Back to Languages

Urdu - Chapter 16 - An-Nahl

Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim — Permalink

Verse 1 — Surah An-Nahl 16:1

Allah ta’ala ka hukm aa pahoncha, ab us ki jaldi na machaao, tamaam paaki us ke liye hai, wo bartar hai un sub se jinhe ye Allah ke nazdeek shareek batlaate hai

Verse 2 — Surah An-Nahl 16:2

wahi farishto ko apni wahi de kar apne hukm se apne bandho mein se jis par chaahta hai utaarta hai ke tum logo ko aagah kardo ke mere siva koyi maboodh nahi, pas tum mujh se daro

Verse 3 — Surah An-Nahl 16:3

osi ne aasmaano aur zameen ko haq ke saath paida kiya, wo us se bari hai jo mushrik karte hai

Verse 4 — Surah An-Nahl 16:4

us ne insaan ko nutfe se paida kiya, phir wo sarih jhagdaalo ban baitha

Verse 5 — Surah An-Nahl 16:5

osi ne chau paaye paida kiye jin mein tumhaare liye garmi ke libaas hai aur bhi bahuth se nafa hai aur baaz tumhaare khaane ke kaam aate hai

Verse 6 — Surah An-Nahl 16:6

aur un mein tumhaari raunaq bhi hai, jab chara kar lao tabh bhi aur jab charaane le jao tabh bhi

Verse 7 — Surah An-Nahl 16:7

aur wo tumhaare bojh un shehro tak utha le jaate hai jahaan tum baghair aadhi jaan kiye pahonch hee nahi sakte thein, yaqinan tumhaara rab bada hee shafeeq aur nihaayath meherbaan hai

Verse 8 — Surah An-Nahl 16:8

ghudo ko, khaccharo ko, gadhu ko us ne paida kiya ke tum un ki sawaari lo aur wo baayes zeenath bhi hai aur bhi wo aisi bahuth si cheeze paida karta hai jin ka tumhe ilm bhi nahi

Verse 9 — Surah An-Nahl 16:9

aur Allah par sidhi raah ka bata dena hai aur baaz tedi raahe hai aur agar wo chaahta to tum sub ko raahe raast par laga deta

Verse 10 — Surah An-Nahl 16:10

wahi tumhaare fayede ke liye aasmaan se paani barsaata hai jise tum pite bhi ho aur osi se oge hoye daraqto ko tum apne jaanwaro ko charaate ho

Verse 11 — Surah An-Nahl 16:11

osi se wo tumhaare liye kheti aur zaitoon aur khajoor aur angoor aur har qism ke phal ugaata hai, beshak un logo ke liye to us mein badi nishaani hai jo ghaur wa fikr karte hai

Verse 12 — Surah An-Nahl 16:12

osi ne raath din aur suraj chaand ko tumhaare liye taabe kar diya hai aur sitaare bhi osi ke hukm ke ma tehet hai, yaqinan us mein aqal mandh logo ke liye kayi ek nishaaniya maujood hai

Verse 13 — Surah An-Nahl 16:13

aur bhi bahuth si cheeze tarah tarah ke rang roop ki us ne tumhaare liye zameen par phaila rakhi hai, beshak nasihath qubool karne waalo ke liye us mein badi bhaari nishaani hai

Verse 14 — Surah An-Nahl 16:14

aur darya bhi osi ne tumhaare bus mein kar diye hai ke tum us mein se (nikla hoa) taaza gosht khaao aur us mein se apne pehenne ke zeweraath nikaal sako aur tum dekhte ho ke kashtiya us mein paani cheerti hoyi (chalti) hai aur is liye bhi ke tum us ka fazl talaash karo aur ho sakta hai ke tum shukr guzaari bhi karo

Verse 15 — Surah An-Nahl 16:15

aur us ne zameen mein pahaad gaad diye hai ta ke tumhe le kar hale na aur nehre aur raahe bana diye ta ke tum manzil maqsood ko pahoncho

Verse 16 — Surah An-Nahl 16:16

aur bhi bahuth si nishaaniya muqarrar farmayi aur sitaaro se bhi log raah haasil karte hai

Verse 17 — Surah An-Nahl 16:17

to kya wo jo paida karta hai us jaisa hai jo paida nahi kar saakta? kya tum bilkul nahi soonchte

