Allah ta’ala ka hukm aa pahoncha, ab us ki jaldi na machaao, tamaam paaki us ke liye hai, wo bartar hai un sub se jinhe ye Allah ke nazdeek shareek batlaate hai
wahi farishto ko apni wahi de kar apne hukm se apne bandho mein se jis par chaahta hai utaarta hai ke tum logo ko aagah kardo ke mere siva koyi maboodh nahi, pas tum mujh se daro
aur wo tumhaare bojh un shehro tak utha le jaate hai jahaan tum baghair aadhi jaan kiye pahonch hee nahi sakte thein, yaqinan tumhaara rab bada hee shafeeq aur nihaayath meherbaan hai
ghudo ko, khaccharo ko, gadhu ko us ne paida kiya ke tum un ki sawaari lo aur wo baayes zeenath bhi hai aur bhi wo aisi bahuth si cheeze paida karta hai jin ka tumhe ilm bhi nahi
osi se wo tumhaare liye kheti aur zaitoon aur khajoor aur angoor aur har qism ke phal ugaata hai, beshak un logo ke liye to us mein badi nishaani hai jo ghaur wa fikr karte hai
osi ne raath din aur suraj chaand ko tumhaare liye taabe kar diya hai aur sitaare bhi osi ke hukm ke ma tehet hai, yaqinan us mein aqal mandh logo ke liye kayi ek nishaaniya maujood hai
aur bhi bahuth si cheeze tarah tarah ke rang roop ki us ne tumhaare liye zameen par phaila rakhi hai, beshak nasihath qubool karne waalo ke liye us mein badi bhaari nishaani hai
aur darya bhi osi ne tumhaare bus mein kar diye hai ke tum us mein se (nikla hoa) taaza gosht khaao aur us mein se apne pehenne ke zeweraath nikaal sako aur tum dekhte ho ke kashtiya us mein paani cheerti hoyi (chalti) hai aur is liye bhi ke tum us ka fazl talaash karo aur ho sakta hai ke tum shukr guzaari bhi karo
beshak wa shuba Allah ta’ala har us cheez ko jise wo log chupaate hai aur jise zaaher karte hai baqoobi jaanta hai, wo ghuroor karne walo ke pasand nahi farmaata
osi ka natija hoga ke qayamath ke din ye log apne pure bojh ke saath hee un ke boojh ke bhi hisse daar honge jinhe be ilmi se gumraah karte rahe, dekho to kaisa bura boojh utha rahe hai
un se pehle ke logo ne bhi makar kiya tha (aaqir) Allah ne (un ke mansubo) ki imaarato ko jado se uqed diya aur un (ke saroon) par (un ki) chate upar se gir padi aur un ke paas azaab wahaan se aa gaya jahaan ka unhe wahem wa gumaan bhi na tha
phir qayamath waale din bhi Allah ta’ala unhe ruswa karega aur farmayega ke mere wo shareek kahaan hai jin ke baare mein tum ladte jhagadte thein, jinhe ilm diya gaya tha, wo pukaar uthenge ke aaj to kaafiro ko ruswaai aur boraai chimat gayi
wo jo apni jaano par zulm karte hai, farishte jab un ki jaan qabz karne lagte hai us waqt wo jhuk jaate hai ke hum boraai nahi karte thein, kyo nahi? Allah ta’ala qoob jaane wala hai jo kuch tum karte thein
aur parhezgaaro se pocha jaata hai ke tumhaare parvardigaar ne kya naazil farmaya hai? to wo jawaab dete hai ke acche se accha, jin logo ne bhalaayi ki un ke liye is dunya mein bhalaayi hai aur yaqinan aqirath ka ghar to bahuth hee behtar hai aur kya hee qoob parhezgaaro ka ghar hai
hameshgi waale baghaat jahaan wo jayenge jin ke niche nehre beh rahi hai, jo kuch ye talab karenge wahaan un ke liye maujoodh hoga, parhezgaaro ko Allah ta’ala isi tarah badhle ataa farmaata hai
