aur ye ke tum log apne gunah apne rub se maaf karao phir osi ki taraf mutawajje raho, wo tum ko waqte muqarrar tak accha samaan (zindagi) dega aur har zyada amal karne wale ko zyada sawaab dega aur agar tum log eraaz karte rahe to mujh ko tumhare liye ek bade din ke azaab ka andesha hai tum ko Allah hee ke paas jana hai aur wo har shai par puri khudrath rakhta hai
yaad rakho, wo log apne sino ko dohra kiye dete hai taake apni batein (Allah) se chupa sake,yaad rakho ke wo log jis waqt apne kapde lapet te hai,wo us waqt bhi sab janta hai,jo kuch chupate hai aur jo kuch wo zaaher karte hai, bil-yaqin wo dilo ke andar ki batein janta hai
zamin par chalne phirne wale jitne jandaar hai sub ki roziya Allah tala par hai,wahi un ke rehne sehne ki jageh ko janta hai aur un ke saunpe jane ki jageh ko bhi sub kuch waze kitab mein maujod hai
Allah hee wo hai jis ne che din mein aasmaan aur zamin ko paida kiya aur us ka arsh paani par tha, ta ke wo tumhe aazmaye ke tum mein se acche amal kaun hai, agar aap un se kahe ke tum log marne ke baadh utha khade kiye jaoge to kafir log palat kar jawaab denge ke ye to nara saaf saaf jadu hai
aur agar hum un se azaab ko gini chuni muddath tak ke liye piche daal de to ye zaroor pukaar uthenge ke azaab ko kaun si cheez roke hoye hai, suno! jis din un ke paas aayega phir un se talne wala nahi, phir to jis cheez ki hasi uda rahe thein wo unhe gher legi
aur agar hum ose koi nemath chakaye us saqti ke badh jo ose pahoch choki thi to wo kehne lagta hai ke bus boraiyya mujh se jati rahe, yaqinan wo bada hee itraane wala shekhi qoor hai
pas shayad ke aap is wahi ke kisi hisse ko chohd dene wale hai jo aap ki taraf nazil ki jati hai aur is se aap ka dil tang hai sirf un ki is baat par ke is par koi khazana kyo nahi utra? ya is ke saath koi farishta hee ata,sun lijiye! ke aap to sirf darane wale hee hai aur har cheez ka zimmedar Allah tala hai
kya ye kehte hai ke is Qur’an ko isi ne ghada hai, jawaab dijiye ke phir tum bhi isi ke misl dus surte ghadi hoyi le aao aur Allah ke siva jise chaho apne sath bula bhi lo agar tum sacche ho
phir agar wo tumhari is baat ko qubol na kare to tum yaqin se jaan lo ke ye Qur’an Allah ke ilm ke saat utara gaya hai aur ye ke Allah ke siva koi mabood nahi, pus kya tum musalman hote ho
jo shaqs dunya ki zindagi aur us ki zinath par farefta hoa chahta ho, hum aiso ko un ke kul amaal (ka badla) yahi bharpor pahocha dete hai aur yaha unhe koi kami nahi ki jati
haan yahi wo log hai jin ke liye aqirath mein sivae aag ke aur kuch nahi aur jo kuch unhone yaha kiya hoga wahaan sub akaarat hai aur jo kuch un ke amaal thein sub barbaad hone wale hai
kya wo shaqs jo apne rub ke paas ki dalil par ho aur us ke saath Allah ki taraf ka gawah ho aur us se pehle mosa ki kitab (gawah ho) jo peshwa aur rehmath hai (auro ke barabar ho sakta hai?) yahi log hai jo us par iman rakhte hai aur tamam firqo mein se jo bhi us ka munkir ho us ke aaqri waade ki jageh jahannum hai, pus tu us mein kisi qism ke shube mein na reh, yaqinan ye tere rub ki janib se sarasar barhaq hai, lekin aksar log iman laane wale nahi hote
