Back to Languages

Urdu - Chapter 19 - Maryam

Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim — Permalink

Verse 1 — Surah Maryam 19:1

kaaaf haaa yaaa aayeen swaad

Verse 2 — Surah Maryam 19:2

ye hai tere parvardigaar ki us meherbaani ka zikr jo usne apne bandhe zakarya par ki thi

Verse 3 — Surah Maryam 19:3

jab ke us ne apne rub se chupke chupe dua ki thi

Verse 4 — Surah Maryam 19:4

ke aaye mere parvardigaar! meri haddiya kamzoor ho gayi hai aur sar bhudaape ki wajeh se bhadak utha hai, lekin main kabhi bhi tujh se dua kar ke mehroom nahi raha

Verse 5 — Surah Maryam 19:5

mujhe apne marne ke baadh apne qaraabath waalo ka dar hai, meri biwi bhi baajh hain, pas tu mujhe apne paas se waaris ata farma

Verse 6 — Surah Maryam 19:6

jo mera bhi waaris ho aur yaqub(alaihissalaam) ke qaandaan ka bhi jaanasheen aur mere rub! tu ose maqbool bandha bana le

Verse 7 — Surah Maryam 19:7

aaye zakarya! hum tujhe ek bacche ki khush qabri dete hain, jis ka naam Yahya hai, hum ne is se pehle us ka hum naam kisi ko bhi nahi kiya

Verse 8 — Surah Maryam 19:8

Zakarya (alaihissalaam) kehne lage mere rub! mere haan ladka kaise hoga, jab ke meri biwi baanjh aur main khud bhudaape ke intehaayi zof ko pahonch chuka hoon

Verse 9 — Surah Maryam 19:9

irshaad hoa ke waada isi tarah ho chuka, tere rub ne farma diya hai ke mujh par to ye bilkul asaan hain, aur tu khud jab ke kuch na tha, main tujhe paida kar chuka hoon

Verse 10 — Surah Maryam 19:10

kehne lage mere parvardigaar mere liye koyi alaamath muqarrar farma de, irshaad hoa ke tere liye alaamath ye hai ke ba-wajoodh bhala changa hone ke, tu teen raatho tak kisi shaqs se bol na sakega

Verse 11 — Surah Maryam 19:11

ab zakarya (alaihissalaam) apne hujre se nikal kar apni khaum ke paas aa kar unhe ishaara karte hain ke tum subah wa shaam Allah ta’ala ki tasbih bayaan karo

Verse 12 — Surah Maryam 19:12

aaye “Yahya”!(alaihissalaam) meri kitaab ko mazboti se “thaam le” aur hum ne ose ladak pan hee se danaayi ata farma di

Verse 13 — Surah Maryam 19:13

aur apne paas se shafaqqath aur paakizgi bhi, wo parhezgaar shaqs tha

Verse 14 — Surah Maryam 19:14

aur apne maa baap se nek sulook karne wala tha, wo sarkash aur gunehgaar na tha

Verse 15 — Surah Maryam 19:15

us par salaam hain, jis din wo paida hoa, aur jis din wo mare, aur jis din wo zinda kar ke uthaya jaaye

Verse 16 — Surah Maryam 19:16

is kitaab mein Maryam ka bhi waaqea bayaan kar, jab ke wo apne ghar ke logo se alaaheda ho kar mashriqi jaanib aayi

Verse 17 — Surah Maryam 19:17

aur un logo ki taraf se pardah kar liya, phir hum ne us ke paas apni ruh (Jibraeel alaihissalaam) ko bheja, pas wo us ke saamne pura aadmi ban kar zaaher hoa

Verse 18 — Surah Maryam 19:18

ye kehne lagi, main tujh se rehmaan ki panaah maangti hoon, agar tu kuch bhi Allah se darne wala hai

Verse 19 — Surah Maryam 19:19

us ne jawaab diya ke main to Allah ka bheja hoa qaasid hoon, tujhe ek paakiza ladka dene ayaa hoon

Verse 20 — Surah Maryam 19:20

kehne lagi, bhala mere haan baccha kaise ho sakta hain? mujhe to kisi insaan ka haath tak nahi laga aur na main badh kaar hoon

