jis din tum ose dekh loge, har doodh pilaane waali apne doodh peete bacche ko bhol jayegi aur tamaam hamal waaliyo ke hamal gir jayenge aur tu dekhega ke log mad’hoosh dikhaayi denge, halaan ke dar haqiqath wo matwaale na honge, lekin Allah ka azaab bada hee saqt hai
logo! agar tumhe marne ke baadh ji uthne mein shak hai, to soncho hum ne tumhe mitthi se paida kiya, phir nutfe se, phir qoon basta se, phir gosh ke luthde se jo surath diya gaya tha aur be naqsha tha, ye hum tum par zaaher kar dete hai, aur hum jise chaahe ek tehraaye hoye waqt tak rehem maadar mein rakhte hai, phir tumhe bachpan ki haalath mein dunya mein laate hai, phir ta ke tum apni puri jawaani ko pahoncho, tum mein se baaz to wo hai jo fauth kar liye jaate hai aur baaz be-gharz umr ki taraf phir se lauta diye jaate hai, ke wo ek cheez se ba-qabar hone ke baadh, phir be qabar ho jaaye, tu dekhta hai ke zameen (banjar aur) khushk hai, phir jab hum us par baarishe barsaate hai, to wo ubharti hai aur phoolti hai aur har qism ki raunaq daar nabataat ugaati hai
jo apni pehlo modne waala ban kar, is liye ke Allah ki raah se behka de, ose dunya mein bhi ruswaayi hogi aur qayaamath ke din bhi hum ose jahannam mein jalne ka azaab chakayenge
baaz log aise bhi hai ke, ek kinaare par (khade) ho kar Allah ki ibaadath karte hai, agar koyi nafa mil gaya to, dil chaspi lene lagte hai aur agar koyi aafath aa gayi to, osi waqt mu pher lete hai, unhone duno jahaan ka nuqsaan utha liya, waaqeyi ye khula nuqsaan hai
jis ka ye qayaal ho ke Allah ta’ala apne rasool ki madad duno jahaan mein na karega, wo oonchaayi par ek rassa baandh kar (apne halaq mein phanda daal kar apna gala ghoont le) phir dekh le ke us ki chalaakiyo se wo baath hat jaati hai, jo ose tadpa rahi hai
beshak ahle imaan aur yahoodi aur saabi aur nasraani aur majusi aur mushrikeen, in sab ke darmiyaan qayaamath ke din khud Allah ta’ala faisle kar dega, Allah ta’ala har har cheez par gawaah hai
kya tu nahi dekh raha ke, Allah ke saamne sajde mein hai sab asmaano waale aur sab zameeno waale aur suraj aur chaandh aur sitaare aur pahaad aur daraqth aur jaanwar aur bahuth se insaan bhi, haan bahuth se wo bhi hai jin par azaab ka maqula saabiath ho chuka hai, jise rab zaleel karde ose koyi izzath dene wala nahi, Allah jo chahta hai karta hai
ye duno apne rab ke baare mein eqtelaaf karne waale hai, pas kaafiro ke liye to aag ke kapde byonath kar kaate jayenge aur un ke saro ke upar se saqth khaulta hoa paani bahaya jayega
imaan waalo aur nek kaam waalo ko Allah ta’ala un jannato mein le jayega, jin ke daraqto ta le se nehre lehre le rahi hai, jahaan wo sone ke kangan pehnaaye jayenge aur sacche moti bhi, wahaan un ka libaas qaalis resham hoga
jin logo ne kufr kiya aur Allah ki raah se rokne lage aur us hurmath waali masjid se bhi, jise hum ne tamaam logo ke liye masaawi kar diya hai, waheen ke rehne waale ho, ya baaher ke ho, jo bhi zulm ke saath wahaan ilhaadh2 ka iraada kare, hum ose dard naak azaab chakayene
aur jab ke hum ne Ibraheem(alaihissalaam) ko kaabe ke makaan ki jageh muqarrar kar di, is shart par ke mere saath kisi ko shareek na karna aur mere ghar ko tawaaf, qiyaam, ruko, sajda karne waalo ke liye paak saaf rakhna
ta ke apne liye fayede haasil kare aur un muqarrara dino mein Allah ka naam yaad kare, un chau paayo par jo paalto hai, pas tum, aap bhi khaao aur bhuke faqiro ko bhi khilaao