us se bad kar zaalim kaun hoga jo Allah par jhot baandhe, ye log apne parvardigar ke samne pesh kiye jayenge aur sare gawah kahenge ke ye wo log hai jinhone apne parvardigaar par jhoot baandha, qabardaar ho ke Allah ki lanat hai zaalimo par
na ye log dunya mein Allah ko hara sake aur na un ka koi himayati Allah ke siva hoa, un ke liye azaab dogna kiya jaega, na ye sunne ki taaqat rakhte thein aur na ye dekhte hee thein
yaqinan jo log iman laye aur unhone kaam bhi nek kiye aur apne paalne wale ki taraf jhukte rahe, wahi jannath mein jaane wale hai jahaan wo hamesha hee rehne wale hai
us ki khaum ke, kafiro ke sardaro ne jawaab diya ke hum to tujhe apne jaisa insaan hee dekhte hai aur tere tabedaro ko bhi hum dekhte hai ke ye log waaze taur par sivae neech logo ke, aur koi nahi, jo be-sonche samjhe (tumhari pairvi kar rahe hai) hum to tumhari kisi qism ki bartari apne upar nahi dekh rahe, balke hum to tumhe jhoota samajh rahe hai
noah ne kaha, meri qaum walo! mujhe batao to agar main apne rub ki taraf se kisi dalil par hoa aur mujhe us ne apne paas ki koi rehmath ataa ki ho phir wo tumhari nigah mein na aai to kya zabardasti main ose tumhare gale mond doon2, halaan ke tum is se bezaar ho
meri khaum walo! main tum se is par maal nahi maangta,mere sawaab to sirf Allah tala ke haa hai, na main iman walo ko apne paas se nikaal sakta ho, unhe apne rub se milna hai lekin main dekhta ho ke tum log jahaalat kar rahe ho
meri qaum ke logo! agar main un momino ko apne paas se nikaal do to Allah ke muqaable mein meri madad kaun kar sakta hai? kya tum kuch bhi nasihath nahi pakadte
main tum se nahi kehta ke mere paas Allah ke khazane hai (suno!) main ghaib ka ilm bhi nahi rakhta, na main ye kehta hoon ke main koi farishta ho na mera ye qaul hai ke jin par tumhari nigaahe zillat se pad rahi hai unhe Allah tala koi nemath dega hee nahi, un ke dil mein jo hai ose Allah hee qoob jaanta hai, agar main aisi baat kaho to mera shumaar zalimo mein ho jaega
(khaum ke logo ne) kaha aye nuh! tu ne hum se bahes karli, aur qoob bahes karli, ab to jis cheez se hamein dhamka raha hai wahi hamaare paas le aa, agar to saccho mein hai
tumhe meri qair qaahi kuch bhi nafa nahi de sakti go main kitni hee tumhari qair qwahi kyo na chaho bashart ye ke Allah ka irada tumhe gumrah karne ka ho, wahi tum sub ka parvardigar hai aur osi ki taraf lautaye jaoge
kya ye kehte hai ke ise khud isi ne ghad liya hai? tu jawaab de, ke agar main ne ise ghad liya ho to mera gunah mujh par hai aur main un gunaho se bari hoon, jo tum kar rahe ho
aur ek kashti hamari aankho ke samne aur hamari wahi se tayyar kar, aur zalimo ke bare mein hum se koi baat cheet na kar wo pani mein dubo diye jane wale hai
wo (nuh) kashti banane lage, un ki khaum ke jo sardar un ke paas se guzarte wo un ka mazaaq udate, wo kehte agar tum hamara mazaaq udate ho to hum bhi tum par ek din hasenge, jaise tum hum par haste ho
