Back to Languages

Urdu - Chapter 22 - Al-Hajj

Translation by Muhammad Junagarhi, Muhammad Kazim — Permalink

Verse 1 — Surah Al-Hajj 22:1

logo! apne parvardigaar se daro! bila shuba qayaamath ka zal-zala bahuth hee badi cheez hai

Verse 2 — Surah Al-Hajj 22:2

jis din tum ose dekh loge, har doodh pilaane waali apne doodh peete bacche ko bhol jayegi aur tamaam hamal waaliyo ke hamal gir jayenge aur tu dekhega ke log mad’hoosh dikhaayi denge, halaan ke dar haqiqath wo matwaale na honge, lekin Allah ka azaab bada hee saqt hai

Verse 3 — Surah Al-Hajj 22:3

baaz log Allah ke baare mein batein banaate hai aur wo bhi be ilmi ke saath aur har sarkash shaitaan ki pairvi karte hai

Verse 4 — Surah Al-Hajj 22:4

jis par (qazaaye ilaahi) likh di gayi hai, ke jo koyi us ki rafaaqath karega, wo ose gumraah karr dega aur ose aag ke azaab ki taraf le jayega

Verse 5 — Surah Al-Hajj 22:5

logo! agar tumhe marne ke baadh ji uthne mein shak hai, to soncho hum ne tumhe mitthi se paida kiya, phir nutfe se, phir qoon basta se, phir gosh ke luthde se jo surath diya gaya tha aur be naqsha tha, ye hum tum par zaaher kar dete hai, aur hum jise chaahe ek tehraaye hoye waqt tak rehem maadar mein rakhte hai, phir tumhe bachpan ki haalath mein dunya mein laate hai, phir ta ke tum apni puri jawaani ko pahoncho, tum mein se baaz to wo hai jo fauth kar liye jaate hai aur baaz be-gharz umr ki taraf phir se lauta diye jaate hai, ke wo ek cheez se ba-qabar hone ke baadh, phir be qabar ho jaaye, tu dekhta hai ke zameen (banjar aur) khushk hai, phir jab hum us par baarishe barsaate hai, to wo ubharti hai aur phoolti hai aur har qism ki raunaq daar nabataat ugaati hai

Verse 6 — Surah Al-Hajj 22:6

ye is liye ke Allah hee haq hai aur wahi murdo ko jilaata hai aur wo har har cheez par khudrath rakhne waala hai

Verse 7 — Surah Al-Hajj 22:7

aur ye ke qayaamath qat’an aane waali hai, jis mein koyi shak wa shuba nahi aur yaqinan Allah ta’ala qabro waalo ko dubaara zinda farmaayega

Verse 8 — Surah Al-Hajj 22:8

baaz log Allah ke baare mein baghair ilm ke aur baghair hidaayath ke aur baghair roushan kitaab ke jhagadte hai

Verse 9 — Surah Al-Hajj 22:9

jo apni pehlo modne waala ban kar, is liye ke Allah ki raah se behka de, ose dunya mein bhi ruswaayi hogi aur qayaamath ke din bhi hum ose jahannam mein jalne ka azaab chakayenge

Verse 10 — Surah Al-Hajj 22:10

ye un amaal ki wajeh se, jo tere haatho ne aage bhej rakhe thein, yaqeen maano ke Allah ta’ala apne bandho par zulm karne waala nahi

Verse 11 — Surah Al-Hajj 22:11

baaz log aise bhi hai ke, ek kinaare par (khade) ho kar Allah ki ibaadath karte hai, agar koyi nafa mil gaya to, dil chaspi lene lagte hai aur agar koyi aafath aa gayi to, osi waqt mu pher lete hai, unhone duno jahaan ka nuqsaan utha liya, waaqeyi ye khula nuqsaan hai

Verse 12 — Surah Al-Hajj 22:12

Allah ke siva unhe pukaara karte hai, jo na unhe nuqsaan pahoncha sa ke, na nafa, yahi to door daraaz ki gumraahi hai