ye hai, aur jo koyi Allah ki hurmato ki taazeem kare, us ke apne liye, us ke rab ke paas behetri hai aur tumhaare liye chau paaye jaanwar halaal kar diye gaye, bajuz un ke jo tumhaare saamne bayaan kiye gaye hai, pas tumhe butho ki gandagi se bachte rehna chahiye aur jhooti baath se bhi parhez karna chahiye
Allah ki tawheed ko maante hoye, us ke saath kisi ko shareek na karte hoye, suno Allah ke saath shareek karne wala, goya asmaan se gir pada, ab ya to ose parinde uchak le jayenge ya hawa kisi door daraaz ki jageh phek de gi
aur har ummath ke liye hum ne qurbaani ke tariqe muqarrar farmaaye hai, ta ke wo un chaupaaye jaanwaro par Allah ka naam le, jo Allah ne unhe de rakhe hai, samajh lo ke tum sab ka maboodh bar haq sirf ek hee hai, tum osi ke taabe farmaan ho jaao, aajizi karne waalo ko khush qabri suna di jiye
unhe, ke jab Allah ka zikr kiya jaaye, unke dil tharra jaate hai, unhe jo buraayi pahonche, us par sabr karte hai, namaaz qaayam karne waale hai aur jo kuch hum ne unhe se rakha hai, wo us mein se bhi dete rehte hai
qurbaani ke oonto ko, hum ne tumhaare liye Allah ta’ala ki nishaaniyo mein shaamil kar diya hai, un mein tumhe nafa hai, pas unhe khada kar ke un par Allah ka naam lo, phir jab un ke pehlo zameen se lag jaaye, ose (khud bhi) khaao aur miskeen, sawaal se rukne waalo aur sawaal karne waalo ko bhi khilaao, isi tarah hum ne chau paayo ko tumhaare ma tehet kar diya hai, ke tum shukr guzaari karo
Allah ta’ala ko qurbaaniyo ke gosht nahi pahonchte, na un ke qoon, balke ose to tumhaare dil ki parhezgaari pahonchti hai, isi tarah Allah ne un jaanwaro ko tumhaara muthi kar diya hai ke tum us ki rehnumaayi ke shukriye mein us ki badaaiyya bayaan karo aur nek logo ko khush qabri suna di jiye
sun rakho! yaqinan sacche momino ke dushmano ko khud Allah ta’ala hata deta hai, koyi qayaanath karne waala, na shukra Allah ta’ala ko hargiz pasand nahi
jin (musalaamo) se (kaafir) jung kar rahe hai, unhe bhi muqaable ki ijaazath di jaati hai, kyo ke wo mazloom hai, beshak un ki madad par Allah qaadir hai
ye wo hai jinhe na haq apne gharo se nikala gaya, sirf un ke us qaul par ke hamaara parvardigaar faqath Allah hai, agar Allah ta’ala logo ko aapas mein ek dosre se na hata ta rehta, to ibaadath khaane aur girje aur masjide aur yahoodiyo ke ma-badh aur wo masjide bhi dha di jaati, jahaan Allah ka naam ba kasrath liya jaata hai, jo Allah ki madad karega, Allah bhi zaroor us ki madad karega, beshak Allah ta’ala badi khuwwato waala, bade ghalbe waala hai
ye wo log hai ke agar hum zameen mein un ke paao jama de, to ye puri paabandi se namaaze qaayam kare aur zakaate de aur acche kaamo ka hukm kare aur bure kaamo se mana kare, tamaam kaamo ka anjaam Allah ke eqtiyaar mein hai
aur madyan waale bhi apne apne nabiyo ko jhutla chuke hai, Mosa(alaihissalaam) bhi jhutlaaye ja chuke hai, pas main ne kaafiro ko yo hee si mahullath di, phir dhar dabaya, phir mera azaab kaisa hoa
bahuth si bastiyaan hai, jinhe hum ne teh-wa-baala3 kar diya, is liye ke wo zaalim thein, pas wo apni chatho ke bal aundhi hoyi padi hai aur bahuth se abaadh koye bekaar pade hai aur bahuth se pakke aur bulandh mahel viraan pade hai
kya unhone zameen mein sair wa siyaahath nahi ki, jo un ke dil un baatho ke samajhne waale hote, ya kaano se hee un (waaqeyaath) ko sun lete, baath ye hai ke sirf aankhe hee andhi nahi hoti, balke wo dil andhe ho jaate hai jo sino mein hai
ye log aap se azaab ka fauri mutaaleba kar rahe hai, Allah hargiz apna waada nahi taalega, haan albatta aap ke rab ke nazdeek ek din tumhaari ginti ke etebaar se ek hazaar saal ka hai