Verse 21 — Surah Maryam 19:21

us ne kaha baath to yahi hai, lekin tere parvardigaar ka irshaad hai ke wo mujh par bahuth hee asaan hai, hum to ise logo ke liye ek nishaani bana denge aur apni qaas rehmath, ye to ek tay shuda baath hai

Verse 22 — Surah Maryam 19:22

pas wo hamal se ho gay, aur isi wajeh se wo yek-so ho kar ek door ki jageh chali gayi

Verse 23 — Surah Maryam 19:23

phir darde zeh ose ek khajoor ke-ta ne ke niche le ayaa, boli kaash! main is se pehle hee mar gayi hoti aur logo ki yaad se bhi bhuli basri ho jaati

Verse 24 — Surah Maryam 19:24

itne mein ose niche se hee awaaz di ke, aazur da qaatir na ho, tere rub ne tere paao ta le ek chashma jaari kar diya hai

Verse 25 — Surah Maryam 19:25

aur us khajoor ke ta ne ko apni taraf hala, ye tere saamne taro taaza pakki khajore gira dega

Verse 26 — Surah Maryam 19:26

ab chain se kha pi aur aankhe thandi rakh, agar tujhe koyi insaan nazar pad jaaye to keh dena ke main ne Allah Rahmaan ke naam ka roza maan rakha hai, main aaj kisi shaqs se baath na karongi

Verse 27 — Surah Maryam 19:27

ab hazrath Isa (alaihissalaam) ko liye hoye wo apni khaum ke paas aayi, sab kehne lage Maryam tu ne badi bori harkath ki

Verse 28 — Surah Maryam 19:28

aaye Haroon ki behen! na to tera baap bora aadmi tha aur na teri maa badhkaar thi

Verse 29 — Surah Maryam 19:29

Maryam ne apne bacche ki taraf ishaara kiya, sab kehne lage ke lo, bhala hum goodh ke bacche se baath kaise kare

Verse 30 — Surah Maryam 19:30

baccha bol utha ke main Allah ta’ala ka bandha hoon, us ne mujhe kitaab ata farmaayi aur mujhe apna paighambar banaya hai

Verse 31 — Surah Maryam 19:31

aur us ne mujhe ba barkath kiya hain, jahaan bhi main hoon, aur us ne mujhe namaaz aur zakaath ka hukm diya hain, jab tak bhi main zinda rahoon

Verse 32 — Surah Maryam 19:32

aur us ne mujhe apni waaleda ka khidmath guzaar banaya hai, aur mujhe sarkash aur badh baqth nahi kiya

Verse 33 — Surah Maryam 19:33

aur mujh par meri paidayish ke din aur meri mauth ke din aur jis din ke main dubaara zinda khada kiya jaonga, salaam hee salaam hai

Verse 34 — Surah Maryam 19:34

ye hai sahih waaqea Isa bin Maryam(alaihisslaam) ka, yahi hai wo haq baath jis mein log shak wa shube mein mubtela hai

Verse 35 — Surah Maryam 19:35

Allah ta’ala ke liye aulaad ka hona laayeq nahi, wo to bilkul paak zaath hai, wo to jab kisi kaam ke liye sar anjaam dene ka iraada karta hai, to ose keh deta hai ke hoja, wo osi waqt ho jata hai

Verse 36 — Surah Maryam 19:36

mera aur tum sab ka parvardigaar sirf Allah ta’ala hee hai, tum sab osi ki ibaadath karo, yahi sidhi raah hai

Verse 37 — Surah Maryam 19:37

phir ye firqe aapas mein eqtelaaf karne lage, pas kaafiro ke liye, “wail” hai, ek bade (saqt) din ki haazri se

Verse 38 — Surah Maryam 19:38

kya qoob dekhne sunne waale honge us din jab ke hamaare saamne haazir honge, lekin aaj to ye zaalim log, sarih gumraahi mein pade hoye hain

Verse 39 — Surah Maryam 19:39

tu unhe us ranj wa afsoos ke din ka dar sunaade, jab ke kaam anjaam ko pahoncha diya jaayega aur ye log ghaflath aur be imaani mein hee reh jaayenge

