verse 42 — Surah Hud 11:42

wo kashti unhe pahaado jaisi maujo mein le kar ja rahi thi aur noah (alaihissalaam) ne apne ladke ko jo ek kinare par tha pukaar kar kaha ke aye mere pyare bacche hamare saath sawaar hoja aur kafiro mein shamil na reh

Verse 43 — Surah Hud 11:43

us ne jawaab diya ke mein to kisi bade pahaad ki panah mein aa jaonga jo mujhe pani se bacha lega, noah alaihisslaam ne kaha aaj Allah ke amr se bachane wala koi nahi, sirf wahi bachenge jin par Allah ka rahem hoa, osi waqt un duno ke darmiyan mauj haayal ho gayi aur wo dobne waalo mein se ho gaya

Verse 44 — Surah Hud 11:44

farma diya ke aye zamin apne paani ko nigal ja aur aye aasman bus kar, tham ja, osi waqt paani sokha diya gaya aur kaam pora kar diya gaya aur kashti “joodi” naami pahaad par ja lagi aur farma diya gaya ke zalim logo par lanath nazil ho

Verse 45 — Surah Hud 11:45

noah alaihissalaam ne apne parvardigaar ko pukara aur kaha ke mere rub mera beta to mere ghar walo mein se hai, yaqinan tera wada bilkul saccha hai aur tu tamaam haakimo se behtar haakim hai

Verse 46 — Surah Hud 11:46

Allah tala ne farmaya aye noah yaqinan wo tere gharane se nahi hai, us ke kaam bilkul hee na shayesta hai, tujhe hargiz wo chiz na maangni chahiye jis ka tujhe muth-laqan4 ilm na ho, main tujhe nasihath karta hoon ke tu jahilo mein se apna shumaar karane se baaz rahe

Verse 47 — Surah Hud 11:47

noah ne kaha, mere paalanhaar main teri hee panah chahta hoon us baat se ke tujh se wo maango jis ka mujhe ilm hee na ho, agar tu mujhe na baqshega aur tu mujh par rahem na faryega to main qasara pane walo mein ho jaonga

Verse 48 — Surah Hud 11:48

farma diya gaya ke aye noah hamari jaanib se salamti aur un barkato ke saat utar jo tujh par hai aur tere saat ki bahuth si jamato par aur bahuth si wo ummate hongi jinhe hum fayeda to zaror pahonchaenge lekin phir unhe hamari taraf se dardnaak azaab pahochega

Verse 49 — Surah Hud 11:49

ye qabre ghaib ki qabro mein se hai jin ki wahi hum aap ki taraf karte hai, unhe us se pehle aap jaante thein aur na aap ki qaum, is liye aap sabr karte rahiye (yaqin maniye) ke anjaame kaar parhezgaro ke liye hee hai

Verse 50 — Surah Hud 11:50

aur khaume aadh ki taraf un ke bhai hoodh ko hum ne bheja, us ne kaha meri qaum walo! Allah hee ki ibadath karo, us ke siva tumhara koi mabood nahi, tum to sirf bohtaan baandh rahe ho

Verse 51 — Surah Hud 11:51

aye meri qaum! main tum se us ki koi ujrath nahi maangta, mera ajr us ke zimme hai jis ne mujhe paida kiya hai, to kya phir bhi tum aqal se kaam nahi lete

Verse 52 — Surah Hud 11:52

aye meri qaum ke logo! tum apne paalne wale se apni taqsiro5 ki maafi talab karo aur us ki janaab mein tauba karo ta ke wo barasne wale baadal tum par bhej de aur tumhari taaqath par aur taaqath quwwath bada de aur tum zulm karte hoye ru gardaani na karo

Verse 53 — Surah Hud 11:53

unhone kaha aye hoodh! tu hamare paas koi dalil to laya nahi aur hum sif tere kehne se apne mabudo ko chohdne wale nahi aur na hum tujh par imaan laane wale hai

Verse 54 — Surah Hud 11:54

balke hum to yahi kehte hai ke tu hamare kisi mabood ke bore jhapte mein aa gaya hai, us ne jawaab diya ke main Allah ko gawah karto hoon aur tum bhi gawah raho ke main to Allah ke siva un sub se bezaar ho jinhe tum shareek bana rahe ho

Verse 55 — Surah Hud 11:55

accha tum sub mil kar mere qilaaf chaale chal lo aur mujhe bilkul mahulath bhi na do

Verse 56 — Surah Hud 11:56

mera bharosa sirf Allah tala hee par hai jo mera aur tum sub ka parvardigaar hai, jitne bhi paao dharne wale hai sub ke peshani wahi thaame hoye hai, yaqinan mera rub bilkul sahih raah par hai