Verse 13 — Surah Al-Hajj 22:13

ose pukaarte hai, jis ka nuqsaan us ke nafa se zyaada qareeb hai, yaqinan bure waali2 hai aur bure saathi

Verse 14 — Surah Al-Hajj 22:14

imaan aur nek amaal waalo ko Allah ta’ala lehre leti hoyi nehro waali jannato mein le jayega, Allah jo iraada kare, ose kar ke rehta hai

Verse 15 — Surah Al-Hajj 22:15

jis ka ye qayaal ho ke Allah ta’ala apne rasool ki madad duno jahaan mein na karega, wo oonchaayi par ek rassa baandh kar (apne halaq mein phanda daal kar apna gala ghoont le) phir dekh le ke us ki chalaakiyo se wo baath hat jaati hai, jo ose tadpa rahi hai

Verse 16 — Surah Al-Hajj 22:16

hum ne isi tarah is Qur’aan ko waazeh ayato mein utaara hai, jise Allah chaahe hidaayath naseeb farmaata hai

Verse 17 — Surah Al-Hajj 22:17

beshak ahle imaan aur yahoodi aur saabi aur nasraani aur majusi aur mushrikeen, in sab ke darmiyaan qayaamath ke din khud Allah ta’ala faisle kar dega, Allah ta’ala har har cheez par gawaah hai

Verse 18 — Surah Al-Hajj 22:18

kya tu nahi dekh raha ke, Allah ke saamne sajde mein hai sab asmaano waale aur sab zameeno waale aur suraj aur chaandh aur sitaare aur pahaad aur daraqth aur jaanwar aur bahuth se insaan bhi, haan bahuth se wo bhi hai jin par azaab ka maqula saabiath ho chuka hai, jise rab zaleel karde ose koyi izzath dene wala nahi, Allah jo chahta hai karta hai

Verse 19 — Surah Al-Hajj 22:19

ye duno apne rab ke baare mein eqtelaaf karne waale hai, pas kaafiro ke liye to aag ke kapde byonath kar kaate jayenge aur un ke saro ke upar se saqth khaulta hoa paani bahaya jayega

Verse 20 — Surah Al-Hajj 22:20

jis se un ke pet ki sab cheeze aur khaale gala di jayengi

Verse 21 — Surah Al-Hajj 22:21

aur un ki saza ke liye loohe ke hatode hai

Verse 22 — Surah Al-Hajj 22:22

ye jab bhi wahaan ke gham se nikal bhaagne ka iraada karenge, waheen lauta diye jayenge aur (kaha jayega) jalne ka azaab chako

Verse 23 — Surah Al-Hajj 22:23

imaan waalo aur nek kaam waalo ko Allah ta’ala un jannato mein le jayega, jin ke daraqto ta le se nehre lehre le rahi hai, jahaan wo sone ke kangan pehnaaye jayenge aur sacche moti bhi, wahaan un ka libaas qaalis resham hoga

Verse 24 — Surah Al-Hajj 22:24

un ko paakiza baath ki rehnumaayi kar di gayi aur qaabile sadh tareef raah ki hidaayath kar di gayi

Verse 25 — Surah Al-Hajj 22:25

jin logo ne kufr kiya aur Allah ki raah se rokne lage aur us hurmath waali masjid se bhi, jise hum ne tamaam logo ke liye masaawi kar diya hai, waheen ke rehne waale ho, ya baaher ke ho, jo bhi zulm ke saath wahaan ilhaadh2 ka iraada kare, hum ose dard naak azaab chakayene

Verse 26 — Surah Al-Hajj 22:26

aur jab ke hum ne Ibraheem(alaihissalaam) ko kaabe ke makaan ki jageh muqarrar kar di, is shart par ke mere saath kisi ko shareek na karna aur mere ghar ko tawaaf, qiyaam, ruko, sajda karne waalo ke liye paak saaf rakhna

Verse 27 — Surah Al-Hajj 22:27

aur logo mein hajj ki munaadi karde, log tere paas pa-payaada bhi ayenge aur doble pathle oonto par bhi door daraaz ki tamaam raaho se ayenge