Verse 40 — Surah Maryam 19:40

khud zameen ke aur tamaam zameen waalo ke waaris hum hee honge aur sab log hamaari hee taraf lauta kar laaye jayenge

Verse 41 — Surah Maryam 19:41

is kitaab mein Ibraheem(alaihissalaam) ka qissa bayaan kar, beshak wo badi sacchaayi waale paighambar thein

Verse 42 — Surah Maryam 19:42

jab ke unhone apne baap se kaha ke abba jaan! aap un ki puja paat kyo kar rahe hain, jo na sone na dekhe? na aap ko kuch bhi fayeda pahoncha sake

Verse 43 — Surah Maryam 19:43

mere meherbaan baap aap dekhiye mere paas wo ilm ayaa hai jo aap ke paas ayaa hee nahi, to aap meri hee maane, main bilkul sidhi raah ki taraf aap ki rehbari karonga

Verse 44 — Surah Maryam 19:44

mere abba jaan aap shaitaan ki parastish se baaz aa jaaye, shaitaan to rehem wa karam waale Allah ta’ala ka bada hee na farmaan hai

Verse 45 — Surah Maryam 19:45

abba jaan! mujhe qauf laga hoa hai ke kahi aap par koyi azaab e ilaahi na aa pade ke aap shaitaan ke saathi ban jaaye

Verse 46 — Surah Maryam 19:46

us ne jawaab diya ke aye Ibraheem!(alaihissalaam) kya tu hamaare mabudo se rugardaani kar raha hain, sun agar tu baaz na aaya to main tujhe pattharo se maar daalonga, ja ek muddate daraaz tak mujh se alag reh

Verse 47 — Surah Maryam 19:47

kaha accha tum par salaam ho, main to apne parvardigaar se tumhaari baqshish ki dua karta rahonga, wo mujh par hadh darje meherbaan hain

Verse 48 — Surah Maryam 19:48

main to tumhe bhi aur jin jin ko tum Allah ta’ala ke siva pukaarte ho, unhe bhi sab ko chohd raha hoon, sirf apne parvardigaar ko pukaarta rahonga, mujhe yaqeen hai ke main apne parvardigaar se dua maang kar mehroom na rahonga

Verse 49 — Surah Maryam 19:49

jab ibraheem(alaihissalaam) un sab ko aur Allah ke siva un ke sab mabudo ko chohd chuke to hum ne unhe Is’haaq wa Yaqoob(alaihima assalaam) ata farmaaye aur duno ko nabi bana diya

Verse 50 — Surah Maryam 19:50

aur un sab ko hum ne apni bahut si rehmate ataa farmaayi, aur hum ne un ke zikre jameel ko bulandh darje ka kar diya

Verse 51 — Surah Maryam 19:51

is Qur’an mein Mosa(alaihissalaam) ka zikr bhi kar, jo chuna hoa aur rasool aur nabi tha

Verse 52 — Surah Maryam 19:52

hum ne ose toor ki daayi jaanib se nida ki aur raaz goyi karte hoye ose qareeb kar liya

Verse 53 — Surah Maryam 19:53

aur apni qaas meherbani se us ke bhai ko nabi bana kar ataa farmaya

Verse 54 — Surah Maryam 19:54

is kitaab mein Ismail(alaihissalaam) ka waaqea bhi bayaan kar, wo bada hee waade ka saccha tha aur tha bhi rasool aur nabi

Verse 55 — Surah Maryam 19:55

wo apne ghar waalo ko baraabar namaaz aur zakaath ka hukm deta tha aur tha bhi apne parvardigaar ki bargaah mein pasandidaah aur maqbool

Verse 56 — Surah Maryam 19:56

aur is kitaab mein Idrees(alaihissalaam) ka bhi zikr kar, wo bhi nek kirdaar paighambar tha