Verse 18 — Surah An-Nahl 16:18

aur agar tum Allah ki nemato ka shumaar karna chaaho to tum ose nahi kar sakte, beshak Allah bada baqshne wala meherbaan hai

Verse 19 — Surah An-Nahl 16:19

aur jo kuch tum chupaao aur zaaher karo Allah ta’ala sab kuch jaanta hai

Verse 20 — Surah An-Nahl 16:20

aur jin jin ko ye log Allah ta’ala ke siva pukaarte hai wo kisi cheez ko paida nahi kar sakte balke wo khud paida kiye hoye hai

Verse 21 — Surah An-Nahl 16:21

murde hai, zinda nahi, unhe to ye bhi sha’oor nahi ke kab uthaaye jayenge

Verse 22 — Surah An-Nahl 16:22

tum sub ka maboodh sirf Allah ta’ala akela hai aur aaqirath par imaan na rakhne walo ke dil munkir hai aur wo khud takabbur se bhare hoye hai

Verse 23 — Surah An-Nahl 16:23

beshak wa shuba Allah ta’ala har us cheez ko jise wo log chupaate hai aur jise zaaher karte hai baqoobi jaanta hai, wo ghuroor karne walo ke pasand nahi farmaata

Verse 24 — Surah An-Nahl 16:24

un se jab daryaaft kiya jaata hai ke tumhaare parvardigaar ne kya naazil farmaya hai? to jawaab dete hai ke aglo ki kahaaniya hai

Verse 25 — Surah An-Nahl 16:25

osi ka natija hoga ke qayamath ke din ye log apne pure bojh ke saath hee un ke boojh ke bhi hisse daar honge jinhe be ilmi se gumraah karte rahe, dekho to kaisa bura boojh utha rahe hai

Verse 26 — Surah An-Nahl 16:26

un se pehle ke logo ne bhi makar kiya tha (aaqir) Allah ne (un ke mansubo) ki imaarato ko jado se uqed diya aur un (ke saroon) par (un ki) chate upar se gir padi aur un ke paas azaab wahaan se aa gaya jahaan ka unhe wahem wa gumaan bhi na tha

Verse 27 — Surah An-Nahl 16:27

phir qayamath waale din bhi Allah ta’ala unhe ruswa karega aur farmayega ke mere wo shareek kahaan hai jin ke baare mein tum ladte jhagadte thein, jinhe ilm diya gaya tha, wo pukaar uthenge ke aaj to kaafiro ko ruswaai aur boraai chimat gayi

Verse 28 — Surah An-Nahl 16:28

wo jo apni jaano par zulm karte hai, farishte jab un ki jaan qabz karne lagte hai us waqt wo jhuk jaate hai ke hum boraai nahi karte thein, kyo nahi? Allah ta’ala qoob jaane wala hai jo kuch tum karte thein

Verse 29 — Surah An-Nahl 16:29

pas ab to hameshgi ke taur par tum jahannum ke darwaazo mein daakhil ho jao, pas kya hee bura tikhana hai ghuroor karne walo ka

Verse 30 — Surah An-Nahl 16:30

aur parhezgaaro se pocha jaata hai ke tumhaare parvardigaar ne kya naazil farmaya hai? to wo jawaab dete hai ke acche se accha, jin logo ne bhalaayi ki un ke liye is dunya mein bhalaayi hai aur yaqinan aqirath ka ghar to bahuth hee behtar hai aur kya hee qoob parhezgaaro ka ghar hai

Verse 31 — Surah An-Nahl 16:31

hameshgi waale baghaat jahaan wo jayenge jin ke niche nehre beh rahi hai, jo kuch ye talab karenge wahaan un ke liye maujoodh hoga, parhezgaaro ko Allah ta’ala isi tarah badhle ataa farmaata hai

Verse 32 — Surah An-Nahl 16:32

wo jin ki jaane farishte us haal mein qabz karte hai ke wo paak saaf ho, kehte hai ke tumhaare liye salaamti hee salaamti hai, jaao jannath mein apne un amaal ke badhle jo tum karte thein

Verse 33 — Surah An-Nahl 16:33

kya ye osi baath ka intezaar kar rahe hai ke un ke paas farishte aa jaaye ya tere rub ka hukm aa jaaye? aisa hee un logo ne bhi kya tha jo un se pehle thein, un par Allah ta’ala ne koyi zulm nahi kiya, balke wo khud apni jaano par zulm karte rahe

