Back to Languages

    Urdu - Chapter 21

    Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim

    Verse 1

    logo ke hisaab ka waqt qareeb aa gaya, phir bhi wo be qabri mein mu phere hoye hain

    Verse 2

    un ke paas un ke rab ki taraf se jo bhi nayi nayi nasihath aati hai, ose wo khel kodh mein hee sunte hain

    Verse 3

    un ke dil bilkul ghaafil hai, aur un zaalimo ne chupke chupke sarghooshiya ki, ke wo tum hee jaisa insaan hai, phir kya wajeh hai, jo tum aankho dekhte jaadu mein aa jaate ho

    Verse 4

    paighambar ne kaha mera parvardigaar har us baath ko jo zameen wa asmaan mein hai, ba qoobi jaanta hai, wo bahuth hee sunne waala aur jaanne waala hai

    Verse 5

    itna hee nahi, balke ye to kehte hai ke Qur’aan para gandha qaabo ka majmua hai, balke us ne az khud ose ghad liya hai, balke ye shaayar hai, warna hamaare saamne ye koyi aisi nishaani laate, jaise agle paighambar bheje gaye thein

    Verse 6

    un se pehle jitni bastiyaan hum ne ujaadi, sab imaan se qaali thi, to kya ab ye imaan layenge

    Verse 7

    tujh se pehle bhi jitne paighambar hum ne bheje, sabhi mard thein, jin ki taraf hum wahi utaar te thein, pas tum ahle kitaab se puch lo, agar khud tumhe ilm na ho

    Verse 8

    hum ne un ke aise jism nahi banaaye thein ke wo khaana na khaaye aur na wo hamesha rehne waale thein

    Verse 9

    phir hum ne un se kiye hoye sab waade sacche kiye, unhe aur jin jin ko hum ne chaaha najaath ata farmaayi aur hadh se nikal jaane waalo ko ghaarath kar diya

    Verse 10

    yaqinan hum ne tumhaari jaanib kitaab naazil farmaayi hai, jis mein tumhaare liye zikr hai, kya phir bhi tum aqal nahi rakhte

    Verse 11

    aur bahuth si bastiyaan hum ne tabaah kardi jo zaalim thi aur un ke baadh hum ne dosri khaum ko paida kar diya

    Verse 12

    jab unhone hamaare azaab ka ehsaas kar liya, to lage us se bhaagne

    Verse 13

    bhaag daud na karo, aur jahaan tumhe aasoodgi di gayi thi, waheen waapas lauto aur apne makanaath ki taraf jaao, ta ke tum se sawaal to kar liya jaaye

    Verse 14

    kehne lage haay hamaari qaraabi! beshak hum zaalim thein

    Verse 15

    phir to un ka yahi qaul raha, yahaan tak ke hum ne unhe jad se kati hoyi kheti aur bojhi padi aag (ki tarah) kar diya

    Verse 16

    hum ne asmaan wa zameen aur un ke darmiyaan ki chizo ko khelte hoye nahi banaya

    Verse 17

    agar hum yo hee khel tamaashe ka iraada karte to, ise apne paas se hee bana lete, agar hum karne waale hee hote

    Verse 18

    balke hum sach ko jhoot par phek maarte hai, pas sach jhoot ka sar tood deta hai aur wo osi waqt na boodh ho jaata hai, tum jo batein banaate ho, wo tumhaare liye baayese qaraabi hai

    Verse 19

    asmaano aur zameen mein jo hai, osi Allah ka hai, aur jo us ke paas hai wo us ki ibaadath se na sarkashi karte hai aur na thakte hai

    Verse 20

    wo din raath tasbih bayaan karte hai aur zara si bhi susti nahi karte

    Verse 21

    kya un logo ne zameen (ki maqluqaath mein) se jinhe maboodh bana rakha hai, wo zinda kar dete hai

    Verse 22

    agar asmaan wa zameen mein sivaaye Allah ta’ala ke aur bhi maboodh hote, to ye duno dar ham bar ham ho jaate, pas Allah ta’ala arsh ka rab har us wasf se paak hai jo ye mushrik bayaan karte hai

    Verse 23

    wo apne kaamo ke liye (kisi ke aage) jawaab deh nahi aur sab (us ke aage) jawaab deh hai

    Verse 24

    kya un logo ne Allah ke siva aur maboodh bana rakhe hai, un se kehdo laao apni daleel pesh karo, ye hai mere saath waalo ki kitaab aur mujh se aglo ki daleel, baath ye hai ke un mein ke aksar log haq ko nahi jaante, osi wajeh se mu mude hoye hai