Verse 57 — Surah Maryam 19:57

hum ne ose bulandh muqaam par utha liya

Verse 58 — Surah Maryam 19:58

yahi wo anmbiya hai jin par Allah ta’ala ne fazl wa karam kiya, jo aulaad aadam mein se hai, aur un logo ki nasl se hain jinhe hum ne nuh(alaihissalaam) ke saath kashti mein chada liya tha, aur aulaade Ibraheem wa Yaqoob se aur hamaari taraf se raah yaafta aur hamaare pasandidaah logo mein se, un ke saamne jab Allah rahmaan ki ayaato ki tilaawath ki jaati thi, ye sajda karte aur rote gid gidaate gir padte thein

Verse 59 — Surah Maryam 19:59

phir un ke baadh aise na qalaf paida hoye, ke unhone namaaz zaaye kardi aur nafsaani qaahisho ke piche pad gaye, so un ka nuqsaan un ke aage aayega

Verse 60 — Surah Maryam 19:60

bajuz un ke jo tauba karle aur imaan laaye aur nek amal kare, aise log jannath mein jayenge aur un ki zara si bhi haq talfi na ki jayegi

Verse 61 — Surah Maryam 19:61

hameshgi waali jannato mein jin ka ghaayebaana waada, Allah meherbaan ne apne bandho se kiya hai, beshak us ka waada pura hone waala hee hai

Verse 62 — Surah Maryam 19:62

wo log wahaan koyi laghu baath na sunenge, sirf salaam hee salaam sunenge, un ke liye wahaa subaah shaam un ka rizq hoga

Verse 63 — Surah Maryam 19:63

ye hai wo jannath jis ka waaris hum apne bandho mein se unhe banaate hain, jo muttaqi ho

Verse 64 — Surah Maryam 19:64

hum baghair tere rab ke hukm ke utar nahi sakte, hamaare aage piche aur un ke darmiyaan ki kul cheeze, osi ki milkiyath mein hain, tera parvardigaar bhulne waala nahi

Verse 65 — Surah Maryam 19:65

aasmaano ka, zameen ka aur jo kuch un ke darmiyaan hain, sab ka rab wahi hai, to, tu osi ki bandagi kar aur us ki ibaadath par jam ja, kya tere ilm mein us ka hum naam hum pallah koyi aur bhi hain

Verse 66 — Surah Maryam 19:66

insaan kehta hai ke jab main mar jaonga to kya phir zinda kar ke nikaala jaonga

Verse 67 — Surah Maryam 19:67

kya ye insaan itna bhi yaad nahi rakhta ke hum ne ose is se pehle paida kiya, halaan ke wo kuch bhi na tha

Verse 68 — Surah Maryam 19:68

tere parvardigaar ki qasam! hum unhe aur shaitano ko jama kar ke zaroor zaroor jahannum ke ird gird ghutno ke bal gire hoye haazir karenge

Verse 69 — Surah Maryam 19:69

hum phir har har giruh se unhe alag nikaal khada karenge, jo Allah rahmaan se bahuth akde akde phirte thein

Verse 70 — Surah Maryam 19:70

phir hum unhe bhi qoob jaante hain, jo jahannam ke daaqile ke zyaada sazawaar hain

Verse 71 — Surah Maryam 19:71

tum mein se har ek wahaan zaroor waarid hone waala hain, ye tere parvardigaar ke zimme qatayi faisal shuda amr hain

Verse 72 — Surah Maryam 19:72

phir hum parhezgaaro ko to bacha lenge aur na farmaano ko osi mein ghutno ke bal gira hoa chohd denge

Verse 73 — Surah Maryam 19:73

jab un ke saamne hamaari roushan aayate tilaawath ki jaati hai, to kaafir musalmaano se kehte hain, bataao hum tum duno jamaato mein se kis ka martaba zyada hain? aur kis ki majlis shaandaar hain

Verse 74 — Surah Maryam 19:74

hum to un se pehle bahuth si jamaato ko ghaarat kar chuke hain, jo saazo samaan aur naamo namoodh mein un se bad chahd kar thi

Verse 75 — Surah Maryam 19:75

keh dijiye! jo gumraahi mein ho, to Allah rahmaan us ko qoob lambi mahullath deta hain, yahaan tak ke wo un cheezo ko dekh le jin ka waada kiye jaate hain, yaani azaab ya qayaamath ko, us waqt un ko sahih taur par maloom ho jayega ke kaun bure martabe waala aur kis ka jhatta kamzoor hai