Verse 34 — Surah An-Nahl 16:34

pas un ke bure amaal ke natije unhe mil gaye aur jis ki hasi udaate thein us ne un ko gher liya

Verse 35 — Surah An-Nahl 16:35

mushrik logo ne kaha ke agar Allah ta’ala chaahta to hum aur hamaare baap daade us ke siva kisi aur ki ibaadath hee na karte na us ke farmaan ke baghair kisi cheez ko haraam karte, yahi fel un se pehle ke logo ka raha, to rasulo par to sirf khullam khulla paighaam pahoncha dena hai

Verse 36 — Surah An-Nahl 16:36

hum ne har ummath mein rasool bheja ke (logo!) sirf Allah ki ibaadath karo aur us ke siva tamaam maabudHo se bacho, pas baaz logo ko to Allah ta’ala ne hidayath di aur baaz par gumraahi saabith ho gayi, pas tum khud zameen mein chal phir kar dekh lo ke jhutlaane walo ka anjaam kaisa kuch hoa

Verse 37 — Surah An-Nahl 16:37

go aap un ki hidaayath ke qwaahish mandH rahe hai, lekin Allah ta’ala ose hidaayath nahi deta jise gumraah karde aur na un ka koi madadgaar hota hai

Verse 38 — Surah An-Nahl 16:38

wo log badi saqt saqt qasme kha kha kar kehte hai ke murdo ko Allah ta’ala zinda nahi karega, kyo nahi, zaroor zinda karega, ye to us ka barhaq laazmi waada hai, lekin aksar log jaante nahi

Verse 39 — Surah An-Nahl 16:39

is liye bhi ke ye log jis cheez mein eqtelaaf karte thein ose Allah ta’ala saaf bayaan karde aur is liye bhi ke khud kaafir apna jhoota hona jaan le

Verse 40 — Surah An-Nahl 16:40

hum jab kisi cheez ka iraada karte hai to sirf hamara ye keh dena hota hai ke hoja, pas wo ho jaati hai

Verse 41 — Surah An-Nahl 16:41

jin logo ne zulm bardaasht karne ke baadh Allah ki raah mein tarke watan kiya hai, hum unhe behtar se behtar thikaana dunya mein ataa farmayenge aur aaqirath ka sawaab to bahuth hee bada hai, kaash ke log is se waaqif hote

Verse 42 — Surah An-Nahl 16:42

wo jinhone daamane sabr na chohda aur apne paalne waale hee par bharosa karte rahe

Verse 43 — Surah An-Nahl 16:43

aap se pehle bhi hum mardo ko hee bhejte rahe jin ki jaanib wahi utaara karte thein, pas agar tum nahi jaante to, ahle ilm se daryaaft karlo

Verse 44 — Surah An-Nahl 16:44

dalilo aur kitaabo ke saath ye zikr (kitaab) hum ne aap ki taraf utaara hai ke logo ki jaanib jo naazil farmaya gaya hai, aap ose khol khol kar bayaan karde, shaayad ke wo ghaur wa fikr kare

Verse 45 — Surah An-Nahl 16:45

badh-tareen daao-pech karne waale kya us baath se be-khauf ho gaye hai ke Allah ta’ala inhe zameen mein dhasa de ya un ke paas aisi jageh se azaab aa jaye jahaan ka unhe wahem gumaan bhi na ho

Verse 46 — Surah An-Nahl 16:46

ya unhe chalte phirte pakadle, ye kisi surath mein Allah ta’ala ko aajiz nahi kar sakte

Verse 47 — Surah An-Nahl 16:47

ya unhe dara dhamka kar pakadle, pas yaqinan tumhaara parvardigaar aala shafqath aur intehaayi rahem wala hai

Verse 48 — Surah An-Nahl 16:48

kya unhone Allah ki maqlooq mein se kisi ko bhi nahi dekha? ke us ke saaye, daaye baaye jhuk jhuk kar Allah ta’ala ke saamne sar ba sujoodh hote aur aajizi ka iz’haar karte hai

Verse 49 — Surah An-Nahl 16:49

yaqinan aasmaan wa zameen ke kul jaandaar aur tamaam farishte Allah ta’ala ke saamne sajde karte hai aur zara bhi takabbur nahi karte

Verse 50 — Surah An-Nahl 16:50

aur apne rub se jo un ke upar hai kap kapaate rehte hai aur jo hukm mil jaaye us ki taameel karte hai