Verse 28 — Surah Al-Hajj 22:28

ta ke apne liye fayede haasil kare aur un muqarrara dino mein Allah ka naam yaad kare, un chau paayo par jo paalto hai, pas tum, aap bhi khaao aur bhuke faqiro ko bhi khilaao

Verse 29 — Surah Al-Hajj 22:29

phir wo apna mayl kuchayl door kare aur apni nazre puri kare aur Allah ke qadeem ghar ka tawaaf kare

Verse 30 — Surah Al-Hajj 22:30

ye hai, aur jo koyi Allah ki hurmato ki taazeem kare, us ke apne liye, us ke rab ke paas behetri hai aur tumhaare liye chau paaye jaanwar halaal kar diye gaye, bajuz un ke jo tumhaare saamne bayaan kiye gaye hai, pas tumhe butho ki gandagi se bachte rehna chahiye aur jhooti baath se bhi parhez karna chahiye

Verse 31 — Surah Al-Hajj 22:31

Allah ki tawheed ko maante hoye, us ke saath kisi ko shareek na karte hoye, suno Allah ke saath shareek karne wala, goya asmaan se gir pada, ab ya to ose parinde uchak le jayenge ya hawa kisi door daraaz ki jageh phek de gi

Verse 32 — Surah Al-Hajj 22:32

ye sun liya, ab aur suno! Allah ki nishaaniyo ki jo izzath wa hurmath kare, us ke dil ki parhezgaari ki wajeh se ye hai

Verse 33 — Surah Al-Hajj 22:33

un mein tumhaare liye ek muqarrar waqt tak ka fayeda hai, phir un ke halaal hone ki jageh, khaane kaaba hai

Verse 34 — Surah Al-Hajj 22:34

aur har ummath ke liye hum ne qurbaani ke tariqe muqarrar farmaaye hai, ta ke wo un chaupaaye jaanwaro par Allah ka naam le, jo Allah ne unhe de rakhe hai, samajh lo ke tum sab ka maboodh bar haq sirf ek hee hai, tum osi ke taabe farmaan ho jaao, aajizi karne waalo ko khush qabri suna di jiye

Verse 35 — Surah Al-Hajj 22:35

unhe, ke jab Allah ka zikr kiya jaaye, unke dil tharra jaate hai, unhe jo buraayi pahonche, us par sabr karte hai, namaaz qaayam karne waale hai aur jo kuch hum ne unhe se rakha hai, wo us mein se bhi dete rehte hai

Verse 36 — Surah Al-Hajj 22:36

qurbaani ke oonto ko, hum ne tumhaare liye Allah ta’ala ki nishaaniyo mein shaamil kar diya hai, un mein tumhe nafa hai, pas unhe khada kar ke un par Allah ka naam lo, phir jab un ke pehlo zameen se lag jaaye, ose (khud bhi) khaao aur miskeen, sawaal se rukne waalo aur sawaal karne waalo ko bhi khilaao, isi tarah hum ne chau paayo ko tumhaare ma tehet kar diya hai, ke tum shukr guzaari karo

Verse 37 — Surah Al-Hajj 22:37

Allah ta’ala ko qurbaaniyo ke gosht nahi pahonchte, na un ke qoon, balke ose to tumhaare dil ki parhezgaari pahonchti hai, isi tarah Allah ne un jaanwaro ko tumhaara muthi kar diya hai ke tum us ki rehnumaayi ke shukriye mein us ki badaaiyya bayaan karo aur nek logo ko khush qabri suna di jiye

Verse 38 — Surah Al-Hajj 22:38

sun rakho! yaqinan sacche momino ke dushmano ko khud Allah ta’ala hata deta hai, koyi qayaanath karne waala, na shukra Allah ta’ala ko hargiz pasand nahi