Verse 76 — Surah Maryam 19:76

aur hidaayath yaafta logo ko Allah ta’ala hidaayath me badaata hai, aur baaqi rehne waali nekiyaan tere rab ke nazdeek sawaab ke lehaaz se aur anjaam ke lehaaz se bahuth hee behtar hai

Verse 77 — Surah Maryam 19:77

kya tu ne ose bhi dekha jis ne hamaari aayato se kufr kiya aur kaha ke mujhe to maal aur aulaad zaroor hee di jayegi

Verse 78 — Surah Maryam 19:78

kya wo ghayb par muttale hain, ya Allah ka koyi waada le chuka

Verse 79 — Surah Maryam 19:79

har giz nahi, ye jo bhi keh raha hai, hum ose zaroor likh lenge, aur us ke liye azaab badaaye chale jayenge

Verse 80 — Surah Maryam 19:80

ye jin chizo ko keh raha hai, ose hum us ke baadh le lenge, aur ye to bilkul akela hee hamaare saamne haazir hoga

Verse 81 — Surah Maryam 19:81

unhone Allah ke siva dosre maaboodh bana rakhe ha, ke wo un ke liye baayise izzath ho

Verse 82 — Surah Maryam 19:82

lekin aisa hargiz hona nahi, wo to un ki puja se munkir ho jayenge aur ulthe un ke dushman ban jayenge

Verse 83 — Surah Maryam 19:83

kya tu ne nahi dekha ke hum kaafiro ke paas shaitaano ko bhejte hain, jo unhe qoob uksaate hai

Verse 84 — Surah Maryam 19:84

tu un ke baare mein jaldi na kar, hum to khud hee un ke liye muddath shumaari kar rahe hain

Verse 85 — Surah Maryam 19:85

jis din hum parhezgaaro ko Allah rehman ki taraf ba taur mehmaan jama karenge

Verse 86 — Surah Maryam 19:86

aur gunehgaaro ko saqth pyaas ki haalath mein jahannam ki taraf haank le jaayenge

Verse 87 — Surah Maryam 19:87

kisi ko shifa’ath ka eqtiyaar na hoga,sivaaye un ke jinhone Allah ta’ala ki taraf se koyi qaul qaraar le liya

Verse 88 — Surah Maryam 19:88

un ka qaul to ye hai ke Allah rahmaan ne bhi aulaad eqtiyaar ki hai

Verse 89 — Surah Maryam 19:89

yaqinan tum bahuth buri aur bhaari cheez laaye ho

Verse 90 — Surah Maryam 19:90

qareeb hai ke is qaul ki wajeh se asmaan phat jaaye aur zameen shaq ho jaaye aur pahaad reze reze ho jaaye

Verse 91 — Surah Maryam 19:91

ke wo rahmaan ki aulaad saabith karne baithe

Verse 92 — Surah Maryam 19:92

shaan rahmaan ke laayeq nahi ke wo aulaad rakhe

Verse 93 — Surah Maryam 19:93

asmaan aur zameen mein jo kuch hai sab ke sab Allah ke ghulaam ban kar hee aane waale hai

Verse 94 — Surah Maryam 19:94

un sab ko us ne gher rakha hai, aur sab ko puri tarah gin bhi rakha hai

Verse 95 — Surah Maryam 19:95

ye saare ke saare qayaamath ke din akele us ke paas haazir hone waale hai

Verse 96 — Surah Maryam 19:96

beshak jo imaan laaye hai aur jinhone shaayista amaal kiye hai, un ke liye Allah rahmaan muhabbath paida kar dega

Verse 97 — Surah Maryam 19:97

hum ne is Qur’an ko teri zabaan mein bahuth hee asaan kar diya hai, ke tu is ke zariye se parhezgaaro ko khush qabri de aur jhagdaalo logo ko dara de

Verse 98 — Surah Maryam 19:98

hum ne un se pehle bahuth si jamaate tabaah kar di hain, kya un mein se ek ki bhi aahat tu paata hai, ya un ki awaaz ki bhanak bhi tere kaan mein padti hai