ke aaye mere parvardigaar! meri haddiya kamzoor ho gayi hai aur sar bhudaape ki wajeh se bhadak utha hai, lekin main kabhi bhi tujh se dua kar ke mehroom nahi raha
Zakarya (alaihissalaam) kehne lage mere rub! mere haan ladka kaise hoga, jab ke meri biwi baanjh aur main khud bhudaape ke intehaayi zof ko pahonch chuka hoon
irshaad hoa ke waada isi tarah ho chuka, tere rub ne farma diya hai ke mujh par to ye bilkul asaan hain, aur tu khud jab ke kuch na tha, main tujhe paida kar chuka hoon
kehne lage mere parvardigaar mere liye koyi alaamath muqarrar farma de, irshaad hoa ke tere liye alaamath ye hai ke ba-wajoodh bhala changa hone ke, tu teen raatho tak kisi shaqs se bol na sakega
ab zakarya (alaihissalaam) apne hujre se nikal kar apni khaum ke paas aa kar unhe ishaara karte hain ke tum subah wa shaam Allah ta’ala ki tasbih bayaan karo
aur un logo ki taraf se pardah kar liya, phir hum ne us ke paas apni ruh (Jibraeel alaihissalaam) ko bheja, pas wo us ke saamne pura aadmi ban kar zaaher hoa
us ne kaha baath to yahi hai, lekin tere parvardigaar ka irshaad hai ke wo mujh par bahuth hee asaan hai, hum to ise logo ke liye ek nishaani bana denge aur apni qaas rehmath, ye to ek tay shuda baath hai
ab chain se kha pi aur aankhe thandi rakh, agar tujhe koyi insaan nazar pad jaaye to keh dena ke main ne Allah Rahmaan ke naam ka roza maan rakha hai, main aaj kisi shaqs se baath na karongi
Allah ta’ala ke liye aulaad ka hona laayeq nahi, wo to bilkul paak zaath hai, wo to jab kisi kaam ke liye sar anjaam dene ka iraada karta hai, to ose keh deta hai ke hoja, wo osi waqt ho jata hai
mere meherbaan baap aap dekhiye mere paas wo ilm ayaa hai jo aap ke paas ayaa hee nahi, to aap meri hee maane, main bilkul sidhi raah ki taraf aap ki rehbari karonga
us ne jawaab diya ke aye Ibraheem!(alaihissalaam) kya tu hamaare mabudo se rugardaani kar raha hain, sun agar tu baaz na aaya to main tujhe pattharo se maar daalonga, ja ek muddate daraaz tak mujh se alag reh
main to tumhe bhi aur jin jin ko tum Allah ta’ala ke siva pukaarte ho, unhe bhi sab ko chohd raha hoon, sirf apne parvardigaar ko pukaarta rahonga, mujhe yaqeen hai ke main apne parvardigaar se dua maang kar mehroom na rahonga
jab ibraheem(alaihissalaam) un sab ko aur Allah ke siva un ke sab mabudo ko chohd chuke to hum ne unhe Is’haaq wa Yaqoob(alaihima assalaam) ata farmaaye aur duno ko nabi bana diya
yahi wo anmbiya hai jin par Allah ta’ala ne fazl wa karam kiya, jo aulaad aadam mein se hai, aur un logo ki nasl se hain jinhe hum ne nuh(alaihissalaam) ke saath kashti mein chada liya tha, aur aulaade Ibraheem wa Yaqoob se aur hamaari taraf se raah yaafta aur hamaare pasandidaah logo mein se, un ke saamne jab Allah rahmaan ki ayaato ki tilaawath ki jaati thi, ye sajda karte aur rote gid gidaate gir padte thein
hum baghair tere rab ke hukm ke utar nahi sakte, hamaare aage piche aur un ke darmiyaan ki kul cheeze, osi ki milkiyath mein hain, tera parvardigaar bhulne waala nahi
aasmaano ka, zameen ka aur jo kuch un ke darmiyaan hain, sab ka rab wahi hai, to, tu osi ki bandagi kar aur us ki ibaadath par jam ja, kya tere ilm mein us ka hum naam hum pallah koyi aur bhi hain
jab un ke saamne hamaari roushan aayate tilaawath ki jaati hai, to kaafir musalmaano se kehte hain, bataao hum tum duno jamaato mein se kis ka martaba zyada hain? aur kis ki majlis shaandaar hain
keh dijiye! jo gumraahi mein ho, to Allah rahmaan us ko qoob lambi mahullath deta hain, yahaan tak ke wo un cheezo ko dekh le jin ka waada kiye jaate hain, yaani azaab ya qayaamath ko, us waqt un ko sahih taur par maloom ho jayega ke kaun bure martabe waala aur kis ka jhatta kamzoor hai
aur hidaayath yaafta logo ko Allah ta’ala hidaayath me badaata hai, aur baaqi rehne waali nekiyaan tere rab ke nazdeek sawaab ke lehaaz se aur anjaam ke lehaaz se bahuth hee behtar hai
hum ne un se pehle bahuth si jamaate tabaah kar di hain, kya un mein se ek ki bhi aahat tu paata hai, ya un ki awaaz ki bhanak bhi tere kaan mein padti hai