Verse 51 — Surah An-Nahl 16:51

Allah ta’ala irshaad farma chuka hai ke do maboodh na banaao, maboodh to sirf wahi akela hai, pas tum sub sirf mera hee darr khauf rakho

Verse 52 — Surah An-Nahl 16:52

aasmaano mein aur zameen mein jo kuch hai sub osi ka hai aur osi ki ibaadath laazim hai, kya phir tum us ke siva auro se darte ho

Verse 53 — Surah An-Nahl 16:53

tumhaare paas jitni bhi nemate hai sub osi ki di hoyi hai, ab bhi jab tumhe koyi musibath pesh aa jaye to osi ki taraf naala wa faryaad karte ho

Verse 54 — Surah An-Nahl 16:54

aur jahaan us ne wo musibath tum se dafa kardi tum mein se kuch log apne rub ke saath shirk karne lag jaate hai

Verse 55 — Surah An-Nahl 16:55

ke hamaari di hoyi nemato ki na shukri kare, accha kuch fayeda uthaalo, aaqir kaar tumhe maloom ho hee jayega

Verse 56 — Surah An-Nahl 16:56

aur jise jaante bhujte bhi nahi us ka hissa hamaari di hoyi rozi mein se muqarrar karte hai, wallah tumhaare is buhtaan ka sawaal tum se zaroor hee kiya jayega

Verse 57 — Surah An-Nahl 16:57

aur wo Allah sunhanahuwata’ala ke liye ladkiya muqarrar karte hai aur apne liye wo jo apni qaahish ke mutaabiq ho

Verse 58 — Surah An-Nahl 16:58

un mein se jab kisi ko ladki hone ki qabar di jaaye to us ka chehra siyah ho jaata hai aur dil hee dil mein ghutne lagta hai

Verse 59 — Surah An-Nahl 16:59

us buri qabar ki wajeh se logo se chupa chupa phirta hai, soonchta hai ke kya us ko zillath ke saath liye hoye hee rahe ya ose mitthi mein daba de, aah! kya hee bure faisle karte hai

Verse 60 — Surah An-Nahl 16:60

aaqirath par imaan na rakhne walo ki hee buri misaal hai, Allah ke liye to bahuth hee buland sifath hai, wo bada hee ghaalib aur ba hikmath hai

Verse 61 — Surah An-Nahl 16:61

agar logo ke gunah par Allah ta’ala un ki giraft karta to roye zameen par ek bhi jaandaar baakhi na rehta lekin wo to unhe ek waqte muqarrar tak dheel deta hai, jab un ka wo waqt aa jaata hai to wo ek saa’ath na piche reh sakte hai aur na aage bad sakte hai

Verse 62 — Surah An-Nahl 16:62

aur wo apne liye jo na pasand rakhte hai Allah ke liye saabith karte hai aur un ki zabaane jhoti batein bayaan karti hai ke un ke liye qoobi hai, nahi nahi, dar asl un ke liye aag hai aur ye dozakhiyo ke pesh ro hai

Verse 63 — Surah An-Nahl 16:63

wallah! hum ne tujh se pehle ki ummato ki taraf bhi apne rasool bheje lekin shaitaan ne un ke amaale badh un ki nigaaho mein aaraasta kar diye, wo shaitaan aaj bhi un ka rafeeq bana hoa hai aur un ke liye dardnaak azaab hai

Verse 64 — Surah An-Nahl 16:64

is kitaab ko hum ne aap par is liye utaara hai ke aap un ke liye har us cheez ko waazeh karde jis mein wo eqtelaaf kar rahe hai aur ye imaandaaro ke liye rehnumaai aur rehmath hai

Verse 65 — Surah An-Nahl 16:65

aur Allah aasmaan se paani barsa kar us se zameen ko us ki mauth ke baadh zinda kar deta hai, yaqinan us mein un logo ke liye nishaani hai jo sune

Verse 66 — Surah An-Nahl 16:66

tumhaare liye to chau paayo mein bhi badi ibrath hai ke hum tumhe us ke pet mein jo kuch hai osi mein se gubar aur laho ke darmiyaan se qaalis doodh pilaate hai jo pine walo ke liye sehta pachta hai

Verse 67 — Surah An-Nahl 16:67

aur khajoor aur angoor ke daraqto ke phalo se tum sharaab bana lete ho aur umdaah rozi bhi, jo log aql rakhte hai un ke liye to us mein bahuth badi nishaani hai