yahaan tak ke jab hamara hukm aa pahoncha aur tannuur3 ubalne laga, hum ne kaha ke, is kashti mein har qism ke (jaandaaro mein se) jode (yani) do (jaanwar, ek nar aur ek maada) sawaar karaale, aur apne ghar ke logo ko bhi sivae un ke jin par pehle se baath pad chuki hai aur sub iman walo ko bhi, us ke saath iman lane wale bahuth hee kam thein
nuh alaihissalaam ne kaha us kashti mein bait jao Allah hee ke naam se us ka chalna aur teherna hai, yaqinan mera rub badi baqshish aur bade rahem wala hai
wo kashti unhe pahaado jaisi maujo mein le kar ja rahi thi aur noah (alaihissalaam) ne apne ladke ko jo ek kinare par tha pukaar kar kaha ke aye mere pyare bacche hamare saath sawaar hoja aur kafiro mein shamil na reh
us ne jawaab diya ke mein to kisi bade pahaad ki panah mein aa jaonga jo mujhe pani se bacha lega, noah alaihisslaam ne kaha aaj Allah ke amr se bachane wala koi nahi, sirf wahi bachenge jin par Allah ka rahem hoa, osi waqt un duno ke darmiyan mauj haayal ho gayi aur wo dobne waalo mein se ho gaya
farma diya ke aye zamin apne paani ko nigal ja aur aye aasman bus kar, tham ja, osi waqt paani sokha diya gaya aur kaam pora kar diya gaya aur kashti “joodi” naami pahaad par ja lagi aur farma diya gaya ke zalim logo par lanath nazil ho
noah alaihissalaam ne apne parvardigaar ko pukara aur kaha ke mere rub mera beta to mere ghar walo mein se hai, yaqinan tera wada bilkul saccha hai aur tu tamaam haakimo se behtar haakim hai
Allah tala ne farmaya aye noah yaqinan wo tere gharane se nahi hai, us ke kaam bilkul hee na shayesta hai, tujhe hargiz wo chiz na maangni chahiye jis ka tujhe muth-laqan4 ilm na ho, main tujhe nasihath karta hoon ke tu jahilo mein se apna shumaar karane se baaz rahe
noah ne kaha, mere paalanhaar main teri hee panah chahta hoon us baat se ke tujh se wo maango jis ka mujhe ilm hee na ho, agar tu mujhe na baqshega aur tu mujh par rahem na faryega to main qasara pane walo mein ho jaonga
farma diya gaya ke aye noah hamari jaanib se salamti aur un barkato ke saat utar jo tujh par hai aur tere saat ki bahuth si jamato par aur bahuth si wo ummate hongi jinhe hum fayeda to zaror pahonchaenge lekin phir unhe hamari taraf se dardnaak azaab pahochega
ye qabre ghaib ki qabro mein se hai jin ki wahi hum aap ki taraf karte hai, unhe us se pehle aap jaante thein aur na aap ki qaum, is liye aap sabr karte rahiye (yaqin maniye) ke anjaame kaar parhezgaro ke liye hee hai
aur khaume aadh ki taraf un ke bhai hoodh ko hum ne bheja, us ne kaha meri qaum walo! Allah hee ki ibadath karo, us ke siva tumhara koi mabood nahi, tum to sirf bohtaan baandh rahe ho
aye meri qaum! main tum se us ki koi ujrath nahi maangta, mera ajr us ke zimme hai jis ne mujhe paida kiya hai, to kya phir bhi tum aqal se kaam nahi lete
aye meri qaum ke logo! tum apne paalne wale se apni taqsiro5 ki maafi talab karo aur us ki janaab mein tauba karo ta ke wo barasne wale baadal tum par bhej de aur tumhari taaqath par aur taaqath quwwath bada de aur tum zulm karte hoye ru gardaani na karo
unhone kaha aye hoodh! tu hamare paas koi dalil to laya nahi aur hum sif tere kehne se apne mabudo ko chohdne wale nahi aur na hum tujh par imaan laane wale hai