Verse 39 — Surah Al-Hajj 22:39

jin (musalaamo) se (kaafir) jung kar rahe hai, unhe bhi muqaable ki ijaazath di jaati hai, kyo ke wo mazloom hai, beshak un ki madad par Allah qaadir hai

Verse 40 — Surah Al-Hajj 22:40

ye wo hai jinhe na haq apne gharo se nikala gaya, sirf un ke us qaul par ke hamaara parvardigaar faqath Allah hai, agar Allah ta’ala logo ko aapas mein ek dosre se na hata ta rehta, to ibaadath khaane aur girje aur masjide aur yahoodiyo ke ma-badh aur wo masjide bhi dha di jaati, jahaan Allah ka naam ba kasrath liya jaata hai, jo Allah ki madad karega, Allah bhi zaroor us ki madad karega, beshak Allah ta’ala badi khuwwato waala, bade ghalbe waala hai

Verse 41 — Surah Al-Hajj 22:41

ye wo log hai ke agar hum zameen mein un ke paao jama de, to ye puri paabandi se namaaze qaayam kare aur zakaate de aur acche kaamo ka hukm kare aur bure kaamo se mana kare, tamaam kaamo ka anjaam Allah ke eqtiyaar mein hai

Verse 42 — Surah Al-Hajj 22:42

agar ye log aap ko jhutlaaye (to koyi tajjub ki baath nahi) to in se pehle Nuh(alaihissalaam) ki khaum aur aadh aur samoodh

Verse 43 — Surah Al-Hajj 22:43

aur khaume Ibraheem aur khaume Looth

Verse 44 — Surah Al-Hajj 22:44

aur madyan waale bhi apne apne nabiyo ko jhutla chuke hai, Mosa(alaihissalaam) bhi jhutlaaye ja chuke hai, pas main ne kaafiro ko yo hee si mahullath di, phir dhar dabaya, phir mera azaab kaisa hoa

Verse 45 — Surah Al-Hajj 22:45

bahuth si bastiyaan hai, jinhe hum ne teh-wa-baala3 kar diya, is liye ke wo zaalim thein, pas wo apni chatho ke bal aundhi hoyi padi hai aur bahuth se abaadh koye bekaar pade hai aur bahuth se pakke aur bulandh mahel viraan pade hai

Verse 46 — Surah Al-Hajj 22:46

kya unhone zameen mein sair wa siyaahath nahi ki, jo un ke dil un baatho ke samajhne waale hote, ya kaano se hee un (waaqeyaath) ko sun lete, baath ye hai ke sirf aankhe hee andhi nahi hoti, balke wo dil andhe ho jaate hai jo sino mein hai

Verse 47 — Surah Al-Hajj 22:47

ye log aap se azaab ka fauri mutaaleba kar rahe hai, Allah hargiz apna waada nahi taalega, haan albatta aap ke rab ke nazdeek ek din tumhaari ginti ke etebaar se ek hazaar saal ka hai

Verse 48 — Surah Al-Hajj 22:48

bahuth si zulm karne waali bastiyo ko main ne dheel di phir aaqir unhe pakad liya aur meri hee taraf laut kar aana hai

Verse 49 — Surah Al-Hajj 22:49

elaan kardo ke logo main tumhe khullam khulla chaukanna karne waala hee hoon

Verse 50 — Surah Al-Hajj 22:50

pas jo imaan laaye hai aur jinhone nek amal kiye hai, unhee ke liye baqshish hai aur izzath waali rozi

Verse 51 — Surah Al-Hajj 22:51

aur jo log hamaari nishaaniyo ko pasth karne ke darpe rehte hai, wahi dozakhi hai

Verse 52 — Surah Al-Hajj 22:52

hum ne aap se pehle jis rasool aur nabi ko bheja us ke saath ye hoa ke jab wo apne dil mein koyi aarzu karne laga, shaitaan ne us ki aarzu mein kuch mila diya, pas shaitaan ki milaawat ko Allah ta’ala door kar deta hai, phir apni batien pakki kar deta hai, Allah ta’ala daana aur ba hikmath hai