wo jin ki jaane farishte us haal mein qabz karte hai ke wo paak saaf ho, kehte hai ke tumhaare liye salaamti hee salaamti hai, jaao jannath mein apne un amaal ke badhle jo tum karte thein
kya ye osi baath ka intezaar kar rahe hai ke un ke paas farishte aa jaaye ya tere rub ka hukm aa jaaye? aisa hee un logo ne bhi kya tha jo un se pehle thein, un par Allah ta’ala ne koyi zulm nahi kiya, balke wo khud apni jaano par zulm karte rahe
mushrik logo ne kaha ke agar Allah ta’ala chaahta to hum aur hamaare baap daade us ke siva kisi aur ki ibaadath hee na karte na us ke farmaan ke baghair kisi cheez ko haraam karte, yahi fel un se pehle ke logo ka raha, to rasulo par to sirf khullam khulla paighaam pahoncha dena hai
hum ne har ummath mein rasool bheja ke (logo!) sirf Allah ki ibaadath karo aur us ke siva tamaam maabudHo se bacho, pas baaz logo ko to Allah ta’ala ne hidayath di aur baaz par gumraahi saabith ho gayi, pas tum khud zameen mein chal phir kar dekh lo ke jhutlaane walo ka anjaam kaisa kuch hoa
wo log badi saqt saqt qasme kha kha kar kehte hai ke murdo ko Allah ta’ala zinda nahi karega, kyo nahi, zaroor zinda karega, ye to us ka barhaq laazmi waada hai, lekin aksar log jaante nahi
jin logo ne zulm bardaasht karne ke baadh Allah ki raah mein tarke watan kiya hai, hum unhe behtar se behtar thikaana dunya mein ataa farmayenge aur aaqirath ka sawaab to bahuth hee bada hai, kaash ke log is se waaqif hote
dalilo aur kitaabo ke saath ye zikr (kitaab) hum ne aap ki taraf utaara hai ke logo ki jaanib jo naazil farmaya gaya hai, aap ose khol khol kar bayaan karde, shaayad ke wo ghaur wa fikr kare
badh-tareen daao-pech karne waale kya us baath se be-khauf ho gaye hai ke Allah ta’ala inhe zameen mein dhasa de ya un ke paas aisi jageh se azaab aa jaye jahaan ka unhe wahem gumaan bhi na ho
kya unhone Allah ki maqlooq mein se kisi ko bhi nahi dekha? ke us ke saaye, daaye baaye jhuk jhuk kar Allah ta’ala ke saamne sar ba sujoodh hote aur aajizi ka iz’haar karte hai
aur jise jaante bhujte bhi nahi us ka hissa hamaari di hoyi rozi mein se muqarrar karte hai, wallah tumhaare is buhtaan ka sawaal tum se zaroor hee kiya jayega
us buri qabar ki wajeh se logo se chupa chupa phirta hai, soonchta hai ke kya us ko zillath ke saath liye hoye hee rahe ya ose mitthi mein daba de, aah! kya hee bure faisle karte hai
agar logo ke gunah par Allah ta’ala un ki giraft karta to roye zameen par ek bhi jaandaar baakhi na rehta lekin wo to unhe ek waqte muqarrar tak dheel deta hai, jab un ka wo waqt aa jaata hai to wo ek saa’ath na piche reh sakte hai aur na aage bad sakte hai
aur wo apne liye jo na pasand rakhte hai Allah ke liye saabith karte hai aur un ki zabaane jhoti batein bayaan karti hai ke un ke liye qoobi hai, nahi nahi, dar asl un ke liye aag hai aur ye dozakhiyo ke pesh ro hai