Verse 57 — Surah Hud 11:57

pus agar tum ru gardaani karo, to karo, main to tumhe wo paighaam pahocha chuka jo de kar mujhe tumhari taraf bheja gaya tha, mera rub tumhare qayam muqaam aur logo ko kar dega aur tum us ka kuch bhi bigaad na sakoge, yaqinan mera parvardigaar har cheez par nigehbaan hai

Verse 58 — Surah Hud 11:58

aur jab hamara hukm aa pahoncha to hum ne hoodh ko aur us ke musalmaan sathiyo ko apni khaas rehmath se najaath ataa farmayi aur hum ne un sub ko saqt azaab se bacha liya

Verse 59 — Surah Hud 11:59

ye thi qaum aadh jinhone apne rub ki ayato ka inkaar kiya aur us ke rasulo ki nafarmani ki aur har ek sarkash nafarmaan ke hukm ki taabedari ki

Verse 60 — Surah Hud 11:60

dunya mein bhi un ke piche laanath laga di gayi aur qayamath ke din bhi, dekhlo qaum aadh ne apne rub se kufr kiya, hoodh ki qaum aadh par dori ho

Verse 61 — Surah Hud 11:61

aur qaum samood ki taraf un ke bhai saaleh ko bheja, us ne kaha aye meri qaum tum Allah ki ibadath karo us ke siva tumhara koi mabood nahi, osi ne tumhe zamin se paida kiya hai aur osi ne us zamin mein tumhe basaya hai, pus tum us se maafi talab karo aur us ki taraf rujo karo, beshak mera rub qareeb aur duaao ka qubol karne wala hai

Verse 62 — Surah Hud 11:62

unhone kaha aye saaleh! is se pehle to hum tujh se bahuth kuch ummide lagaye hoye thein, kya tu hamein un ki ibadato se rok raha hai jin ki ibaadath hamare baap dada karte chale aye, hamein to us din mein hairaan kun shak hai jis ki taraf tu hamein bula raha hai

Verse 63 — Surah Hud 11:63

us ne jawaab diya ke aye meri qaum ke logo! zara batao to agar main apne rub ki taraf se kisi mazboot daleel par hoa aur us ne mujhe apne paas ki rehmath ata ki ho, phir agar main ne us ki na farmani karli to kaun hai jo us ke muqable mein meri madad kare? tum to mera nuqsaan hee bada rahe ho

Verse 64 — Surah Hud 11:64

aur aye meri qaum walo ye Allah ki bheji hoyi ontni hai jo tumhare liye ek maujeza hai, ab tum ose Allah ki zameen mein khaati hoyi chohd do aur ose kisi tarah ki eza na pahonchao warna fauri azaab tumhe pakad lega

Verse 65 — Surah Hud 11:65

phir un logo ne us ontni ke paao kaat dale, us par saaleh ne kaha ke accha tum apne gharo mein teen din tak to reh seh lo, ye waada jhuta nahi hai

Verse 66 — Surah Hud 11:66

phir jab hamara farmaan aa pahoncha, hum ne saleh ko aur un par iman laane walo ko apni rehmath se us se bhi bacha liya aur us din ki ruswai se bhi, yaqinan tera rub nihayath tawaana aur ghaalib hai

Verse 67 — Surah Hud 11:67

aur zalimo ko bade zoor ki chinghaad ne aa dabocha phir to wo apne gharo mein aundhe pade hoye reh gaye

Verse 68 — Surah Hud 11:68

aise ke goya wo waha kabhi abaad hee na thein, agah raho ke qaum e samood ne apne rub se kufr kiya, sunlo! un samoodiyo par phatkaar hai

Verse 69 — Surah Hud 11:69

aur hamare bheje hoye paighambar ibraheem ke paas khush qabri le kar pahonche aur salaam kaha, unhone bhi jawaab salaam diya aur baghair kisi taqeer ke gaay ka bhuna hoa bachda le aaye

Verse 70 — Surah Hud 11:70

ab jo dekha ke un ke to haath bhi us ki taraf nahi pahonch rahe to un se ajnabiyath mehsoos kar ke dil hee dil mein un se qauf karne lage, unhone kaha daro nahi, hum to khaume looth ki taraf bheje hoye aye hai

Verse 71 — Surah Hud 11:71

us ki biwi jo khadi hoyi thi wo has padi, to hum ne ose is’haaq ki aur is’haaq ke piche yaqoob ki khush qabri di