hum ne aap se pehle jis rasool aur nabi ko bheja us ke saath ye hoa ke jab wo apne dil mein koyi aarzu karne laga, shaitaan ne us ki aarzu mein kuch mila diya, pas shaitaan ki milaawat ko Allah ta’ala door kar deta hai, phir apni batien pakki kar deta hai, Allah ta’ala daana aur ba hikmath hai
ye is liye ke shaitaani milaawat ko Allah ta’ala un logo ki azmaayesh ka zariya banade, jin ke dilo mein bimaari hai aur jin ke dil saqth hai, beshak zaalim log gehri muqaalifath mein hai
aur is liye bhi ke jinhe ilm ata farmaya gaya hai, wo yaqeen karle ke, ye aap ke rab hee ki taraf se saraa-sar haq hee hai, phir wo us par imaan laaye aur un ke dil us ki taraf jhuk jaaye, yaqinan Allah ta’ala imaan daaro ko raahe raasth ki taraf rehbari karne waala hee hai
kaafir is wahi ilaahi mein hamesha shak shuba hee karte rahenge, hatta ke achaanak un ke saro par qayaamath aa jaaye ya un ke paas us din ka azaab aa jaaye, jo manhoos hai
aur jin logo ne raahe khuda mein tarke watan kiya, phir wo shaheed kar diye gaye, ya apni mauth mar gaye, Allah ta’ala unhe behetreen rizq ata farmaayega, aur beshak Allah ta’ala rozi dene waalo mein sab se behtar hai
baath yahi hai, aur jis ne badhla liya osi ke baraabar jo us ke saath kiya gaya tha, phir agar us se zyaadati ki jaaye to, yaqinan Allah ta’ala khud us ki madad farmayega, beshak Allah dar guzar karne waala, baqshne waala hai
kya aap ne nahi dekha ke, Allah hee ne zameen ki tamaam chize tumhaare liye musaqqar kardi aur us ke farmaan se paani mein chalti hoyi kashtiya bhi, wahi aasmaan ko thaame hoye hai, ke zameen par us ki ijaazath ke baghair gir na pade, beshak Allah ta’ala logo par shafaqqath wa narmi karne waala aur meherbaan hai
har ummath ke liye hum ne ibaadath ka ek tariqa muqarrar kar diya hai, jise wo baja laane waale hai, pas unhe us amr me aap se jhagda na karna chahiye, aap apne parvardigaar ki taraf logo ko bulaaiye, yaqinan aap theek hidaayath par hee hai
kya aap ne nahi jaana ke asamaan wa zameen ki har cheez Allah ke ilm mein hai, ye sab likhi hoyi kitaab mein mehfooz hai, Allah ta’ala par to ye amr bil-kul asaan hai
aur ye Allah ke siva un ki ibaadath kar rahe hai, jis ki koyi khudaayi daleel naazil nahi hoyi, na wo khud hee us ka koyi ilm rakhte hai, zaalimo ka koyi madadgaar nahi
jab un ke saamne hamaare kalaam ki khuli hoyi aayato ki tilaawath ki jaati hai, to aap kaafiro ke chehro par na khushi ke saaf aasaar pehchaan lete hai, wo to qareeeb hote hai ke hamaari aayate sunaane waalo par hamla kar baithe, keh dijiye ke kya main tumhe us se bhi zyaada badh-tar qabar doon, wo aag hai, jis ka waada Allah ne kaafiro se kar rakha hai aur wo bahuth hee buri jageh hai
logo! ek misaal bayaan ki ja rahi hai, zara kaan laga kar sun lo, Allah ke siva jin jin ko tum pukaarte rahe ho, wo ek makkhi bhi to paida nahi kar sakte, go saare ke saare jama ho jaaye, balke agar makkhi un se koyi cheez le bhaage to, ye to ose bhi us se cheen nahi sakte, bada bodha hai talab karne waala aur bada bodha hai wo, jis se talab kiya jaa raha hai
aur Allah ki raah mein waisa hee jihaad karo, jaise jihaad ka haq hai, osi ne tumhe barguzida banaya hai aur tum par deen ke baare mein koyi tangi nahi daali, deen apne baap Ibraheem(alaihissalaam) ka qaayam rakho, osi Allah ne tumhaara naam musalmaan rakha hai, is Qur’aan se pehle aur is mein bhi, ta ke paighambar tum par gawaah ho jaaye aur tum tamaam logo ke gawaah ban jaao, pas tumhe chahiye ke namaaze qaayam rakho aur zakaath ada karte raho aur Allah ko mazbooth thaam lo, wahi tumhara wali aur maalik hai, pas kya hee accha maalik hai aur kitna hee behtar madadgaar hai