wallah! hum ne tujh se pehle ki ummato ki taraf bhi apne rasool bheje lekin shaitaan ne un ke amaale badh un ki nigaaho mein aaraasta kar diye, wo shaitaan aaj bhi un ka rafeeq bana hoa hai aur un ke liye dardnaak azaab hai
is kitaab ko hum ne aap par is liye utaara hai ke aap un ke liye har us cheez ko waazeh karde jis mein wo eqtelaaf kar rahe hai aur ye imaandaaro ke liye rehnumaai aur rehmath hai
tumhaare liye to chau paayo mein bhi badi ibrath hai ke hum tumhe us ke pet mein jo kuch hai osi mein se gubar aur laho ke darmiyaan se qaalis doodh pilaate hai jo pine walo ke liye sehta pachta hai
aur khajoor aur angoor ke daraqto ke phalo se tum sharaab bana lete ho aur umdaah rozi bhi, jo log aql rakhte hai un ke liye to us mein bahuth badi nishaani hai
aap ke rub ne shehadh ki maqqi ke dil mein ye baath daal di ke, pahaado mein daraqto aur logo ki banaayi hoyi oonchi oonchi tattiyo mein apne ghar (chatte) bana
aur har tarah ke mewe kha aur apne rub ki asaan raaho mein chalti phirti reh, un ke pet se rang bi rang ka mashroob nikalta hai jis ke rang muqtalif hai aur jis mein logo ke liye shifa hai, ghaur wa fikr karne walo ke liye is mein bhi bahuth badi nishaani hai
Allah ta’ala ne hee tum sub ko paida kiya hai, wahi phir tumhe fauth karega, tum mein aise bhi hai jo badh-tareen umr ki taraf lautaaye jaate hai ke bahuth kuch jaanne boojne ke baadh bhi na jaane, beshak Allah daana aur tawaana hai
Allah ta’ala hee ne tum mein se ek ko dosre par rozi mein zyadati de rakhi hai, pas jinhe zyadati di gayi hai wo apni rozi apne ma-taheth ghulaamo ko nahi dete ke wo aur ye us mein baraabar ho jaaye, to kya ye log Allah ki nemato ke munkir ho rahe hai
Allah ta’ala ne tumhaare liye tum mein se hee tumhari biwiya paida ki, aur tumhari biwiyo se tumhaare liye tumhaare bete aur pote paida kiye aur tumhe acchi acchi cheeze khaane ko di, kya phir bhi log baatil par imaan layenge? aur Allah ta’ala ki nemato ki na shukri karenge
Allah ta’ala ek misaal bayaan farmaata hai ke ek ghulaam hai dosre ki milkiyath ka jo kisi baath ka eqtiyaar nahi rakhta aur ek aur shaqs hai jise hum ne apne paas se maaqool rozi de rakhi hai jis mein se wo chupe khule qarch karta hai, kya ye sab baraabar ho sakte hai? Allah ta’ala hee ke liye sab tareef hai, balke un mein se aksar nahi jaante
Allah ta’ala ek aur misaal bayaan farmaata hai do shaqso ki jin mein se ek to goonga hai aur kisi cheez par eqtiyaar nahi rakhta balke wo apne maalik par boojh hai, kahi bhi ose bheje wo koyi bhalaayi nahi laata, kya ye aur wo jo adl ka hukm deta hai aur hai bhi sidhi raah par baraabar ho sakte
aasmaano aur zameen ka ghaib sirf Allah ta’ala hee ko maloom hai aur qayamath ka amr to aisa hee hai jaise aankh ka jhapakna, balke is se bhi zyaada qareeb, beshak Allah ta’ala har cheez par qaadir hai
Allah ta’ala ne tumhe tumhari maao ke peto se nikaala ke us waqt tum kuch bhi nahi jaante thein, osi ne tumhaare kaan aur aankhe aur dil banaye ke tum shukr guzaari karo
kya un logo ne parindo ko nahi dekha jo taabe farmaan ho kar faza mein hai jinhe bajuz Allah ta’ala ke koyi aur thaame hoye nahi, beshak us mein imaan laane wale logo ke liye badi nishaaniya hai