Verse 72 — Surah Hud 11:72

wo kehne lagi haay meri kambaqti! mera haan aulaad kaise ho sakti hai, main khud bhodiya aur mere qawind bhi bahut badi umr ke hai, ye to yaqinan badi ajeeb baath hai

Verse 73 — Surah Hud 11:73

farishto ne kaha, kya tu Allah ki khudrath se tajjub kar rahi hai? tum par aye is ghar ke logo, Allah ki rehmath aur us ki barkate nazil ho, beshak Allah hamd wa sana ka sazawaar aur badi shaan wala hai

Verse 74 — Surah Hud 11:74

jab ibraheem ka dar qauf jata raha aur ose basharath bhi pahonch chuki to hum se qaum looth ke baare mein kehne sunne lage

Verse 75 — Surah Hud 11:75

yaqinan ibraheem bahuth tahammul6 wale, narm dil aur Allah ki janib jhukne wale thein

Verse 76 — Surah Hud 11:76

aye ibraheem! is qayaal ko chohd di jiye, aap ke rub ka hukm aa pahoncha hai aur un par na taale jane wala azaab zaroor aane wala hai

Verse 77 — Surah Hud 11:77

jab hamare bheje hoye farishte looth ke paas pahonche to, wo un ki wajeh se bahuth ghamgeen ho gaye aur dil hee dil mein kodne lage aur kehne lage ke aaj ka din badi musibath ka din hai

Verse 78 — Surah Hud 11:78

aur us ki qaum daudti hoyi us ke paas aa pahonchi, wo to pehle hee se badh-kaariyo mein mubtela thi, looth alaihissalaam ne kaha aye qaum ke logo ye hai meri betiya jo tumhare liye bahuth hee pakiza hai, Allah se daro aur mujhe mere mehmano ke bare mein ruswa na karo, kya tum mein ek bhi bhala aadmi nahi

Verse 79 — Surah Hud 11:79

unhone jawaab diya ke tu baqoobi jaanta hai ke hamein teri betiyo par koi haq nahi aur tu hamari asli chaahath se baqoobi waaqif hai

Verse 80 — Surah Hud 11:80

looth alaihissalaam ne kaha, kaash ke mujh mein tum se muqaabla karne ki quwwath hoti ya main kisi zabardast ka aasra pakad pata

Verse 81 — Surah Hud 11:81

ab farishto ne kaha aye looth! hum tere parvardigaar ke bheje hoye hai, na mumkin hai ke ye tujh tak pahoncha jaye, pas tu apne ghar walo ko le kar kuch raath rahe nikal khada ho, tum mein se kisi ko mud kar bhi na dekhna chahiye bajuz teri biwi ke, is liye ke ose bhi wahi pahonchne wala hai jo un sab ko pahonchega, yaqinan un ke waade ka qauf subah ka hai, kya subah bilkul qareeb nahi

Verse 82 — Surah Hud 11:82

phir jab hamara hukm aa pahoncha hum ne us basti ko zer wa zabar kar diya, upar ka hissa niche kar diya aur un par kankrile patthar barsaye jo teh ba teh thein

Verse 83 — Surah Hud 11:83

tere rub ki taraf se nishaandar thein aur wo un zalimo se kuch bhi door na thein

Verse 84 — Surah Hud 11:84

aur hum ne madyan walo ki taraf un ke bhai shoib ko bheja, us ne kaha aye meri qaum Allah ki ibadath karo, us ke siva tumhara koi mabood nahi aur tum naap tool mein bhi kami na karo, main to tumhe asooda haal dekh raha hoon aur mujhe tum par gherne wale din ke azaab ka qauf (bhi) hai

Verse 85 — Surah Hud 11:85

aye meri qaum! naap tool insaaf ke saath pori pori karo, logo ko un ki cheeze kam na do aur zameen mein fasaad aur qarabi na machaao

Verse 86 — Surah Hud 11:86

Allah ta’ala ka halaal kiya hoa jo bach rahe, tumhare liye bahuth hee behtar hai agar tum iman wale ho, main tum par kuch nigehbaan (aur darogha) nahi hoon

Verse 87 — Surah Hud 11:87

unhone jawaab diya ke aye shoib kya teri salaath tujhe yahi hukm deti hai ke hum apne baap dadao ke mabudo ko chohd de aur hum apne maalo mein jo kuch chahe us ka karna bhi chohd de, tu, to bada hee ba veqaar aur nek chalan aadmi hai