    Verse 25

    tujh se pehle bhi jo rasool hum ne bheja, us ki taraf yahi wahi nazil farmaayi ke mere siva koyi maboodh bar haq nahi, pas tum sab meri hee ibaadath karo

    Verse 26

    (mushrik log) kehte hai ke rahmaan aulaad wala hai (ghalath hai) us ki zaath paak hai, balke wo sab us ke ba izzath bandhe hai

    Verse 27

    kisi baath mein Allah par pesh dasti nahi karte, balke us ke farmaan par kaar bandh hai

    Verse 28

    wo un ke aage piche ke tamaam umoor se waaqif hai, wo kisi ki bhi sifaarish nahi karte, bajuz un ke, jin se Allah khush ho, wo to khud haybath ilaahi se larza wa tarsa hai

    Verse 29

    un mein se agar koyi bhi kehde ke, Allah ke siva main laayaq ibaadath hoon, to hum ose dozakh ki saza de, hum zaalimo ko isi tarah saza dete hai

    Verse 30

    kya kaafir logo ne ye nahi dekha ke asmaan wa zameen baaham mile jhule thein, phir hum ne unhe juda kiya aur har zinda cheez ko hum ne paani se paida kiya, kya ye log phir bhi imaan nahi laate

    Verse 31

    aur hum ne zameen mein pahaad bana diye, ta ke wo maqlooq ko hala na sa ke aur hum ne us mein kushaada raahe bana di, ta ke wo raasta haasil kare

    Verse 32

    asmaan ko mehfooz chath bhi hum ne hee banaya hai, lekin log us ki khudrath ke namuno par, dhyaan hee nahi dharte

    Verse 33

    wahi Allah hai jis ne raath aur din aur suraj aur chaandh ko paida kiya hai, un mein se har ek apne apne madaar mein tairte phirte hai

    Verse 34

    aap se pehle kisi insaan ko bhi hum ne hameshgi nahi di, kya agar aap mar gaye to, wo hamesha ke liye reh jayenge

    Verse 35

    har jandaar mauth ka maza chakne wala hai, hum ba-tareeqe imtehaan tum mein se har ek ko buraayi bhalaayi mein mubtela karte hai aur tum sab hamaari hee taraf lautaaye jaoge

    Verse 36

    ye munkireen tujhe jab bhi dekhte hai, to tumhara mazaaq hee udaate hai, ke kya yahi wo hai jo tumhaare mabudo ka zikr buraayi se karta hai aur wo khud hee rahmaan ki yaad ke bilkul hee munkir hai

    Verse 37

    insaan jald baaz maqlooq hai, main tumhe apni nishaaniyaan abhi abhi dikhaonga, tum mujh se jald baazi na karo

    Verse 38

    kehte hai ke agar sacche ho to bata do ke ye wada kabh hai

    Verse 39

    kaash! ye kaafir jaante ke us waqt na to ye kaafir aag ko apne chehro se hata sakenge aur na apni pitho se aur na un ki madad ki jayegi

    Verse 40

    (haan haan!) waade ki ghadi un ke paas achaanak aa jayegi aur unhe hakka bakka kar degi, phir na to ye log ose taal sakenge aur na zara si bhi mahullath diye jayenge

    Verse 41

    aur tujh se pehle rasulo ke saath bhi hasi mazaaq kiya gaya, pas hasi karne walo ko hee us cheez ne gher liya, jis ki wo hasi udaate thein

    Verse 42

    un se puchiye ke rahmaan se din aur raath tumhaari hifaazath kaun kar sakta hai? baath ye hai ke ye log apne rab ke zikr se phire hoye hai

    Verse 43

    kya hamaare siva un ke aur maboodh hai, jo unhe musibato se bacha le, koyi bhi khud apni madad ki taaqath nahi rakhta aur na koyi hamaari taraf se rifaaqath diya jaata hai

    Verse 44

    balke hum ne unhe aur un ke baap dadaao ko zindagi ke saro samaan diye, yahaan tak ke un ki muddath umar guzar gayi, kya wo nahi dekhte ke hum zameen ko us ke kinaaro se ghataate chale aa rahe hai, ab kya wahi ghaalib hai

    Verse 45

    keh di jiye! ke main to tumhe Allah ki wahi ke zariye agaah kar raha hoon, magar behre log baath nahi sunte, jab ke unhe agaah kiya jaaye