Verse 68 — Surah An-Nahl 16:68

aap ke rub ne shehadh ki maqqi ke dil mein ye baath daal di ke, pahaado mein daraqto aur logo ki banaayi hoyi oonchi oonchi tattiyo mein apne ghar (chatte) bana

Verse 69 — Surah An-Nahl 16:69

aur har tarah ke mewe kha aur apne rub ki asaan raaho mein chalti phirti reh, un ke pet se rang bi rang ka mashroob nikalta hai jis ke rang muqtalif hai aur jis mein logo ke liye shifa hai, ghaur wa fikr karne walo ke liye is mein bhi bahuth badi nishaani hai

Verse 70 — Surah An-Nahl 16:70

Allah ta’ala ne hee tum sub ko paida kiya hai, wahi phir tumhe fauth karega, tum mein aise bhi hai jo badh-tareen umr ki taraf lautaaye jaate hai ke bahuth kuch jaanne boojne ke baadh bhi na jaane, beshak Allah daana aur tawaana hai

Verse 71 — Surah An-Nahl 16:71

Allah ta’ala hee ne tum mein se ek ko dosre par rozi mein zyadati de rakhi hai, pas jinhe zyadati di gayi hai wo apni rozi apne ma-taheth ghulaamo ko nahi dete ke wo aur ye us mein baraabar ho jaaye, to kya ye log Allah ki nemato ke munkir ho rahe hai

Verse 72 — Surah An-Nahl 16:72

Allah ta’ala ne tumhaare liye tum mein se hee tumhari biwiya paida ki, aur tumhari biwiyo se tumhaare liye tumhaare bete aur pote paida kiye aur tumhe acchi acchi cheeze khaane ko di, kya phir bhi log baatil par imaan layenge? aur Allah ta’ala ki nemato ki na shukri karenge

Verse 73 — Surah An-Nahl 16:73

aur wo Allah ta’ala ke siwa un ki ibaadath karte hai jo aasmaano aur zameen se unhe kuch bhi to rozi nahi de sakte aur na kuch khudrath rakhte hai

Verse 74 — Surah An-Nahl 16:74

pas Allah ta’ala ke liye misaale math banaao, Allah ta’ala qoob jaanta hai aur tum nahi jaante

Verse 75 — Surah An-Nahl 16:75

Allah ta’ala ek misaal bayaan farmaata hai ke ek ghulaam hai dosre ki milkiyath ka jo kisi baath ka eqtiyaar nahi rakhta aur ek aur shaqs hai jise hum ne apne paas se maaqool rozi de rakhi hai jis mein se wo chupe khule qarch karta hai, kya ye sab baraabar ho sakte hai? Allah ta’ala hee ke liye sab tareef hai, balke un mein se aksar nahi jaante

Verse 76 — Surah An-Nahl 16:76

Allah ta’ala ek aur misaal bayaan farmaata hai do shaqso ki jin mein se ek to goonga hai aur kisi cheez par eqtiyaar nahi rakhta balke wo apne maalik par boojh hai, kahi bhi ose bheje wo koyi bhalaayi nahi laata, kya ye aur wo jo adl ka hukm deta hai aur hai bhi sidhi raah par baraabar ho sakte

Verse 77 — Surah An-Nahl 16:77

aasmaano aur zameen ka ghaib sirf Allah ta’ala hee ko maloom hai aur qayamath ka amr to aisa hee hai jaise aankh ka jhapakna, balke is se bhi zyaada qareeb, beshak Allah ta’ala har cheez par qaadir hai

Verse 78 — Surah An-Nahl 16:78

Allah ta’ala ne tumhe tumhari maao ke peto se nikaala ke us waqt tum kuch bhi nahi jaante thein, osi ne tumhaare kaan aur aankhe aur dil banaye ke tum shukr guzaari karo

Verse 79 — Surah An-Nahl 16:79

kya un logo ne parindo ko nahi dekha jo taabe farmaan ho kar faza mein hai jinhe bajuz Allah ta’ala ke koyi aur thaame hoye nahi, beshak us mein imaan laane wale logo ke liye badi nishaaniya hai

Verse 80 — Surah An-Nahl 16:80

aur Allah ta’ala ne tumhaare liye tumhaare gharo mein sukunath ki jageh banaadi hai aur osi ne tumhaare liye chaupaayo ki khaalo ke ghar bana diye hai jinhe tum halka phulka paate ho, apne kooch ke din aur apne teherne ke din bhi aur un ki oon aur ruoo aur baalo se bhi us ne bahuth se samaan aur ek waqte muqarrara tak ke liye fayede ki cheeze banaayi