aur Allah ta’ala ne tumhaare liye tumhaare gharo mein sukunath ki jageh banaadi hai aur osi ne tumhaare liye chaupaayo ki khaalo ke ghar bana diye hai jinhe tum halka phulka paate ho, apne kooch ke din aur apne teherne ke din bhi aur un ki oon aur ruoo aur baalo se bhi us ne bahuth se samaan aur ek waqte muqarrara tak ke liye fayede ki cheeze banaayi
Allah hee ne tumhaare liye apni paida karda cheezo mein se saaye banaye hai aur osi ne tumhaare liye pahaado mein ghaar banaye hai aur osi ne tumhaare liye kurte banaaye hai jo tumhe garmi se bachaaye aur aise kurte bhi jo tumhe ladaayi ke waqt kaam aaye, wo isi tarah apni puri puri nemate de raha hai ke tum hukm bardaar ban jaao
aur jab mushrikeen apne shariko ko dekh lenge, to kahenge aye hamare parvardigaar yahi hamare wo shareek hai jinhe hum tujhe chohd kar pukara karte thein, pas wo unhe jawaab denge ke tum bilkul hee jhoote ho
aur jis din hum har ummath mein unhee mein se un ke muqaable par gawah khada karenge aur tujhe un sab par gawah bana kar layenge aur hum ne tujh par ye kitaab nazil farmayi hai jis mein har cheez ka shaafi bayaan hai aur hidaayath aur rehmath aur khush qabri hai musalmaano ke liye
Allah ta’ala adl ka bhalaayi ka aur qaraabat’daaro ko dene ka hum deta hai aur be’ hayaai ke kaamo, na shaayesta harkato aur zulm wa zyaadati se rukta hai, wo khud tumhe nasihate kar raha hai ke tum nasihath haasil karo
aur Allah ke ahad ko pura karo jab ke tum aapas mein qaul wa qaraar karo aur qasmo ko un ki puqtagi ke baadh math tudo, halaan ke tum Allah ta’ala ko apna zaamin tehra chuke ho, tum jo kuch karte ho Allah us ko ba-qoobi jaan raha hai
aur us aurath ki tarah na ho jao jis ne apna sooth mazbooth kaathne ke baadh tukde tukde kar ke tood dala ke tum apni qasmo ko aapas ke makar ka baayes tehraao, is liye ke ek gruh dosre gruh se bada chada ho jaye, baath sirf yahi hai ke us ke ahad se Allah tumhe aazma raha hai, yaqinan Allah ta’ala tumhaare liye qayamath ke din har us cheez ko khol kar bayaan kar dega jis mein tum eqtelaaf kar rahe thein
agar Allah chaahta tum sab ko ek hee gruh bana deta lekin wo jise chaahe gumraah karta hai aur jise chaahe hidaayath deta hai, yaqinan tum jo kuch kar rahe ho us ke baare mein baaz purs ki jaane wali hai
aur tum apni qasmo ko aapas ki dagha baazi ka bahaana na banao, phir to tumhaare khadam apni mazbooti ke baadh dag maga jayenge aur tumhe saqt saza bardaasht karna padegi kyo ke tum ne Allah ki raah se rok diya aur tumhe bada saqt azaab hoga
tum Allah ke ahad ko thode mol ke badhle na bech diya karo, yaad rakho Allah ke paas ki cheez hee tumhaare liye behtar hai bashart yeke ke tum mein ilm ho
tumhaare paas jo kuch hai sab faani hai aur Allah ta’ala ke paas jo kuch hai baaqi hai aur sabr karne walo ko hum bhale amaal ka behetreen badhla zaroor ata farmayenge
jo shaqs nek amal kare mard ho ya aurath lekin ba imaan ho to hum ose yaqinan nihaayath behtar zindagi ataa farmayenge aur un ke nek amaal ka behtar badhla bhi unhe zaroor zaroor denge