Verse 53 — Surah Al-Hajj 22:53

ye is liye ke shaitaani milaawat ko Allah ta’ala un logo ki azmaayesh ka zariya banade, jin ke dilo mein bimaari hai aur jin ke dil saqth hai, beshak zaalim log gehri muqaalifath mein hai

Verse 54 — Surah Al-Hajj 22:54

aur is liye bhi ke jinhe ilm ata farmaya gaya hai, wo yaqeen karle ke, ye aap ke rab hee ki taraf se saraa-sar haq hee hai, phir wo us par imaan laaye aur un ke dil us ki taraf jhuk jaaye, yaqinan Allah ta’ala imaan daaro ko raahe raasth ki taraf rehbari karne waala hee hai

Verse 55 — Surah Al-Hajj 22:55

kaafir is wahi ilaahi mein hamesha shak shuba hee karte rahenge, hatta ke achaanak un ke saro par qayaamath aa jaaye ya un ke paas us din ka azaab aa jaaye, jo manhoos hai

Verse 56 — Surah Al-Hajj 22:56

us din sirf Allah hee ki baadh-shaahath hogi, wahi un mein faisle farmaayega, imaan aur nek amal waale to nemato se bhari jannato mein honge

Verse 57 — Surah Al-Hajj 22:57

aur jin logo ne kufr kiya aur hamaari aayato ko jhutlaaya un ke liye zaleel karne waale azaab hai

Verse 58 — Surah Al-Hajj 22:58

aur jin logo ne raahe khuda mein tarke watan kiya, phir wo shaheed kar diye gaye, ya apni mauth mar gaye, Allah ta’ala unhe behetreen rizq ata farmaayega, aur beshak Allah ta’ala rozi dene waalo mein sab se behtar hai

Verse 59 — Surah Al-Hajj 22:59

unhe Allah ta’ala aisi jageh pahonchayega ke wo us se raazi ho jayenge, beshak Allah ta’ala ilm aur burdh-baari waala hai

Verse 60 — Surah Al-Hajj 22:60

baath yahi hai, aur jis ne badhla liya osi ke baraabar jo us ke saath kiya gaya tha, phir agar us se zyaadati ki jaaye to, yaqinan Allah ta’ala khud us ki madad farmayega, beshak Allah dar guzar karne waala, baqshne waala hai

Verse 61 — Surah Al-Hajj 22:61

ye is liye ke Allah raath ko din mein daakhil karta hai aur din ko raath mein daakhil karta hai aur beshak Allah sunne waala, dekhne waala hai

Verse 62 — Surah Al-Hajj 22:62

ye sab is liye ke Allah hee haq hai aur us ke siva jise bhi ye pukaarte hai, wo baatil hai, aur beshak Allah hee bulandi waala, kibriyaayi waala hai

Verse 63 — Surah Al-Hajj 22:63

kya aap ne nahi dekha ke Allah ta’ala asmaan se paani barsaata hai, pas zameen sar sabz ho jaati hai, beshak Allah ta’ala meherbaan aur ba-qabar hai

Verse 64 — Surah Al-Hajj 22:64

asmaano aur zameen mein jo kuch hai, osi ka hai aur yaqinan Allah wahi hai be niyaaz taarifo waala

Verse 65 — Surah Al-Hajj 22:65

kya aap ne nahi dekha ke, Allah hee ne zameen ki tamaam chize tumhaare liye musaqqar kardi aur us ke farmaan se paani mein chalti hoyi kashtiya bhi, wahi aasmaan ko thaame hoye hai, ke zameen par us ki ijaazath ke baghair gir na pade, beshak Allah ta’ala logo par shafaqqath wa narmi karne waala aur meherbaan hai

Verse 66 — Surah Al-Hajj 22:66

osi ne tumhe zindagi baqshi, phir wahi tumhe maar daalega, phir wahi tumhe zinda karega, beshak insaan albatta na shukra hai