Verse 81 — Surah An-Nahl 16:81

Allah hee ne tumhaare liye apni paida karda cheezo mein se saaye banaye hai aur osi ne tumhaare liye pahaado mein ghaar banaye hai aur osi ne tumhaare liye kurte banaaye hai jo tumhe garmi se bachaaye aur aise kurte bhi jo tumhe ladaayi ke waqt kaam aaye, wo isi tarah apni puri puri nemate de raha hai ke tum hukm bardaar ban jaao

Verse 82 — Surah An-Nahl 16:82

phir bhi agar ye mu mode rahe, to aap par sirf khol kar tableegh kar dena hee hai

Verse 83 — Surah An-Nahl 16:83

ye Allah ki nemate jaante pehchaante hoye bhi un ke munkir ho rahe hai balke un mein se aksar na shukre hai

Verse 84 — Surah An-Nahl 16:84

aur jis din hum har ummath mein se gawah khada karenge phir kaafiro ko na ijaazath di jayegi aur na un se tauba karne ko kaha jayega

Verse 85 — Surah An-Nahl 16:85

aur jab ye zaalim azaab dekh lenge phir na to un se halka kiya jayega aur na wo dheel diye jayenge

Verse 86 — Surah An-Nahl 16:86

aur jab mushrikeen apne shariko ko dekh lenge, to kahenge aye hamare parvardigaar yahi hamare wo shareek hai jinhe hum tujhe chohd kar pukara karte thein, pas wo unhe jawaab denge ke tum bilkul hee jhoote ho

Verse 87 — Surah An-Nahl 16:87

us din wo sab (aajiz ho kar) Allah ke saamne ita’ath ka iqraar pesh karenge aur jo buhtaan baazi kiya karte thein wo sab un se gom ho jayegi

Verse 88 — Surah An-Nahl 16:88

jinhone kufr kiya aur Allah ki raah se roka hum unhe azaab par azaab badaate jayenge, ye badhla hoga un ki fitna pardaaziyo ka

Verse 89 — Surah An-Nahl 16:89

aur jis din hum har ummath mein unhee mein se un ke muqaable par gawah khada karenge aur tujhe un sab par gawah bana kar layenge aur hum ne tujh par ye kitaab nazil farmayi hai jis mein har cheez ka shaafi bayaan hai aur hidaayath aur rehmath aur khush qabri hai musalmaano ke liye

Verse 90 — Surah An-Nahl 16:90

Allah ta’ala adl ka bhalaayi ka aur qaraabat’daaro ko dene ka hum deta hai aur be’ hayaai ke kaamo, na shaayesta harkato aur zulm wa zyaadati se rukta hai, wo khud tumhe nasihate kar raha hai ke tum nasihath haasil karo

Verse 91 — Surah An-Nahl 16:91

aur Allah ke ahad ko pura karo jab ke tum aapas mein qaul wa qaraar karo aur qasmo ko un ki puqtagi ke baadh math tudo, halaan ke tum Allah ta’ala ko apna zaamin tehra chuke ho, tum jo kuch karte ho Allah us ko ba-qoobi jaan raha hai

Verse 92 — Surah An-Nahl 16:92

aur us aurath ki tarah na ho jao jis ne apna sooth mazbooth kaathne ke baadh tukde tukde kar ke tood dala ke tum apni qasmo ko aapas ke makar ka baayes tehraao, is liye ke ek gruh dosre gruh se bada chada ho jaye, baath sirf yahi hai ke us ke ahad se Allah tumhe aazma raha hai, yaqinan Allah ta’ala tumhaare liye qayamath ke din har us cheez ko khol kar bayaan kar dega jis mein tum eqtelaaf kar rahe thein

Verse 93 — Surah An-Nahl 16:93

agar Allah chaahta tum sab ko ek hee gruh bana deta lekin wo jise chaahe gumraah karta hai aur jise chaahe hidaayath deta hai, yaqinan tum jo kuch kar rahe ho us ke baare mein baaz purs ki jaane wali hai