balke hum to yahi kehte hai ke tu hamare kisi mabood ke bore jhapte mein aa gaya hai, us ne jawaab diya ke main Allah ko gawah karto hoon aur tum bhi gawah raho ke main to Allah ke siva un sub se bezaar ho jinhe tum shareek bana rahe ho
mera bharosa sirf Allah tala hee par hai jo mera aur tum sub ka parvardigaar hai, jitne bhi paao dharne wale hai sub ke peshani wahi thaame hoye hai, yaqinan mera rub bilkul sahih raah par hai
pus agar tum ru gardaani karo, to karo, main to tumhe wo paighaam pahocha chuka jo de kar mujhe tumhari taraf bheja gaya tha, mera rub tumhare qayam muqaam aur logo ko kar dega aur tum us ka kuch bhi bigaad na sakoge, yaqinan mera parvardigaar har cheez par nigehbaan hai
aur jab hamara hukm aa pahoncha to hum ne hoodh ko aur us ke musalmaan sathiyo ko apni khaas rehmath se najaath ataa farmayi aur hum ne un sub ko saqt azaab se bacha liya
aur qaum samood ki taraf un ke bhai saaleh ko bheja, us ne kaha aye meri qaum tum Allah ki ibadath karo us ke siva tumhara koi mabood nahi, osi ne tumhe zamin se paida kiya hai aur osi ne us zamin mein tumhe basaya hai, pus tum us se maafi talab karo aur us ki taraf rujo karo, beshak mera rub qareeb aur duaao ka qubol karne wala hai
unhone kaha aye saaleh! is se pehle to hum tujh se bahuth kuch ummide lagaye hoye thein, kya tu hamein un ki ibadato se rok raha hai jin ki ibaadath hamare baap dada karte chale aye, hamein to us din mein hairaan kun shak hai jis ki taraf tu hamein bula raha hai
us ne jawaab diya ke aye meri qaum ke logo! zara batao to agar main apne rub ki taraf se kisi mazboot daleel par hoa aur us ne mujhe apne paas ki rehmath ata ki ho, phir agar main ne us ki na farmani karli to kaun hai jo us ke muqable mein meri madad kare? tum to mera nuqsaan hee bada rahe ho
aur aye meri qaum walo ye Allah ki bheji hoyi ontni hai jo tumhare liye ek maujeza hai, ab tum ose Allah ki zameen mein khaati hoyi chohd do aur ose kisi tarah ki eza na pahonchao warna fauri azaab tumhe pakad lega
phir jab hamara farmaan aa pahoncha, hum ne saleh ko aur un par iman laane walo ko apni rehmath se us se bhi bacha liya aur us din ki ruswai se bhi, yaqinan tera rub nihayath tawaana aur ghaalib hai
aur hamare bheje hoye paighambar ibraheem ke paas khush qabri le kar pahonche aur salaam kaha, unhone bhi jawaab salaam diya aur baghair kisi taqeer ke gaay ka bhuna hoa bachda le aaye
ab jo dekha ke un ke to haath bhi us ki taraf nahi pahonch rahe to un se ajnabiyath mehsoos kar ke dil hee dil mein un se qauf karne lage, unhone kaha daro nahi, hum to khaume looth ki taraf bheje hoye aye hai
wo kehne lagi haay meri kambaqti! mera haan aulaad kaise ho sakti hai, main khud bhodiya aur mere qawind bhi bahut badi umr ke hai, ye to yaqinan badi ajeeb baath hai
farishto ne kaha, kya tu Allah ki khudrath se tajjub kar rahi hai? tum par aye is ghar ke logo, Allah ki rehmath aur us ki barkate nazil ho, beshak Allah hamd wa sana ka sazawaar aur badi shaan wala hai