aur jab hum kisi ayath ki jageh dosri ayath badal dete hai aur jo kuch Allah ta’ala nazil farmata hai ose wo qoob jaanta hai, to ye kehte hai ke tu to buhtaan baaz hai, baath ye hai ke un mein aksar jaante hee nahi
keh dijiye ke ose aap ki rub ki taraf se jibraeel haq ke saath le kar aye hai, ta ke imaan walo ko Allah ta’ala isteqaamat ataa farmaye aur musalmaano ki rehnumaai aur bashaarath ho jaaye
hamein ba-qoobi ilm hai ke ye kaafir kehte hai ke ose to ek aadmi sikhaata hai, us ki zabaan jis taraf ye nisbath kar rahe hai ajmi hai aur ye Qur’an to saaf arabi zabaan mein hai
jo shaqs apne imaan ke baadh Allah se kufr kare bajuz us ke jis par jabar kiya jaye aur us ka dil imaan par barqaraar ho magar jo log khole dil se kufr kare to un par Allah ka ghazab hai aur unhee ke liye bahuth bada azaab hai
jin logo ne fitno mein daale jaane ke baadh hijrath ki phir jihaad kiya aur sabr ka sabooth diya, beshak tera parvardigaar un baatho ke baad unhe baqshne wala aur meherbaaniya karne wala hai
jis din har shaqs apni zaath ke liye ladta jhagadta aaye aur har shaqs ko us ke kiye hoye amaal ka pura badhla diya jayega aur logo par (muth-laqan) zulm na kiya jayega
Allah ta’ala us basti ki misaal bayaan farmata hai jo pure aman wa itmenaan se thi, us ki rozi us ke paas ba-faraaghat har jageh se chali aa rahi thi, phir us ne Allah ta’la ki nemato ka kufr kiya, to Allah ta’ala ne ose bhook aur dar ka maza chakaya jo badhla tha un ke kartuto ka
tum par sirf murdaar aur qoon aur suwwar ka gosht aur jis cheez par Allah ke siva dosre ka naam pukara jaye haraam hai, phir agar koi shaqs be-bas kar diya jaye, na wo qaahish-mandh ho aur na hadh se guzarne wala ho, to yaqinan Allah baqshne wala aur rahem karne wala hai
kisi cheez ko apni zabaan se jhoot moot na keh diya karo ke ye halaal hai aur ye haraam hai ke Allah par jhoot buhtaan baandhlo, samajhlo ke Allah ta’ala par buhtaan baazi karne wale kamyaabi se mehroom hee rehte hai
aur yahodiyo par hum ne jo kuch haraam kiya tha ose hum pehle hee se aap ko suna chuke hai, hum ne un par zulm nahi kiya balke wo khud apni jaano par zulm karte rahe
jo koi jahaalath se bure amal karle phir tauba karle aur islaah bhi karle to phir aap ka rub bila shak wa shuba badi baqshish karne wala aur nihaayath hee meherbaan hai
hafte ke din ki azmath to sirf un logo ke zimme hee zarori ki gayi thi jinhone us mein eqtelaaf kiya tha, baath ye hai ke aap ka parvardigaar khud hee un mein un ke eqtelaaf ka faisla qayamath ke din karega
apne rub ki raah ki taraf logo ko hikmath aur behetreen nasihath ke saath bulaiye aur un se behetreen tariqe se guftago ki jiye, yaqinan aap ka rub apni raah se bahekne walo ko bhi ba-qoobi jaanta hai aur wo raah yaafta logo se bhi pura waaqif hai
aap sabr kare, baghair taufeeqe ilaahi ke aap sabr kar hee nahi sakte aur un ke haal par ranjida na ho aur jo makr wa fareb ye karte rehte hai un se tang dil na ho