Verse 94 — Surah An-Nahl 16:94

aur tum apni qasmo ko aapas ki dagha baazi ka bahaana na banao, phir to tumhaare khadam apni mazbooti ke baadh dag maga jayenge aur tumhe saqt saza bardaasht karna padegi kyo ke tum ne Allah ki raah se rok diya aur tumhe bada saqt azaab hoga

Verse 95 — Surah An-Nahl 16:95

tum Allah ke ahad ko thode mol ke badhle na bech diya karo, yaad rakho Allah ke paas ki cheez hee tumhaare liye behtar hai bashart yeke ke tum mein ilm ho

Verse 96 — Surah An-Nahl 16:96

tumhaare paas jo kuch hai sab faani hai aur Allah ta’ala ke paas jo kuch hai baaqi hai aur sabr karne walo ko hum bhale amaal ka behetreen badhla zaroor ata farmayenge

Verse 97 — Surah An-Nahl 16:97

jo shaqs nek amal kare mard ho ya aurath lekin ba imaan ho to hum ose yaqinan nihaayath behtar zindagi ataa farmayenge aur un ke nek amaal ka behtar badhla bhi unhe zaroor zaroor denge

Verse 98 — Surah An-Nahl 16:98

Qur’an padne ke waqt raande hoye shaitaan se Allah ki panaah talab karo

Verse 99 — Surah An-Nahl 16:99

imaan walo aur apne parvardigaar par bharosa rakhne walo par us ka zoor muth-laqan nahi chalta

Verse 100 — Surah An-Nahl 16:100

haan us ka ghalba un par to yaqinan hai jo osi se rafaaqath kare aur ose Allah ka shareek tehraaye

Verse 101 — Surah An-Nahl 16:101

aur jab hum kisi ayath ki jageh dosri ayath badal dete hai aur jo kuch Allah ta’ala nazil farmata hai ose wo qoob jaanta hai, to ye kehte hai ke tu to buhtaan baaz hai, baath ye hai ke un mein aksar jaante hee nahi

Verse 102 — Surah An-Nahl 16:102

keh dijiye ke ose aap ki rub ki taraf se jibraeel haq ke saath le kar aye hai, ta ke imaan walo ko Allah ta’ala isteqaamat ataa farmaye aur musalmaano ki rehnumaai aur bashaarath ho jaaye

Verse 103 — Surah An-Nahl 16:103

hamein ba-qoobi ilm hai ke ye kaafir kehte hai ke ose to ek aadmi sikhaata hai, us ki zabaan jis taraf ye nisbath kar rahe hai ajmi hai aur ye Qur’an to saaf arabi zabaan mein hai

Verse 104 — Surah An-Nahl 16:104

jo log Allah ta’ala ki ayato par imaan nahi rakhte unhe Allah ki taraf se bhi rehnumaai nahi hoti aur un ke liye almnaak azaab hai

Verse 105 — Surah An-Nahl 16:105

jhoot iftera to wahi baandhte hai jinhe Allah ta’ala ki ayato par imaan nahi hota, yahi log jhoote hai

Verse 106 — Surah An-Nahl 16:106

jo shaqs apne imaan ke baadh Allah se kufr kare bajuz us ke jis par jabar kiya jaye aur us ka dil imaan par barqaraar ho magar jo log khole dil se kufr kare to un par Allah ka ghazab hai aur unhee ke liye bahuth bada azaab hai

Verse 107 — Surah An-Nahl 16:107

ye is liye ke unhone dunya ki zindagi ko aqirath se zyada mehboob rakha, yaqinan Allah ta’ala kaafir logo ko raahe raast nahi dikhaata

Verse 108 — Surah An-Nahl 16:108

ye wo log hai jin ke dilo par aur jin ke kaano par aur jin ki aankho par Allah ne muhar lagadi hai aur yahi log ghaafil hai

Verse 109 — Surah An-Nahl 16:109

kuch shak nahi ke yahi log aqirath mein saqt nuqsaan uthaane wale hai

Verse 110 — Surah An-Nahl 16:110

jin logo ne fitno mein daale jaane ke baadh hijrath ki phir jihaad kiya aur sabr ka sabooth diya, beshak tera parvardigaar un baatho ke baad unhe baqshne wala aur meherbaaniya karne wala hai

Verse 111 — Surah An-Nahl 16:111

jis din har shaqs apni zaath ke liye ladta jhagadta aaye aur har shaqs ko us ke kiye hoye amaal ka pura badhla diya jayega aur logo par (muth-laqan) zulm na kiya jayega