    Verse 46

    agar inhe tere rab ke kisi azaab ka jhonka bhi lag jaaye, to pukaar uthe ke haay hamaari badh baqti! yaqinan hum gunehgaar thein

    Verse 47

    qayaamath ke din hum darmiyaan mein la rakhenge, theek theek tolne waali taraazu ko, phir kisi par kuch bhi zulm na kiya jayega aur agar ek raayi ke daane ke baraabar bhi amal hoga, hum ose la haazir karenge aur hum kaafi hai hisaab karne waale

    Verse 48

    ye bilkul sach hai ke hum ne Mosa(alaihissalaam) wa Haroon(alaihissalaam) ko faisle karne waali noraani aur parhezgaaro ke liye waaz wa nasihath waali kitaab ata farmaayi hai

    Verse 49

    wo log jo apne rab se bin dekhe khauf khaate hai aur qayaamath (ke tasawwur) se kaanpte rehte hai

    Verse 50

    aur ye nasihath wa barkath wala Qur’aan bhi hum hee ne naazil farmaaya hai, kya phir bhi tum is ke munkir ho

    Verse 51

    yaqinan hum ne is se pehle Ibraheem(alaihissalaam) ko us ki samjah boojh baqshi thi aur hum us ke ehwaal se ba-qoobi waaqif thein

    Verse 52

    jab ke us ne apne baap se aur apni khaum se kaha ke ye murtiyaan jin ke tum mujaawer bane baithe ho, kya hai

    Verse 53

    sab ne jawaab diya ke hum ne apne baap dada ko inhee ki ibaadath karte hoye paaya

    Verse 54

    aap ne farmaya! phir to tum aur tumhaare baap dada sabhi yaqinan quli gumraahi mein mubtela rahe

    Verse 55

    kehne lage kya aap hamaare paas sach moch haq laaye hai ya yo hee mazaaq kar rahe hai

    Verse 56

    aap ne farmaya, nahi, dar haqiqath tum sab ka parvardigaar to wo hai jo asmaano aur zameen ka maalik hai, jis ne inhe paida kiya hai, main to isi baath ka gawaah aur qaayal hoon

    Verse 57

    aur Allah ki qasam main tumhaare un mabudo ke saath, jab tum alaheda peet pher kar chal doge, ek chaal chalonga

    Verse 58

    pas us ne un sab ke tukde tukde kar diye, haan sirf bade budh ko chohd diya, ye bhi is liye ke wo sab us ki taraf hee laute

    Verse 59

    kehnge lage ke hamaare khudaao ke saath ye kis ne kiya? aisa shaqs to yaqinan zaalimo mein se hai

    Verse 60

    bole hum ne ek nau jawaan ko un ka tazkera karte hoye suna tha, jise Ibraheem(alaihissalaam) kaha jaata hai

    Verse 61

    sab ne kaha accha ose majme mein logo ki nigaaho ke saamne laao, ta ke sab dekhe

    Verse 62

    kehne lage! aye Ibraheem(alaihissalaam) kya tu ne hee hamaare khudaao ke saath ye harkath ki hai

    Verse 63

    aap ne jawaab diya, balke us kaam ko un ke bade ne kiya hai, tum apne khudaao se hee puch lo, agar ye bolte chaalte ho

    Verse 64

    pas ye log apne dilo mein qaayal ho gaye aur kehne lage, waaqeyi zaalim to tum hee ho

    Verse 65

    phir apne saro ke bal aundhe ho gaye (aur kehne lage ke) ye to tujhe bhi maloom hai ke ye bolne chaalne waale nahi

    Verse 66

    Allah ke qaleel ne osi waqt farmaaya, afsoos! kya tum Allah ke alaawa un ki ibaadath karte ho, jo na tumhe kuch bhi nafa pahoncha sake na nuqsaan

    Verse 67

    tufh hai tum par aur un par jin ki tum Allah ke siva ibaadath karte ho, kya tumhe itni si aqal bhi nahi

    Verse 68

    kehne lage ke ise jala do aur apne khudaao ki madad karo, agar tumhe kuch karna hee hai

    Verse 69

    hum ne farma diya aaye aag! tu thandi pad ja aur Ibraheem(alaihissalaam) ke liye salaamti (aur araam ki cheez) ban ja

    Verse 70

    go unhone Ibraheem(alaihissalaam) ka bura chaaha, lekin hum ne unhe na kaam bana diya