jab hamare bheje hoye farishte looth ke paas pahonche to, wo un ki wajeh se bahuth ghamgeen ho gaye aur dil hee dil mein kodne lage aur kehne lage ke aaj ka din badi musibath ka din hai
aur us ki qaum daudti hoyi us ke paas aa pahonchi, wo to pehle hee se badh-kaariyo mein mubtela thi, looth alaihissalaam ne kaha aye qaum ke logo ye hai meri betiya jo tumhare liye bahuth hee pakiza hai, Allah se daro aur mujhe mere mehmano ke bare mein ruswa na karo, kya tum mein ek bhi bhala aadmi nahi
ab farishto ne kaha aye looth! hum tere parvardigaar ke bheje hoye hai, na mumkin hai ke ye tujh tak pahoncha jaye, pas tu apne ghar walo ko le kar kuch raath rahe nikal khada ho, tum mein se kisi ko mud kar bhi na dekhna chahiye bajuz teri biwi ke, is liye ke ose bhi wahi pahonchne wala hai jo un sab ko pahonchega, yaqinan un ke waade ka qauf subah ka hai, kya subah bilkul qareeb nahi
phir jab hamara hukm aa pahoncha hum ne us basti ko zer wa zabar kar diya, upar ka hissa niche kar diya aur un par kankrile patthar barsaye jo teh ba teh thein
aur hum ne madyan walo ki taraf un ke bhai shoib ko bheja, us ne kaha aye meri qaum Allah ki ibadath karo, us ke siva tumhara koi mabood nahi aur tum naap tool mein bhi kami na karo, main to tumhe asooda haal dekh raha hoon aur mujhe tum par gherne wale din ke azaab ka qauf (bhi) hai
Allah ta’ala ka halaal kiya hoa jo bach rahe, tumhare liye bahuth hee behtar hai agar tum iman wale ho, main tum par kuch nigehbaan (aur darogha) nahi hoon
unhone jawaab diya ke aye shoib kya teri salaath tujhe yahi hukm deti hai ke hum apne baap dadao ke mabudo ko chohd de aur hum apne maalo mein jo kuch chahe us ka karna bhi chohd de, tu, to bada hee ba veqaar aur nek chalan aadmi hai
kahaa, aye meri qaum! dekho to agar main apne rub ki taraf se roushan daleel liye hoye hoon aur us ne mujhe apne paas se behetreen rozi de rakhi hai, mera ye irada bilkul nahi ke tumhara qilaaf kar ke khud us cheez ki taraf jhuk jao jis se tumhe rook raha hoon, mera irada to apni taaqath bhar islah karne kaa hee hai, meri taufeeq Allah hee ki madad se hai, osi par mera bharosa hai aur osi ki taraf main rujo karta hoon
aur aye meri qaum (ke logo!) kahi aisa na ho ke tum ko meri muqalifat un azaabo ka mustaheq bana de jo qaum noah aur qaum hood aur qaum saaleh ko pahonche hai aur qaum looth to tum se kuch door nahi
unhone kaha aye shoib! teri aksar batein to hamari samajhne hee nahi aati aur hum to tujhe apne andar bahut kamzoor paate hai, agar tere qabile ka qayaal na hota to hum to tujhe sangsaar kar dete aur hum tujhe koi haisiyath wali hasti nahi ginte
unhone jawaab diya ke aye meri qaum ke logo! kya tumhare nazdik mere qabile ke log Allah se bhi zyada zi izzath hai ke tum ne ose paso pusht daal diya hai, yaqinan mera rub jo kuch tum kar rahe ho sub ko ghere hoye hai
aye meri qaum ke logo ab tum apni jageh amal kiye jao, main bhi amal kar raha hoon, tumhe anqarib maloom ho jaega ke kis ke paas wo azaab ata hai jo ose ruswa karde aur kaun hai jo jhuta hai, tum intezaar karo, main bhi tumhare saath muntazir hoon