Verse 88 — Surah Hud 11:88

kahaa, aye meri qaum! dekho to agar main apne rub ki taraf se roushan daleel liye hoye hoon aur us ne mujhe apne paas se behetreen rozi de rakhi hai, mera ye irada bilkul nahi ke tumhara qilaaf kar ke khud us cheez ki taraf jhuk jao jis se tumhe rook raha hoon, mera irada to apni taaqath bhar islah karne kaa hee hai, meri taufeeq Allah hee ki madad se hai, osi par mera bharosa hai aur osi ki taraf main rujo karta hoon

Verse 89 — Surah Hud 11:89

aur aye meri qaum (ke logo!) kahi aisa na ho ke tum ko meri muqalifat un azaabo ka mustaheq bana de jo qaum noah aur qaum hood aur qaum saaleh ko pahonche hai aur qaum looth to tum se kuch door nahi

Verse 90 — Surah Hud 11:90

tum apne rub se isteghfaar karo aur us ki taraf tauba karo, yaqeen mano ke mera rub badi meherbani wala aur bahut muhabbath karne wala hai

Verse 91 — Surah Hud 11:91

unhone kaha aye shoib! teri aksar batein to hamari samajhne hee nahi aati aur hum to tujhe apne andar bahut kamzoor paate hai, agar tere qabile ka qayaal na hota to hum to tujhe sangsaar kar dete aur hum tujhe koi haisiyath wali hasti nahi ginte

Verse 92 — Surah Hud 11:92

unhone jawaab diya ke aye meri qaum ke logo! kya tumhare nazdik mere qabile ke log Allah se bhi zyada zi izzath hai ke tum ne ose paso pusht daal diya hai, yaqinan mera rub jo kuch tum kar rahe ho sub ko ghere hoye hai

Verse 93 — Surah Hud 11:93

aye meri qaum ke logo ab tum apni jageh amal kiye jao, main bhi amal kar raha hoon, tumhe anqarib maloom ho jaega ke kis ke paas wo azaab ata hai jo ose ruswa karde aur kaun hai jo jhuta hai, tum intezaar karo, main bhi tumhare saath muntazir hoon

Verse 94 — Surah Hud 11:94

jab hamara hukm (azaab) aa pahoncha hum ne shoib ko aur un ke saath (tamaam) momino ko apni qaas rehmat se najaat baqshi aur zaalimo ko saqt chinghaad ke azaab ne dhar daboocha, jis se wo apne gharo mein aundhe pade hoye ho gaye

Verse 95 — Surah Hud 11:95

goya ke wo un gharo mein kabhi ba-se hee na thein, agah raho madyan ke liye bhi waisi hee doori ho, jaisi doori samoodh ko hoyi

Verse 96 — Surah Hud 11:96

aur yaqinan hum ne hee moosa ko apni ayaath aur roushan dalilo ke saath bheja tha

Verse 97 — Surah Hud 11:97

feraun aur us ke sardaro ki taraf, phir bhi un logo ne feraun ke ehkaam ki pairvi ki aur feraun ka koi hukm durust tha hee nahi

Verse 98 — Surah Hud 11:98

wo to qayamath ke din apni qaum ka pesh ro ho kar, un sub ko dozakh mein ja khada karega, wo bahuth hee bora ghaat hai jis par la khade kiye jayenge

Verse 99 — Surah Hud 11:99

un par to is dunya mein bhi laanat chup kaadhi gayi, aur qayamat ke din bhi bora in’aam hai jo diya gaya

Verse 100 — Surah Hud 11:100

bastiyo ki ye baaz qabre jinhe hum tere samne bayan farma rahe hai un mein se baaz to maujood hai aur baaz (ki fasle) kat gayi hai

Verse 101 — Surah Hud 11:101

hum ne un par koi zulm nahi kiya balke khud unhone hee apne upar zulm kiya aur unhe un ke mabudo ne koi faeda na pahonchaya jinhe wo Allah ke siva pukara karte thein, jab ke tere parvardigaar ka hukm aa pahoncha balke aur un ka nuqsaan hee unhone bada diya

Verse 102 — Surah Hud 11:102

tere parvardigaar ki pakad ka yahi tariqa hai jab ke wo bastiyo ke rehne wale zalimo ko pakadta hai,beshak us ki pakad dukh dene wali aur nihayath saqth hai

Verse 103 — Surah Hud 11:103

yaqinan us mein un logo ke liye nishaane ibrath hai jo qayamath ke azaab se darte hai,wo din jis mein sab log jama kiye jaenge aur wo din hai jis mein sab haazir kiye jaenge

Verse 104 — Surah Hud 11:104

ose hum jo multawi karte hai wo sirf ek muddate muayyan tak hai

Verse 105 — Surah Hud 11:105

jis din wo aa jaegi majaal na hogi ke Allah ki ijazath ke baghair koi baat bhi karle,so un mein koi badh baqth hoga aur koi nek baqth