    Verse 71

    aur hum Ibraheem(alaihissalaam) aur looth(alaihissalaam) ko bacha kar us zameeen ki taraf le chale, jis mein hum ne tamaam jahaan waalo ke liye barkath rakhi thi

    Verse 72

    aur hum ne ose Ishaaq(alaihissalaaam) ata farmaya aur Yaqoob(alaihissalaam) us par mazeedh aur har ek ko hum ne saaleh banaya

    Verse 73

    aur hum ne inhe peshwa bana diya ke hamaare hukm se logo ki rehbari kare aur hum ne un ki taraf nek kaamo ke karne aur namaazo ke qaayam rakhne aur zakaath dene ki wahi (talqeen) ki aur wo sab ke sab hamaare ibaadath guzaar bandhe thein

    Verse 74

    hum ne Looth(alaihissalaam) ko bhi hukm aur ilm diya aur ose us basti se najaath di jahaan ke log gandhe kaamo mein mubtela thein aur thein bhi wo badh tareen gunehgaar

    Verse 75

    aur hum ne Looth(alaihissalaam) ko apni rehmath mein daakhil kar liya, beshak wo neko kaar logo mein se tha

    Verse 76

    Nuh (alaihissalaam) ke us waqt ko yaad ki jiye jab ke us ne us se pehle dua ki, hum ne us ki dua qubool farmaayi aur ose aur us ke ghar waalo ko bade karb se najaath di

    Verse 77

    aur jo log hamaari aayato ko jhutla rahe thein, un ke muqaable mein hum ne us ki madad ki, yaqinan wo bure log thein, pas hum ne un sab ko dubo diya

    Verse 78

    aur Dawood(alaihissalaam) aur Sulaiman(alaihissalaam) ko yaad ki jiye, jab ke wo kheth ke maamle mein faisla kar rahe thein, ke kuch logo ki bakriyaan raath ko us mein char chuk gayi thi, aur un ke faisle mein hum maujoodh thein

    Verse 79

    hum ne us ka sahih faisla Sulaimaan(alaihissalaam) ko samjha diya, haan har ek ko hum ne hukm wa ilm de rakha tha aur Dawood(alaihissalaam) ke taabe hum ne pahaad kar diye thein, jo tasbih karte thein aur parindh bhi, hum karne waale hee thein

    Verse 80

    aur hum ne ose tumhaare liye libaas banaane ki kaari gari sikhaayi, ta ke ladaayi ke zarar se tumhara bachaao ho, kya tum shukr guzaar banoge

    Verse 81

    hum ne tundh wa tez hawa ko Sulaimaan(alaihissalaam) ke taabe kar diya, jo us ke farmaan ke mutaabiq us zameen ki taraf chalti thi jahaan hum ne barkath de rakhi thi aur hum har cheez se ba qabar aur daana hai

    Verse 82

    isi tarah se bahuth se shayaateen bhi, hum ne us ke taabe kiye thein, jo us ke farmaan se ghoote lagaate thein aur us ke siva bhi bahuth se kaam karte thein, un ke nigehbaan hum hee thein

    Verse 83

    Ayyub(alaihissalaam) ki us haalath ko yaad karo, jab ke us ne apne parvardigaar ko pukaara, mujhe ye bimaari lag gayi hai aur tu rahem karne walo se zyaada rahem karne waala hai

    Verse 84

    to hum ne us ki sun li aur jo dukh unhe tha, ose door kar diya aur us ko ahlo ayaal ataa farmaaye, balke un ke saath waise hee aur apni qaas meherbaani se, ta ke sacche bandho ke liye sababe nasihath ho

    Verse 85

    aur Ismail(alaihissalaam) aur Idrees(alaihissalaam) aur Zul kifl(alaihissalaam) ye sab saabir log thein

    Verse 86

    hum ne unhe apni rehmath mein dakhil kar liya, ye sab log nek thein

    Verse 87

    machli waale (Hazrath.Yonus(alaihissalaam) ko yaad karo, jab ke wo ghusse se chal diya aur qayaal kiya ke hum ose na pakad sakenge, bil aaqir wo andhero ke andar se pukaar utha, ke ilaahi tere siva koyi maboodh nahi, tu paak hai, beshak main zaalimo mein ho gaya

    Verse 88

    to hum ne us ki pukaar sun li aur ose gham se najaath de di aur hum imaan waalo ko isi tarah bacha liya karte hai