jab hamara hukm (azaab) aa pahoncha hum ne shoib ko aur un ke saath (tamaam) momino ko apni qaas rehmat se najaat baqshi aur zaalimo ko saqt chinghaad ke azaab ne dhar daboocha, jis se wo apne gharo mein aundhe pade hoye ho gaye
hum ne un par koi zulm nahi kiya balke khud unhone hee apne upar zulm kiya aur unhe un ke mabudo ne koi faeda na pahonchaya jinhe wo Allah ke siva pukara karte thein, jab ke tere parvardigaar ka hukm aa pahoncha balke aur un ka nuqsaan hee unhone bada diya
tere parvardigaar ki pakad ka yahi tariqa hai jab ke wo bastiyo ke rehne wale zalimo ko pakadta hai,beshak us ki pakad dukh dene wali aur nihayath saqth hai
yaqinan us mein un logo ke liye nishaane ibrath hai jo qayamath ke azaab se darte hai,wo din jis mein sab log jama kiye jaenge aur wo din hai jis mein sab haazir kiye jaenge
wo wahi hamesha rehne wale hai jab tak aasmaan wa zameen barqaraar rahe, sivae us waqt ke jo tumhara rub chahe,yaqinan tera rub jo kuch chahe kar guzarta hai
lekin jo nek baqth kiye gaye wo jannath mein honge jaha hamesha rahenge jab tak aasmaan wa zameen bakhi rahe magar jo tera parvardigaar chahe,ye be intehaa baqshish hai
is liye aap un chizo se shak wa shuba mein na rahe jinhe ye log pooj rahe hai, un ki poja to is tarah hai jis tarah un ke baap dadao ki us se pehle thi,hum un sub ko un ka pora pora hissa baghair kisi kami ke dene wale hee hai
yaqinan hum ne mosa(alaihissalaam) ko kitab di phir us mein eqtelaaf kiya gaya,agar pehle hee aap ke rub ki baat saadar na ho gayi hoti to yaqinan un ka faisla kar diya jata,unhe to us mein saqt shuba hai
yaqinan un mein se har ek jab un ke ru baru jaega to aap ka rub ose us ke amaal ka pora pora badla dega,beshak wo jo kar rahe hai un se wo ba-qabar hai
pas aap jame rahiye jaisa ke aap ko hukm diya gaya hai aur wo log bhi jo aap ke saath tauba kar chuke hai, qabardaar tum hadh se na badna,Allah tumhare tamaam amaal ka dekhne wala hai
dekho zaalimo ki taraf hargiz na jhukna warna tumhe bhi(dozakh ki) aag lag jaegi aur Allah ke siva aur tumhara madadgaar na khada ho sakega aur na tum madad diye jaoge
din ke duno saro mein namaz barpa rakh aur raath ki kayi saa’ato mein bhi, yaqinan nekiya boraiyo ko door kar deti hai, ye nasihath hai nasihath pakadne walo ke liye
pas kyo na tum se pehle zamane ke logo mein se aise ahale khair log hoye jo zameen mein fasaad phailane se rokte, sivae un chand ke jinhe hum ne un mein se najaath di thi, zaalim log to us cheez ke piche pad gaye jis mein unhe aasodgi di gayi thi aur wo gunehgaar thein
bajoz un ke jin par aap ka rub rahem farmaye,unhe to isi liye paida kiya hai aur aap ke rub ki ye baat pori hai ke main jahanna ko jino aur insano sab se pur karonga
rasulo ke sab ehwaal hum aap ke samne aap ke dil ki taskeen ke liye bayaan farma rahe hai, aap ke paas is surath mein bhi haq pahonch chuka jo nasihath wa waaz hai momino ke liye
zamino aur aasmaano ka ilme ghaib Allah ta’ala hee ko hai, tamaam mamelaath ka rujo bhi osi ki janib hai, pas tujhe osi ki ibadath karni chahiye aur osi par bharosa rakhna chahiye aur tum jo kuch karte ho us se Allah ta’ala be qabar nahi