Verse 112 — Surah An-Nahl 16:112

Allah ta’ala us basti ki misaal bayaan farmata hai jo pure aman wa itmenaan se thi, us ki rozi us ke paas ba-faraaghat har jageh se chali aa rahi thi, phir us ne Allah ta’la ki nemato ka kufr kiya, to Allah ta’ala ne ose bhook aur dar ka maza chakaya jo badhla tha un ke kartuto ka

Verse 113 — Surah An-Nahl 16:113

un ke paas unhee mein se rasool pahoncha, phir bhi unhone ose jhutlaya, pas unhe azaab ne aa dabocha aur wo thein hee zaalim

Verse 114 — Surah An-Nahl 16:114

jo kuch halaal aur pakiza rozi Allah ne tumhe de rakhi hai ose khaao aur Allah ki nemath ka shukr karo agar tum osi ki ibaadath karte ho

Verse 115 — Surah An-Nahl 16:115

tum par sirf murdaar aur qoon aur suwwar ka gosht aur jis cheez par Allah ke siva dosre ka naam pukara jaye haraam hai, phir agar koi shaqs be-bas kar diya jaye, na wo qaahish-mandh ho aur na hadh se guzarne wala ho, to yaqinan Allah baqshne wala aur rahem karne wala hai

Verse 116 — Surah An-Nahl 16:116

kisi cheez ko apni zabaan se jhoot moot na keh diya karo ke ye halaal hai aur ye haraam hai ke Allah par jhoot buhtaan baandhlo, samajhlo ke Allah ta’ala par buhtaan baazi karne wale kamyaabi se mehroom hee rehte hai

Verse 117 — Surah An-Nahl 16:117

unhe bahuth maamoli fayeda milta hai aur un ke liye hee dardnaak azaab hai

Verse 118 — Surah An-Nahl 16:118

aur yahodiyo par hum ne jo kuch haraam kiya tha ose hum pehle hee se aap ko suna chuke hai, hum ne un par zulm nahi kiya balke wo khud apni jaano par zulm karte rahe

Verse 119 — Surah An-Nahl 16:119

jo koi jahaalath se bure amal karle phir tauba karle aur islaah bhi karle to phir aap ka rub bila shak wa shuba badi baqshish karne wala aur nihaayath hee meherbaan hai

Verse 120 — Surah An-Nahl 16:120

beshak ibraheem peshwa aur Allah ta’ala ke farmabardaar aur ek tarfa muqlis thein, wo mushriko mein se na thein

Verse 121 — Surah An-Nahl 16:121

Allah ta’ala ki nemato ke shukr guzaar thein, Allah ne unhe apna bar-guzida kar liya tha aur unhe raahe raast sujhaadi thi

Verse 122 — Surah An-Nahl 16:122

hum ne ose dunya mein bhi behetri di thi aur beshak aqirath mein bhi nekokaro mein hai

Verse 123 — Surah An-Nahl 16:123

phir hum ne aap ki jaanib wahi bheji ke aap millath-e-ibraheem haneef ki pairvi kare jo mushriko mein se na thein

Verse 124 — Surah An-Nahl 16:124

hafte ke din ki azmath to sirf un logo ke zimme hee zarori ki gayi thi jinhone us mein eqtelaaf kiya tha, baath ye hai ke aap ka parvardigaar khud hee un mein un ke eqtelaaf ka faisla qayamath ke din karega

Verse 125 — Surah An-Nahl 16:125

apne rub ki raah ki taraf logo ko hikmath aur behetreen nasihath ke saath bulaiye aur un se behetreen tariqe se guftago ki jiye, yaqinan aap ka rub apni raah se bahekne walo ko bhi ba-qoobi jaanta hai aur wo raah yaafta logo se bhi pura waaqif hai

Verse 126 — Surah An-Nahl 16:126

aur agar badhla lo bhi to bilkul utna hee jitna sadma tumhe pahonchaya gaya ho aur agar sabr karlo to beshak saabiro ke liye yahi behtar hai

Verse 127 — Surah An-Nahl 16:127

aap sabr kare, baghair taufeeqe ilaahi ke aap sabr kar hee nahi sakte aur un ke haal par ranjida na ho aur jo makr wa fareb ye karte rehte hai un se tang dil na ho

Verse 128 — Surah An-Nahl 16:128

yaqeen maano ke Allah ta’la parhezgaaro aur neko kaaro ke saath hai