Verse 67 — Surah Al-Hajj 22:67

har ummath ke liye hum ne ibaadath ka ek tariqa muqarrar kar diya hai, jise wo baja laane waale hai, pas unhe us amr me aap se jhagda na karna chahiye, aap apne parvardigaar ki taraf logo ko bulaaiye, yaqinan aap theek hidaayath par hee hai

Verse 68 — Surah Al-Hajj 22:68

phir bhi agar ye log aap se ulajhne lage to aap kehde ke tumhaare amaal se Allah ba qoobi waaqif hai

Verse 69 — Surah Al-Hajj 22:69

beshak tumhaare sab ke eqtelaaf ka faisla, qayaamath waale din Allah ta’ala aap karega

Verse 70 — Surah Al-Hajj 22:70

kya aap ne nahi jaana ke asamaan wa zameen ki har cheez Allah ke ilm mein hai, ye sab likhi hoyi kitaab mein mehfooz hai, Allah ta’ala par to ye amr bil-kul asaan hai

Verse 71 — Surah Al-Hajj 22:71

aur ye Allah ke siva un ki ibaadath kar rahe hai, jis ki koyi khudaayi daleel naazil nahi hoyi, na wo khud hee us ka koyi ilm rakhte hai, zaalimo ka koyi madadgaar nahi

Verse 72 — Surah Al-Hajj 22:72

jab un ke saamne hamaare kalaam ki khuli hoyi aayato ki tilaawath ki jaati hai, to aap kaafiro ke chehro par na khushi ke saaf aasaar pehchaan lete hai, wo to qareeeb hote hai ke hamaari aayate sunaane waalo par hamla kar baithe, keh dijiye ke kya main tumhe us se bhi zyaada badh-tar qabar doon, wo aag hai, jis ka waada Allah ne kaafiro se kar rakha hai aur wo bahuth hee buri jageh hai

Verse 73 — Surah Al-Hajj 22:73

logo! ek misaal bayaan ki ja rahi hai, zara kaan laga kar sun lo, Allah ke siva jin jin ko tum pukaarte rahe ho, wo ek makkhi bhi to paida nahi kar sakte, go saare ke saare jama ho jaaye, balke agar makkhi un se koyi cheez le bhaage to, ye to ose bhi us se cheen nahi sakte, bada bodha hai talab karne waala aur bada bodha hai wo, jis se talab kiya jaa raha hai

Verse 74 — Surah Al-Hajj 22:74

unhone Allah ke martabe ke mutaabiq us ki qadar jaani hee nahi, Allah ta’ala bada hee zoor wa quwwath waala aur ghaalib wa zabardasth hai

Verse 75 — Surah Al-Hajj 22:75

farishto mein se aur insaano mein se paighaam pahonchaane waalo ko Allah hee chaant leta hai, beshak Allah ta’ala sunne waala dekhne waala hai

Verse 76 — Surah Al-Hajj 22:76

wo ba-qoobi jaanta hai jo kuch un ke aage hai aur jo kuch un ke piche hai aur Allah hee ki taraf sab kaam lautaaye jaate hai

Verse 77 — Surah Al-Hajj 22:77

aye imaan waalo! ruku, sajda karte raho aur apne parvardigaar ki ibaadath mein lage raho aur nek kaam karte raho, ta ke tum kamyaab ho jaao

Verse 78 — Surah Al-Hajj 22:78

aur Allah ki raah mein waisa hee jihaad karo, jaise jihaad ka haq hai, osi ne tumhe barguzida banaya hai aur tum par deen ke baare mein koyi tangi nahi daali, deen apne baap Ibraheem(alaihissalaam) ka qaayam rakho, osi Allah ne tumhaara naam musalmaan rakha hai, is Qur’aan se pehle aur is mein bhi, ta ke paighambar tum par gawaah ho jaaye aur tum tamaam logo ke gawaah ban jaao, pas tumhe chahiye ke namaaze qaayam rakho aur zakaath ada karte raho aur Allah ko mazbooth thaam lo, wahi tumhara wali aur maalik hai, pas kya hee accha maalik hai aur kitna hee behtar madadgaar hai