    Verse 89

    aur Zakarya(alaihissalaam) ko yaad karo, jab us ne apne rab se dua ki, ke aye mere parvardigaar! mujhe tanha na chohd, tu sab se behtar waaris hai

    Verse 90

    hum ne us ki dua ko qubool farma kar, ose Yahya(alaihissalaam) ata farmaya aur un ki biwi ko un ke liye durusth kar diya, ye buzrug log, nek kaamo ki taraf jaldi karte thein aur hamein laalach, tama aur dar, khauf se pukaarte thein, aur hamaare saamne aajizi karne waale thein

    Verse 91

    aur wo paak daaman bibi jis ne apni ismath ki hifazath ki, hum ne us ke andar apni ruh se phok di aur khud unhe aur unke ladke ko tamaam jahaan ke liye nishaani bana diya

    Verse 92

    ye tumhaari ummath hai, jo haqiqath mein ek hee ummath hai aur main tum sab ka parvardigaar hoon, pas tum meri hee ibaadath karo

    Verse 93

    magar logo ne aapas mein apne deen mein firqa bandiyaan kar li, sab ke sab hamaari hee taraf lautne waale hai

    Verse 94

    phir jo bhi nek amal kare aur wo momin (bhi) ho, to us ki koshish ki be qadri nahi ki jayegi, hum to us ke likhne waale hai

    Verse 95

    aur jis basti ko hum ne halaak kar diya, us par laazim hai ke wahaan ke log palat kar nahi ayenge

    Verse 96

    yahaan tak ke yajooj aur majooj khol diye jayenge aur wo har bulandi se daudte hoye ayenge

    Verse 97

    aur saccha waada qareeb aa lagega, us waqt kaafiro ki nigaahe phati ki phati reh jayengi, ke haay afsoos hum us haal se ghaafil thein, balke fil waaqe hum qusoor waar thein

    Verse 98

    tum aur Allah ke siva jin jin ki tum ibaadath karte ho, sab dozakh ka indhan banoge, tum sab dozakh mein jaane waale ho

    Verse 99

    agar ye (sacche) moboodh hote tu jahannam mein dakhil na hote aur sab ke sab, osi mein hamesha rehne waale hai

    Verse 100

    wo wahaan chilla rahe honge aur wahaan kuch bhi na sun sakenge

    Verse 101

    al-batta beshak jin ke liye hamaari taraf se neki pehle hee teher chuki hai, wo sab jahannam se door hee rakhe jayenge

    Verse 102

    wo to dozakh ki aahat tak na sunenge aur apni man-bhaati cheezo mein hamesha rehne waale honge

    Verse 103

    wo badi ghabraahat (bhi) unhe ghamgeen na kar sakegi aur farishte unhe haatho haath lenge, ke yahi tumhaara wo din hai jis ka tum waada diye jaate rahe

    Verse 104

    jis din hum asmaan ko, yo lapet lenge jaise taumaar1 mein auraaq lapet diye jaate hai, jaise ke hum ne awwal dafa paidayish ki thi, isi tarah dubaara karenge, ye hamaare zimme waada hai, aur hum ise zaroor kar ke (hee) rahenge

    Verse 105

    hum zaboor mein pandh wa nasihath ke baadh ye likh chuke hai ke zameen ke waaris mere nek bandhe (hee) honge

    Verse 106

    ibaadath guzaar bandho ke liye to us mein ek bada paighaam hai

    Verse 107

    aur hum ne aap ko tamaam jahaan waalo ke liye, rehmath bana kar hee bheja hai

    Verse 108

    keh dijiye! mere paas to, pas wahi ki jaati hai, ke tum sab ka maboodh ek hee hai, to kya tum bhi us ki farma-bardaari karne waale ho

    Verse 109

    phir agar ye mu mod le, to keh dijiye ke main ne tumhe yek-sa taur par qabardaar kar diya hai, mujhe ilm nahi ke jis ka waada tum se kiya ja raha hai wo qareeb hai ya door

    Verse 110

    albatta Allah ta’ala to khuli aur zaaher baath ko bhi jaanta hai aur jo tum chupaate ho, ose bhi jaanta hai

    Verse 111

    mujhe us ka bhi ilm nahi, mumkin hai ye tumhaari azmaayesh ho, aur ek muqarrara waqt tak ka fayeda (pahonchaana) hai

    Verse 112

    khud Nabi ne kaha aye rab! insaaf ke saath faisla farma aur hamara rab bada meherbaan hai , jis se madad talab ki jaati hai, un baatho par jo tum bayaan karte ho