Verse 106 — Surah Hud 11:106

lekin jo badh baqt hoye wo dozakh mein honge,waha chikhenge chillaenge

Verse 107 — Surah Hud 11:107

wo wahi hamesha rehne wale hai jab tak aasmaan wa zameen barqaraar rahe, sivae us waqt ke jo tumhara rub chahe,yaqinan tera rub jo kuch chahe kar guzarta hai

Verse 108 — Surah Hud 11:108

lekin jo nek baqth kiye gaye wo jannath mein honge jaha hamesha rahenge jab tak aasmaan wa zameen bakhi rahe magar jo tera parvardigaar chahe,ye be intehaa baqshish hai

Verse 109 — Surah Hud 11:109

is liye aap un chizo se shak wa shuba mein na rahe jinhe ye log pooj rahe hai, un ki poja to is tarah hai jis tarah un ke baap dadao ki us se pehle thi,hum un sub ko un ka pora pora hissa baghair kisi kami ke dene wale hee hai

Verse 110 — Surah Hud 11:110

yaqinan hum ne mosa(alaihissalaam) ko kitab di phir us mein eqtelaaf kiya gaya,agar pehle hee aap ke rub ki baat saadar na ho gayi hoti to yaqinan un ka faisla kar diya jata,unhe to us mein saqt shuba hai

Verse 111 — Surah Hud 11:111

yaqinan un mein se har ek jab un ke ru baru jaega to aap ka rub ose us ke amaal ka pora pora badla dega,beshak wo jo kar rahe hai un se wo ba-qabar hai

Verse 112 — Surah Hud 11:112

pas aap jame rahiye jaisa ke aap ko hukm diya gaya hai aur wo log bhi jo aap ke saath tauba kar chuke hai, qabardaar tum hadh se na badna,Allah tumhare tamaam amaal ka dekhne wala hai

Verse 113 — Surah Hud 11:113

dekho zaalimo ki taraf hargiz na jhukna warna tumhe bhi(dozakh ki) aag lag jaegi aur Allah ke siva aur tumhara madadgaar na khada ho sakega aur na tum madad diye jaoge

Verse 114 — Surah Hud 11:114

din ke duno saro mein namaz barpa rakh aur raath ki kayi saa’ato mein bhi, yaqinan nekiya boraiyo ko door kar deti hai, ye nasihath hai nasihath pakadne walo ke liye

Verse 115 — Surah Hud 11:115

aap sabar karte rahiye yaqinan Allah ta’la neki karne walo ka ajr zaya nahi karta

Verse 116 — Surah Hud 11:116

pas kyo na tum se pehle zamane ke logo mein se aise ahale khair log hoye jo zameen mein fasaad phailane se rokte, sivae un chand ke jinhe hum ne un mein se najaath di thi, zaalim log to us cheez ke piche pad gaye jis mein unhe aasodgi di gayi thi aur wo gunehgaar thein

Verse 117 — Surah Hud 11:117

aap ka rub aisa nahi ke kisi basti ko zulm se halaak kar de aur waha ke log nekokaar ho

Verse 118 — Surah Hud 11:118

agar aap ka parvardigaar chahta, to sab logo ko ek hee rah par ek gruh kar deta, wo to barabar eqtelaaf karne wale hee rahenge

Verse 119 — Surah Hud 11:119

bajoz un ke jin par aap ka rub rahem farmaye,unhe to isi liye paida kiya hai aur aap ke rub ki ye baat pori hai ke main jahanna ko jino aur insano sab se pur karonga

Verse 120 — Surah Hud 11:120

rasulo ke sab ehwaal hum aap ke samne aap ke dil ki taskeen ke liye bayaan farma rahe hai, aap ke paas is surath mein bhi haq pahonch chuka jo nasihath wa waaz hai momino ke liye

Verse 121 — Surah Hud 11:121

imaan na laane walo se keh dijiye ke tum apne taur par amal kiye jao hum bhi amal mein mashghool hai

Verse 122 — Surah Hud 11:122

aur tum bhi intezaar karo hum bhi muntazir hai

Verse 123 — Surah Hud 11:123

zamino aur aasmaano ka ilme ghaib Allah ta’ala hee ko hai, tamaam mamelaath ka rujo bhi osi ki janib hai, pas tujhe osi ki ibadath karni chahiye aur osi par bharosa rakhna chahiye aur tum jo kuch karte ho us se Allah ta’ala be qabar nahi